JIN KA PYAR (PART 54)

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh 💖

Arab Or uske abba Or sufiyan jinnat ki duniya me ate hai pahle wo apne pore khandan me dawat dete hai phir sardaar k pass jate hai, Arab k abba jaise hi sardaar ko engagement k bare me batate hai sardaar ko bahot gussa ata hai par wo koi react nahi karte.

Sardaar,
Itni jaldi kya thi ye sab karne ki khair ab faisla kar hi chuke ho toh allah khush rakhe Arab ko, hum zarur ayenge.
(Sardaar Arab ko gale se lagate hai mubarak ho hone wale sardaar)
Lagta hai tumhari zindagi k Sare aham faisle abhi hi hone wale hai.

Arab,
Shukriya sardaar.
Mai bahot khush ho k ap log ane k liye maan gaye.

Sardaar,
Ha ana tob hai hi.

Arab k abba,
Acha toh ab hum chalte hai, apka intezaar rahega.

Sardaar,
Hmm.
(Arab log k jate hi wazir kehta hai)

Wazir,
Ap ne ha q ki sardaar ye Arab sardaar banne m qabil hi nahi hai isse ishq se fursat mile toh ye hukumat karega na.

Sardaar,
Usse hukumat karni bhi nahi hai, hukumat humari hi hogi wo sirf naam ka sardaar hoga bas char din or phir usse apne kabi me kar k usse apna gulam bana longa.

Wazir,
Ji ap ne socha hai toh sahi hi hoga.

Yaha ariha k ghar wale or sana bhi unke sath hoti hai shoping kar rahe hote hai sab bahot khush hote hai.
Sham ho jati hai ariha ki dadi ammi Arab k bari ka saman tayar kar rahe hote hai unhe kal bari le kar jana hota hai, sab kuch bahot hi acha hota hai.

Yaha farah ko ye sab dekh kar bahot gussa ata hai, uska maan karta hai k wo ariha ko jaan se maar de par uska bas nahi chalta, wo apne room me jati hai or asad ko ek unknown no se call karti hai, or usse batati hai k Arab or ariha ki engagement me hone wali hai Monday ko asad ko uski baat par yakeen nahi hota wo usse pochta hai k wo kon hai farah koi jawab nahi deti or call disconnect kar deti hai.

Next day Asad ariha k ghar jata hai uske ghar ko sajaya ja raha hota hai sab kam me magan hote hai Asad ghar me jata hai ariha k abba usse baitha te hai batein karne lagte hai.

Asad,
Wo mai pass hotel me meeting k liye aya tha, socha ap se mil lo but yaha toh bahot Tayyariya  ho rahi hai jaise kisi ki shadi hi.

Ariha k abba,
Ha beta ariha ki engagement hai kal bas ussi ki tayari ho rahi hai.

Asad,
Ariha ki
Acha apne mujhe bataya nahi uncle, koi baat nahi agar mere layek koi kaam ho toh zarur batana. Waise apne ab tak mujhe invite nahi kiya.

Ariha k abba,
Wo wo mai bas abhi cards le kar ja hi raha tha sabko invite karne k liye.

Asad,
Ohh acha, toh ap mera card mujhe hi de de is tarah apka ek kaam kam ho jaye ga.

Ariha k abba,
Hmm thik hai, (wo ek card par Asad k naam likh k usse de dete hai)

Asad,
Ok uncle mai chalta ho ab waise bhi apko bahot kam hai. Or mai zarur aaonga kal engagement me.

Ariha k abba,
Thik hai beta.

Asad card me ariha Or Arab ka naam dekh kar bahot gusse me a jata hai wo card ko car me phek deta hai. Or khud bhi baith jata hai.

Asad,
Yani wo ladki sach keh rahi thi, ariha yaar q kar rahi ho tum ye sab meri haad azmana chahti ho, ok Lets began ab mai is Arab ko iski aukat dekhata ho.
Wo apne ghar par kisi ko kuch nahi batata bas khud engagement me jane k liye ready hota hai.

Yaha Arab ka ghar bahot hi khubsurati se sajaya jata hai itna khubsurat k kisi ne bhi aj tak aisa ghar na dekha ho. Jis tarah asaman me unginat taro k beech me chand hota hai issi tarah pore shahar me Arab ka ghar nazar ata hai.

Jis tarah ghar ko sajaya jata hai ussi sab bahot khush hote hai siwaye farah Or uske abba k.

Next day (engagement day)
Sare log bahot khush hote hai sare log tayariyu me lage hote hai arab k ghar me bhi sab kaam me lage hote hai. Sham hoti hai ariha ki family bhi a chuki hoti hai ariha ko ek room me baitha diya jata hai. Wo bahot hi khubsurat lag rahi hoti hai.

Ariha ne golden colour ka gaon pahna hota hai, usme jade hoye heere asli hote hai or jo kadhai ki gayi hoti hai wo sone ki hoti hai uske kapde chamak rahe hote hai or wo inme bahad khubsurat lag rahi hoti hai, itni pyari lag rahi hoti hai k arab usse dekh le toh haste haste apna sab kuch qurban kar de apni jaan bhi.

Yaha arab bhi apne room ready hora hota hai usne black colour ka suit pahna hota jis par halki halki design bani hoyi hai golden colour ki wo bhi sone se hi bani hoti hai. Wo bahot handsome or pyara lag raha hota hai uski ankho me ek alag hi chamak hoti hai or uski khushiyon ne uske chahre par alag hi ronak laga di hai.

Sufiyan,
Kya baat hai aj mera bhai bahot handsome lag raha hai.

Arab,
Thanks
Par toh bhi kuch kaam nahi lag raha, akhir bhai kiska hai.

Sufiyan,
Acha (wo hans k kehta hai)
Are Sare mahman a gaye hai, ariha ki family bhi a gayi hai toh kab chale ga jaldi chal.

Arab,
Ha chal.
Arab or sufiyan dono sath me niche ate hai Sare log Arab ko dekhne lagte hai. Arab sabse milta hai.
Ariha k khandan wale itna sab kuch dekh kar jealous hote hai k akhir itne bade ghar ka rishta inhe kaise mil gaya.
Sab a chuke hote hai, Arab k abba sardaar k ane ka intezar kar rahe hote hai k jaise hi wo aye rasam shori ki jaye.
Farah bhi ready ho kar ati hai, wo bhi bahot pyari lag rahi hoti hai usne black colour gaon pahna hota hai sufiyan usse dekhta hai uske chahre par smile a jati hai Arab sufiyan ko dekhta rahta hai or farah ki nazar Arab par hoti hai.

Arab,
Kya hoa bhai bahot achi lag rahi hai na.

Sufiyan,
Ha bahot.
(Wo bekhali me kehta hai)

Arab,
Sufiyan agar toh kahe toh mai farah se baat karo.

Sufiyan,
Kis bare me.

Arab,
Toh janta hai kis bare me.

Sufiyan,
Toh ye sab chod or apni engagement par dhiyan de, an bahot khas din hai tere liye.
Sab a gaye hai sardaar nahi aye ab tak.

Arab,
Sufiyan mujhe na ye tajposhi ka kuch samajh nahi a raha hai.

Sufiyan,
Kya matlab,
Kya kehna chahta hai toh.

Arab,
Mera matlab hai k
Tabhi waha farah a jati hai .

Farah,
Kya baay hai bahot ache lag rahe ho congratulations Arab.

Arab,
Thanks.
Waise tum bhi bahot achi lag rahi ho Q sufiyan.

Sufiyan,
Ha, bahot pyari lag rahi ho.

Farah,
Thanks.
Finally tumhari dili khawahish pori ho rahi hai, bahot khush hoge na tum.

Arab,
Ha bahot.
Tabhi arab asad ko ate hoye dekhta hai.
Isse kisne bulaya yaha.

Farah or sufiyan palat kar dekhte hai.

Farah,
Pata nahi shayed khalu ne invite kiya ho.

Tabhi asad waha a jata hai farah waha se chali jati hai par asad usse dekh chuka hota hai.

Asad,
(Ye toh wahi ladki hai jo mujhe us din mili thi. Ye yaha kya kar rahi hai. )

Arab,
Yaha kya kar rahe ho tum.

Asad,
Chill bro, aj engagement hai na teri enjoy kar jayada gussa mat kar bp high ho jayega. Or yaha mai ladki walo ki taraf se aya ho.

Arab,
Oh acha, zara bhi sharam nahi hai na tujh me itna zaleel kiya tujhe ariha ne phir bhi toh kutte ki tarah uske piche pada hai.

Asad,
Sharam wo kis liye pyar karta ho mai usse ,jab tak usse apna na bana lo kushish karta rahonga.
Par mai ye sab tujhe q bata raha ho. Ariha kaha hai nazar nahi a ri waise bina dekhe bhi keh sakta ho aj toh wo kayamat dane wali lag rahi hogi.

Arab,
Teri
( wo gusse se age badhta hai asad ki gireban pakadne k liye tabhi sufiyan usse rok deta hai)

Sufiyan,
Chod isse Arab Sare mahman hai idher  koi tamasha mat kar ye toh chahta hi hai k koi tamasha ho or engagement kharab ho.

Asad,
Wah bahot intelligent hai yaar tu, yehi chahta ho mai, or ek baat bata do engagement bhale hi ho jaye mai shadi kisi bhi keemat par nahi hone donga.

Ye keh kar asad Arab k pass se ariha k abba k pass chala jata hai.

Arab,
Kya zarurat thi uncle ko isse bulane ki.

Sufiyan,
Chod na.

Tu chal sab tujh se milna chahte hai.

Yaha asad farah k pass ata hai.

Asad,
Ap wahi hai na jo us din mujhe se mili thi. Us din mai apka naam pochna bhool gaya tha and ap yaha kaise.

Farah,
Ji mera naam Farah hai, and mai ariha ki cousin ho isliye yaha par ho but ap yaha kaise?

Asad,
Ji mai ariha ka friend ho.

Farah,
Acha Good.
Issi bahane hum bhi dost ban jayenge.

Asad,
Ji q nahi.
Tabhi sardaar ate hai or Arab ki family unka istakbaal karte hai.

Unke ane k baad sana ariha ko le kar ati hai rasam shuru hoti hai Arab or ariha ring exchange karte hai.

Arab muskurata hai or ariha ko dekhta rahta hai.

Ariha,
Aise q dekh rahe ho.

Arab,
Bahot pyari lag rahi ho.
Or mai is waqt sirf tumhe hi dekhna chahta . Ek pal bhi kisi or par waist nahi karna chahta.

Ariha,
(Smile karti hai)
Acha waise tum bhi bahot ache lag rahe ho (ariha apni aankho se kajal le kar Arab k kaan k piche lagati hai) kisi ki nazar na lage.

Arab,
(Hasta hai)
Ye kya tha.

Ariha,
Aisa hum log karte hai, meri dadi toh mujhe hamesha hi karti hai.
Isse nazar nahi lagti.

Arab,
Ohh acha phir toh tumhe bhi lagana chahiye kajal.
(Wo ariha ki aankh se thoda sa kajal le kar ariha k kaan k piche lagata hai.
Farah or asad ye sab dekh k jalous hote hai.
Sab log unhe gift dete hai sardaar bhi unse mil kar gift dete hai or dua de kar chale jate hai. Sardaar jane lagte hai toh arab bhi baki family mumber k sath unhe chodne k liye jata hai tabhi asad ariha k pass jata hai.






Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top