JIN KA PYAR (PART 47)

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.

Arab Apne ammi or abbu ko dekh kar bahot khush hota hai par usse hairani bhi hoti hai k akhir uske abba itne jaldi kaise maan gaye .

Arab,
Ap log yaha mujhe maloom tha ap log ayenge par itne jaldi ye nahi janta tha.

Arab k abba,
Ha ana toh tha hi, tum bete ho humare or humara farz hai k tumhe sahi rasta dikhaye.

Arab,
Sahi rasta kya matlab hai apka?

Arab k abba,
Dekho arab hum tumhare dushman nahi hai , or na hum ye chahte hai k tum ariha se door raho par jo mai keh raha ho wo bhi toh zaruri hai.

Arab,
Ap kya kehna chahte hai ye saaf saaf saaf ke he.

Arab k abba,
Hmm tum ariha ko chod nahi sakte na, toh usse apne sath le kar chalo usse shadi karlo or usse bhi sath le kar chalo.

Arab muskurata hai.

Arab,
Apko kya lagta hai k ye sab itna asan hai jitna ap ko lag raha hai ya jitna ap keh rahe ho.

Mai usse kahonga or wo mere sath chali jayegi.

Arab k abba,
Toh usse apne kabo kar lo tum, phir toh wo kuch kar hi nahi payegi jaisa tum kahoge wohi karegi.

Arab,
Agar mujhe aisa hi karna hota toh mai bahot pahle kar chuka hota.
Mai usse pyar karta ho or uski aankho me bhi apne liye pyar dekhna chahta ho.

Arab k abba,
Toh ab toh wo tumse pyar karti hai na. Phir kya problem hai.

Arab,
Ap log samjh q nahi rahe hai, mai usse force nahi karna chahta kuch bhi karne k liye wo abhi shadi k liye ready nahi hai or na hi mai usse un sab k beech me le kar jaonga.

Arab k abba,
(Unhe bahot gussa ata hai wo khade ho jate hai or kehte hai)
Tum humare sath chalo mai jald se jald tumhe sardar bana donga phir tum wapas ariha k pass a jana.

Arab,
Mai nahi chal sakta ap k sath, ha par mai ata rahonga, ek baar mujhe yakeen ho jaye k ariha safe hai, toh mai waha a jaonga or ap ki khawahish bhi pori kar donga.

Arab k abba,
Ariha ariha ariha kya pagal pan hai Arab tum ek power full jin ho ab sardaar banne wale ho tumhare liye koi mushkil nahi hai usko hasil karna, chodo usse or us par dhiyan do jo tumara intezar kar raha hai.

Arab,
(Apni ammi ko dekhta hai)
Ap nahi kehengi kuch.
Hmm ok mai ap dono ko ek baat bata deta ho mai ariha k liye sab kuch chod sakta ho par ariha ko kisi bhi kimat par nahi chod ne wala.

Arab ki ammi,
Ap Chal ye yaha se hum isse baad me baat karenge jab iska dimag thik ho ga.

Or Arab k ammi or abba waha se gayab ho jate hai, wo jin ki duniya me chale jate hai Arab time dekhta hai raat k 11 baj rahe hote hai.
Wo apne sar par hath rakhta hai or afsos karne lagta hai..
Kya karo mai yaar kuch samjh nahi a raha hai.
Wo phone me ariha ki pic dekhta hai, dekho tumhare ek tumhare kareeb ane k liye sabse kitna door jana pad raha hai mujhe, but mai jaldi hi sab thik kar donga. Or wo muskurane lagta hai.

Next day,
Ariha k sari me dard hota isliye wo college nahi jati wo ghar par kafi der tak soti hai yaha college me sana or arab ariha k wait karte hai par wo nahi ati toh arab usse call karta hai tab tak adhi class khatam ho chuki hoti hai.

Arab,
Kaha ho yaar ariha tum mai kabse tumhara wait kar raha ho.

Ariha,
Wo actually meri thodi tabiyat thik nahi hai isliye nhi a payi.

Arab,
( Arab khabra jata hai)
Kya hoa hai tumhe?

Ariha,

Kuch nahi bas thoda sar me dard hai, isliye college nahi ayi, acha mai thodi der baad baat karti ho tumse.

Arab,
Acha, ye toh bata do k ab kaisi ho tum?

Ariha,
Thik ho ab.

Arab,
Ok thik hai, thodi der baad mujhe call karna . Mai wait karonga.

Ariha,
Ha thik hai bye.

Ariha call rakhti hi hai asad ki call a jati hai . Ariha call receive karti hai.

Ariha,
Assalamualaikum.

Asad,
Walekumsalam, apko yaad hai k ap aj mujhse milne wali thi toh maine bas isliye call ki thi k hum kab mil sakte hai.

Ariha,
Ohh sorry mai bhool gayi thi, hmm hum sham ko milte hai dream cafe me 5 baje.

Asad,
Ok.
(Asad call kat kar deta hai)

Ariha  fresh hone chali jati hai.

Yaha sufiyan apne room me baitha khayalo me khoya hoa hota hai tabhi uski ammi ati hai.

Sufiyan ki ammi,
Kaha khoye ho beta.

Sufiyan,
Are ammi ap kahi nahi bas wo arab k bare me soch raha tha, k ja kar ariha Or sana se ek baar mil kar a jao isse mere bhai ko himmat bhi mil jayegi.

Sufiyan ki ammi,
Acha, ye toh thik hai arab apni shadi ki koshish me laga hai tum bhi uski madad kar rahe ho.
Ye batao tumne apne bare me kya socha hai.

Sufiyan,
Kya matlab?

Ammi,
Matlab ye k tum kisi ko pasand karte ho ya mai apni pasand ki ladki se hi tumhari shadi karwa do

Sufiyan,
Kya ammi ap bhi abhi shadi ka Maine kuch socha bhi nahi hai.

Ammi,
Toh sochna zaruri thodi hai, tum ha kaho toh mai ladki pasand karna shuru kar do.

Sufiyan,
Acha, thik hai ap ladki pasand karye par shadi mai ye sare masle hal hone k baad hi karonga.

Ammi,
Konse masle?

Sufiyan,
Jo arab ki zindagi me chal rahe hai.

Ammi,
Acha thik hai mai toh issi baat se khush ho k mera beta maan gaya.
(Wo khushi khushi kehti hai sufiyan ka matha chumti hai or chali jati hai sufiyan unhe khush dekh kar bahot khush hota or muskura ta hai)

Sufiyan,
Ammi bhi na aise khush ho rahi hai jaise meri shadi aj hi ho.
(Haste haste sufiyan ki aankh me ansu a jata hai, wo apne hatho se apna anso ko touch karta hai  or usse hairani se dekhta hai)

Ye meri aankho me ansu , wo apne dil par hath rakhta hai or ek lambi saans leta hai. Wo kabhi mujhse pyar nahi karegi aisa ho hi nahi sakta jaisa toh chahta hai. Uski ankho se ansu girne lagte hai.

Yaha farah ko pata chalta hai k arab wapas ariha k pass ja chuka hai , wo gusse se pagal ho rahi hoti hai  .

Farah,
Aakhir aisa kya karo k arab or ariha ki kahani khatam ho jaye or mere dil ko sukoon mil jaye.
(Wo apne sar par dono hath rakhti hai, or gusse se or pareshani se chillane lagti hai )
nahi ab mujhse bardaasht nahi hoga is tarah arab ko khud se door or ariha k kareeb jate hoye nahi dekh sakti  nahi farah u have to do something bas ab ariha ko nahi chodna hai.
Or wo zor se apne hath sheehee par de marti hai, us hath kat jata hai or sheesha toote jata hai.

Sham ko ariha asad se milne k liye nikalti hai wo dream cafe pohanch kar waha asad ka wait karti hai kafi der ho jati hai par asad nahi ata ariha asad ko call karti hai.

Ariha,
Hello mai kab se apka wait kar rahi ho cafe me or ap hai k ab tak yaha aye nahi hai abhi tak.

Asad,
I am so sorry ariha wo mai niklal hi raha tha k ammi ko hospital le kar ana pada, mai yahi hospital me ho ammi ki tabiyat kharab ho gayi thi ap yahi a jaye yaha hospital k pass hi hotel hai ap waha a jaye mai address send kar deta ho.
If u don't mind.

Ariha,
Ohh i am sorry, ok mai a jati ho.

Ariha hotel k cafe me jati hai pora cafe khali hota hai ariha yaha waha dekhti hai par waha koi nahi hota, wo hairan ho kar idhar udhar dekhne lagti hai, tabhi asad ariha k piche a kar khada ho jata hai hello, ariha der jati hai. Or door hatti hai.

Asad,
Kya hoa u r find?

Ariha,
H h ha.
Yaha koi dusra q nahi hai.?

Asad,
Wo isliye k mujhe apse important baat karni hai isliye.

Tabhi darwaza lock hone ki awaz ati hai, ariha chok kar darwaza dekhti hai

Ariha,
Ye ye darwaza q band hogaya, wo darwaze ki taraf badhte hoye kehti hai.

Asad,
Wo isliye k ap mujhse baat kiye baigar ja na sake, acha ye chode ye bataye k ap kya lengi, chai coffe?

Ariha,
Ye kya badtameezi hai, ap darwaza kholne k liye kehiye.

Asad,
Keh donga, par pahle ap mere sawal ka jawab de

Ariha ,
Konsa sawal or kaisa sawal mai apke kisi bhi sawal ka koi bhi jawab nahi dene wali, maine yaha a kar hi galti kar di mujhe ana hi nahi chahiye tha. Ap darwaza kholne ko kahenge ya.
(Ariha apna phone bag se nikal kar arab ko call lagane lagti hai par tabhi Asad uska phone cheen leta hai or screen par dekhta hai)

Asad,
Ohh arab ko call kar rahi thi,
(wo gusse se ariha ko dekhta hai or ariha ka phone zor se zameen par phenk deta hai. )
Maine kaha na mere kuch sawal hai inke jawab do or jao, phir ye sab darame karne ki zarurat kya hai jaise maine kuch galat kar diya ho, tum itna over react q kar rahi ho.

Ariha,
Shut up, tum tumhari himat kaise hoyi mera phone todne ki.

Asad,
Hmm(wo hasta hai)
Mujh me kitni himmat hai ye abhi tumhe pata hi kaha hai ariha, but don't worry pata chal jaye ga......



Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top