JIN KA PYAR (PART 61)
Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.
Ariha rote rote apni ammi se kehti hai kya hoa dadi ko sab log ariha ko dekhte hai or batain karne lagte hai, ammi usse kehti hai k ja kar kapde change karo par ariha ko koi hosh hi nahi rahta toh ammi ariha ka hath pakad kar usse apne room me le kar chali jati hai. Ye kya pahan rakha hai tumne jaldi se kapde badlo or ye sab kya hai iska jawab toh mai tumse baad me longi.
Ammi ariha ko kapde change karne ka keb kar bahar a jati hai abba police case kar chuke hote hai, arab ye sab dekh kar jaan jata k ye sara kiya hoa asad ka hai, or wo sabki baat bhi sun raha hota hai jo wo ariha or arab k bare me keh rahe hote hai par ye sahi waqt nahi hai inhe jawab dene ka.
Arab,
Uncle ye sab achanak, sambhal ye khud ko.
Ye sab hone ki wajah se arab wahi rok jata hai.Sab udaas hote hai janaze k baad waha asad bhi ata hai. Wo kisi se milne nahi ata bas Arab se milta hai or usse kehta hai.
Asad,
Ab tak toh tujhe pata chal hi gaya hoga ye sab maine kiya hai marna toh mai tujhe chahta tha par koi baat nahi, next time nahi bachega toh ariha ko tera kabhi bhi nahi hone donga mai, phir chahe uske liye mujhe ariha ko hi q na marna pade.
Arab,
Hmm ,
Toh tu ye batane k liye mujhe yaha laya hai hmm (arab asad ka kular pakad kar kehta hai) tujhe jo karna hai kar le na toh mera kuch bigad sakta hai or na mere hote hoye ariha ka kuch kar sakega .
Asad,
Dekhte ja k mai kya kar sakta ho.
Arab,
Dekh longa ab ja.
Asad,
Or ha ek baat tujhe batana bhul gaya mujhe ye baat pata hai k toh ek jin hai.
Arab,
Hasta hai good n best of luck.
Ye keh kar Arab ariha k ghar chala jata hai baki log pahle hi chale jate hai.
Arab k ghar par ane k baad ,
Sab bahot dukhi hote hai Ariha k abba Arab k paas ate hai or kehte hai.
Ariha k abba,
Mujhe tumse baat karni hai akele me wo Arab ko apne sath tarice par le kar jate hai. Waha ariha pahle se hi hoti hai.
Ariha k abba,
Ye sab kya hai ariha is tarah q ayi ghar par dulhan k kapdo me jab hum sab tum dono ki shadi karane k liye maan gaye hai toh phir tum aisi harkat q kar rahe ho.
Arab,
Uncle mai samjh nahi pa raha ho k ap kya kehna chahte hai.
Ariha,
Abba mai batati ho, ap jaisa samjh rahe hai waisa kuch nahi hai (wo rote hoye kehti hai)
Ariha k abba,
Kya samajh raha ho mai tum jhoot bol kar Arab se shadi karne nahi gayi thi jhoot q kaha tha tumne humse bolo ariha (wo gusse se kehte hai arab ariha ko dekhta hai phir uske abba ko)
Ariha,
W www wo abba kal college me farah mili thi usse mujhse kaha k arab ne mujhe bulaya hai surprise dene k liye mai nahi jane wali thi but maine socha ja kar jaldi se a jaongi but jab mai or sana waha gaye toh hume pata chala k asad tha waha par farah ne jhoot kaha tha, (is tarah ariha pori baat batati hai)
Arab,
(Ariha ka hath pakad kar usse apni taraf modta hai tumhe farah ne kaha tha waha jane k liye, or tumhe itni samjh nahi hai agar mujhe tumhe kahi bulana hoga toh mai khud kahonga kisi or se q kahne ko kahonga or khas tar us farah se toh kabhi bhi nahi.
Ariha k abba,
Asad ki itni himmat, tumne mujhe pahle q nahi bataya.
Ariha,
Batane ka muka hi nahi mila itna sab kuch hogaya.
Ariha k abba,
Tum chalo mere sath hum case karenge asad k upar.
Arab,
Nahi uncle koi fayeda nahi hai wo kuch bhi kar k wapas bahar a hi jayega, ap shant rahe mai usse apne tarake se dekh longa.
Ariha,
Mujhe bahot dar lag raha hai ye sab meri wajah se ho raha hai, bahot pareshaan kar diya hai maine sab ko.
Ariha k abba,
Ariha is bare me ammi ko mat batana wo pareshan hongi, ha magar ab ahtiyat barto zara.
Arab,
Ha sahi kaha uncle apne, ap sab ko jab bhi kuch ajeeb lage ap furan mujhe call kare.
Yaha jinnat ki duniya me sufiyan or farah ka rishta tai ho jata hai.
Farah sufiyan se milne ati hai.
Sufiyan,
Tum yaha khariyat.
Farah,
Ha bas u hi milne a gayi soch thoda time spend karo tumharr sath.
Sufiyan,
Hmm tum khus hona is rishte se.
Farah,
Ha
Nahi bhi ho toh kya fark padta hai.
Sufiyan,
Kya kaha tumne.
Farah,
Kuch nahi .
Waise Arab kuch dino se nazar nahi a raha hai tumhari baat hoyi usse.
Sufiyan,
Nahi majlis k baad se mai usse mila nahi ho.
Farah,
Acha. Thik hai mai chalti ho.
Sufiyan,
Itni jaldi mera matlab kuch khaya bhi nahi tumne.
Farah,
Phir kisi din ab toh ana jana laga hi rahe ga.
Sufiyan,
Thik hai.
Farah chali jati hai or sufiyan sochne lagta hai k akir Arab ab tak wapas q nahi aya.
Sardar Sare jinno ko apne ghar par milne k liye bulate hai Arab ki family ko chod kar or unhe Arab k khilaf bhadkate hai k Arab ne ye harkar kar k sabit kar diya hai k wo hum sabse jayada us ladki ko aham samajhta hai, wo apne kaam ko le kar zara bhi serious nahi hai.
Kuch jin unki baat maan jate hai or kuch nahi mante.
Arab sabse ijazat le kar jane ka kehta hai or kehta hai k wo phir kal aye ga.
Bahar jane k baad Arab invisible ho kar ariha k kamre me a jata hai ariha bed par baithi ro rahi hoti hai Arab ko. Ariha se baat karni hoti hai but wo bas usse kuch der dekhta hai or chala jata hai apni duniya me. Arab seedha apne kamre me a jata hai or let kar ariha k bare me sochne lagta hai.
Tabhi Arab k abba ate hai.
Arab k abba,
Kya zarurat thi majlis se is tarah jane ki tumhe pata bhi hai kitni badi musibat kar li hai tumne.
Arab,
Ariha problem me thi abba.
Arab k abba,
Ariha ariha ariha pagal ho gaya ho mai tumhara ye pagal pan dekh kar.
Arab,
Kya ho gaya hai abba ap jo chahte the wo toh ho gaya hai na ban gaya na mai sardaar.
Arab k abba,
Or jaisi tumhari harkate hai bahot jaldi hat bhi jaoge sardaar ki kursi se.
Arab,
Aisa kuch nahi hoga ap fikar mat kare. Maine kal phir se majlis bulai hai waha sab thik kar donga.
Arab k abba,
Tumse baat kar k koi fayada nahi hai.
Ye kah kar wo chale jate hai subah hoti hai Arab Farah k ghar ata hai, wo seedha Farah k kamre me a jata hai. Farah leti hoti hai Arab ko dekh kar baith jati hai.
Farah,
Arab Tum yaha is tarah kya baat hai sab thik haina.
Arab Farah ka neck daba ta hai, tumhari himmat kaise ho ariha ko jhoot bolne ki aj tumhe jaan se hi maar donga.
Farah Arab ko dhakka deti hai, kya bakwas kar rahe ho Maine konsa jhoot bola hai ariha se.
Arab,
Ohh wooow mere samne ye darana karne ki koi zarurat nahi hai mujhe sab pata chal gaya hai k tum ye sudharne ka natak kar rahi thi.
Wo hath hawa me karta hai or uske hatho me talwar a jati hai ara us talwar se Farah ko marne k liye hath utha ta hai tabhi sufiyan kamre me a jata hai. Wo Farah kehta hi hai k Arab ko is tarah dekh kar hairan ho jata hai, or jaldi se Arab ka hath pakad leta hai or Arab ko dur dhakka deta hai.
Arab zameen par gir jata hai or Arab ki talwar gayab ho jati hai.
Sufiyan,
Ye kya karne ja raha tha toh.
Farah,
Sufiyan isse jaise hi pata chala hai k tum or mai shadi karne wale hai iye pagal ho gaya hai, abhi bhi Arab mujhe is shadi k liye mana karne ko keh raha tha maine mana kar diya or isne mujhe marne ki koshish ki.
Arab,
Ohh chup karo or kitna girogi.
Ab bas bhi kar do. Tujhe pata hai sufiyan isne ariha ko phir se marne ki koshish ki or ye ariha ki shadi asad se karwane wali thi. Ye tere layak hi nahi hai
Sufiyan,
Tu ja yaha se.
Arab sufiyan ko dekhne lagta hai.
Sufiyan,
Arab pls ja mai nahi chahta k mai gusse me kuch aisa keh do jo mai nahi kehna chahta.
Arab,
Ye kya keh raha hai tu tujhe apne bhai par bharosa nahi hai.
Sufiyan,
Ja yaha se.
(Wo chilla kar kehta hai)
Arab,
Ja raha ho but Farah ab mai tumhe chodonga nahi.
Sufiyan,
Mere hote hoye toh kuch nahi kar payega.
Arab Farah ko gusse se dekhta or waha se chala jata hai, chodungi toh mai nahi tumhe Arab
(wo man me kehti hai)
Sufiyan,
Arab jo keh raha tha kya wo sach hai.
Farah,
Nahi mai usse bhool chuki ho ab wo aisa q keh raha hai mujhe nahi pata. Shayad wo chahta hai k mai uska intezaar karo.
Sufiyan,
Tum apna khayal rakho mai tumse baad me baat karta ho.
Yaha asad apne ghar ata hai.
Ammi ,
Kya haal bana rakha apna ye sab kya hai.
Asad,
Kuch chota sa accident ho gaya tha but ab mai thik ho.
Ammi,
Hmm thik ho acha hai kal tumhari engagement hai jao aram karo kal waise bhi bahot kaam hai.
Asad,
What kya keh rahi hai ap mujhse poche bina.
Ammi,
Nasir isse room me le jao or firsttet karo.
Wo ammi apne room me chali jati hai.
Ariha ye acha nahi hoa mai tumhe or usse Arab ko chain se jeene nahi donga.
Wo gusse me apne kamre me chala jata hai.
Arab,
Mujhe yaha jaldi se sab kaam khatam kar k ariha k pass jana hoga.
Tabhi sufiyan Arab k kamre me ata hai. ....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top