Chapter 11: Her Questions
At Manvi home
She looks at Aarav's picture who was smiling "tum yahan has rahe ho dekho mujhe kaisi ho gayi hun main tumhare bina kitni takleef ho rahi hai aaj samajh aaya tumhe kitni takleef hui hogi mera itna rutapan dekh kar tumhe bahut daanta maine bahut hai na? Toh ab tum daanto mujhe aajao daanto! Kaise daantoge? Tum toh kho gaye ho kahi" in anger she leaves from there without eating anything.
Next day in office, all were present there except Pankaj. He enters inside.
"pankaj.. yeh koi waqt hai aane ka?" (scolding him)
Pankaj replied "sorry mam wo aankh der se khuli"
Manvi said "alarm laga kar soya karo"
Vineet says casually says "arey Manvi jane do na ho jata hai chalo.. pehle thoda kuch kha lo phir kaam karna"
Manvi smirks "sir yeah order to aap us din bhi de sakte they na?"
Vineet ask kis din.. (confused)
Manvi burst out "jis din maine yahi salukh Aarav ke saath kiya tha aapko to pata tha na ki usey der kyun hui? kyu khake nahi aaya.. aap order dete toh main toh nahi kehti na kuch"
Vineet sir says "wo tum pareshan"
But Manvi cuts him "Itna bhi pareshan nahi thi ki aap ke order ke baad bhi use kuch kahun (a bit loud) (calmed down) Doctor ne mujhe stress dene se mana kiya tha aap toh kisi aur tarike se bhi Aarav ko iss sab se door rakh sakte they na aur joh order apne Aarav ko 5 saal pehle diya tha ki tum jao khayal rakho apni senior ka wo iss bar bhi to keh sakte they na uss waqt bhi aapki khatir chup rahi thi main iss bar bhi reh leti na uss pagal ko aise ghutna to nahi padta.. pal pal marna toh nahi padta"
Vineet was at the loss of words. He really did not have any answer. Manvi just moved to her cabin all to got back to their work.
Vineet came to his cabin, Ruhana came from home as she had some work there. She asked "Vineet kya hua? Mujhe achanak kyun bulaya?"
Vineet said "Ruhana wo"
Ruhana asked "kuch kaha kya Manvi ne tumse?"
Vineet replied "wo kya kahegi uske sawalo ka jawab nahi tha mere paas"
Ruhana placing her hand... kya hua? batao...
Vineet narrates the incident just happened.
Ruhana said.. "ha Vineet yahan toh hum bhi chuk gaye"
Vineet said "sahi toh kaha usne main agar order deta toh Aarav itna akela mehsus nahi karta ghut ghut kar nahi jee raha hota aur Manvi bhi chup ho jaati"
Ruhana replied "Vineet main samjhti hun sab uska gussa hona zayas hai"
Vineet said "Ruhana kabhi kabhi dar lagta hai kahi hum isey bhi na kho de"
Ruhana was silent. Sachin entered inside with some work and they got busy with it.
There was lots of work burden.. today most of them stayed back and completed the work.
Manvi too went back home, she was tied all the work she had done today she layed on couch with closed eyes.
"arrey aa gayi tum"
"haan.. aaj bahut kaam tha.. na"
"acha lao tumhara sar dawa deta hun"
"nahi Aarav rehenedo thik hun"
"kaha tek ho behas mat karo baitho yahan"
"Aarav nahi but he did it "ho gaya.. ab kaise lag raha hai..."
Bahut aacha lag raha hai ab tum baitho mere paas with a smile but when Manvi turned she found no one and tear escaped. She said in low tone "please Aarav aa jao na dabado mera sar bahut dukh raha hai please" and closed her eyes for a moment.
Next day Manvi went to office, she was literally tired and feeling low but still went to office. Purvi came to her and tries to speak with her "Manvi mam tumhe dekh ke lag raha hai ki tumhari tabiyat"
Manvi replied her "maar nahi gayi hun main apne kaam se kaam rakho"
Purvi was hurt with her reply "mam balehi hum junior hai aapse par ek family ki tarah"
Manvi smirked.. "acha aaj badi yaad aagayi iss baat ki jis din Aarav ki tabiyat kharab thi uss din to nahi kaha mam Aarav sir ki tabiyat kharab hai aap chod dijiye.. unhe"
Purvi looked down "mam wo hum.."
Manvi said "jawab nahi milega Purvi rehne do.. jab Vineet sir ko hi jawab nahi pata... toh tum toh"
Sachin interrupted "Manvi tum bekar mei gussa ho rahi ho"
"acha.. main bekar mei gussa ho rahi hun" she questioned
Sachin continued.."Manvi humne jo kiya doctor ke kehne par kiya tab humhe bas tumhara khayal tha humhare liye aasan nahi tha uss dosti ko aise dekhna joh humhare liye ek missal thi aasan nahi tha tumse jis se hum aksar hasi mazak kiya karte they us insan se ajnabee jaisa bartav karna aasan nahi tha iss purvi (pointing towards her) ke liye jo tumhare khane ki tareef karti thi tum dono ko alag dekhna Angel ke liye jo aksar mujhse jhagda karti thi ki dekho Aarav aur Manvi ko itna pyar hai saath rehte hai par seema se bande hue hai" Manvi continued looking at Sachin.
He came to Pankaj and pulled him near to Manvi "yeh Pankaj bhai maanti ho na tum isey aur yeh tumhe behen iske liye aasan nahi tha ki tum uske liye anjaan ho"
Manvi nodded ""tum bilkul sahi keh rahe ho Sachin tum sab ke liye bahut mushkil tha" all looked at Manvi with her calm voice
She continued "par tumne jis Purvi ka jikar kiya use mein pehchanti thi tabhi aur Pankaj haa ise bahut taqleef hui hogi par ise main bhai kehti thi par iska aur mera jo naata tha is office tak tha aur yaha bhai se na sahi junior senior ka rishta to chal raha tha na? aur juniors jo mujhse advice lete they mujhse advice jo bhi ho unki senior toh tab bhi thi na main? sayad ek do saal pehle jo rishta kayam hua wo firse karna chahiye tha unhe... per wo junior nahi tha mera pyar tha 5 saal se til til karke rishta joda tha usne sab ke khilaaf jaane se bhi kabhi piche nahi haata wo mere liye man se Manvi fir toofan mail aur Manvi aap se tum safar chota nahi tha office mein tum mese koi mujhse sawal kar nahi pate aur use haq tha ki mujhe chup bhi karwa dey..mere orders ke aage tum sab chup rehte ho use haq tha ki wo sawal kare yeah haq usne haasil kiya.. senior nahi thi main uski dost se uski zindagi ban gayi thi Vineet sir aur Ruhana mam ke baad sirf uska order chalta tha mujhpe."
"yeh rahi office ki baat aur personal area mein subah utne se office aane tak use uthana nashta ready karna sab aur raat ko ghar lautne se sone taq sab mujhe karna apdta tha aadat thi use uss sabki ki 5 saal ki aadat samjhte ho na? Aadat nahi zindagi ka ansh ban jaata hai wo zindagi ka ansh repeated last three words "uss saari aadat ko saate haq ko khona pada use ek ek chutti ka din ke hazar plans hua karte they wo sab chodne pade usey ghar mein pair nahi tikta tha uska chutti milne par par ghar baithe rote hue bitani padi usey har chutti jo kabhi hamhari chutti pyar, masti se bhari hoti thi wo akele rote hui bitayi jo rishta usne 5 saal pehle banaya firse bana na parta use shayad use manjur bhi hota par tum log thoda saath to de dete uska kyun nhi diya? All remained silent.. "jawab do mujhe aise chup mat raho" she looked at everyone with teary eyes.
She asked "Sachin tum to tab bhi they na main aise hi gussa karti thi aur tum aur Vineet sir usey bachate they mere gusse se toh iss baar kyun nahi bachaya tumhare saamne maine usey daanta bachate usey jaise 5 saal pehle kiya tha doctor ne naye rishte banane se toh mana nahi kiya na? Haan?"
Sachin had nothing to say. She sighed.
"5 saal pehle maine jab jab use ignore karna chaha Vineet sir ne order dey diya aur Aarav ko maine maan liya.. tab order they to ab kyu nahi? Order follow karne se toh perhej nahi tha?" she asked with her eyes filled with tears.
"Ajeeb baat dekho tab bhi Vineet sir ne mera soch ke use order diya ki tum Manvi ke saath raho aur ab mera hi soch ke keh diya uss se dur raho"
"Arey wo banda bhi to dukhi tha na itna toh kar hi sakte they tum sab ki uska dard hi bath lo?"
"Wada maine kiya tha mere rehte ek kharoch ko uss taq nahi aane dungi aur mere hi karan... wo.. tab bhi to yaad nahi aa sakta tha na.. to uss stress se kaise bach aate?
Hai inn sawalo ka jabab? Haan jawab tumlogo ke pass... Agar mil jaye to batana fir kabhi gussa nahi karungi per jawab dena zaroor"
Everyone was standing with their head down, Sachin and Angel could not meet her gaze. Manvi looked towards Vineet's cabin door where he and Ruhana were standing like a statue.
She moved out of the office completely saying "mera ye jo gussa karna tum sab ko bura lagta hai. isse kayi jyada bura use laga tha jab ussey mujhse door rehne ko kaha gaya tha"
This lines were echoing in each and every person present inside the office. Specially Vineet and Ruhana today Manvi asked many questions to them and nobody has answer for none. No one.
To be continued.
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top