JIN KA PYAR (PART 38)
Assalamulaikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖.
Arab k jane k baad ariha rone lagti hai, Arab bhi waha se chal jata hai or apne room me a jata hai. Ariha ki ankhein laal ho jati hai wo roti rahti hai aansu uski aankho se zar zar girte rahte hai, usse samajh nahi ata k usse itni takleef kis baat ki mahsoos ho rahi hai, kya mujhe Arab se pyar ho gaya hai nahi nahi aisa nahi ho sakta Mai ek jin se pyar nahi kar sakti , phir ye mujhe itna fark q pad raha hai ye jaan kazm..mr k Arab yaha se ja raha hai or wo ek jin hai.
Yaha Arab apne kamre me ata hai, or ek bot ki tarha gir jata hai uski aankho se se ansu girte hai,uski aankho k samne bas ariha ki tasveer dikhai deti hai ,ariha
Kab tak intezaar karna padega tumhara, ya Allah mujhe sabar ata kar k mai intezaar kar sako wo ye kehta rahta hai or uske aansu behte rahte hai uski ankhein surkh laal ho jati hai.
Arab pori raat jagta hai, namaz padhta hai or namaz me ro ro kar dua karta hai, or yaha ariha ro ro kar so jati hai uski aankh subah 11 baje khulti hai.
Raat ko rone ki wajah se uski ankhein laal hoyi hoti hai, wo fresh ho kar bahar ati hai nashta karti hai, or sabke sath baith jati hai ammi apna kaam kar rahi hoti hai bhai bahan apne kaam me masroof hote hai, or dadi ariha k pass hi baithi hoti hai, dadi ko lagta hai k bukhar ki wajah se ariha k ankhein laal hoyi hai isliye wo kuch kehti nahi hai.
Sab wahi ariha k pass hote hai par phir bhi ariha ko ek khali pan sa lagta hai, wo bas Arab k bare me hi sochti rahti hai, wo chah kar bhi uske bare me sochna band nahi karti, or mujhe usse dar q nahi lag raha.
Dadi,
Kya hoa ariha kya soch rahi ho?
Ariha,
Kuch nahi dadi bas sir me thoda dard hai.
Dadi,
Sir dard kar raha hai, ao mai tumhare sir ki champi kar do. Jao tel le kar a jao.
Ariha,
Nahi , dadi rahne de dawa li hai maine thik ho jayega abhi thodi der me.
Dadi,
Acha thik hai, agar jayada dard hai toh ja kar aram karkar lo.
Ariha,
Ji dadi keh kar ariha apne room me ja kar let jati.
Sham hoti hai or arab apni family k sath apne jin ki duniya me a jati hai , wo log apne ghar me jate hai, ghar itna shandar hota hai k behad.
Wo jitna zameen k upar hota hai utna hi zameen k niche bhi hota hai.
A
rab a kar apne kamre me chala jata hai, Or uske abba apne dosto k pass milne chale jate hai, sufiyan bhi apne ghar chala jata hai or ammi apne room me.
Farah ko ye khabar mil jati hai k arab a gaya hai wo bahot khush hoti hai k ab mai arab ko bebas kar dongi.
Next day ariha k abba apne kaam se lout rahe hote hai, sham ka waqt hota hai tabhi ek car unki bike se takra jati hai, car ko toh kuch nahi hota but ariha k abba ko kafi chot a jati hai or wo behosh ho jate hai.
Tabhi waha asad ata hai or unhe hospital le kar jata hai , asad ariha ko call karta hai uske abbu k no se.
Ariha,
Assalamualaikum, abbu.
Asad,
Walekumsalam, mai asad baat kar raha ho, wo maine ye batane k liye call kiya tha k apke abba ka accident ho gaya hai mai unhe hospital le kar aya ho ap a jaye, address mai apko send kar diya hain.
Ariha ,
Ha bas mai ari ho, (wo ghabra kar kehti hai or jaldi se hospital k liye nikal jati hai sath me uski ammi or bhai me jate hai)
Wo log hospital pohanch jate hai .
Ariha,
(Asad se)
Abba kaha?
Asad,
Waha hai ( wo hath k ishare se kehta hai) ariha bhag kar apne abba k pass jati hai sath uske ammi bhai or Asad bhi hote hai, ariha k abba behosh hote hai ariha abba ka hath pakad kar baith jati hai, tabhi doctor ate hai.
Ariha,
Kya hoa hai abba ko or ab kaise hai,
(Wo rote hoye kehti hai. )
Doctor,
Dekhiye inhe kafi chot ayi hai but humne stich kar diye hai, ab thodi der baad inhe hosh aye ga.
Phir hum inka ek baar phir se check up karege uske baad ap inhe le kar ja sakte hai.
Ap log tension mat lijiye mr asad inhe hospital le aye warna inka khoon jayada beh jata.
Ariha,
thanks doctor.
Or doctor waha se chale jate hai.
Ariha kisi ammi asad se thanks kehti hai.
Raat ko ariha apne abba k paas rook jati hai uski ammi or bhai chale jate hai. Asad bhi ariha k paas khada hota hai.
Ariha,
Thanks apne mere abba ki jaan bachai. Thank you so much . N sorry .
Asad,
Sorry kis liye?
Ariha,
Maine apke sath bahot bura salika kiya hai. Apne mujhe maaf kiya?
Asad,
Apko mujhe se mafi mangne ki koi zarurat nahi hai, but fir bhi ap keh rahi hai isliye maine apko maf kiya.
Ariha,
Thanku so friends (wo apna hath agee badha kar kehti hai)
Asad,
(Hath mila kar kehta hai)
Friends.
Ariha,
Ab ap ko jana chahiye kafi der ho chuki hai.
Asad,
Ha der toh hogayi hai par is tarah apko chod kar jana thik nahi lagra hai.
Ariha,
Nahi ap fikar mat kijiye ap jaeye.
Asad,
But,
Ariha,
No but ap ghar jaye apko bhi aram karna chahiye.
Asad,
Ok
(asad hospital k bahar a kar pori raat car me hi rahta hai or ariha par nazar rakhta hai )
Subha doctor ariha ko dawa lane k liye kehte hai ariha bahar ati hai toh uski nazar asad ki car par padti hai asad usme soya hoa hota hai ariha uski car ka shisha khatkhatati hai, asad uth jata hai or bahar a jata hai.
Ariha,
Ap pori raat yahi car me roke the, q?
Asad,
Apke liye .
Mera matlab hai k isliye k kahi apko koi kaam na pad jaye isliye mai yahi rok gaya tha.
Ariha,
Hmm kya zarurat thi iski .
Asad,
Wo sab chod ye ye bataye k ap subha subha bahar q ayi hai?
Ariha,
Dawa lane ja rahi thi abba ki.
Asad,
Oh acha lao mujhe do mai le kar ata ho.
(Wo ariha k hath se paper le kar kehta hai)
Ariha,
Are, ap acha thik hai or ariha wapas hospital chali jati hai or Asad dawa lene chala jata hai kuch der baad Asad dawa le kar wapas ata hai or doctor se baat karta hai doctor kehte hai k sham ko ariha k abba ko discharge mil jayega. Asad ariha ko bata deta hai.
Yaha arab apne room me hota hai phir kuch der baad wo bahar apne dosto se milne k liye jata hai kafi dino baad wo doston se milta hai isliye unke sath bahot der tak rahta hai raat ho jati hai.
Wapas apne ghar ate waqt farah usse raste me rok deti hai.
Farah,
Ohh tum akhir a gaye pyar ka bhoot utar gaya khair mujhe ab usse koi matlab nahi. Mujhe tumse kuch baat karni thi.
Arab,
Par mujhe nahi karni tumse baat.
Farah,
Dekho arab mai tumse ladne ya tumhe pareshan karne nahi ayi ho, mai tumse mafi mangne ayi ho.
Arab Farah ko hairani se dekhta hai, usse uski baat par kabhi bhi yakeen nahi tha,, so wo aj bhi janta tha k ye natak kar rahi hai.
Farah,
Dekho Arab mujhe samjh a gaya hai k mai galat thi isliye mai tumse mafi mang rahi ho, maaf kardo humari dosti k khatir ab mai kabhi bhi tumhare or ariha k beech me nahi aongi balke mai khud Tumhari shadi ariha k sath karaongi.
Arab,
(Muskurata hai)
Tumhe kya mai pagal nazar ata ho jise tum jo bhi kahogi wo maan jayega. Niklo yaha se.
Farah,
Mujhe pata tha k tum yakeen nahi karoge koi baat nahi mai tumhe apne baat ka yakeen dila kar rahongi.
Or Farah waha se chali jati hai Arab usse jata hoa dekhta hai.
Arab phir apne ghar a jata hai.
Arab k abba Arab ki saal gira k liye jashan ki tayari kar te hai. Juma ko Arab ki saal gira hai wo din is tarah manayenge k Arab ko sari umar yaad rahe samjhe sufiyan.
Sufiyan,
Ji chacha, usse pata bhi nahi chalega Or aisi taiyari karenge k pora shahar dekhe ga.
Sardar,
(Apne wajir se baat karta hai)
Juma ko arab ki saalgira hai us din usse kuch special takate milne wali hai bas ek baar pata chal jaye k usse konsi takatte milne wali hai phir dekho mai kya karta ho
Ariha k abba discharge ho jata hai asad ariha Or uske abba ko ghar chodne jata hai or chod kar wapas ane lagta hai tab ariha usse kehti hai.
Ariha,
Thank you asad.
Ap kal mere sath coffee par chalenge.
Asad,
What,
I mean yes sure.
Ariha,
Ok phir kal milte hai bye.
Asad,
Bye.
Asad khush ho kar waha se chala jata hai. Meri pahli teer toh bilkul sahi nishane par laga hai bas ab age bhi sa waise hi ho jaisa mai chahta ho......
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top