JIN KA PYAR (PART 42)

Assalamualaikum
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Farah Arab ki baat sun kar waha se chali jati hai or apne ghar par a jati hai uski abba usse jate hoye dekhte hai unhe uski fikar hone lagti hai k akhir wo itne gusse me yaha se q gayi.

Arab sari baat sufiyan ko batata hai uski khushi ka koi thikana hi nahi hota hai usse aisa lagta hai k iske baad uski or koi khuwaish hi nahi hai. Sufiyan bhi usse dekh kar khush hota hai.

Sufiyan,
Acha toh aram kar mai chalta ho baad me aonga.

Arab,
Ha thik hai.

Sufiyan chala jata hai, Arab apne bad par baitha hota hai.
Arab,
Ammi kaha hai unhe bhi batana hai ye khushi ki khabar wo uth kar apni ammi k room ki taraf jata hai.

Arab,
Ammi ammi meri pyari ammi.
(Wo ja kar apni ammi k kadmo me baith jata hai)

Ammi,
Mashallah
kya baat baat hai jo mera beta aj itna khush hai.

Arab,
Wahi toh batane aya ho, ammi apko pata hai jis pal ka intezar mai itne waqt se kar raha tha wo pal a gay ammi ariha ne keh diya k wo mujhse pyar karti hai.
(Wo zor se kehta hai)

Ammi,
(Wo muskurati hai) dhere kaho kahi kisi ne sun liye toh acha nahi hoga.
Ye toh bahot achi khabar hai. Toh ab kya karna hai Arab.

Arab,
Matlab?

Ammi,
Matlab ab tak toh tum ariha ko mana rahe the usse tumne mana bhi liya par ab yaha k logo ko kaise manao ge or abba ko?

Arab,
(Wo soch me pad jata hai or ek gahri saas leta hai)
Ahhh ammi maine faisla le liya hai mai wapas ja raha ho or mai waha raha kar hi sochonga k kya karna hai.

Or mujhe koi fark nahi padta k ye log mante hai ya nahi bas abba ki baat hai toh mai unhe mana longa.

Ammi,
Acha tumhe ye sab itna asan lag raha hai?

Arab,
Nahi ammi mujhe ye jo ho raha hai kabhi bhi asan nahi laga or mai apni marzi se ariha k pyar me nahi pada ho, or na hi mai apni marzi se usse dor ho sakta ho.
Mujhe aisa lagta hai jaise khuda ne uske sath meri saase jud di hai uske bina khud ka tassavvor bhi mujhe bejaan lagta hai dam gutne lagta hai mera.
Mujhe har haal me wo chahiye.

Ammi,
(Arab ka haal dekh kar kehti hai)
Beta ek baat hamesha yaad rakhna ye jitne bhi makhloq hai na is duniya me insan, jin or bhi allah har kisi ko azmata hai, har tarah se azmata hai, kabhi le kar toh kabhi de kar.
Phir ye kaise mumkin hai k jis ko behad chaho us par apki azmaish na ho wo apko asani se faraham kar di jaye.
Tumhe himmat rakhni hai, Or sahi rasta par chal kar hi ariha ko apna banana hai.
Abhi toh bas pahla or sabse asan padhao paar kiya hai tumne ab jo mushkilat ayengi uska samna karna mushkil hai toh tumhe khud par or khuda par yakeen rakh kar sab kaam karne hai.

Arab,
Ji ammi.
Ap abba se baat kar le k mujhe jald se jald wapas jana hai.

Ammi,
Ha mai baat karti ho tum fikar mat karo.

Arab,
Thik hai ammi mai jata ho ap aram kare.

Arab room se bahar nikalta hai tabhi uske abba waha ate hai.

Arab,
Assalamualaikum,

Abba,
Walekumsalam.

Or Arab chala jata hai.

Abba,
Room me ate hai, kya baat hai aj maa beta bahot khush lag rahe ho.

Ammi,
Nahi wo bas aise hi mere pass baitha tha, acha shahnawaz bhai chale gaye.

Abba,
Nahi aram kar rahe hai, maine hi kaha sham ka khana sath hi kha kar jaye.

Ammi,
Acha kiya apne.

Yaha ariha bahot khush hoti hai wo khushi se bed par dance karne lagti hai kudne lagti hai, uske chahre par ek alag hi noor Or khushi hoti hai, tabhi uski ammi uski awaz sun kar kehti hai.

Ammi,
Kya hoa ariha thik toh ho na?

Ariha,
Ha ammi wo sana se phone par baat kar rahi ho.
Wo bed par let jati hai or Arab k bare me sochne lagti hai or muskura ti hai uske zhahan me Arab se molakat se le kar mohabbat k izhar tak k Sare waqiat ek sath ate hai kisi film ki tarah wo inhi socho me ghum hoti hai phir kuch der baad uth kar bahar a jati hai or apni dadi k pass baith jati hai.

Dadi,
Kya hoa meri beti thik toh hai na?

Ariha,
Ji dadi ab kafi thik ho mujhe lagta hai ab mujhe dawa ki bhi zarurat nahi hai.

Dadi,
Acha, bahot achi baat hai k tumhe dawa ki zarurat nhi hai par phir bhi ek baar ja kar check up karwa ana ammi k sath.

Ariha,
Ha thik hai dadi chali jaongi, par abhi apki Gud me sar rakh kar letna chahti ho let jao.

Dadi,
(Hasti hai) ye bhi koi pochne wali baat hai. (Ariha dadi ki gud me sar rakh kar let jati hai dadi pyar se ariha k sar par hath phirati hai.

Kya hoa bahot khush lag rahi ho?

Ariha,
(Ghabra jati hai)
Ku kuch toh nahi hoa hai or mai khush kaha lag rahi ho. Mai toh waise hi ho jaise roz rahti ho.

Dadi,
Hmm thik hai.
(Dadi pyar se ariha k sar par hath pherne lagti hai  .

Sham k waqt hall me hi baithe hote tabhi darwaze par dastak hoti hai ariha darwaza kholti hai.

Asad,
Assalamualaikum

Ariha,
Walekumsalam
(Ariha usse hairani se dekhti hai)
Ap is waqt yaha?

Asad,
Ji  wo

Dadi,
Ariha pahle usse ander toh ane do.

Ariha,
Ji dadi .
(Ariha piche hat jati hai or asad ghar k ander a jata hai.

Asad,
Assalamualaikum
Wo mai office se ghar ja raha tha toh socha uncle ka haal pochta chalo.

Dadi,
Acha kiya beta, wo room me hai jao mil lo.

Asad,
Ji or wo ariha k abba se milne unke room me jata hai.

Ariha k abba,
Are beta tum tumne q taklif ki ab mai thik ho.

Asad,
Isme takleef ki kya baat hai uncle bimar ki iyaadat karna toh sawab ka kaam hai, toh dekha jaye toh isme bhi mera hi fayeda hai.

Ariha k abba,
(Haste hai)
ha thik kaha tumne.

Tabhi ariha ki ammi chai le kar ati hai.

Asad,
Are anti iski kya zarurat thi mai bas jane hi wala ho.

Ariha k abba,
Ha beta chai pi lo phir jana toh hai hi.

Asad,
Toh uncle ap kaam kab se join karne wale hai?

Ariha k abba,
Bas next week se join karonga inshallah bahot aram ho gaya ab kaam shuru karna hi hoga.

Asad,
Ji ap sahi keh rahe hai.
Acha uncle ab main chalta ho agar kabhi meri zarurat ho toh bataye ga zarur.

(Asad bahar ata hai or dadi or baki sab se salam kar k jane lagta ariha darwaze par Asad k sath ati hai)

Asad,
Ariha ap gussa hai mujhse?

Ariha,
Nahi q?

Asad,
Wo maine apko call ki apne cut kar n ab mai aya ho toh ap ne mujhse baat bhi nahi ki.
(Ariha ki dadi unhe hi dekh rahi hoti hai)

Ariha,
Are wo tab mai class me thi isliye or abhi kya baat karo samjh nahi aya.

Asad,
Hmm ok
Apki college kaisi chal rahi hai.

Ariha,
Bahot achi.
Ap k bhai ka addimision ho gaya.

Asad,
Ji ho gaya next week se wo join karega, agar usse koi help chahiye ho toh ap kar dijiye ga pls.

Ariha,
Dont warry i help him.

Asad,
Thank you.
Or wo chala jata hai.

Next day ariha jaldi se ready ho jati hai college jane k liye or sana ko call karti hai k wo a kar usse pick kar le kuch der baad sana ariha ko pick karti hai or dono sath college jate hai.

Ariha,
Sorry yaar kal maine tujhse bahot jayada hi buri tarah baat ki.

Sana,
Ohh mam ko samajh a gayi kya baat hai.

Ariha,
Sorry yaar bol toh rahi ho na sorry
(Or wo sana k kandhe par sir rakh kar muskura ti hai)

Sana,
Ha thik hai ☺ par aj kya hoa jo tera mood thik ho gaya.

Ariha,
Kuch nahi bas aise hi.

Sana,
Ohh acha good.

Class k khatam hone k baad Sana Or ariha dono canteen me baithi baat kar rahi hoti hai tabhi waha farah ati hai wo invisible hoti hai wo bahot gusse me hoti hai or ariha ko gusse se dekhti rah ti hai .

Sana,
Yaar pata hai bour ho gai ho sufiyan or Arab ki bhi bahot yaad a rahi hai pata nahi bin bataye kaha gaye hai or uppar se phone bhi band hai dono ka.

Ariha,
Nai ane wale hai bahot jald wo log apne home town gaye hai.

Sana,
What tujhe kaise pata teri baat hoyi hai kis Arab  se baat hoi teri?
Par uska phone band hai.

Ariha,
Nai wo kal uski call ayi thi toh usne bataya.

Sana,
Bas yahi baat ki usse?

Ariha,
Ha bas yahi baat ki or haal chal pocha or ane wale hai wo log yahi bataya.

Sana,
Hmm good.

Tabhi table par se saman zameen par gir jate hai, Sana or ariha dono ek dusre ko dekhne lagti hai.

Sana,
Ye kaise gira?

Ariha,
(Ariha ko bhi kuch samajh nahi ata wo bhi hairan rahti hai)
Pata nahi shayad hawa tez thi isliye.

Tabhi kuch dori par lage lamp light ki light zordar awaz k sath toote jati hai.
Sana or ariha k sath baki baithe student bhi chock kar dekhne lagte hai.

Sana,
What the hell, mai toh dar hi gayi.

Ariha,
It's ok shant chal class me chalte hai start hone wali hai class waise bhi.
(Ariha bhi bahot hairan rahti hai k ye sab kya hai or kahi na kahi usse dar bhi lagta hai)

College khatam hone k baad dono sath me ghar k liye nikal jati hai.
Bike par baith te hi ariha ko yaad ata hai k wo apna phone class me hi bhool gayi hai.

Ariha,
Ahh mera phone class me hi raha gaya hai toh rok mai le kar ati ho.

Sana,
Hmm jaldi lekar a aj toh waise bhi der ho gayi hai.

Ariha,
Bas do min.
(Or ariha class me ati hai class khali hoti hai teacher bhi apne office me hote hai ariha ko class me akela dekh kar farah class ka darwaza band kar deti hai or lights bhi band kar deti hai or waha aisa jadu karti hai k agar ariha awaz bhi de toh uski awaz class se bahar kisi ko na aye.)

Ariha bhag kar darwaze k pass ati hai or usse kholne ki koshish karti hai wo bahot dar jati hai.

Ariha,
K kk koi hai darwaza kholo mujhe dar lag raha hai.
Wo zor zor ka darwaza pitti hai

Yaha farah ariha ka roop le kar bahar ati hai. Sorry yaar der ho gayi . Or wo bike par baith jati hai.

Sana pahle ariha ko ghar par chod tu hai or phir khud apne ghar jati hai farah ghar me ate hi kisi se salam kiye bina ariha k room me chali jati hai or waha se gayab ho kar college a jati hai or ariha ko dekhti hai usse ariha ko takleef me dekh kar bahot khushi hoti hai.

Farah,
Wo toh tumhe cho nahi sakti warna aj ye kahani khatam hi kar deti mai.

Ariha,
Sir mam koi hai pls darwaza kholo
Phone phone wo bhag kar apna phone leti hai or Sana ko call karne k liye usse chalo karti hai par uska phone bhi farah band kar deti hai.

Ohh ye kya musibat hai wo light ko on karne ki koshish karti hai par lights bhi on nahi hoti hai.

Wo bahot dar jati hai, usse shaq hota hai k yaha koi hai tabhi usse Arab yaad ata hai or uski kahi baat bas mujhe yaad kar lena mai a jaonga.

Wo rote rote zameen par baith jati hai, or zor se arab ka naam leti hai jaise wo usse awaz de rahe ho.

Farah ye dekh kar or gusse me a jati hai k wo Arab ko madad k liye bola rahi hai wo gusse se table par pada duster ariha ko de marti hai  ariha ko mathe par daster lagta hai uske mathe se khon bahne lagta hai wo or jayada der jati hai.

Farah waha se chali jati hai yaha Arab baag me tahal raha hota hai tabhi usse ariha ki awaz ati hai usse mehsoos hota hai k ariha kisi mosibat me hai or usse uski zarurat hai wo jaldi se ankhein band karta hai or insano ki duniya me a jata hai or ariha ko mehsoos karne ki koshish karta hai usse dekhai deta hai k wo college ki class me wo jaldi se waha jata hai ariha behosh ho chuki hoti hai.....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top