JIN KA PYAR (PART 66)
Assalamulaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.
Farah subah subah hi Asad ki office me a jati hai Asad office me hi hota hai.
Asad,
Welcome welcome .
Farah,
Dekho time waste mat karo or jaldi se batao k tumne kya karne ka socha hai.
Asad,
Mai ariha ko marna chahta ho.
Farah chock jati hai. Lekin wo maan me bahot khush ho jati hai.
Farah,
Toh isme mai kya kar sakti ho or problem kya hai.
Asad,
I know k tumhe isse koi problem nahi hogi jabke ariha tumhari cousin hai.
Well problem ye hai k Arab k hote hoye ye possible nahi hai, jab bhi kuch karne wala hota ho wo achanak se waha a jata hai or sab kuch barbad kar k chala jata hai.
Farah,
Hmm toh mai kya kar sakti ho.
Asad,
Pahle mai tumhe ye bata do k Arab ko agar pata chala toh wo humse badla lega. Tum iske liye ready ho.
Farah,
Pahle mujhe ye batao k mujhe karna kya hai.
Asad,
Kuch nahi bas itna k jab mai tumse kahonga tum ariha or Arab or ariha ko milne k liye bulana q k mere buland par wo milne ane wale nahi hai.
Farah,
Bas itna or fir tum ariha ko mar doge.
Asad,
Wo sab tum chod do tum bas itna kar dena phir Arab tumhara or ariha Allah ko pyari or mai apni zindagi khushi se jionga.
Raat ho gayi hai Yaha ariha apne room me baithi hoti tabhi uske abba ate hai.
Ariha,
Abba ap.
Abba,
Baitho baitho beta, tum khush hona.
Ariha,
Kis baat k liye Abba?
(Wo na samjhi me kehti hai)
Abba,
Arab se shadi ki baat kar raha ho.
Dekho beta mujhe pata hai k tumhe apna career bana tha but wo tum Arab se shadi k baad bhi bana sakti ho.
Ariha,
I know Abba. Isliye toh ha kk hai.
Or ap ne ha ki hai toh thik hi hoga. Bas thoda nervous ho.
Abba,
Dekho beta zindagi me ache log bahot kam milte hai ya u keh lo aj k zamane me milte hi nahi hai. Aj kal log apne fayede tak hi kisi insan k sath hota hai, or agar is zamane me koi tumhare sath apne pore dil se or mukhlisi se hai toh uska sath kabhi nahi chodna chahiye.
Ariha,
Or hume kaise pata chale ga k ye insan humare liye mukhlis hai.
Abba muskura te hai or ariha k sar par hath rakhte hai.
Abba,
Beta aj kal mukhlis sirf do hi rishte hai ek toh maa baap ka or dusra wo insan jo apse Saccha pyar karega. Or sachha pyar karne wala humsafar bahot naseebon se milte hai.
Ariha,
Abba.
Nahi kuch nahi .
Abba,
Arab ki aankho me wohi saccha pyar dekha hai maine tumhare liye.
Acha tum aram karo.
Ye keh kar Abba chale jate hai apne room me.
Sufiyan Farah k room me ata hai Farah ko waha na dekh kar wo wahi baith jata hai . Kuch der baad Farah ati hai.
Sufiyan,
Kaha gayi thi.
Farah,,
Tum wo mai apni dost k sath uske ghar gayi thi.
Sufiyan,
Acha kis k ghar.?
Farah,
Maheen k ghar.
Waise tum yaha q aye ho.
Sufiyan,
Bas aise hi ghar jane se pahle socha milte chalo, sab chale gaye mai bhi chalta ho tumhe dekh liye.
Farah,
Ok allah hafiz.
Sufiyan chala jata hai.
Farah,
Waise Asad ka plan toh acha hai is baar ariha or Arab ki kahani khatam kar k hi rahongi.
Q na Asad k plane me thoda sa change kiya jaye. Chalo ab so jati ho hone wali dulhan ho chahra chamakna chahiye.
Farah so jati hai. Arab bhi apne ghar a chuka hota hai usse ariha ki ha ka intezar hota hai. Ab kal toh ja nahi sakta shadi k baad ja kar ariha se jawab le kar hi rahonga.
Ariha k Abba apne room me ate hai toh unki biwi unse kehti hai.
Ariha ki ammi,
Aisa kya kaha molvy sahab ne jo ap ariha ki shadi karane k liye razi ho gaye.
Ariha k Abba,
Kuch nahi.
Ammi,
Dekhiye ap mujh se mat chupaye, amma bhi nahi hai k ap apne dil ki baat keh kar apna dil halka kar le, kam se kam mujhe toh bata dijiye.
Abba,
Wo asal me molana sahab ne kaha hai k ariha ki jaan ko khatra hai, or ye khatra kuch kam ho sakta hai agar uski shadi ho jaye uska shohar uski hifazat karega.
Ammi,
Kuch kam matlab
Abba,
Matlab ye jo khatra hai wo pori tarah toh nahi hate ga par kam ho jayega, ye jin or Asad in se hi khatra hai meri beti ko.
Or shadi k baad mulana sahab batayenge k kya karna hai jis se sab kuch thim jo jaye.
Ammi,
Ariha ko kuch hoga toh nahi na.
Abba,
Nahi hoga inshallah.
Ammi,
Mai uska ghar se nikal na hi band kar deti ho jab tak ye sab thik nahi ho jata.
Abba,
Uske practical or exam hai mai khud usse college le kar jaonga or le kar aonga or Arab se kahonga k saye ki tarah ariha k sath rahe college me.
Ammi,
Phir Arab poche ga q toh kya kahenge.
Abba,
Maine usse sab bata diya hai.
Ammi,
Kya kya kaha usne.
Abba,
Wo saccha pyar karta hai ariha se usse koi fark nahi padta , wo ariha se shadi bhi karega or ariha hifazat bhi karega.
Ammi,
Kya ap sach keh rahe hai. Arab toh bahot acha ladka hai mujhe yakeen nahi ho raha.
Abba,
Ha, ariha wo taveez toh pahti hai na. Tum subha college jane se pahle ja kar dekh lena k wo taveez pahanti hai ya nahi.
Ammi,
Ji, or ap kal sadka de dijiye ga ariha ka, or pore ghar walo ka bhi.
Abba,.
Ha
Next day,
Ariha ko uske Abba college chod kar ate hai , beta college off hote hi mujhe call karna mai lene a jaonga.
Ariha,
Ji Abba. Sana aj call q nahi ki tune college ane se pahle.
Sana,
Phone ki battery dead thi isliye.
Ariha,
Kal se practical bhi start hone wale hai mujhe bahot tension ho rahi hai maine koi preparation nahi ki ab tak.
Sana,
Ho jayega sab ache se fikar mat kar.
Acha chal class start ho gai hai.
Dono class attend karte hai phir cateen me a kar nashta karte hai tabhi ariha Sana ko Arab k proposal k bare me batati hai.
Sana,
Toh kya socha hai tune.
Ariha,
Maine abhi kuch nahi socha, par Abba ne ha keh di hai.
Sana,
Waise ye sab jo ho raha hai, iska ye hi hal hai k teri shadi Arab se ho jaye, phir Asad ka pagal pan kam ho jayega wo kuch nahi kar sakta shadi k baad.
Ariha,
I know but mujhe bahot ajeeb si feeling hori hai pata nahi kaisi ek uljhan i can't explain.
Sana,
Dekh toh kuch soch mat , college ko fikar hai toh shadi k baad continue rakhna i don't think k arab tujhe roke ga.
Ariha,
Janti ho, mujhe is baat ki fikar nahi hai jab se shadi ki baat ki hai arab ne tabse ek ajeeb si uljhan ne mujhe gher liya hai.
Sana,
Yob tu khush nahi hai.
Ariha,,
Khush ho Maine kaha na shadi Or padhai ko le kar nahi ho raha hai.
Sana,
Thik hai tu kuch soch mat coffee pi or khushi khushi apni shadi ki tayari kar.
Ariha,
Ye arab college bhi nahi aya kahi mujhse naraz toh nahi ho gaya.
Sana,
Ab ye mai kaise bata sakti, toh call kar.
Ariha,
Band hai uska phone, ab aye toh baat karo nhi.
Sana,
ha ye bhi thik hai, chal class chalte hai.
Ariha or Sana class attend karte hai, college khatam hote hi ariha apne abba ko call kar k bolati hai.
Sana,
Chal na mai drop kar deti ho tujhe ghar.
Ariha,
Nahi abba are hai tu ja.
Sana,
Uncle k ane tak roko mai.
Ariha,
Nai nahi tu ja.
Sana,
Thik hai.
Ariha k abba ate hai or ariha ko apne sath ghar le kar jate hai.
Ariha,
Ye arab aya nahi milne mujhse maine jayada hi bol diya lagta hai.
Ab ayega milne toh pahle sorry bolongi.
Next day Friday ka din,
Yaha asad ki barat ki tayari chal rahi hoti hai or waha sufiyan ki, Sare log bahot khush hote hai dono gharo me par kise pata k age kya hone wala hai, ariha bhi college k practical k liye ready ho kar abba k sath college jati hai subah k 10 baje hote hai.
Asad ka phone ring karta hai zehra ki call hoti hai.
Asad,
Hello.
(Neend bhari awaz me kehta hai)
Zehra,
Ap abhi tak so rahe hai. Mujhe toh khushi k mare neend hi nahi ari hai.
Asad,
Kis baat ki khushi?
Zehra,
Mere bachpan k pyar se meri shadi ho rahi hai is se badi khushi ki kya baat hogi.
Asad,
Acha, tumne call q ki.
Zehra,
Bas aise hi.
Asad,
Hmm mai fresh ho kar tumhe call karta ho.
Zehra,
Ok bye.
Ariha,
Allah hafiz abba.
Abba,
Ache se karna exam. Or kisi cheez k bare me mat sochna.
Ariha,
Ji abba.
Abba,
Hmm, mai 4:oo baje tumhe lene a jaonga.
Ariha,
Ha Abba ab mai chalti ho.
Sana,
Mai bahot nervous hori ho, der lag raha hai pata nahi kaisa jayega exam or ye arab or sufiyan nahi aye unhe toh koi tension nahi hai.
Ariha,
Q nahi hai unhe tension.
Sana,
Paisa yaar itna paisa hai unke pass toh kis baat ki tension.
Ariha,
Right.
Kuch der baad practicle start hota hai, practicle sham 4 baje tak chalta hai.
Ariha,
Bahot acha gaya na exam.
Sana,
Ha. I hope age k bhi sab ache jaye.
Ariha apne ghar a jati hai, wo bahut thaki hoti hai wo, khana kar kar so jati hai, or uski ankh tab khulti hai jab uska phone ring karta hai.
Ariha,
Ye q call kar raha hai. Ohh 8 baj gaye.
(Asad ki call hoti hai wo phone cut kar deti hai wo uth kar bahar ati hai tabhi Asad ka msg ata)
Asad,
Shadi hai meri pad tum ye mat socha k mai tumhe bhul jaonga.
Ariha,
What rubbish.
Ghatya insan.
Ammi ap ne mujhe jagaya q nahi.
Ammi,
Tu itne pyar se so rahi thi toh kaise jagati.
Ariha,
Ap hamesha yehi kehti hai.
Acha kya bana ri hai ap laye mai apki help kar deti ho.
Ammi,
Hmm sab ban gaya hai toh chai bana de achi si hum maa beti sath baith kar pite hai.
Ariha,
Q an anam Or arman kaha hai?
Ammi,
Arman bahar gaya hai or anam apni dost k yaha gayi hai ati hogi kuch der me.
Ariha,
Hmm thik hai ap loan me baith jaye mai achi si chai bana kar lati ho.
Ammi,
Ha thik hai.
Asad ki barat nikal chuki hoti hai or sufiyan ki bhi barat nikal jati hai.
Sab bahot khubsurat lag rahe hote hai sufiyan arab farah Asad zehra sab hi bahot ache lag rahe hote hai sufiyan ki khushi ki koi hadd nahi hoti.
Barat farah k ghar pohanch jati hai.
Sufiyan,
Arab kya hoa tu tension me hai.
Arab,
Nahi.
Sufiyan,
Bahut khush ho mai aj.
Arab,
Janta ho, or chahta bhi ho k tujhe ye khushi raas a jaye.
Sufiyan,
Kya.
Farah ati hai wo bahot pyari lag rahi hoti hai. Sab mahman dulha dulhan se milte hai. Wish karte hai.
Farah,
Arab tum nahi mubarak baad doge.
Arab,
Q nahi mubarak ho tum dono ko.
Sardaar,
Rahbar aj koi tamasha mat karna samjhe tum.
Rahbar,
Ha wo Arab mujhse door rahega toh thik hai warna aj mai usse chodonga nahi.
Sardaar,
Chup karo.
Nikah hota hai, yaha Asad ka bhi nikah hota hai function kafi der tak chalta hai adhi raat ko bidai hoti hai. Sab apne apne ghar chale jate hai.
Arab,
Ab kal ariha ko jawab dena hoga, phir ammi abbu ko bhi le kar jana hoga......
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top