JIN KA PYAR (PART 70 Last part) completed
Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.
Rahbar k ghar se nikal kar farah ariha ko dhoondh ne lagti hai, mujhe jaldi ariha ko dhoondh kar usse Asad k hawale karna hoga.
Ek baar ariha khatam ho jaye tab mujhe sukoon milega.
Yaha jungle me asad arab ko bandhe hoye apne ap ko sher samajhne lagta hai.
Asad,
Tune bahot pareshan kiya hai mujhe ab mai tujhe bataonga k asad mirza khan kon hai .
Arab,
Tu galti kar raha hai, jaise hi mai isse bahar nikala na teri jaan le longa.
Asad,
Are meri jaan lene k liye tujhe zinda thodi chodonga, or tujhe pata hai ek surprise or hai tere liye. Teri ariha bhi mere pass hai tujhe marne k baad usse Zardasti shadi karonga or phir zindagi bhar usse taklif kya hoti hai ye bataonga.
Arab,
(Arab gusse se chillata hai hhhaa) meri ariha ko hath bhi lagane ki himmat mat karna warna.
Asad,
Are pahle toh khud ko bacha le phir usko bachane ki baat karna, or kya kaha hath lagane ki baat kar raha hai tu usse apna banaoga hai or teri rooh tadapegi ye sab dekh kar.
Arab,
Tujhe toh mai.
Asad,
Maro isse.
(Tabhi kuch admi rod le kar ate hai or chain k adar dal kar Arab ko marte hai Arab ko bahot zor zor k shock lagte hai jaha par bhi usse rod lagti hai Arab chekh kar rah jata hai wo chain k darmiyaan me hone se kuch kar nahi pata iron ki kitno k wajah se wo kamzor hone lagta hai wo zor zor se chilla ta hai)
Yaha Arab ki ammi ko bahot uljhan ho rahi hoti hai.
Arab ki ammi,
Mujhe bahot uljhan ho rahi hai Arab ko call kar leti ho wo thik toh hai na.
(Ammi Arab ko call karti hai but phone band batata hai)
Phone bhi band hai iska ariha ko lagati ho ariha ka phone bhi band hota hai. Wo apni ankhein band kar k dekhne ki koshish karti hai par unhe kuch dikhai nahi deta. Mujhe kuch dekhai q nahi de raha hai aisa tabhi hota hai jab bhi koi problem hoti hai ho na ho koi baat toh hai wo Arab k abba k pass jati hai or unse kehti hai, wo bhi apni ankhein band kar k dekhne ki koshish karte hai but sab kuch kala nazar ata hai.
Arab k abba,
Ap fikar mat kijiye mai college me dekh ta ho shahir (ek mulazim) tum Arab k college jao or dekho wo waha hai ki nahi or sab kuch thik toh hai jaldi se batao mujhe.
Shahir,
Ji sir.
Arab k abba,
Ap fikar na kare wo thik hoga.
Arab ki ammi,
Nahi kuch toh bura hoa hai q k aj jo mujhe mehsoos ho raha hai aisa kabhi bhi nahi hoa ap jaye or jaldi se mere bete ko mere samne le kar aye.
Arab k abba,
(Ko bhi kuch thik nahi lag raha hota hai but wo kehte nahi hai)
Wo thik hoga ap bas sabar kariye.
Yaha farah sufiyan ban kar jinnat ki duniya me ghum rahi hoti tabhi sufiyan ki ammi usse awaz deti hai.
Sufiyan ki ammi,
Kaha hai subah se ap humne subah se apko or farah ko nahi dekha.
Sufiyan,
Wo bahar nahi Arab k pass gaya tha bas abhi aya ho or farah wo subah yahi thi abhi kaha gayi hai pata nahi shayed apne abba k ghar gayi ho.
Sufiyan ki ammi,
Tum dono ki abhi shadi hoyi hai or tum dono aise rahte ho jaise koi ajnabi.
Sufiyan,
Aisa nahi hai ammi.
Sufiyan ki ammi,
Aisa na hi ho tob behtar hai dekh beta bahot se rakh farah ko q k ek pyar hi hai jo har cheez badal deta hai mujhe pata hai wo Arab ko abhi nahi bhuli hogi par jab wo tera pyar dekhe gi na tab usse bhool jayegi.
(Farah ye baat sun kar kuch der k liye tham si jati hai usse apni kiye par afsos hota hi hai k phir us par shaitan sawar ho jata hai or wo khud ko sahi samjhne lagti hai)
Sufiyan,
Ha ammi acha ap mujhe q dhoondh rahi thi.
Sufiyan ki ammi,
Nashta kar lo chalo.
Sufiyan,
Ha ap chale mai ata ho.
(Sab nashta karte hai or farah waha se nikal kar ariha ko dhoondhne me lag jati hai)
Yaha asad arab ko maar maar kar adhmara kar chuka hota hai.
Asad,
Ariha ko dekh kar ata ho akhir shadi karni hai usse.
Arab,
Door rah ariha se warna mai mai tujhe jaan se maar donga.
(Arab ki halat bahot kharab ho gai hoti hai or yaha arab k abba ko khabar milti hai k arab college me nahi hai or na hi ariha hai wo jaldi se usse dhoondh ne k liye apne kuch sathi k sath nikal jate hai.)
Farah invisible ho kar rahbar k mahal me ariha ko dhoondhne lagti hai waha ek darwaza band hota hai or is k ass pass ek light ka jal hota hai.
Farah,
Ho na ho ariha ko us rahbar ne yahi par rakha hai tabhi yaha par is tarah ka intezam kiya hai.
Ab andar kaise jao.
(Farah ek jin ko andar jane ka kehti hai wo jin ander jata hai tabhi usse ek zordar roshni se takra kar wo jin pori tarah dhowa ho jata hai. Farah ye manzer dekh kar hairan or pareshan ho jati hai)
Farah,
Ye sab kya hai ab is ariha ko bahar kaise nikalo, waha wo asad intezaar kar raha hoga.
Farah sochne lagti hai k kya kare tabhi uske dimag me khayal ata hai wo jaldi se rahbar ka bhes le leti hai or ek jin ko bhej kar rahbar k wajir ko bulati hai.
Yaha arab takleef se behosh ho jata hai, uske behosh hote hi asad usse ghorne lagta hai.
Asad,
Abhi toh tujhe or bhi tadap na hai, teri jaan nikal donga mai tujhe tadapa tadapa kar tab tujhe pata chalega k asad se ladne ka anjam kya hota hai.
Chalo ye hosh me nahi hai tab tak mai apni jaan se mil kar ata ho, or tum log tab tak iska dhiyan rakhna or ha ye is chain se bahar na ane paye. Sare jin mil kar arab ko dekhne lagte Or asad ariha k pass ata hai waha nakli ariha hoti hai.
Asad,
Ariha ariha my love dekho tumhare chakar me kya kya karna pad raha hai. Mai kabhi soch bhi nahi sakta tha k mai itna kuch galat karonga apni life me. Lekin sab tumhari wajah se
Ariha,
Yaha q laye ho mujhe or arab kaha hai.
Asad,
Arab wo toh gaya is duniya se ab bahot jald tumhe bhi uske pass bhej donga.
Ariha,
Kya kya kiya tumne arab k sath.
Asad,
(Wo ariha ka bal apne hatho se pakad leta hai)
Mar diya usse or ab tumhe zindagi bhar is kaid me rakhonga maine kaha tha na tumse agar tum meri nahi hogi toh tumhe us arab ka bhi nahi hone donga.
Ariha,
(Ariha Asad k muh par thokti hai)
Tum arab ko kabhi nahi maar sakte mujhe is baat par pora yakeen hai wo ayega or mujhe le kar jayega.
Asad,
(Wo ariha ko ek zordar thappad marta hai ariha zameen par gir jati hai)
Himmat kaise hoyi tumhari mujhe hath lagane ki dekho tumhara kya haal karta ho mai zindagi bhar apni family or ye duniya dekhne k liye tadpo gi tum.
Yaha jinnat ki duniya me ariha ko hosh ata hai, wo bed par hoti hai ek bahot khubsurat kamra hai jis me charo taraf se roshni chamak rahi hoti hai ariha sab dekh kar hairan rah jati hai.
Ariha,
Koi hai yaha par kaha ho mai kon laya hai mujhe yaha.
(Wo dar kar kehti hai tabhi waha rahbar ata hai)
Rahbar,
Yaha tumhe mai laya ho mai kon ho or tum kaha ho ye tumhe batana zaruri nahi hai ya ye samajh lo k tumhara janna zaruri nahi hai.
Ariha,
Kya matlab kon ho tum or mujhe yaha q laye ho? Bolo?
Rahbar,
Dekho tum aram se humari mahman nawazi ka lotf lo baki sab bhool jao jaldi hi tumhe wapas tumhare ghar chod diya jaye ga.
Ariha,
Arab Arab (wo zor se Arab ka naam pokarti hai)
Arab ko pata chala na toh wo tumhe zinda nahi chode ga.
Rahbar,
Janta ho mai or tum meri fikar mat karo tum chup chap yaha raho koi hoshyaari mat karna warna tumhe marne me ek pal bhi nahi sochonga.
Ye keh kar rahbar waha se chala jata hai. Ariha rone lagti hai or apne maan me kehti hai.
Ariha,
(Kaha ho tum Arab mujhe bahot der lag raha hai jaldi se a jao pls jaldi ao Arab or wo rone lagti hai)
Rahbar us gaar se bahar nikalta hai tabhi farah usse bahar ate hoye dekh leti hai, jaise hi rahbar bahar nikalta hai wo roshni thodi kam ho jati hai ussi waqt farah us gaar k under chali jati uske ander jate hi wo roshni phir se pahle jaisi ho jati hai farah ander ja kar jaldi se ariha ko dhoondhne lagti hai. Tabhi usse kisi k rone ki awaz ati hai farah us awaz k peeche jati hai usse ariha dekhti hai wo ariha ko dekh kar bahot khush ho jati hai.
(Q k wo sufiyan k roop me hoti hai isliye wo sufiyan ban kar hi ariha k pass ati hai)
Sufiyan,
Ariha tum thik ho yaha kaise ayi tum.
Ariha,
Tum tum yaha kaise Arab kaha hai ?
Sufiyan,
Wo pata nahi kaha hai usne mujhse kaha k tumhe dhoondh k sahi salam ghar par pohcha do.
Ariha,
Par wo kaha hai wo thik toh hai na mujhe bahot dar lag raha hai mujhe Arab k pass le kar chalo Arab mujhe ghar le jayega.
Sufiyan,
Thik hai par pahle yaha se toh jana hoga na chalo mera hath pakdo.
Sufiyan ariha ko le kar waha se gayab ho jata hai or isse jaldi se asad k hawale kar wo ariha le kar usse hawali me ati hai par dusre kamre me.
Sufiyan,
Tum yahi roko mai do min me aya.
Ariha,
Par hum yaha q aye hai.
Sufiyan,
Wo sab mai tumhe bata donga par pls tum roko mai bas aya.
Wo waha se nikali ariha k room k pass ati hai waha Asad ko dekh kar wo wahi darwaze par rok jati hai Asad ki baat sunne k liye.
Yaha Arab k abba apne sath kuch jino ko le kar Arab k pass pohanch jate hai Arab behosh pada hota hai. Arab k abba Arab ko dekh kar bhag kaf uske pass ate hai tabhi unhe chain ki wajah se zordar shock lagta hai or wo gir jate hai unki chekh sun kar Arab ko kuch hosh ata hai.
Arab k abba,
Jaldi nikalo mere bete ko isse bahar.
Baki jin jaldi se sochne lagte hai k kya kare tabhi wo ek insan ko pass me dekhte hai wo log wohi jote hai jinhe Asad ne waha rakha tha wo kahi gaye hoye the wapas a rahe hote hai wo log ko dekh kar bhag kar arab k pass ate hai. Unme se ek admi jaldi se asad ko call karta hai or khabar deta hai k yaha kuch admi aye hai.
Yaha farah asad ki batain sun kar gusse se pagal ho jati hai wo ariha ko nahi arab ko marne ka plan kar raha hai or ariha ko apne sath rakhega wo bas itna hi sun pati hai. Tab tak asad ko call ati hai or wo waha se chala jata hai, uske jate hi farah nakli ariha k pass ati hai.
Farah,
Tum jao yaha se tumhara kaam hogaya.
Jin,
Thik hai.
Wo jin waha se chali jati hai.
(Farah sufiyan k roop le kar ariha k pass ati hai)
Ariha,
Kaha gaye the tum?
Sufiyan,
Gaya nahi tha gayi thi
(Wo ek bhayak awaz me kehti hai ariha der jati hai Farah apna roop badal kar apne asli roop me ati hai)
Farah,
Yaha tumhe ayi ho marne k liye.
Ariha,
Kya bol rahi ho tum sufiyan or arab kaha hai or kya ho raha hai ye sab.
(Wo rote rote pochti hai)
Farah,
Sabar karo sab batati ho mera farz hai k tumhe marne se pahle tumhe marne ki wajah bata do.
Ariha,
Arab arab kaha ho tum jaldi se a jao.
(Wo jor se chilla ti hai or rote hoye kehti hai k tabhi Farah ek jor dar thappad ariha k galo par marti hai ariha zameen par gir jati hai)
Farah,
Tumse itni nafrat karti ho mai k uski koi had nahi hai, jis se maine bachpan se pyar kiya usse ek pal me tumne mujhse chin liya.
Achanak se sabki nazro me buri ho gai mai galat ho gayi sabke liye or wo arab sahi ho gaya jisne meri feelings ki kabhi bhi kadar nahi ki. Toh mai q karo uski feeling ki parwah jis tarha usne mere jazbato ka khoon kiya hai na ussi tarah mai uske armano ka khoon karongi. Tumhe mar dongi uske Sare khawab jo tumse hi jode hai ek pal me khatam.
Ariha,
Kitni gatha ladki ho tum, tum kehti ho k tum arab se pyar karti ho nahi wo sirf tumhari zid tha jo pori na hone par tumhe har mehsoos ho rahi hai bas or tum is had tak neeche giri ho apni zid pori karne k liye.
Farah,
(Wo hasti hai)
Abhi tumhe pata hi kya hai k maine kya kya kiya hai us arab ko pane k liye par ab usse pana nahi chahti usse tadap ta hoa dekhna chahti ho tumhare liye. Bas wo ek pal mere sare gamu par marham ki tarha kaam karega.
Ariha,
Aisa kabhi nahi hoga wo ayega or mujhe le kar jayega yaha se tum kuch nahi bigad sakti hum dono ka.
Farah,
Hmm ayega toh tab jab ane ki halat me hoga or agar a bhi gaya toh tab tak tum mar chuki hogi.
Ariha,
Wo chodega nahi tumhe.
(Wo rote hoye kehti hai)
Farah,
Janti ho maar dega mujhe par mujhe is baat ki zayada khushi hogi k maine tumhe usse bahot door kar diya.
Ariha,
(Ariha roti hai or arab ka naam leti hai)
Farah,
Are abhi mat royo tum ye toh jan lo k tumhara dost sufiyan wo bhi mar chuka hai nahi maine maar diya usse tumhe bachane aya tha khud ko hi nahi bacha paya tumhara wait kar raha hai jahanam me dono khub maze karna.
Ariha,
Kitni gatya ho tum apni shohar ko mar diya itni nafrat koi kaise kar sakta hai kisi se.
Farah,
Kar sakta hai mai karti ho na.
(Farah ariha k baal pakad kar uska sar deewar me de marti hai ek zordar awaz k sath ariha ki chekh nikalti hai or wo neem behoshi k alam me chali jati hai uske sar se khoon nikal raha hota hai wo arab ka naam le rahi hoti hai)
Ek toh tum uska naam lena chod do q k tumhari zaban se uska naam sun nahi pari ho mai.
Yaha wo admi arab k abba ko rokne k liye ate hai lekin arab k abba or baki jin un admio ko pal bhar me chit kar dete hai.
Arab k abba un admiyo me se ek ko utha te hai or usse kehte hai. K wo jaldi se Arab ko khole wo admi der se jaldi Arab ko khul deta hai Arab behosh rahta hai.
Arab k abba,
Arab ko apni hatho se pakad te hai.
Arab beta ankhein kholo kya hoa ye sab.
Mai Arab ko ghar le kar ja raha ho tum in me se kisi ek ko bhi zinda mat chodna or ye sab karne ki himmat kisne ki hai jaldi se mujhe batao mai usse khatam karna chahta ho.
Jin,
Ji.
Arab k abba Arab ko le kar waha se gayab ho jate hai or seedha ghar par Arab k kamre me a jate hai.
Arab ko ab tak hosh nahi aya hota hai wo bahot buri halat me hota hai usse dekh kar ye kehna galat nahi tha k agar asad kuch or der Arab ko is tarah se marta ho Arab mar chuka hota. Arab ki ammi jaldi se Arab k pass ati hai.
Arab ki ammi,
Kya hoa hai Arab ko.?
Arab k abba,
Tum iske zakhmo ko thik karo or jaldi se isse hosh me lane ki koshish karo mujhe janna hai k kisme itni himmat a gayi k usne mere bete ko hath lagane ki koshish ki.
Arab ki ammi kuch padh kar Arab k zalhmo par hath rakhne lagti hai uski pori body agg ki tarah tap rahi hoti hai. Zakham k nishan khatam ho jate hai par Arab ko hosh nahi ata.
Arab ki ammi,
Isse hosh q nahi a raha hai maine sab kar liye jo kar sakti thi.
Arab k abba,
Dard ki shiddat se wo behosh hoya hai kuch der baad hi usse hosh aye ga tab gak mai molvy ko bula kar lata ho wo dekh kar batayenge k ye thik hai pori tarah se.
Yaha Farah ariha ko batati hai k Arab ko asad ne kaid kar rakha hai jab tak Arab ko choda kar tumhe bachane k liye ayega mai tumhe khatam kar dongi.
Sach kaho Arab ko aise dekh kar mujh bahot bura laga par mai kya karo usse bachati toh tumhe kaise mar mati hai. Isliye usse chod diya asad k pass ye dekho tumhe marne k liye special banwaai hai.
(Farah k hath me ek lakdi se bani chalo hoti hai jiski dhar bahot jayada hoti hai wo ka hath pakadti hai or uske hath par ek zordar war karti hai ariha k hatho se khoon behne lagta hai wo apne hosh gawane lagti hai tabhi Farah uska baal pakadti hai)
Farah,
Nahi itni jaldi nahi apne hosh khona tum abhi toh tumhe or tadpana hai tumhe takleef me dekh kar bahot acha mehsoos kar rahi ho mai.
Ariha,
Arab wo behoshi ki halat me kehti hai.
Farah,
Ek toh tum mar rahi ho phir bhi Arab Arab kya laga k rakha hai ha.
Yaha Arab ek zor dar chekh ka sath uthta hai ariha. Arab ki jaldi se Arab k pass ati hai.
Arab ki ammi,
Kya hoa beta Allah shukar hai tumhe hosh a gaya.
Arab,
Ammi ariha ariha mujhe ariha k pass jana hai.
Yaha jungle me jin un gundo ko mar dete hai tabhi asad door khada sab dekh raha hota hai wo woha se bhag jata hai.
Asad,
Yaar kya hogaya ye mujhe jana hi nahi chahiye tha Arab ko akela chod kar ab wo mujhe zinda nahi chode ga ariha ariha ko kahi or chupa deta ho.
(Wo phir se ariha k pass jane k liye nikal padta hai)
Yaha Farah ariha ka kafi khoon beh chuka hota hai isliye wo apna hosh khone lagti hai tabhi Farah wo lakdi se bana chako ariha k seene se arr par kar deti hai ariha ki ek zordar dar cheekh nikal ti hai or usse k sath ariha ki dam nikal jati hai.
Farah hasne lagti hai khatam tumhari kahani ab Arab ko pata chalega k dard kya hota hai wo ariha wo zameen par dhakka de kar waha se chali jati hai.
Farah k waha se jane k baad asad waha pohanch ta hai wo us kamre me jata hai jaha wo nakli ariha ko chod kar gaya tha. Par usse waha ariha nahi milti wo bahot der jata hai or pori hawali me ariha ko dhoondhne lagta hai.
Yaha Arab uth bhi nahi pata par ariha ko bachane k liye wo bina kisi ko kuch bataye nikal padta hai or sidha ussi mahal me a pohanch ta hai.
Asad ariha ko dhoondhte hoye us kamre me a jata hai jaha sufiyan ki lash rahti hai.(ye toh Arab ka bhai hai isse kya hoa ye yaha hai toh ariha kaha hai or isse mara kisne wo waha se chala jata hai or us kamre me a pohanch ta hai jaha ariha hoti hai wo ariha ko zameen par pada hoa dekhta hai or bhag kar uske pass ata hai. Or uska sar apni goed me rakhta hai uski aankho me ansu hote hai.
Asad,
Ariha kya hoa tumhe wo ariha ki nabs check karta hai wo dar jata hai.
Ye toh mar gayi par mara kisne mujhe yaha se chale jana chahiye isse pahle k Arab yaha par aye sorry ariha mujhe jana hoga.
Asad jane k liye jaise hi khada hota hai tabhi arab darwaze se ander ata hai, uski halat thik nahi hoti hai par ariha ko dhoondhne k liye wo pagal hoa hota hai tabhi wo asad ko dekhta hai.
Arab,
Ariha kaha hai
(arab asad ki kular pakad leta hai tabhi uski nazar peeche padi ariha par jati hai wo hairan ho kar ariha ko dekhta hai uske hath kapne lagte hai ariha ko aise dekh kar wo asad ko peeche dhakel kar le kar jata hai asad zameen par gir jata hai Arab ariha k pass ata hai or uska chahra apne hath me leta hai.(uski ankh se ansu gir rahe hote hai hath pair kapne lagte hai ankhe sorkh ho jati hai or wo apni kanpti hoyi awaz me kehta hai)
Arab,
A a ariha kya hoa hai tumhe tum thik ho na utho dekho mai a gaya chalo jaldi autho.
Ariha kya hoa hai tumhe utho jaldi wo zor se chilla kar kehta hai.
Tumhe kuch nahi ho sakta Mai tumhe thik kar donga bas tum ek baar apni ankhein khol do pls ariha ankhein kholo na yaar mujhe bahot dar lag raha hai.
Asad ye sab dekh kar kafi der jata hai wo waha se bhagna chahta hai par wo janta hai k wo nahi bhag sakta arab usse bhagne nahi dega.
Arab asad ki taraf dekhta hai .
Asad,
Mujhe kya dekh rahe ho Maine nahi mara isse, mai toh tumhe marne wala tha isse toh shadi karna chahta tha.
Arab,
Ahhhh (wo gusse se chekh kar khada hota hai or ek zor dar panch Asad k seene par marta hai Asad zameen par dher ho jata hai uske moh se khoon nikalne lagta hai)
Asad,
Mai mai sach bol raha ho Maine nahi mara ariha ko na hi tumhare bhai ko usne mara hai.
(Arab Asad ka gala dabane lagta hai)
Mai sach bol raha ho Maine nahi us farah ne mara hai dono ko mujhe dhokha diya hai.
Arab,
Arab sufiyan ka sun kar shok ho jata hai,Acha nahi kiya tum logo ne.
Kisi ko zinda nahi chodonga.
(Wo Asad ki garden mod deta hai Asad mar jata hai wo bhag kar ariha k pass ata hai usse apni ghode me leta hai or sufiyan jaha hota hai waha par ata hai. Sufiyan ko dekh or bhi jayada rone lagta hai. Usse bhi waha se gayab kar k apne kamre me ata hai)
Or waha se farah ko dhoondh ne k liye jinnat ki duniya me ata hai, yaha rahbar in sab baat se bekhabar hota hai.
Arab paglo ki tarah farah ko dhoodh ta hoa uske room me ata hai. Farah wahi bed par baithi muskura rahi hoti hai.
Farah,
A gaye tum, tumhara hi wait kar rahi thi kitna intezar kiya hai tumhara.
Arab Farah ka gala daba deta hai.
Farah,
Mar do mujhe jo karna tha wo toh maine kar diya ab tum zindagi bhar ariha k liye tadapna.jaise mai tadapi thi tumhare liye.
Arab,
Hmm .
Wo lohe se bana chalo jin ka handle lakdi ka hota hai Farah k seene me utar deta hai. Farah hasti rahti hai or uski jaan nikal jati hai Arab waha se gusse me chala jata hai or sufiyan ki body uske ghar par la kar deta hai or uske ghar walo ko sab kuch bata deta hai phir ariha k pass ata hai Arab me himmat nahi hoti k wo ariha ki body ko uske ammi abbu k pass le jaye pahle Arab ariha se lipat kar khoob rota hai uske sath guzare lamhe yaad karta hai phir police k though usse ghar pohchata hai.
Police ariha k ghar walo ko Asad k bare me sab batati hai. Par jin ki baat Arab ne unhe bhi nahi batai hoti. Wo insan or jinnat dono ki hi duniya chod kar kahi chala gaya hai uske ammi abbu or baki jino ne usse bahot talash kiya par wo ab tak nahi mila kai jin ka kehna hai k usne apni jaan dedi par Arab k abba or ammi is baat ko na mante ho aj bhi Arab ki talash kar hai wo apni duniya me wapas laut gaye hai, Arab ne jane se ariha k ghar walo ko aise kar diya hai k unhe kabhi kisi cheez ki koi kami na ho par unhone ne or Arab ne apni sabse keemti cheez pahle hi kho di ariha ko ab Arab ko intezar hai k kabhi ariha phir se aye gi uske pass ya unki kahani jannat me pori hogi.
(Dosto ye meri kahani ka last part hai kaisi lagi apko meri novel meri pahli novel complete ho gai apne comment zarur kare k ap sabko kaisi lagi meri novel
Jin ka pyar
Mai ap k comment ka intezar karongi Thank you ☺)
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top