JIN KA PYAR (PART 68)

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Arab k abba ammi apne ghar a kar fresh hote hai phir ariha k ghar k liye nikal jate hai nikah ki baat karne k liye uske ghar pohanch kar dono ki family ye tai karti k practicle k khatam hone k baad dono ka nikah sadgi se kar denge.

Ariha k abba,
Muh meetha kijiye , mubarak ho.

Arab k abba,
Apko bhi mubarak ho. Bahut khush honge bacche ye jan kar.

Ariha k abba,
Ha sahi kaha apne.
(Dono k parents kuch der baat karte hai phir arab k ammi abbu apne ghar chale jate hai.
Apne ghar a kar wo apne kamre me aram karne chale jate hai kuch der baad arab college se ata hai.

Arab,
Ammi abbu nahi aye ab tak. Ye sochte hoye arab unke room me jata hai.

Arab ki ammi,
A gaye beta tum.

Arab,
Ha mai fresh ho jata ho phir ariha k ghar chalte hai.

Arab k abba,
Kis liye, mujhe issi bare me tumse baat karni hai.

Arab,
Kya baat karni hai apko pahle chalte hai phir baad me baat kar lenge.

Arab k abba,
Maine kaha na ki mujhe abhi baat karni hai.

Arab,
Hmm bolo ye.

Yaha asad pori planing kar chuka hota hai k usse kaise kya karna hai .
Asad,
Ab bas decided karna hai k is plan ko anjam kab dena hai. Or wo farah apna kaam ache se kar de phir mai ariha or Arab ki kahani ka the end kar k hi rahonga.
Arab Arab Arab.

Tabhi ek employe ata hai.
Sir meeting k liye log a gaye hai.

Asad,
Tum chalo mai a raha ho.
(Tabhi zehra ki call ati hai )
Ab ye q call kar rahi hai.
Hello.

Zehra,
Assalamualaikum.

Asad,
Walekumassalam.
Bolo q call kiya tumne.

Zehra,
Wo mai chahti ho k hum lunch k liye kahi bahar chale, maine ammi se bi keh diya hai.

Asad,
Hmm thik hai tum ready rahna mai tumhe pick karne a jaonga. Abhi mai rakhta ho meeting me ja raha ho.

Zehra,
Ok bye.

Asad,
Bye.
Asad meeting me chala jata hai.
Yaha farah apne room me baithi rahti hai tabhi sufiyan ata hai sufiyan k ate hi farah room k bahar jane lagti hai tabhi sufiyan farah ka hath pakad leta hai.

Sufiyan,
Kya baat hai farah mai dekh raha ho shadi k baad se tumhara behavior bahot change ho gaya hai.koi baat hai toh batao mujhe hum baith kar baat karte hai.

Farah,
Mujhe koi baat nahi karni tumse jis insan ko mujh par bharosa hi nahi hai us se kya baat karo mai.

Sufiyan,
Tum bhi janti ho mai sach bol raha tha toh phir ye sab darama q kar rahi ho.

Farah,
Darama toh q jhel rahe ho, jab mai tumse baat hi nahi karna chahti toh q kar rahe ho tum mujh se baat.

Sufiyan,
Toh shadi q ki mujhe , jab itni hi problem thi mujhse, or Arab k liye deewangi kam hi nahi hoyi thi toh ye sab karne ki zarurat kya thi tumhe.
(Sufiyan zor se kehta hai)

Farah,
Hath chodo mera, maine kaha hath chodo mera.
(Farah bhi uchi awaz me kehti hai sufiyan Farah ka hath chod deta hai)
Dobara mujhe hath lagane ki himmat mat karna, or baat rahi shadi ki toh agar itni hi problem hai toh talaq de do mujhe.

Sufiyan,
Ha sahi kah rahi jo tum, bahot jaldi tumhe talaq de donga fikar mat karo, mujhe laga apne pyar se tumhe badal donga par nahi tum sudhar jao aisa possible hi nahi hai.

(Ye keh kar sufiyan chala jata hai.farah gusse se sufiyan ko dekhti hai or zor se chekti hai)

Farah,
Ye alag pareshan kar raha hai, lagta hai , ye koi problem created na kare mere plane me.

Arab k ghar par,

Arab k abba,
Tumhari shadi monday ko hai.
(Wo gusse se kehte hai arab pahle samjh nahi pata)

Arab,
Ye kya keh rahe hai abba aisa kaise ho sakta hai tabhi usko samjh ata hai kya ap sach keh rahe hai.
Thank you thank you so much abba.
Mai bata nahi sakta k mai kitna khush ho.

Arab ki ammi,
Jante hai ek bache ki khushiyaan maa baap se jayada kon jan sakta hai.

Arab k abba,
Sahi keh rahi ho , mai toh chahta tha k bahot shan se karo tumhari shadi par koi baat nahi, sab kuch thik hone k ek shandar walima ka intezam karenge.

Arab,
Thanks acha mai ariha se mil kar ata ho.

Abba,
Nahi abhi mat jao pahle uski family ko usse baat kar lene do phir tum baat kar lena.

Arab,
Thik hai (ye keh kar Arab apne room me chala jata hai wo bahot khush hota hai uski khushi ka koi thikana nahi hota)
I can't believe it k char din k baad tum meri ho jaogi.
Ye khabar mujhe sufiyan ko batana chaiye wo kitna khush hoga.

Arab apne room se gayab ho kar jinnat ki duniya me a jata hai phir sufiyan k ghar jata hai .
(Or ek mulazim se pochta hai)
Sufiyan kaha hai.

Wo apne kamre me hai. Arab sufiyan k room ki taraf jata hai sufiyan akele chair par baitha hota hai or kuch soch raha hota hai.

Arab,
Kya hoa bhai kaha ghum hai.

Sufiyan,
Are Tu kab aya .

Arab,
Bas abhi jab tu farah k khayalo me ghum tha.

Sufiyan,
Nahi aisa kuch nahi hai, tu bata kaise yaad kiya apne bhai ko.

Arab,
Ek khush khabri deni hai. Ariha shadi k liye maan gayi hai or char din baad yani monday ko humari shadi hai.

Sufiyan,
Kya baat hai yaar bahot achi khabar di yaar tune i am so happy for you.
Par mai nahi a paonga.

Arab,
But q?

Sufiyan,
Mai nahi chahta k meri wajah se teri khushiyon ko nazar lage. Ya koi masla paida ho jaye tu toh janta hai mai ye sab q keh raha ho.

Arab,
Par tere bina kaise.

Sufiyan,
Ho jayega shadi k baad milne aaonga.

Arab,
Thik hai par tu shadi k pahle bhi mujhse milne ayega.

Sufiyan,
Hmm thik hai.
Arab chala jata hai or sufiyan or Arab ki baat farah kamre k bahar khadi ho kar sun chuki hoti hai .
(Ye sun kar usse bahot gussa ata wo gusse me pagal ho jati hai)

Farah,
Acha toh shadi karne wale tum, mai ye shadi kabhi nahi hone dongi.

Tabhi sufiyan farah ko dekhta hai wo usse awaz dene hi wala hota hai k wo waha se jane lagti , sufiyan uska peecha karne lagta hai farah insano ki duniya me ati hai or asad ko call karti hai.

Sufiyan,
Ye asad ko kaise janti hai or usse q call kar rahi hai.
(Sufiyan hairani se sab kuch dekhta hai)

Farah,
Kaha ho tum mujhe tumse milna hai abhi.

Asad,
Q kya ho gaya, or mai tumhara nokar nahi ho jo tum kahogi or mai hazir ho jaonga.

Farah,
Bakwas band karo apni mujhe Arab or ariha k bare me baat karni hai jaldi se high way k pass aoo.

Asad,
Unke bare me kya baat karni hai.

Farah,
Tum ao yaha batati ho.

Sufiyan invisible ho kar kuch dur se dekhta rahta hai, kuch der baad waha Asad ata hai dupahar ho chuki hoti hai zehra ghar par ready ho kar Asad ka lunch k liye wait kar rahi hoti hai.

Asad,
Kya baat hai itni jaldi me mujhe q bulaya, mujhe apni biwi k sath lunch par jana tha .

Farah,
Bakwas band karo, waha Arab or ariha shadi karne ja rahe hai or tumhe yaha lunch ki padi hai.

Asad,
Kya matlab wo dono shadi karne wale hai ye tumhe kisne bataya.

Farah,
Arab ne khud, wo sufiyan ko batane aya tha tab hi maine sun liya.
Monday ko nikah hai unka.
Or tum abhi tak plane hi bana rahe ho ariha ko marne ka jisse ab tak anjam hi nahi de paye.

Asad,
Shut up yaar, kuch sochne do mujhe i can't believe it k wo dono ki shadi hone wali hai mai ye hargis nahi hone donga.

Farah,
Kya karoge tum?

Asad,
Ariha ko mar donga tum abhi jao kal issi waqt yaha ana mai tumhe baki ka plane bata donga or hum parso hi apne plan ko anjam denge.

Farah,
Thik hai. Or agar kuch nahi kar sakte toh bata dena mai khud hi us ladki ko jaan se maar dongi phir Arab chahe jo kare mujhe farak nahi padta.

Asad,
Iski zarurat nahi padegi tum jao hum kal milte hai.

Sufiyan sab sun kar shock ho jata hai usse is baat par yakeen hi nahi hota k Farah is had tak ja sakti hai wo bahot gusse me wapas apne ghar par chala jata hai.

Sufiyan,
Arab ko sab kuch bata do, nahi kal Farah ka peecha kar k sab jan longa phir Arab ko bata donga, or ariha or Arab ki shadi me koi ruka wat nahi ane donga.

Farah,
Kya nahi hone doge?

Sufiyan,
Tumhe isse kya waise bhi tum toh mujhe chodne wali ho na phir mujh se door raho.

Farah muh bana kar let jati hai.

Sardaar k ghar par,
Rahnar wajir ko bulata hai.

Wajir,
Kya hoa rahbar beta ap ne hume bulaya.

Rahbar,
Ha parso mai ariha ko utha kar yaha lane wala ho, tum is baat ka dhiyan rakhna k kisi ko kano kan is baat ki khabar bhi na ho.

Wajir,
Par is se kya hoga.

Rahbar,
Is se ye hoga k Arab khud mujhe apni kursi dega wo bhi sab ke samne. Or ariha ko bachane k liye wo apni jaan bhi de sakta hai ye baat toh tum jante hi ho.

Wajir,
Or uski powers wo kaise lenge?

Rahbar,
Jab ariha ki jaan longa na uske samne toh wo apni jaan de kar bhi power mujhe dega.

Wajir,
Thik hai par ye baat yaad rahe k ap k sardaar banne k baad bhi wajir mai hi rahonga.

Rahbar,
Thik hai ye humari zaban hai tum is baat ki koi fikar mat karo.

Next day,
Sab kuch normal hota hai ariha college jati hai Arab bhi college me hi hota hai dono bahot khush hote hai, ariha sana ko batati hai sana bhi bahot khush hoti hai.

Sana,
Bahot khushi hoyi mujhe ye jan kar mai toh bahot excited ho tum dono ki shadi k liye, bahot maza ane wala hai.
Listen shadi bhale hi simple ho rahi hai but mai sari rasme karne wali ho, juta chora wagera.

Arab,
Ha baba zarur karna tumhe jo karna hai wo sab karna, tumhe bhi toh pata chale k tumhara jija kitna dildaar hai.

Ariha muskura kar Arab ko dekhti hai.

Sana,
Ha acha chalo practice start jone wale hai warna sir bhi apni dildari dekhane lagenge.

Ariha,
Ha chalo.
Arab ariha ka hath pakad ta hai, or usse dekh kar muskurata hai. Exam start hota hai.
Yaha Asad or Farah ek dusre se milne ate hai or sufiyan bhi Farah k peeche ata hai or unki batein sunta hai.

Asad,
Tum kal ariha k college se nikalte hi usse kuch bhi bol kar jahangir k jungle me jo porana mahal hai waha le kar ana or Arab ko us mahal k peeche jungle me bulana. Baki sab mai dekh longa.

Farah,
Par Arab ko q bulaya hai jab tum ariha ko marne wale ho.

Asad,
Q k wo har jagah a jata hai is liye pahle usse thikane laga k ariha ko maronga.

Farah,. (Farah ko gussa ata hai)
Khabar dar agar Arab ko kuch karne ka socha bhi toh wo Asad ki collar pakad kar kehti hai.

Asad,
Relax mai aisa kuch nahi karne wala ho tumhare Arab ko kuch nahi hoga.

Farah,
Ha thi hai, tabhi Farah ko shak hota hai k koi unki batain sun raha hai.
Wo palat kar dekhti hai. Koi nazar nahi ata.
Acha ab tum jao yaha se kal milte hai Asad waha se chala jata hai Asad k jate hi Farah gayab ho jati hai sufiyan bhi gayab ho jata hai of apne room me ata hai.

Sufiyan,
Ye sab kya kar rahi hai farah mujhe arab ko is sari baton se agah karna hoga.

Farah,
Mujhe laga hi tha k tum hi tha ye hi hai, but abhi nahi isse abhi ye batana thi nahi ho wait sufiyan tumhe apna ye plan kharab nahi karne dongi.

Kaha ja rahe ho ?
Farah sufiyan se pochti hai.

Sufiyan,
Kaam se ja raha ho.

Farah,
Tumhari ammi ne tumhe bulaya hai.
Sufiyan apni ammi k kamre me jata waha Farah sufiyan ki ammi k roop me hoti hai.

Sufiyan,
Ji ammi apne bulaya.

Ammi,
Ha ye boti hai isse pi lo tumhare liye layi ho isse tumhari tabiyat thik rahegi.

Sufiyan,
Par meri tabiyat toh thik hai mujhe kya hoa hai.

Ammi,
Piyo isse.
Wo zabardasti wo boti sufiyan ko pila deti hai jisse sufiyan ko neend a jati hai.

Farah,
Ab ye tumhe sola dega or tum do din baad hi uthoge.

Tab tak mai us ariha ka kam tamam kar dongi.
Sufiyan behosh ho jata hai or subah hoti hai , Farah insano li duniya me chali jati hai sufiyan soya rahta hai...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top