JIN KA PYAR (PART 45)

Assalamualaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Sham ko sana ariha k ghar par ati hai, or ariha k sath uske room me baith kar batein kar rahi hoti hai ariha usse pochti hai k akhir sana ne kisko ghar par drop kiya tha.

Sana,
Are yaar tere ghar par tujhe hi drop karongi na.
Wait Tu aise q poch rahi hai or tune call par bhi kaha tha k mai tujhe lene nahi ayi Arab aya tha,
Ye sab kya hora hai or Tu kya kehna chahti hai kuch samjha sakti hai q k mujhe kuch bhi samajh nahi a raha hai.

Ariha,
Samjhaongi pahle mujhe samjh lene de uske baad tujhe bhi samjha dongi. (Or ariha sochne lagti hai subha jo kuch bhi hoa tha, koi toh gadbad hai akhir sana k sath kon aya tha, usse dar lagta hai)

Sana,
Acha wo sab thik hai arab kab aya or Tu usse kab mili, or maine sufiyan or arab ko call ki thi but uska no band jara tha.

Ariha,
Wo(ariha kehne hi jati hai k uske phone par asad ki call a jati hai wo call recive karti hai)

Asad,
Assalamualaikum, ariha kaisi hai ap.

Ariha,
Walekumsalam, achi ho .

Asad,
Wo mujhe apse ek zaruri baat karni hai.

Ariha,
Ji boliye mai sun rahi ho.

Asad,
Nahi phone par nahi hum mil sakte hai.

Ariha,
Hmm, abhi toh sham ho gayi hai n kal mai thoda busy ho toh hum parso mil te hai, ok.

Asad,
Parso.

Ariha,
Q koi problem hai.

Asad,
Nahi thik hai. Mai rakhta ho parso milte hai allah hafiz.

Ariha,
Allah hafiz.

Sana,
Kya keh rahe the ye majno, milne k liye.

Ariha,
Ha keh raha tha kuch baat karni hai.

Sana,
Acha aisi konsi baat karne wala hai jo mil kar hi ho sakti hai.

Ariha,
Pata nahi.

Sana,
Hmm 🙄acha. Kal kaha busy hai tu ?

Ariha,
Kahi nahi bas aise hi bol diya, (asal me ariha kal arab se mil kar usse sab pochna chahti hai)

Sana,
Acha koi nahi or dono chai pine lagte hai.

Molvy sahab bhi a jate hai wo living room me baithe hote hai sath me dadi, abba bhi hote hai.

Molvy sahab jab ghar me guste hai tabhi unhe jin ki mojodgi ka ehsas hota hai. Ariha k abba unhe subha jo bhi hoa tha sab batate hai.

Molvy,
Mujhe ariha ka kamra dekhna hai or ariha ko bulao.

Dadi,
Ji arman jao ariha ko bula kar lao.

Aram ariha k room me jata hai or usse kehta hai k usse abba bula rahe hai.

Ariha,
Tum chalo mai a rahi ho.

Sana,
Ok than mai bhi chalti ho kafi time ho gaya hai.
Sana ko darwaze tak chod kar ariha living room me ati hai waha dadi abbu or molvy sahab ko dekh kar wo soch me pad jati hai.

Assalamualaikum
Abbu ap ne mujhe bulaya.

Abba,
Ha beta.

Molvy sahab ek tarah se ariha ko dekhte hai phir usse ek pani se bhara glass kuch padh kar pine k liye dete hai. Ariha thoda pani piti hai or molvy sahab usse rok dete hai or usse wo pani le lete hai. Or ariha ko jane k liye kehte hai.

Ariha k jane k baad molvy sahab us pani ko dekhte hai wo pani pora surkh ho jata hai, molvy sahab chok jate hai.
Ye toh bahot taqat war jin hai itna k hum andaza bhi nahi laga sakte, or sirf ek hi nahi ap ki beti se kafi jin wabasta hai ache bhi or bure bhi in se hum mukabla nahi kar sakte par phir bhi mai kuch soch kar ap se milonga, ha par apni beti se keh dijiye ga k wo taveez ek pal k liye bhi khud se alag na kare jaise hi mujhe koi or hal milta hai mai khud ap ko bata donga.

Dadi,
Par ye sab mamla kya hai?

Molvy,
Ye sab hum abhi nahi jan sakte hai ha par ye pata chala hai k ap ki beti k piche jin log pade hai or wo jin is ghar me bhi a chuke hai mai is par pori tarah tawajah de kar samjh ne ki koshish karonga phir ap ko bhi bata donga mujhe thoda waqt de.

Abba,
Thik hai.

Or molvy sahab chale jate hai dadi or abba ek dusre ko dekhte hai dadi abba ko samjha time hai k tension na le.

Yaha arab apne abba k pass ata hai.

Arab k abba,
Are arab tumhe hosh a gaya.
(Wo muskura kar kehte hai)

Arab,
Mujhe ap se baat karni hai?

Arab k abba,
Ha bolo.

Arab,
Mai wapas ariha k pass jane ka faisla kar chuka ho or mai chahta jo k app or ammi bhi mere sath chale.

Abba,
Oh toh ye baat karni thi tumhe tum jao aram karo hum subha baat karenge is bare me .

Arab,
Nahi mujhe kal nahi abhi baat karni hai, q k mai kal ja raha ho ap mujhe ye bataye k ap mere sath chalenge ya nahi.

Abba,
Maine kaha na tum jao hum subha baat karenge.

Arab,
Or maine bhi kaha apse k mai is bare me koi baat nahi karne aya mai bas apna faisla batane aya ho.

Abba,
Acha tu tum faisla le ne lag gaye ho ab or tumhe ye bhi lagta hai k mai tumhara faisla manoga.

Arab,
Kya matlab apka?

Abba,
Koi matlab nai hai seedhi si baat  hai jab tak tum sardar nahi ban jate na tum yaha se kahi jaoge or na hi hum tumhare sath jayenge , samjhe tum bas jab tum sardar ban jana tab tumhare dil me jo aye wo karna, koi tumhare khilaf khada nahi ho payega lekin tab tak yaha se kahi jane k bare me sochna bhi mat, mai nahi chahta k tum sardar bante bante raha jao.

Arab,
Or ariha Mai pyar karta ho usse, uski jaan ko khatra hai mai usse akela nahi chod sakta.

Abba,
Tumhe kya lagta hai k tum chale jaoge uske pass toh khatra tak jayega balke or bhi badh jayega khatra sabko lage ga k tum ek ladki ki wajah se sabka sath chod rahe ho. Sardar bhi tumhare khilaf ho jayenge.

Arab,
Mujhe koi fark nahi padta is se.

Abba,
Chup karo agar tum sardar nahi bane or iski wajah wo ladki hoye na toh mai usse khud mar donga.

Arab,
(Gusse se kehta hai uska laheja bhi kafi sakht hota hai)
Aisa sochna bhi mat agar kisi ne usse marne k bare me socha bhi na toh mai sab bhool jaonga k samne kon hai.
Or ha mai kal yaha se ja raha ho.
(Arab waha se apne room me chala jata hai)

Abba zor se deewar par hath marte hai, pagal ho gaya hai. Sufiyan bhi Arab k piche jata hai.

Next day ariha college ati hai wo class me baithe baithe us Sare waqiyat k bare me sochti hai jo ab tak usse sath hoye hai .

Ariha,
Akhir wo kon tha jo camp par mujhe marne aya tha, or kal class jo hoa ye sab q akhir koi jin mujhe q marna chahega, ek baat toh tah hai k wo koi jin hai q k Arab ne usse mujhe bachaya tha.
Kaha ho tum Arab mujhe tumse baat karni hai.

Sana,
Ariha ariha kaha khoyi hai.

Ariha,
Kahi nahi bas aisi hi.

Class khatam hone k baad ariha or sana canteen me  baithe hai.

Sana,
Arab or sufiyan nahi aye tune toh kaha tha k kal toh Arab se mili thi.

Ariha,
Ha mili thi pata nahi wo q nahi aya.

Sana,
Acha hum uske ghar chale.

Ariha,
Nahi aise bina bulaye or bina bataye kisi k ghar jana acha nahi lagta.

Sana,
Are yaar kaha in formality k chakkar me pad rahi hai wo dost hai humara.

Ariha,
Ha dost toh hai par

Sana,
Par war kuch nahi hum college k baad uske ghar ja rahe hai.

Or wo log books or bag le kar class me jane k liye khadi hi hoti hai k tabhi unhe Arab unhi ki taraf ata hoa nazar ata hai.

Arab,
Hii kaisi ho tum dono?

Sana or ariha usse achanak college me dekh kar hairan rahti hai.

Arab,
Hello kaha kho gayi tum dono.
(Wo chutki baja kar kehta hai ariha or Sana jaisi hosh me ati hai)

Sana,
Kahi nahi tum kaise ho or bina bataye kaha gayeb ho gaye the.

Arab,
Bina bataye (wo ariha ko dekh kar kahta hai) kahi nahi kuch zaruri kaam tha bas isliye.

Sana,
Acha .

Arab,
Class start hone wali hai i thing we should go.

Ariha,
Ha chalo,
(Sana Arab or ariha se age jane lagti hai class k liye ariha Arab ko rok kar kehti hai)

Ariha,
Mujhe tumse ek zaruri baat karni hai.

Arab,
College k baad kisi ache se restaurant me chal kar karenge batain. Ok ab chalo.

Ariha,
Hmm ok.
Or dono class me jate hai.....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top