JIN KA PYAR (PART 53)

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Ariha or dadi kafi der tak raat me batain karti hai phir so jati hai subah ko dadi fajar ki namaz k liye uthti hai or ariha ko bhi uthati hai dono sath me fajar ki namaz padhti hai, uske baad ariha dadi ko college k liye uthane ka keh kar so jati hai dadi ariha k sone k baad Living room me ati hai abba of ammi pahle se hi baithe chai pi rahe hote hai dadi ko dekh kar ammi unke liye chai lane chali jati hai, wo chai le kar ati hai phir dono ko ariha ka faisla batati hai sab bahot khush hote hai.

Ariha k abba,
Mai toh bahot khush ho mujhe bhi Arab bahot acha lagta hai, mai subha hi Arab k abba ko call kar k ha keh deta ho or Bahot si tayariya bhi karni hai.

Ammi,
Ha sahi keh rahe hai ap do din me itni sari taiyari kaise hogi.

Abba,
Ho jayegi tum log fikar mat karo.
Jao meetha le kar ao mai apni beti ka khud muh meetha karaonga.

Dadi,
Ha ha q nahi.

Ammi meethai le kar ati hai, meethai le kar abba ariha k kamre me jate hai ariha so rahi hoti hai abba ariha k sar par mohabbat se hath pherte hai ariha ki ankh khol jati hai, wo uth kar baith jati hai.

Ariha,
Abba ap, k kuch kaam tha

Abba,
Nahi nahi ye lo pahle ye meethai khao, (ariha meethai khati hai wo samajh jati hai k ye meethai kis liye hai)
Mai bahot khush ho k Arab jaisa acha ladka tumhe mila hai.
Chalo utho fresh ho jao or nashta karne k baad humne shopping par bhi jana hai.

Ariha,
Ji abba,
(Wo muskura kar kehti hai)

Abba,
Khush raho
(wo ariha k mathe par hath rakh kar kehte hai or chale jate hai)

Ariha jaldi se uthti hai or ready hone lagti hai or ammi ne is khushi k muke par ariha k Sare favorite nashta banaya hota hai.

Yaha Arab pori raat jagta hai subha k intezaar me k jaldi se usse jawab mile. Uska maan karta hai k wo ariha k ghar ja kar sab jan le par wo is intezar or khushi ka maza lena chahta tha is liye usne apni kisi bhi power ka istemal nahi kiya bas intezar kiya.

Subah ko kareeb 11baje jab Arab ki family loan me baith kar chai pi rahi hoti hai tabhi ariha k abba ki call ati hai.

Ariha k abba,
Assalamualaikum.
Raza sahab.

Arab k abba,
Walekumsalam.
Ap hi ki call ka intezar kar rahe the hum sab. Toh apne soch liye ariha or Arab k rishte k bare me.

Ariha k abba,
Ji ji maine yehi batane k liye call kiya tha. K humari taraf se ha hai.

Arab k abba,
Ohh that's nice bahot bahot mubarak ho apko , hum thodi der me apke ghar par ate hai.

Ariha k abba,
Ji zarur aye.

Arab k abba,
Or ap kisi bhi cheez ki koi tension mat lijiye ga humne sara intezam kar liya hai. Ring ceremony humare ghar par hi hogi.

Ariha k abba,
Ji ap a jaye ghar par phir baki ki batain bhi kar lenge.
Acha mai rakhta ho Allah hafiz.

Arab,
Maan gaye na wo
(wo haste haste kehta hai apne abba k hatho ko apne hatho me le kar chumta hai)
Apka bahot bahot shukriya abba ap nahi jante k apne mujhe kitni badi khushi di.

Arab k abba,
(Arab ko gale se lagate hai)
Hamesha khush raho.

Door baithe sufiyan farah or ammi ye nazarandaaj dekh rahe hote hai.

Farah,
Ye sab kya ho raha hai khala, ye Arab or khalu itna emotional q ho rahe hai.

Ammi,
Lagta hai ariha k ghar walo ne rishte k liye ha kar di.

Farah ko jaise 440 volt ka shock lagta hai wo palat kar khala k taraf dekhti hai.

Farah,
Kya matlab?

Ammi,
Matlab ye beta k arab Or ariha ki shadi ka rishta tai ho gaya.
Ariha ki family ne ha kar di hai. Ab parso engagement hai dono ki.

Sufiyan,
Ye toh bahot khushi ki baat hai, nai farah.

Farah,
Ha sach me bahot khushi ki baat hai.
Tabhi arab Or uske abba waha a jate hai.

Arab,
Ammi

Ammi,
Ha mujhe pata chal gaya tumhare chahre par khushi dekh kar koi bhi jaan jayega tumhari khushi ki wajah.

Sufiyan arab se gale lagta hai.
Sufiyan,
Congratulations mere bhai.

Arab,
Thanks

Farah,
Congratulations Arab

Arab,
Thank you.
Acha mai do min me ata ho.

Farah,
Ariha ko call karne ja rahe ho na.

Arab,
(Rok kar Farah ko dekhta)
Nai wo ek kaam hai.

Arab k abba,
Apne sab kuch ready rakha hai ja bas thodi der me hume ariha k ghar jana hai bari le kar.

Ammi,
Ji sab kuch ready hai ap fikar mat kijiye.

Arab k abba,
Chalo acha hai maine cards magwaye hai ate hi honge, select kar lete hai phir ariha k ghar chalte hai.
Sufiyan tum Farah Or Arab apne liye jo bhi lena hai le lo par ha Arab k har cheez best se best honi chahiye.

Sufiyan,
Ji chacha.

Tabhi cards wala a jata hai usme me ek bahot hi khubsurat card Arab k abba select karte hai jis par Arab Or ariha ka naam sone se likhne ka kehte hai. Or usse sham tak Sare cards print kar k dene ko kehte hai. Or phir bari le kar jane lagte hai tabhi Farah kehti hai khala mai bhi chalo ap k sath or wo bhi bari le kar ariha k ghar jate hai Arab k sath sufiyan hota hai.

Yaha asad Or nasir office k liye ready ho kar office jate hai asad k dimag me kal wali baat ghumti rahti hai or wo ye bhi sochta rahta hai k akhir kis tarah wo ariha ko apna banaye.
Nasir,
Bhai everything is fine?

Asad,
H hha, tum aise q poch rahe ho.

Nasir,
Ap kal se kuch tension me lag rahe ho isliye thodi thodi der par ap kho jate ho isliye poch raha ho agar koi baat hai toh u can share with me.

Asad,
Nahi koi baat nahi hai.

Nasir,
Hmm thik hai lekin mai apse kuch kehna chahta ho.

Asad,
Bolo.

Nasir,
Dekhiye bhai agar ap ariha ki wajah se khud ko depress kar rahe hai toh pls chod de ab ye sab jab wo apse shadi karna hi nahi chahti toh kya faida hai uske piche padne ka.

Asad,
Kya matlab tumhara mai uske piche pada ho.

Nasir,
Ji ap khud ko bhi pareshan kar rahe hai or ammi ko bhi, acha yehi hoga k ap khala ki beti se shadi kar le or age badhe, koi salo ki jaan pahchan ya mohabbat nahi hai apki ariha jo ap itna over react kar rahe hai.

Asad,
Shut up, tum car chalao or ye matter mujh par chod do beech me bolne ki koi zarurat nahi hai.

Nasir,
Cool nahi bolonga lekin ye baat yaad rakhiye ga zabardasti ap kisi ko khud se pyar nahi karwa sakte or na hi kisi ko apni taqdeer me likh sakte ho.
(Ye keh kar Nasir car drive karne lagta hai) dono office pohanch jate hai toh Nasir Asad se baat kiye bina apne caben me chala jata hai, Asad usse dekhta hai phir wo bhi apne caben me chala jata hai.

Asad,
Akhir kal jo bhi hoa wo akhir tha kya Arab ne aisa q kiya mujhe darane k liye ya koi or maqsad tha uska. Khair wo mera kuch nahi bigad sakta mujhe pata hai usse kaise handle karna hai.

Arab k ghar par,
Arab terrace par ata hai or ariha ko call karta hai, ariha shoping par jane k liye ready ho rahi hoti hai Arab ki call dekh kar muskurahat uske chahre par khud b khud a jati hai.

Ariha,
Hello

Arab,
Hmm
(Ek lambi saans leta hai)
Mai bahot khush ho itna k tumhe bata bhi nahi sakta, tumhe pata hai kitna intezaar kiya hai in lamho ka ab jab inhe ji raha ho toh ek alag hi khushi mehsoos ho rahi hai.

Aisa lagta hai ki kahi mai pagal na ho jao.

Ariha,
(Ariha Arab ki awaz se mehsoos kar pa rahi thi k wo kitna khus hai waise ariha bhi bahot khush thi)
Are are bas karo kahi tumhari hi nazar na lag jaye humari khushiyon ko.

Arab,
Haha
(wo hasta hai)
Nahi ab kisi ki nazar nahi lage gi in khushiyon ko. Ammi abba a rahe hai tumhare ghar bari le kar, tumhe pata hai tumhare liye kapde maine pasand kiye hai tumhe kaisa laga dekh kar mujhe zarur batana.

Ariha,
Acha ji toh tum sab kuch pahle se hi ready rakha tha tumhe pata tha k ha hi hone wali hai.

Arab,
Nahi ye maine abhi nahi liya ye dress maine tabhi tumhare liye banwa diya tha jab maine college me tumhe dekha tha.

Ariha,
What tum sach keh rahe ho.

Arab,
Ha, acha tum shoping k liye ja rahi ho na?

Ariha,
Ha tumhe kaise pata?

Arab,
Madam mai jin ho, khair mai bhi a jao tumhare sath shoping karne k liye.

Ariha,
Tumhari marzi.

Arab,
Thik hai phir mai ata ho. Dhiyan rakhna apna.
Arab k phone rakhte hi Arab ki family ariha k ghar pohanch jati hai, wo log bahot sara saman le kar aye hote hai.

Dadi,
Aye baitho beta.

Sab log baith jate hai or nokar sara saman ghar me rakhne lagte hai.

Dadi,
Is sab ki kya zarurat thi beta, jitni zarurat thi bas utna hi rasam k liye lata ye sab bahot jayada hai.

Arab ki ammi,
Zarurat thi tabhi toh laye hai dadi jaan, ye sab kuch ariha ka saman hai hum chahte hai k ariha ye pahne magni k din agar ap logo ko itraz na ho toh..

Dadi,
Itraz ki kya baat hai zarur pahane gi.
Acha ap log kuch lejiye na.

Farah idher udhar dekhti rahti hai.

Arab ki ammi,
Ye meri bahan ki beti hai Farah.

Dadi,
Acha bahot pyari hai.

Farah,
Thanks dadi.

Arab k abba,
Acha gaffar bhai ye card ki design hai, ap log dekh le maine order de diye hai agar apko koi tabdili karani ho toh bata dijiye ga. Or cards ate hi mai sufiyan k hatho cards bheja donga apko jinko bulana ho bula lijiye ga.

Ariha k abba,
Card hath me lete hai.
Ye toh bahot khubsurat hai, is me kya hi change kar wana.

Arab k abba,
Hmm thik hai.

Arab ki ammi,
Acha ariha ko toh bulaye apni baho ka moh meetha mai khud karana chahti ho.

Ariha k abba,
Ji ji or wo anam ki taraf ishara karte hai or anam ariha ko le kar ati hai.

(Khushi se ariha or bhi jayada pyari lag rahi joti hai Arab ki ammi ariha ko meetha khilati hai, Farah ko ye sab dekh kar bahot gussa ata hai wo bhi ariha ko meetai khilati hai)

Farah,
Congratulations ariha finally u got what u want.
(Dhere se kehti hai)

Ariha Farah ki baat ka matlab samajh nahi pati isse pahle k wo kuch kehti Farah ja kar ara  ki ammi k pass baith jati hai or ammi ariha ko ander jane k liye kehti hai.
Ariha room me ane k baad.

Ariha,
Ye kehna kya chah rahi thi.

Thodi der baat karne k baad Arab ki family chali jati hai.

Ammi,
Sab kuch toh inhone de diya hai ab kya kharidne k liye jaye market.

Abba,
Are ariha ko le kar jao or ap sab bhi jao agar kuch pasand aye toh le lena ab aisa bhi nahi hoga k meri beti ki magni me mai kuch kharach hi na karo.
Ap log jao or mai bhi jata ho baki k kamo ko dekhne or ha Arab k liye bhi sab kuch le lijiga.

Ammi,
Ji thik hai ap taxi bula dijiye.

Ariha k abba,
Ha ati hi hogi.

Arab k ghar par,
Arab ki family ghar par pohanchti hai,

Arab k abba,
Acha mai sufiyan ko le kar humare jin bhai or bahno ko dawat dene ja raha ho.

Arab,
Nahi abba mai bhi chalonga.

Arab k abba,
Tum q chaloge tum yaha sara intezam dekho mai jaldi hi wapas a jaonga.

Sufiyan,
Ha Arab. Chacha sahi keh rahe hai.

Arab,
Nahi mai sath chal raha ho mai nahi chahta k is baat ko le kar waha koi tamasha ho isliye mera sath chalna hi thik hoga.

Arab k abba,
Thik hai phir chalo.

Arab uske abba or sufiyan teeno jinnat ki duniya me jate hai is baat ko batane k liye or unhe invite karne k liye wo sabse pahle apne family walo ko batate hai phir sardar k pass jate hai.........

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top