Jin Ka Pyar ( Part 52)
Assalamualaikum,
jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh 💖.
Ariha k abba,
Ap pahle kuch lijiye toh sahi, apne kuch liya hi nahi.
Sufiyan chai le kar pine lagta hai or arab k abba bhi chai pine lagte or ammi bhi.
Ji zarur.
Arab,
Acha toh ab hum chal te hai ap k jawab ka intezar karenge.
Ariha k abba,
Ji assalamualaikum.
Sab log chale jate hai ariha ki dadi apne bete ko dekhti hai .
Dadi,
Kya khayal hai tumhara?
Ariha k abba,
Ap pahle jaye dawa le aye phir baat karenge. Apas me bhi or ariha se bhi poch lenge.
Dadi,
Tum dono ariha se baat mat karna mai karongi ariha se baat. Jao ariha ko bulao mai jaldi se dawa le lo is dard se bhi pareshan ho gai ho.
Abba ariha ko awaz dete hai wo jawab me kehti hai k a rahi ho, ready ho kar bahar ati hai usse bahot sharm ati hai wo man me sochti hai koi mujhe se kuch poch q nahi raha.
Ariha k abba,
Ariha beta ye lo paise bahar texi bulayi hai maine dadi ko sambhal kar le kar jana, or dawaye lete ho ana.
Ariha,
Ji Abba .
Abba,
Chalo ammi apko bahar tak chod do.
Ariha or dadi hospital jate hai ariha baar baar apna phone check karti hai par arab ki koi call nahi hoti.
Ariha,
Khud ko samjh ta kya hai, ye sab karne se pahle ek baar mujhe bata toh deta.
Dadi,
Kya hoa ariha kisi k phone ka intezar kar rahi ho.
Ariha,
Nahi dadi (wo hadbada kar kehti hai)
Dadi,
Toh phir ye phone q baar baar check kar rahi ho.
Ariha,
Wo bas aise hi dadi.
Yaha arab apne ghar par yaha se waha besabri se tahal raha hota hai wo sab ka wait kar raha hota hai. Tabhi waha farah ati hai.
Arab,
Oh ab ye apne sawal jawab start kar degi.
Farah,
Are tum aj college nahi gaye or khala khalu bhi nazar nahi a rahe.
Arab,
Ha wo ammi abbu bahar gaye hai kaam se or maan nahi tha isliye college nahi gaya.
Waise tum kaha ja rahi ho.
Farah,
Abba ammi se milne ja rahi ho wo abba milna chahte the isliye bulaye hai mujhe.
Arab,
Acha, good jao jaldi a jana raat ko sath khana khayenge.
Farah ,
Ha thik hai, acha ab mai jati ho.
Arab,
Ha, dhiyan rakhna.
Farah k jate hi Arab k ammi or abbu sufiyan a jate hai
Arab,
Ammi kya hoa maan gaye na ariha k parents rishte k liye.
Ammi,
Nahi abhi unhone ne time manga hai sochne k liye, phir jawab denge.
Arab apne abba ki taraf dekhta hai, uske abba apne room me chale jate hai, Arab ki ammi Arab k sir par hath rakhti hai or kehti hai, tension mat lo wo bas thoda naraz hai jaldi hi thik ho jayenge tum fikar mat karo.
Sufiyan,
Ha bhai ab toh tu tayari kar magni ki, q k waha se jawab ha hi ane wala hai, toh tujhe tension lene ki koi zarurat toh nahi hai.
Arab,
Ha u right bas ab mere intezar k din khatam hone wale hai samjhu.
Ammi Arab k chehre par khushi dekh kar kehti hai khush raho or apne room me chali jati hai.
Yaha asad ki ammi ariha k yaha jane k liye mana kar deti hai toh asad ko bahot gussa hai hai. Asad apne hatho me ek lodhe ka kada pahan leta hai, usse lagta hai k ye kada uski hifazat k liye kafi hai jabke aisa nahi hai.
Asad apne office me baitha soch raha hota hai k kya kare tabhi usse awab ati hai asad asad.
Wo chonk kar charo taraf dekhta hai, koi nazar nahi ata par awaz lagatar ati hai.
Asad,
I know ye tum hi ho Arab mujhe pata chal gaya hai k tum ek jin ho or mai tumse darne wala nahi ho toh ye sab bach kani harkate band kar dk or samne a kar kaho kya kehna hai.
Achanak se awaz band ho jat hai asad k mathe par pasine a jate hai, tabhi darwaze par darwaza kholta hai or nasir ander ata hai, asad zor se chilla kar kehta hai kon kon hai.
Nasir,
Bhai mai ho kya hoa i u all right, ap itna dare hoye q lag rahe hai.
Asad,
Nahi mai kaha dara hoa ho, wo bas thoda tension me ho, tum batao kya kaam hai.
Nasir,
Meeting k liye jana tha hum dono ko is liye apko bulane aya tha.
Asad,
Ha tum chalo mai a raha ho.
Nasir chala jata hai asad thodi der baad ata hai or dono sath me meeting k liye chale jate hai meeting bahar hotel me hoti hai.
Yaha Farah asad ka picha kar rahi hoti hai, invisible ho kar.
Ariha dadi ko dawa dila kar ghar ati hai, wo wait kar rahi hoti hai k koi usse rishte k bare me poche par koi is bare me baat bhi nahi karta.
Wo ghar ati hai toh abba daftar ja chuke hote hai ammi apne kami me masroof hoti hai, or anam or arman usse tang karte hai par phir wo apne room me a jati hai.
Tabhi Arab ki call ati hai, phone par Arab ka naam dekh kar usse haonto par smile a jati hai or wo call recive karti hai.
Ariha,
Hello
Arab,
Kab se tumhare call ki wait kar raha ho par tum ho k call hi nahi kar rahi ho isliye mujhe karna pada.
Acha ye batao kaisa laga mera surprise.
Ariha,
(Soch me pad jati hai or thoda rok kar kehti hai)
Acha hai.
Arab,
Kya hoa tum khush nahi ho .
Ariha,
Nahi aisa nahi hai mai khush ho par.
Arab,
Par kya bolo ariha.
Ariha,
Ye sab kuch jaldi nahi ho raha
I mean maine ye sab itna jaldi hoga nahi socha tha.
Mere or bhi sapne hai jinhe mai pora karna chahti ho.
Arab,
Mai tumhare kisi bhi sapne k bich nahi aonga ariha balke mai toh khud tumhara sath donga tumhe tumhari manzil tak pohchane me.
Or baat rahi jaldi ki toh mai bas engagement karna chahta ho shadi tab hi hogi jab tum kahogi.
Ariha,
Sach
Arab,
Ha mai jane se pahle sabko bata dena chahta ho k tum meri ho.
Tumhe kabhi bhi shadi k liye force nahi karonga.
Mai toh tumhara zindagi bhar bhi wait kar sakta ho, par hai tum sach me hi mat zindagi bhar wait karaane lagna.
(Wo hans kar kehta hai)
Ariha,
Waise intezar toh lamba hi hota hai but fikar mat kar mai itna lamba wait nahi karwaongi.
(Wo muskurati hai Arab bhi muskurata hai)
Arab,
Acha tumhe dekhne ka maan kar raha hai a jao tumhare pass.
Ariha,
Abhi nahi sab log ghar par hi hai kisi ne dekh liya toh.
Arab,
Acha ye batao uncle unti jawab kab tak denge mujhse wait karna mushkil ho raha hai.
Ariha,
Pata nahi abhi ammi abbu ne mujhse koi baat nahi ki hai.
Arab,
Koi baat nahi abhi toh time hai poch lenge tum na mat keh dena.
Ariha,
Shut up.
Tabhi ariha ko uski ammi ki awaz ati hai wo usse bola rahi hoti hai.
Acha ammi bula rahi hai mai baad me call karti ho.
Arab,
Ok allah hafiz
Arab phone rakhta hai or sufiyan k pass jata hai. Or usse apni khushi share karne lagta hai.
Yaha sardar or unke sathi sara intezam kar lete hai k Arab k ate hi usse apne kabo me kiya jayega phir uski tajposhi hogi.
Farah sara din invisible ho kar asad k sath hi hoti hai, sham ko ariha k abba molvy sahab ko call karte hai or unse milne ka kehte hai.
Molvy sahab,
Ap mere ghar par adhe ghante baad a jaye.
Ariha k abba,
Ji thik hai.
(Phone rakhne k baad wo kehte hai is baar koi pakka ilaj ho jaye meri beti se har bala door ho jaye jaldi se kaam khatam kar deta ho phir nikal ta ho)
Asad or nasir meeting khatam kar k nikal te hai tabhi Farah Asad se takrati hai.
Asad,
Ohh i am sorry maine apko dekha nahi.
Farah,
It's ok,
dekha hota toh tekrate nahi.
Ok wait ap mr Asad hai na aman company k malik.
Asad,
Yes but ap mujhe kaise.
Farah,
Come on itni badi company hai apki koi choti ki dukan toh nahi hai k jise koi nahi janta.
Waise kafi naam suna hai apka.
Asad,
Thanks.
Farah,
Wlm ok i should leave now.
(Keh kar Farah chali jati hai)
Nasir,
Kon thi bhai ye bada interest dekha rahi thi apme.
Asad,
Shut up chal kafi der ho gai hai. Waise bhi.
Yaha ariha k abba molvy sahab k ghar par ate hai.
Ariha k abba,
Assalamualaikum
Molvy sahab,
Walekum assalam
Acha hoa tum a gaye.
Maine kafi waqt tak padhai ki k pata lage k ariha k upar se un jino ka saya kis tarah se hata sake.
Ariha k abba,
Ji kuch hal nikala.
Molvy,
Ji apke ghar lagatar 3din tak surah buqra ki tilawat karni hogi phir shayed kuch aram ho. Wo jin pori tarah se toh ariha ka picha nahi chodenge. Ha par ye karne se ariha or apke ghar k karib ana unke liye mushkil hoga.
Ariha k abba,
Ha thik hai molvy sahab phir mai apko call kar k bata donga phir ap ghar a kar tilawat shuru kar dijiye ga.
Molvy sahab,
Thik hai.
Ariha k abba chale jate hai. Wo ghar ate hai sab sath bath kar khana khate hai phir abba dadi se kehte hai k unhone ariha se baat ki ya nahi.
Dadi,
Nahi abhi nahi ki raat ko ussi k kamre me sone wali ho tab karongi.
Ariha k abba,
Thik hai. Waise apko ye rishta kaisa laga ammi.
Dadi,
Mujhe toh Arab bahot pasand hai us bacche ne humari kitni madad bhi ki hai or wo ariha ki fikar bhi karta hai, mujhe toh bahot acha lagta hai ye rishta ariha k liye.
Par ariha k faisla hoga.
Abba,
Ji ammi.
Thik hai ab ap jaye aram kare mai bhi thak gaya ho.
Dadi ariha k sath uske kamre me sone ati hai. Ariha dadi k godi me sar rakh kar leti hoti hai.
Dadi,
Ariha beta tumhe Arab kaisa lagta hai, kya tumhe ye rishta pasand hai.
Ariha ka dil zor zor se dhadkane lagta hai wo bahot khus bhi hoti hai par khud ko rok kar rakti hai or uth kar baith jati hai.
Ariha,
Dadi ap sabko jaisa sahi lage mujhe manzoor hoga.
Dadi,
Acha toh iska matlab tum ye rishta nahi pasand tumhare abba ne toh saaf saaf mana kar diya tha phir bhi ek baar tujhe poch lena sahi samjha par thik hai tu toh wahi karegi na jo hum chahenge.
Kal call kar k mana kar dega gaffar.
Ariha,
Nahi nahi mera wo matlab nahi tha dadi mujhe Arab pasand hai.
Wo itna keh kar chup ho jati hai.
Dadi hasne lagti hai.
Dadi,
Mujhe toh pahle se hi pata tha k Tu Arab ko pasand karti hai par ye dekhna chahti thi k Tu kab bataye gi.
Khair tune bataya hi nahi or rishta a gaya.
Ariha,
Nahi dadi mujhe bhi is bare me nahi pata tha. Wo Arab ne mujhe bhi nahi bataya tha achanak hi.
Dadi,
Thik hai mai bahot khush ho k tujhe Arab jaisa ladka mila.
Ab taiyari shuru kar monday ko magni hai.
Dadi or ariha kafi der tak baatein karti hai phir soo ....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top