JIN KA PYAR (PART 31)
Asalamulaikum
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar Shaikh 💖.
Ariha log khana order karte hai waiter order le kar chala jata hai.
Sana,
Acha jab tak khana ata tab tak kuch interesting batein ho jaye.
Arab,
Ha zarur.
Sana,
Acha toh arab toh pahla sawal Mai tumse pochti ho.
Arab,
(Arab apna hath table par rakhta hai )
Ha pochu.
Sana,
Tumhe college me sabse achi konsi ladki lagti hai, ya u keh lo k did u like someone.?
Arab,
(Wo zor ki sans leta hai or ek nazar ariha ki taraf dekhta hai wo bhi ussi ko dekh rahi hoti phir Arab Sana ki taraf dekhne lagta hai)
Like toh mai kisi ko nahi karta college me, or na mai ne kabhi gour kiya hai ki college me sabse pretty girl kon hai, ha but mere liye duniya ki sabse khubsurat ladki wo hai jisse mai pyar karta hai.
Sana,
What u love someone.
Batao kon hai wo ladki ab itna toh haq banta hai humara k humare hero ki heroine kon hai hume pata ho.
(Wo shararti muskan chare par liye ariha ko dekhti hai)
Ariha usse table k niche se pair marti hai.
Arab,
Ha haq toh banta hai, par pahle heroine ko izhare mohabbat toh karne do.
Phir pori duniya k samne uska hath pakad kar kahonga that i love her.
Mujhse shadi karogi.
Sana,
Woow , yaar tum sach me aisa karoge.
Arab,
Mai kya kya karonga ye koi soch bhi nahi sakta.
Ariha,
Acha ab mai sufiyan se sawal pochti ho.
Sufiyan,
Mujhe, thik hai pochu.
Ariha,
Tum kisi se pyar hoa hai.
Sufiyan,
(Do pal k liye khamosh ho jata hai)
Ha.
Arab chokh kar sufiyan ko dekhne lagta hai.
Arab,
(Sufiyan k gandhe par hath marta hai)
Tune mujhe bhi nahi bataya iske bare me.
Sufiyan,
Tune kabhi pocha hi nahi.
(Uski awaz me jaise shikwa tha)
Arab,
Arab samjh jata hai or wo ariha se kehta hai.
Tum kisi ko pasand karti ho.
Ariha,
Nai,
Mai kisi ko na like karti ho or na love.
Arab ariha ko dekhta hai, ariha k chahre ko padhne ki koshish kr ta hai, magar ariha apne chahre k tasurat chupa kar rakhti hai.
Arab,
Sach me tumhare dil me kisi k liye koi feeling nahi hai.
Ariha Arab ka utra hoa chahra dekh kar samjh jati hai k usse kitna bura laga hai.
Ariha,
Nahi.
Tabhi waiter khana le kar a jata hai.
Sana ariha ko dekhti hai or uske kaan me kehti hai.
Sana,
Kya zaroorat thi tujhe ye sab kehne ki.
Ariha,
Kuch nahi kehti or khana khane lagti hai.
Wo log khana kha kar bahar ate hai. Parking zone me.
Sufiyan,
Are yaar mai apna phone table par hi bhool gaya le kar ata ho.
Sana,
Mai bhi chalti ho.
Or wo uske sath chali jati hai.
Arab thoda sad hota hai ariha k jawab se wo ariha k pass jata hai or ariha k hatho ko apne dono hath se thamta hai.
Ariha, tabhi usse zor dar shok lagta hai or wo apne piche deewar se ja kar takra jata hai.
Wo shok itna zordar hota hai k wo khud ko sambhal bhi nahi pata hai.
Ariha,
Kya hoa arab i u all right?
Wo arab ki taraf badhti hai usse sambhal ne k liye.
Arab,
Don't touch me mai thik ho, tum door raho.
Ariha,
Kya hoa arab tum aisa q keh rahe ho, (wo abhi bhi arab k pass ati)
Arab,
Kaha na maine door raho mujhe se.
(Or Arab ja kar car me baith jata ariha uske bazu wali sit par baithne hi jati hai)
Tum piche baitho sufiyan yaha baithega.
Ariha,
(Ariha ko acha nahi lagta wo zor se car ka darwaza band kar k piche baith jati hai.)
Tabhi sufiyan or sana a jate hai .
Sufiyan ,
Tum piche q baith gayi.
Arab,
Maine kaha hai toh yaha baith jaldi jana hai abba ki call ayi thi.
Or wo sab nikalte , sana ariha k kaan me deehere se kehti hai, kuch hoa kya tum dono k bich me.
Ariha,
Shut up.
Arab or sufiyan dono ko unke ghar drop karte hai.
Ariha ki ammi,
Ariha aj itni der q hogayi?
Ariha,
Wo friends k sath lunch k liye gayi thi isliye.
Ariha ki ammi,
Acha thik hai, chalo jao fresh ho jao phir mujhe market le kar chalo.
Ariha,
Ji thik hai ammi.
Or wo room me fresh hone k liye jati hai. Uske dimag me bas yahi chal raha hota hai k akhir pichle kuch dino kya hoa usse yaad nahi hai.
Ariha,
Kaise pata karo k kya ho raha hai.
Or Arab ko kya hoa tha wo is tarha achanak deewaar se kaise takra gaya. Or wo bhi mujhe hath laga k baad.
Mujhe pata karna hoga ki akhir ye sab ho kya raha hai.
Arab or sufiyan car me hote hai.
Arab,
Sufiyan ariha k pass jo locket hai wo koi locket nahi hai wo taveez hai, or mujhe ye lagta hai k wo taveez hum jaisi makhlok ko ariha se door rakhne k liye pahnaya hai uski dadi ne.
Sufiyan,
What wo taveez hai par tujhe kaise pata, or toh itna sure kaise hai k wo humare liye banai gayi hai.
Arab,
Kal raat ko mai ariha k ghar par hi tha tabhi dadi ko baat karte suna, or aj parking zone me maine ariha ka hath jaisi hi pakda mujhe itni zor se shock laga k mai deewar se ja laga.
Sufiyan,
What?
Arab,
Or tujhe yaad hai jab ariha hospital me thi tab bhi aisa hoa tha par maine us baar par itna diyan nahi diya par aj phir wahi hoa.
Kuch karna hoa.
Sufiyan,
Ha u r right, par hum kar kya sakte hai hum toh ariha ko hath me nahi laga sakte us locket k hote hoye.
Arab,
Ha, pahle sara k pass chalte hai. (Wo car ko road k side par khada kar k jin ki duniya me sara k pass jate hai)
Arab,
Sara kal tum kuch kehne wali thi.
Sara,
Ha wo ariha ki locket koi mamuli locket nahi hai, us locket ko hum cho bhi nahi sakte , kal jab maine us locket ko sirf touch kiya tha mujhe bahot taleef hoyi.
Arab,
Wo locket nahi hai wo taveez hai, jise sirf locket ki shakal di gayi hai logo ko gomrah karne k liye.
Sara,
Wo taveez humare liye jaan lewa hai, par ariha k liye wo bahot acha k ki wo farah jaise jino se uski hifazat karega.
But Arabtum i feel sorry for u.
Sufiyan,
Ha ye sahi keh rahi hai, us taveez k hote hoye farah ariha ko koi nuksan nahi pohcha paye gi.
Arab,
Ye toh thik hai par mai bhi ariha k kareeb nahi ja sakta, mujhe kuch karna padega.
Shukriya sara tumne humari bahot madad ki hai.
Sara,
Iski koi zarurat nhi akhir apne hone wale sardar k liye itna toh kar hi sakti ho.
Or mai dil se yahi chahti ho k tum jaldi se ariha se shadi karo or usse humari sardarni bana do.
Arab,
(Arab hasta hai par wo ariha ko kabhi bhi is duniya me nahi lane wala hai ye baat wo inhe bata nahi sakta tha).
Arab or sufiyan waha se chale jate hai, or apni car me a kar baith jate hai.
Arab,
Tu kisse pyar karta hai sufiyan?
Sufiyan chock kar Arab ko dekhta hai, wo kuch pal k liye samajh nahi pata k wo kya kahe.
Ariha k ghar par,
Ariha fresh ho kar ati hai chale ammi mai ready ho.
Ariha ki ammi,
(Dadi se kehti hai)
Acha ammi hum market ja rahe hai jaldi wapas a jaayenge.
Dadi,
Ha thik hai jao.
Ariha bike start karti hai or uski ammi baith time hai or ariha unhe market le kar jati hai.
Ariha ki dadi ghar par akele hoti hai. Tabhi koi darwaza par dastak deta hai. Dadi darwaza kholti hai.
Arre ap aye.
(Asad ki ammi or bhai hote hai)
Dadi unhe baithne ka kehti hai. Or khud kitchen me jane lagti hai.
Asad ki ammi,
Ap baithe khala hum yaha apko takleef dene nahi aye mujhe kuch zaruri baat karni thi.
Ghar k baki log nazar nahi a rahe.
Dadi,
Ariha or uski ammi abhi market gaye hai or bacche school or gaffar toh daftar me hai.
Asad ki ammi,
Ji Acha,
Mai kehna chahti thi k ap logo ne abhi tak koi jawab nahi diya asad or ariha k rishte ko le kar.
Dadi,
Ji humne toh apke bete se keh diya tha, k hum ye shadi nahi kar sakte.
Asad ki ammi,
Kya,
Ji par q mera beta bahot acha hai or wo apki beti ko pasand bhi karta hai wo ariha ko bahot khush rakhe ga.
Ap log ek baar phir se soch le is rishte k bare me.
Dadi,
Ji ap sahi keh rahi hai asad waqai bahot acha ladka hai, or hum toh is rishte se bahot khush the par ariha khush nahi hai, or jab ariha hi khush nahi hai toh hum uske sath koi zabardasti nahi karenge.
Asad ki ammi,
Ji thik hai, acha ab hum chalte hai.
Or wo uth kar jane lagte hai.
Dadi,
Are thoda der rok te toh ariha or shaheda se bhi mil leta.
Asad ki ammi,
Nahi phir kabhi aj bahot der ho gai hai or wo chale jate hai.
Unke jane k baad kehti hai acha ladka tha par jab ariha hi nahi man rahi toh kya kar sakte hai.
Ariha or uski ammi market se ghar ati hai.
Ariha ki ammi shamm k khane ki taiyari me lag jati hai or ariha TV dekhti hai tab tak anam or arman bhi a chuke hote hai.
Asad ki ammi apne ghar par Living room me sofe par baithi hoti hai or tabhi Asad ata hai.
Asad ki ammi,
Asad yaha ao mujhe tumse baat karni hai.
Asad unke pass ata hai ji ammi kehye.
Asad ki ammi,
Ariha k ghar walo ne rishte k liye mana kar diya hai toh ye baat Tumne ab tak mujhe se chupa kar q rakhi.
Asad,
Chok kar unhe dekhta hai.
Ammi ye apse kisne kaha?
Asad ki ammi,
Uski dadi ne khud mai unke ghar par gayi thi.
Asad,
Kya, q gayi thi ap waha maine mana kiya tha na apko.
Asad ki ammi,
Tum us baat ka jawab do jo mai poch rahi ho.
Asad,
Mai ariha se pyar karta ho or usai se shadi karonga, apko is liye nahi bataya k mai unhe mana longa shadi k liye phir ap se kehta bas yahi wajah hai.
Asad ki ammi,
Kaise mana loge, chodo ab us ladki ko maine apne dost ki beti se tumhari shadi karne ka faisla kiya hai.
Asad,
Nahi (wo zor se kehta hai)
Mai sirf ariha se shadi karonga or kisi se nahi. Dekhe ammi ap mujhe thoda time de agar mai ariha ko na mana saka toh ap jisse kehengi mai shadi kar longa.
Asad ki ammi,
Thik hai,ariha k college khatam hone tak mai wait karongi.
Or wo uth kar chali jati hai. Asad unhe jate hoye dekhta hai aj pahli baar uski ammi usse itna gussa hoyi thi.
Asad uth kar apne kamre me jata hai.
Farah ko khabar milti hai k Arab waha aya tha, wo sochti hai k akhir Arab yaha q aya tha or apne gulam se kehti hai k pata karo k Arab yaha q aya tha.
Gulam kuch der baad usse a kar batata hai k Arab sara se milne k liye aya tha Farah sara k pass jati hai.
Farah,
Arab q aya tha tumse milne.
Sara,
Bas aise hi.
Farah,
Acha, aise hi tumse q milne laga wo.
Sara,
Tum jao yaha se mujhe tumse koi baat nahi karni, mujhe nahi pata kya k aj kal tum pagal bani phir rahi ho sabse bena wajah nafratein mod leti phir rahi ho.
Or mujhe koi dushmanni nahi karni kisi k sath.
Farah,
Abhi toh mai ja rahi ho par agar mujhe pata chala k tumne Arab ki koi madad ki hai toh wo din tumhara akhiri din hoga.
Or wo gusse me waha se chali jati hai.
Asad apne kamre me gusse me sab kuch todne lagta hai. ab kuch bhi ho ariha tumhe mujh se shadi karni hi hogi.
Arab,
Kya hoa kaha kho gaya bole ga kuch?
Sufiyan,
Nahi kuch nahi.
Arab,
Toh bata kon hai wo jis se mera bhai pyar karta hai.
Sufiyan,
Tu janta hai usse.
Arab,
Dekh mai is time guess karne k mod me nahi ho.
Sufiyan,
Farah.
Farah se pyar karta ho wo bhi aj se nahi bachpan se, jaise wo tujh se pyar karti hai bachpan se. (Wo muskura kar kehta hai uski ankho me ansu hote hai. )
Arab usse dekhte rahta hai, wo kuch kehta nahi jawab me bas car drive karta rahta hai.
Wo log ghar par pohonch jate hai, Arab car se utar kar ghar k ander chala jata hai, sufiyan bhi uske piche ghar me jata hai.
Arab apne room me ata hai, or wo samajh nahi pata ki wo sufiyan se kya kahe, q k jane anjane hi sahi par Arab ki wajah se sufiyan ko takleef hoyi thi.
Wo inhi socho me gum so jata hai.
Next day sana ariha k ghar par ati hai.
Sana,
Jaldi chal aj hume sab taiyari kar leni hai beg bhi pack kar hai.
Ariha,
Ha bas do min chalte hai, wo apne abba se paise leti hai or dono shoping k liye nikal jate hai.
Wo log market me pohanch te hai, ariha bike park kar ti hai or dono market me chalne lagti hai.
Sana,
Mai toh bahot sari shoping karne wali ho mujhe camp me sabse acha dekhna hai.
Ariha,
Ha zarur, tabhi ariha ka phone ring karta hai Asad ki call hoti hai.
Asad,
Ariha toh ab ap mujhse milne a sakti hai, meri office k pass hi coffee shop hai waha par a jaye.
Ariha,
Mai abhi thoda busy ho hum kuch der baad mil sakte hai, warna aisa kijiye k mai abhi market me ho ap yahi a jaye.
Baat bhi ho jayegi or mera kaam bhi ho jayega.
Asad,
Ok mai ata ho.
Or thodi der me wo market me a jata hai, or ariha ko dekh kar uske pass ata hai.
Ariha,
Ohh hii, bahot jaldi a gaye ap. Kahi ye apko kya kehna tha.
Sana dono ko khamoshi se dekhti rahti hai.
Asad,
Kahi baith kar baat kare.
Ariha,
Ok
Wo kareeb bhi ek hotel me jate hai.
Asad,
Maine apse mafi pahle hi mang li k mujhe direct ap k ghar rishta le kar nahi ana chahiye tha. Or apne mujhe maaf bhi kar diya hota par Arab ki wajah se humari baat adhuri raha gai thi.
Toh mai bas itna chahta ho k agar hum shadi nahi kar sakte toh kam se kam ache dost toh ban hi sakte hai.
Ariha,
(Wo soch me pad jati hai k ye kab ki baat kar raha hai)
Sana,
Ha friend toh ban sakte hai so mai bhi aj se apki dost ho or wo hath age karti hai.
Friends.
Asad usse hath milata hai.
Phir wo ariha se kehta hai kya ap mujhe apna dost banne k laik bhi nahi samajhti.
Ariha,
Nahi aisa nahi hai, ok friends but ab aisi koi harkat nahi karenge jisse mujhe hurt ho.
Asad,
Ok.
Ab kuch kha le new friends ship k agaz par.
Or wo teeno coffee pite hai.
Or asad jane lagta hai.
Sana ,
Humare sath shoping karne chale na bahot maza ayega.
Asad,
Par ap log kis khushi me shoping kar rahe hai.
Sana,
Hum camp par ja rahe hai college ki taraf se isliye.
Chaliye ap bhi humare sath.
Ariha,
Are nahi,
(Dono ariha ki taraf dekhne lagte hai)
Mera matlab hai unhe kaam hoga humari tarah free thodi hote hai right.
Asad,
Right, mujhe meeting k liye jana hai toh fir kabhi sath shoping kar lenge.
(Wo samajh gaya tha k ariha nahi chahti k wo unke sath jaye)
Ok mai chalta or allha hafiz.
Or chala jata hai.
Sana,
Toh aisa q karti hai?
Ariha,
Kaisa karti ho mai?
Wo dono chalte chalte baat kar rahe the.
Sana,
Kal tune restruent me jaan bhuj kar aisi baatein ki jis se Arab ko hurt ho, or aj Asad ko kis tarah sath ane se rok diya.
Tujhe taras nahi ata in dono pe.
Ariha,
What, taras nahi ata.
Maine koi unki jaan nahi mang li hai jo toh aise baat kar rahi hai.
Or taras kha kar bheek di jati hai, mohabbat nahi.
Sana,
Acha, par tu toh Arab ko pasand karti hai na?
Ariha,
Ha wo mujhe acha lagta hai uske sath rahna usse baat karna uski baat karna mujhe acha lagta hai,
Par mujhe abhi ye nahi pata ye pyar hai ya sirf attraction.
Toh jab tak mujhe khud ye conform na ho jaye k mai arab se pyar karti ho ya sirf attraction hai tab tak mai usse koi umeed nahi dena chahti.
Sana,
Acha, toh mai uski girlfriend ban jao. (Wo hans kar usse dekhti hai)
Ariha,
Us hans kar dekhti hai.
Ha zarur ban ja agar wo banaye toh.
Or phir dono shoping karne lagti hai. Or shoping kar k ghar ate hai.
Ariha,
Aj toh bahot thak gayi( wo shoping bags ko table par rakhte hoye bolti hai)
Ammi pls ek cup chai de de.
Ha lai.
Dadi wahi hoti hai. Ariha unke pass ati hai .
Ariha,
Dadi mujhe apse ek sawal pochna tha, pochu or ap mujhe sach sach batayega.
Dadi,
Ha pochu.
Ariha,
Ye taveez apne mujhe q di hai.
(Wo taveez ko pakad kar kehti hai)
Dadi,
Tumhaari hifazat k liye beta.
Ariha,
Kis cheez se hifazat k liye?
Dadi pls bataye mai janna chahti Or jabse maine ye taveez pahna hai maine wo khawab bhi nahi dekha.
Dadi,
Acha thik hai batati ho, par tum is ka zikar kisi or se kabhi bhi nahi karoge warna iska asar ussi waqt khatam ho jayega.
Ariha,
Ha i promise nahi karongi.
Dadi,
Ye taveez tumhe buri balao se mahfooz rakhne k liye hai jaise jin bhoot or bhi bahot sir buri takaqato se ye tumhari hifazat karega.
Ariha chok jati hai or uske dimag me bas arab ka khayal ata hai k wo kis tarah ariha ko chone par gir gaya tha.
Ariha,
Matlab.
Dadi,
Kya hoa ariha kaha kho gayi.
Ariha,
Kahi nahi mai change kar k ati ho.....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top