50) Majboor
Chup chaap baithti rehti hun main,
Nazre sunaati hain kuch kahaniyan,
Dur hogayen hain woh humse magar,
Yaadein unki bangai hai nishaniyaan.
Aankhon mein ansoon tou aate hain,
Par palke unhe chhupa leti hain,
Tamanna jo saare tut gayen hain,
Dil ko bahut tadpa jaati hain.
Mausam tou hai bheega bheega sa,
Phir bhi dil mein ek pyaas hai.
Toot gai hai har ummeed meri magar,
Phir bhi unse milne ki aas hai.
Rok na paaye khayalon ko koi,
Na soch par pehra hoga hai.
Toot jaata hai jab khwab koi,
Tou dard bhi gehra hoga hai.
Na samjha unhone haal-e-dil,
Na khola maine bhi raaz-e-dil.
Ye kise dil de diya maine...
Wo tou tha hi nahi pyar ke kaabil.
Phir bhi dil mera majboor hai,
Unki hi chahat mein chur hai.
Dil mein tou basa hai woh,
Par aakhon se bahut dur hai.
(From my old collection)
Awwthentic~
16/03/2016
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top