JIN KA PYAR (PART 51)
Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.
Farah khane ki table par ati hai or teeno sathe me khana khane lagte hai.
Arab,
Mai tum dono ko shukriya kehna chahta ho k tum dono mera sath de rahe ho thank you so much.
Farah,
Iski kya zarurat hai mai toh hamesha tumhara sath dongi.
Arab or sufiyan usse dekhne lagte hai.
Farah,
Mera matlab hai dost ki tarah.
Arab,
Acha
Next day.
Arab apne room me leta hoa apne ammi abbu k bare me soch raha hota hai usse unki bahot yaad a rahi hoti hai.
Farah subha subha hi apne abbu se milne jati hai take unhe sab bata sake or unse koi raye le sake, or sochti hai k waha se a kar asad se milegi.
Sufiyan Arab ko college chalne k liye kehta hai.
Arab,
Tu aj aj mera maan nahi hai mai ammi abbu se milne jaonga, but tu ja college or ariha ka dhiyan rakhna.
Sufiyan,
Thik hai, ho sake toh chacha chachi ko mana lena.
Arab,
Ha
Sufiyan college chala jata hai Arab kafi der tak gumsum baitha hota hai tabhi uske ammi abbu uske samne a jate hai wo unhe dekh kar khush hota hai par kuch kehta nahi q k wo janta hai k wo zarur usko le jane ki hi baat karenge.
Arab ki ammi,
Kaise ho beta?
(Muskura kar kehti hai)
Arab,
Kaisa bhi raho ap logo ko kya fark pad ta hai ap ne toh chod diya hai na mujhe akela.
Arab k abba,
Nahi beta aisa nahi hai, hum tumhe kaise chod sakte hai bhala.
Acha ab chalo juma ko tumhari taj poshi hai sardaar ne alan kar diya hai.
Ye baat sun kar Arab ko ek jadka sa lagta hai k akhir achanak aisa kaise ho gaya koi toh masla zarur hai, wo soch me gum rahta hai.
Arab k abba,
Kaha kho gaye, ab toh sab thik ho gaya na taj poshi hone k baad tum wapas a jana akhir sardaar banne k baad koi tumhari mukhalifukat nahi kar sake ga.
Arab,
Par meri ek wish hai jo mai chahta ho k alla dono meri taj poshi se pahle pori kare.
Arab k abba,
Kya khawahish hai tumhari bolo?
Arab,
Abba mai chahta ho k ap dono ariha k ghar ja kar uska hath mere liye mange or monday ko hi humari magni bhi kara de, mai chahta ho sardaar banne se pahle ya phir u keh le k jane se pahle mai ariha se magni karna chahta ho, or monday ko isliye q k us din ariha ka birthday hai usse surprise dena chahta ho.
Arab k abba,
Kya bakwas kar rahe ho ye wish hai tumhari ya shart.
(Wo gusse se kehte hai)
Arab,
Abba kaisi baat kar rahe hai ap mai kaise koi shart rakh sakta jo ap se pls Abba ammi jo ap dono chahte hai wo toh ho hi raha hai toh meri bhi ye wish pori kar de magni hi karna chahta ho shadi thodi.
Abba,
Nai ( wo or kuch kehne hi wale hote hai ki ammi bol padti hai)
Ammi,
Thik hai hum jayenge kal ariha k ghar par.
Arab k abba unhe dekhne lagte hai or phir thik hai keh kar room me aram karne k liye chale jate hai.
Yaha farah apne abbu se milne ati hai or unhe sari baat batati hai or unse kehti hai k ab mai asad k sath mil ariha ko Arab se alag kar degi.
Farah k abba,.
Beta dekho mujhe ye sab thik nahi lag raha hai tum agar kuch galat karogi toh Arab bhi piche nahi rahne wala wo tumhe nuksan pohcha sakta hai isliye mai chahta ho tum bhool jao usse wo tumse pyar hi nahi karta toh ye sab kar k kya milega tumhe.
Farah,
Kya kaha apne chod do ye sab, usne mera sakoon chin liya hai mujhse dam ghotta hai mera gussa ata hai un dono ko sath dekh kar mujhe.
Or ap puch rahe hai k kya milega mujhe sakoon milega abba mujhe.
(Wo ye sab keh hi rahi hoti hai k iski ammi a jati hai unhone sari baat sun li hoti hai wo ate hi farah ko ek zordar thappad marti hai or uske dono bazu pakad kar gusse se usse zhinzhudti hai)
Farah ki ammi,
Kya kar rahi ho tum ye sab or kya karne ka soch rahi ho pagal toh nahi ho gayi tum.
Farah,
(Apne hatho ko choda kar kehti hai)
Ha ho gai ho mai pagal, pagal kar k rakh diya hai Arab ki mohabbat ne mujhe , pahle uske siwa kuch nazar nahi ata tha or ab usko barbaad karne k siwa kuch nazar nahi ata.
Ye sun kar farah ki ammi ko bahot gussa ata hai wo ek or thappad farah ko marti hai.
Farah ki ammi,
Khabar dar jo tum Arab ya ariha ko koi nuskan pohchane ki koshish bhi ki, toh mai bhool jaongi k tum meri beti ho or sab kuch Arab ko bata dongi. Samjhi tum or ap is sab me iska sath de rahe the yakeen nahi hota mujhe ap dono ki soch itni gatya ho sakti hai.
(Ye keh kar wo waha se chali jati hai, farah unhe jate hoye dekhti hai or phir apne abba ko dekhne lagti hai uski aankho me ansu hote hai, uske abba kuch kehne hi wale hote hai k farah bhi waha se chali jati hai)
Yaha asad ariha k ghar par aya hota hai or uske abba se unki haal chal poch raha hota hai tabhi ariha college se ati hai of usse dekh kar ariha ko bahot gussa ata hai.
Ariha,
Ye yaha kya kar rahe hai
(Wo gusse se kehti hai)
Ye sunte hi asad k sath sath ghar k baki log bhi ariha ko dekhne lagte hai, or sochte hai k ariha is tarah se q baat kar rahe hai.)
Ariha k abba,
Kya hoa beta tumhe tum thik ho na ye kaise baat kar rahi ho mujhe milne aya hai asad.
Ariha,
A a wo thakan ki wajah se keh diya abba mera matlab tha k itni badi hasti humare ghar kaise a gayi ye kafi busy rahte hai phir bhi apse milne ka waqt nikal hi lete hai.
Abba,
Hmm acha tum thak gayi ho na jao rest karo (ariha apne room me chali jati hai)
Asad,
I think ariha ko mera yaha ana acha nahi laga, thik hai uncle mai chalta ho or Mujhe apse ye kehna tha k kal ammi apse milne ayengi.
Abba,
Ammi par q sab thik hai na.
Asad,
Ha thik hai bas aise hi ap ki sehat pochne k liye.
Abba,
Thik hai beta.
Asad waha se chala jata hai.
Ariha ko bahot gussa ata hai k ye itna kuch karne k baad me kis tarah ache banne ka dikhawa kar raha hai.
Yaha Arab se intezar nahi ho raha hota wo toh chahta hai k jaldi se kal ho or ariha k ghar rishta ke kar jaye, yaha sufiyan sana k sath usko ghar chodne aya hota hai sana ki ammi ko hospital le kar jana hota hai is liye wo wahi sana ki help karne k liye rok jata hai or usse ghar ate ate sham ho jati hai, wo ghar k darwaze par pohanch ta hai tabhi farah bhi ati hai.
Sufiyan,
Are tum kaha se a rahi ho.
Farah,
(Farah usse gusse se dekhti hai or ander chali jati hai)
Sufiyan,
Isse kya hoa hai.
Or sufiyan bhi ghar k ander a jata hai pahle wo fresh hota hai, phir usse khane k liye buland ek servant ata hai toh wo kuch der baad khane k liye hai farah bhi ati hai wo dono Arab k ammi or abbu ko dekh kar hairan ho jate hai.
Sufiyan,
Chacha chachi ap kab aye, bataya bhi nahi k ap log a ne wale the.
Arab k abba,
Ha bas Arab ki yaad a rahi thi isliye milne a gaya.
Sufiyan,
Acha kiya apne i am happy.
Farah,
Ha khala mujhe bhi bahot khushi hoyi ap dono ko yaha dekh kar, ab kuch din yahi rahiyega humare sath.
Arab ki ammi,
Ha zarur.
Sab khana kha kar apne apne room me aram karne chale jate hai sufiyan Arab k room me jata hai.
Sufiyan,
Kya baat hai chacha chachi achanak kaise a gaye.
Arab usse sab batata hai.
Sufiyan,
Sach wo maan gaye, i am happy for u tune ariha ko bataya.
Arab,
Nahi usse surprise donga, waise achanak pata chale ga toh uska reaction dekhne me maza ayega.
Acha ha kal tu bhi sath me jana ammi abbu k.
Sufiyan,
Ha thik hai.
Next day,
Ariha fajar ki namaz padhti hai, or study karne lagti hai tabhi uski ammi uske room me ati hai or usse kehti hai k aj wo college na jaye dadi ko le kar hospital jana hai.
Ariha,
Thik hai ammi waise kab jana hai hospital.
Ammi,
3 baje.
Ariha,
Ok
Ariha kuch der study karti hai phir dadi k pass ja kar usse batein karti hai. Usse dadi k pass baith kar hamesha se hi bahot acha lagta hai.
Wo dadi k god me sir rakh kar let jati .
Ariha,
Dadi ap mujhse itna pyar q karti hai.
Dadi,
Q k tum meri poti ho isliye.
Acha aj college nahi jana kya jo aram se leti ho.
Nahi dadi wo apko hospital le Kar jana hai na isliye.
Dadi,
Acha chalo nashta karte hai.
Or sab nashta karne k liye jate hai.
Ariha,
Apna phone check karti hai , samjhta kya hai khud ko kal se ek call bhi nahi ki.
Mai bhi nahi karongi.
Nashta karne k baad sab apne apne kam me lag jate hai, or ariha anam arman sath baith kar masti karne lagte hai unhe dekh kar sabko bahot khushi hoti hai.
Tabhi ariha k abba ka phone bajta hai molvy sahab ki call hoti hai.
Ariha k abba,
Assalamualaikum kaise hai ap molvy sahab.
Molvy,
Ha mujhe ap se kuch zaruri baat karni hai ap mil sakte hai mujhe.
Ariha k abba,
Ha kab milne ao.
Molvy,
Dekhiye aj toh mai bahar ja raha ho kaam se ap kal sham ko asar k baad a jaye.
Ariha k abba,
Thik hai.
Dadi,
Kya hoa kya keh rahe the molvy sahab.
Ariha k abba,
Kuch bataya nahi kal. Milne k liye bulaya hai.
Dadi,
Thik hai.
Bas ab is sab ka koi hal mil jaye toh sab thik ho jaye Allah buri nazar se bachaye meri bachi ko.
Abba,
Ameen.
Tabhi darwaze par dastak hoti hai ye arab ki family hoti hai uski ammi abbu or sufiyan.
Arab k abba,
Kya hum undar a sakte hai.
(Ariha sabko dekh kar hairaan ho jati hai k akhir kya baat ho gai k sab log yaha a gaye hai or wo derti bhi hai k kahi koi gadbad toh nahi)
Ariha k abba
Ji ji ayiye baithiye na.
(Ariha ki family bhi hairan rahti hai k akhir arab k ghar wale q aye hai).
Begam ap jaye chai nashte ka intejam karo.
Arab k abba,
Dekhiye mujhe seedhi baat karne ka adat hai, isliye mai apse saaf saaf kehta ho mere bete Arab ko apki beti ariha bahot pasand hai hum apne bete ka rishta le kar aye hai apki beti k liye.
Or hume bhi ariha bahot pasand hai.
Ab bas ap bataye k apko Arab or ye rishta qubool hai ki nahi.
Sab log ariha ko dekhne lagte hai. Tabhi dadi kehti hai bacho ander jao tum sab. Teeno room me chale jate hai room me jane k baad arman or aman ariha ko bahot chedte hai.
Ariha k abba,
Ap pahle kuch lijiye tob sahi. ...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top