JIN KA PYAR (PART 34)
Assalamualikum,
Jin ka pyar,
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh💖
Toh camp par Sare log nashta kar k historycal place par jane k liye nikalte hai.
Tabhi arab ko ehsas hota hai ki yaha koi or jin bhi hai, wo koi reaction diye bina, apni ankhein band karta hai or dekhta hai toh usse wo jin nazar a jata hai, usse kal jo hoa tha wo bhi is jin ne kiya tha wo bhi nazar ata hai.
Arab ko bahot gussa ata hai, wo koi reaction nahi deta or normally chalta rahta hai.
Wo log jungle me majud ek mahal me ate hai, ye jahapana mahel nahi hota hai dusra hai, Arab ki nazar us jin par hi hoti hai wo jin pora time ariha par nazar rakhta hai, or jab wo log luch kar rahe hote hai toh wo jin kuch waqt k liye waha se chala jata hai.
Wo jin farah k pass ata hai or usse kal hoye hadse k bare me batata hai bahot khush ho kar, par Arab ne usse bacha liya .
Farah usse zor dar thappad marti hai, wo jin zameen par gir jata hai.
Farah,
Tumhari himmat kaise hoyi ye sab karne ki uski jaan lene ka haq sirf mujhe hai. Itna kaha jaye sirf utna hi karna jayada apni akal lagane ki zarurat nhi hai.
Jin
Maaf kar dijiye mujhe.
Farah,
Jao yaha se kahi mai apna sara gussa tum par hi na nikal do.
Or wo Jin chala jata hai , or ariha or Arab par nazar rakhta hai. Sham k waqt ho gaya hota hai or wo sab log wapas tant ki taraf a rahe hote hai.
Arab us jin par apni nazre jamaye baitha hota hai jab wo log tant par a jate hai .
Sab fresh hone apne tant me jate hai, sabke tant me jane k baad Arab us jin k pass jata hai, wo jin kuch doori par hi hota hai.
Arab us jin k peeche ja kar khada ho jata hai.
Arab,
Kisse dekh rahe ho?
(Wo gusse me kehta hai, uski ankhein surakh laal ho jati hai)
Wo jin palat kar dekhta hai, wo ghabra jata hai, usse kuch Samjh nahi ata isliye wo Arab par hamla karne k liye uske gareeb ata hai.
Arab uske dono hath pakad leta hai or usse zor se phenkta hai wo ja kar ek darakht se takra jata hai, wo darakht toote kar gir jata hai, Arab uske pass ata or usse gardan se utha kar khada karta hai, or ek zor daar war uske seene par karta hai apne hatho se uska hath jaise hi us jin k seene par lagta hai ek jor ki roshni nikalti hai or wo chekhta hai or uski jaan nikal jati hai or wo mar jata hai.
Or Arab wapas tant ki taraf ata hai, Arab ko wapas ata ariha dekhti hai.
Ariha,
Ye Arab kaha se wapas a raha hai.
Arab apne tant me chala jata hai.
Sufiyan,
Kaha gaya tha toh?
Arab,
Jungle ki gumne ka dil kar raha tha toh bas socha thoda ghum lo waise bhi kafi waqt ho gaya hai is tarah k jungle me nahi gaya.
Sufiyan,
Acha, chal thik hai.
Sham ho jati hai Sare student khane ki taiyari karte hai. Tabhi ariha k ghar se phone ata hai.
Ariha,
Assalamualikum abbu.
Ariha k abba,
Walekum assalam,
Kaisi ho ariha beta, or kya kar rahi ho.
Ariha,
Ji abba thik ho, or bahut maza a raha yaha par, bas abhi khane ki taiyari kar rahe hai.
Ariha k abba,
Chalo acha hai, enjoy karo, par kahi par bhi akele mat jana . Ye lo apni dadi se baat karo.
Ariha ki dadi,
Kaisi hai meri bachchi.
Ariha,
Assalamualikum dadi,
Mai bilkul thik ho ap ki tabiyat thik hai na.
Dadi,
Ha mai bhi thik or ghar me bhi sab thik hai.
Tum ne suna na k tumhare abba ne kya kaha, kahi par bhi akele nahi jana, or ha apni taveez ko ek pal k liye bhi apne ap ne alag mat karna.
Ariha,
(Wo apne gale par hath rakhti hai)
Ji dadi,
Acha dadi mai ap se baad me baat karti ho, khana khane jare hai.
Dadi,
Thik hai, jao apna khayal rakhna.
Ariha,
Ji dadi Allah hafiz.
Phone rakhti hi ariha apni taveez dhondhti hai , wo bistar par or uske ass pass dekhti hai par usse nahi milta, wo apna college bag bister par palati hai
Sara saman bister par gir jata usme hi ariha ki taveez hoti hai ariha usse apne hath me leti hai.
Ariha,
Thank god mil gayi
Or jaldi se usse pahan leti hai.
Or let jati hai, wo thaki hoyi hoti hai isliye uski aankh lag jati hai, sana or zara bhi apne bister par leti hoti hai kuch der baat raat me ariha ki aankh kholti hai.
Wo time dekhti hai or phir apne ass pass dekhti hai zara or sana nahi hoti wo baithi hoi hoti tabhi tabhi sana ati hai.
Sana,
Uth gayi tum, tum so gayi thi isliye maine tumhe jagaya nahi chalo a jao bahar sab game khelne jare hai.
Ariha,
Ha chalo, mai a ri ho.
Sana bahar chali jati hai, ariha kuch der baithi rahti hai phir fresh ho kar bahar ati hai.
Sare student baithe dam sharas khel rahe hote hai, Arab side me ek banch par baitha hoa sabko khelta hoa dekh raha hota hai ariha ko ata dekh kar sana usse ane ka ishara karti hai, ariha usse ishare me kehti hai a rahi ho, or wo Arab k pass a kar baith jati hai.
Ariha,
Arab tum yaha q baithe ho sab k sath game q nahi khel rahe ho.
Arab,
Mujhe nahi pasand ye sab.
Ariha,
Ohho acha, toh Arab raza khan ko ye sab nahi pasand, toh kya pasand hai apko?
Arab,
(Ariha ki taraf dekh kar muskura ta hai)
Ariha,
Wo bhi hansti hai, nai i am serious kya hobbys hai tumhari.
Arab,
Mujhe kitaaben padhne ka bahot shoq hai , or gane ka bhi thoda shoq hai.
Tum batao tumhe kya kya pasand hai.
Ariha,
Mujhe bhi kitaabe pasand hai, or khane ka toh mujhe bahot shoq hai or cooking bhi pasand hai par jab dil karta hai tabhi cooking karti ho.
Acha tumhe gana gane ka shoq hai.
Arab,
Ha, par mostly mai bahot kam gata ho, jab mera maan karta hai, or mera man jaldi nahi karta.
Ariha,
Acha, phir toh mai tumhe gane k liye nahi kahongi, jab tumhara dil ho tabhi mujhe bhi ga kar suna na.
Arab,
Hmm, sure.
Ariha,
Acha, tum kuch der pahle kaha gaye the, maine tumhe ate dekha tha, waha se (wo hath k ishare se batati hai)
Arab,
Kahi nahi bas aise hi kuch door tak tahal ne k liye gaya tha.
Ariha,
Acha.
Sana,
Ariha Arab waha kya kar rahe ho yaha ao.
Ariha,
Ha bas aye.
(Khadi ho kar kehti hai)
Chalo.
Arab,
Nahi, tum jao mai yahi ho.
Ariha sabki taras dekhti hai or phir wahi Arab k pass wapas baith jati hai.
Arab,
Kya hoa tum gayi nahi.
Ariha,
Nahi, actually mera bhi maan nahi ho raha hai, isliye socha yahi baith jati ho.
Arab dusri taraf dekh kar muskurata hai. Acha.
Wo dono kafi der tak baat karte hai, or phir sab log khana kha kar apne tant me chale jate hai.
Arab k tant me,
Arab,
Sufiyan, agar mai farah ko maar do toh tu mere sath aise hi rahe ga jaise abhi hai.
Sufiyan kuch pal k liye thahar kar rah jata hai phir Arab ki taraf dekh ta hai.
Sufiyan,
Q kya hoa, Tu aise q keh raha hai, mai aisi nabut hi nahi ane donga k mujhe tujhe ya farah me se kisi ko khona pade.
Dekh Arab I know k wo mujh se pyar nahi karti par iska ye matlab toh nahi hai na k mai bhi uski tarah galat raste par chal padu.
Hum usse mil ka samjhayenge, usse thoda time de phir mai or toh dono us se baat karenge, or agar wo phir bhi na mani toh sardaar se kahenge wo unki baat ko taal nahi payengi.
Toh aisa kuch karne k bare me soch na bhi mat.
Arab,
Ye mere sawal ka jawab nahi hai sufiyan.
Sufiyan,
Nahi rah paonga aise jaisa abhi mai ho tere sath.
Maine ye dard toh bardaasht kar liye k farah mujh se nahi tujh se pyar karti hai, par ye kabhi bhi bardaasht nahi kar paonga k tune usse mar diya.
Arab,
Or wo jo ariha ko marne k liye mauke talash karti phir rahi hai.
Sufiyan,
Hmmm,
(wo Arab ki taraf mudta hai)
Wo mujhe mil toh nahi sakti par mai usse dekh kar apni sari zindgi guzar donga. Toh pls toh aisa kuch mat karna jis se tere mere bich me dooriyaan a jaye.
Or baat rahi ariha ki toh usse kuch nahi hoga, uske pass wo taveez hai toh hai, mai ho humare hote hoye farah usse kuch bhi nahi kar sakti.
Arab,
Acha,
Sun aj mai tujhe ek baat saaf saaf bata deta ho,
Agar ariha ko ek kharuch bhi ayi toh mai wo sab bhool jaonga jo tune abhi kaha hai, toh samjha le usse wo jitna jaldi samjh jayegi uthna acha hoga uske liye, ab tak mai chup tha uske itna kuch karne k baad bhi par ab nahi rahoonga.
Or arab uth kar tant k bahar jata hai, Or jungle me chala jata hai.
Jinnat ki duniya me sardaar apne wajir se baat karte hai.
Sardaar,
Aj se thik ek mahine baad, arab ki saalgirah hai or wo 25 saal ka ho jayega. Or us din usse wo sari power mil jayegi jis ki mai baat kar raha tha, or phir wo sab se jayada takat war jin ban jayega.
Wajir,
Ap se bhi jayada?
Sardaar,
Mujh se jayada takat war jin wo tab bane ga jab usse meri jagah di jayengi.
Tum sab se jayada ban jayega.
Ab bas dekhna hai k konsi takate usse milne wali hai.
Wajir,
Ji toh ab kya karna hai.
Sardaar,
Bataonga par sahi waqt ane par.
Camp par,
Ariha ko neend nahi ati wo sana or zara ko dekhti hai wo dono so gai hoti hai , wo uth kar tant k bahar a jati hai or baith kar asman dekhti hai.
Tabhi wo jungle k dusri taraf dekhti hai, usse koi jungle k ander jata hoa nazar ata hai wo uth kar khadi ho jati hai or dekhti hai.
Arab is waqt ye kaha ja raha hai, wo usse awaz deti hai
Arab Arab wo usse palat kar dekhta hai or phir jungle me jane lagta hai.
Ariha,
Ye roka q nahi,
(Or ariha uske piche jane lagti hai or usse awaz deti rahti hai par wo phir palat kar nahi dekhta)
Jungle k bich me a jane k baad Arab ariha ko kahi dekhai nahi deta.
Ariha ko dar lagta hai , wo apne ass pass dekhti hai usse apne alawa koi or nazar nahi ata, or jungle ka sanata alag khufnak tha, usne zor zor se Arab ko awaze.
Ariha,
Arab, Arab kaha ho tum Arab, de de dekho mujhe dar lag ra hai, pls samne a jao.
Koi jawab nahi ata, balke zor k chil k chillane ki awaz ati hai.
Ariha dar kar palati hai.uske hath pao kapne lagte hai,or uske mathe par pasine ane lagte hai wo jaldi se apne jeans ki jeb se mobile nikalti hai, or sana ko call karti hai lekin uske phone me network hi nahi hota.
Ariha,
Ye kya new problm hai, mujhe yaha ana hi nahi chahiye tha, wo palat kar wapas jane lagti hai par usse kuch samjh hi nahi ata k kis taraf jana hai, tabhi usse awaz ati hai.
Ariha , ariha wo ghabra kar apne charo taraf dekhti hai.....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top