JIN KA PYAR(PART 29)

Assalamualaikum,
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh💖.

Ariha(jo Jin hai) wo inhi socho me gum rahti hai tabhi uski dadi room me ati hai, wo unki awaz sun kar sone ka natak karti hai.

Dadi,
Ariha beta, (jawab na pa kar wo ariha k pass jati hai or usse sota hoa dekhti hai)

(Wo ariha ka matha chumti hai)

Ye toh so rahi hai, lagta hai thak gai hai waise bhi pichle kuch dino se jo iske sath ho raha hai iska ye taveez pahan na zaruri hai, jaise hi uthe gi furan usse ye taveez pahna dongi.

Or wo chali jati hai.

Asad k office me,
Asad apni office me ek meeting me hota hai, meeting khatam hoti hai toh wo sochta hai.

(Ariha ki na toh koi call ayi hai na hi wo mujh se milne ayi, jabki usse apne dost k behavior par sharminda hona chahiye.)

Wo ariha ko call karta hai, ariha call recive karti hai.

Asad,
Assalamualaikum.

Ariha,
Walekumsalam.
Kahi ye , q call ki apne?

Asad,
Wo mujhe ap se milna hai, Or ye last time hai jo mai ap se milne k liye keh raha ho.

Ariha,
Wo actually mujhe bhi ap se milna tha, jo last time hoa mujhe bhi uske liye apko sorry bolna tha.

Ok mai kal college k baad apse milne ati ho apke office.

Asad,
Nai,

Ariha,
Kya?

Asad,
Mera matlab office me nahi kahi bahar milte hai.

Ariha,
Ok, thik hai .

Or ariha phone rakh deti hai.

Asad ko Arab ka khayal ate hi wo gusse me a jata hai.

Asad,
Arab u just wait n watch teri us harkat ka jawab tujh par kitna bhari padne wala hai.

Tabhi Asad ki ammi ka call ati hai.

Asad,
Ji ammi kahiye.

Asad ki ammi,
Beta tum aj nashta kiye begair hi office chale gaye.

Asad,
Ha ammi wo ek bahot important meeting thi, bas abhi khatam hoyi hai meeting.

Asad ki ammi,
Acha, thik hai tum khana kha lo phir mujhe tumse ek zaruri baat karni hai.

Asad,
Ap kahiye ammi mai khana kha longa.

Asad ki ammi,
Beta wo ariha k ghar se ab tak koi jawab nahi aya, mujhe lagta hai is shadi k liye unki na hai. Tum kaho toh hum dusri ladki ko chal kar dekhe.

Asad,
Nai, aisa kuch nahi hai ammi, ap galat samajh rahi hai.

Ariha ne mujh se baat ki hai wo apni college khatam hone k baad hi is shadi par diyan dena chahti hai.

Isliye usne hi mujh se kaha hai k uske college khatam ho ne tak mai shadi ya engament ka koi zikar na karo.

Ariha ki ammi,
Matlab unki ha hai.

Asad,
Ha uske dad ne mujhse baat ki thi mai apko surprise dena chahta tha.

Asad ki ammi,
Acha, sach me beta mai bahot khush ho.

Thik hai, beta toh khana kha le mai nasir Or ali ko bhi ye khush khabri de do.

Asad,
Thik hai ammi Allah hafiz.

Sorry ammi par ye sab jo maine ap se kaha hai na, is sab ko mai sach kar k rahonga.

Farah gaar par ati hai, or uske piche uske abba or kuch Jin bhi ate hai.

Sare Jin lad rahe hote hai, Farah ate hi wo apne jinno ko rokne ka ishara karti hai.

Sab rok jate hai, Farah Arab ko gusse se dekhti hai, uski aankho me ansu hote hai.

(Wo itni khubsurat lag rahi hoti hai or wo ansu se bhari ankh uski khubsurti me or bhi char chand laga dete hai.

Sufiyan Farah ko dekh kar dekhta hi rahta hai. Usse aj se pahle Farah itni khubsurat nahi lagi thi , aj uska dil chah raha tha k har cheez bhula kar apni mohabbat ka izhar Farah se kar de, magar wo janta tha ki iska koi fayeda nahi tha q k wo Arab k liye pagal thi.

Farah ki awaz se jaise wo hosh me ata hai.

Farah Arab ko dekh kar kehti hai.

Farah,
Arab mai tumhe akhiri mauka de rahi ,
(wo Arab ka hath pakad kar usse apne sath le kar chalne lagti hai)
Chalo jaldi nikah karne k liye.

Tabhi Arab Farah ka hath jhatak ta hai, or usse zor dar tappad marta hai.


Arab,

Jo tumne kiya hai na uske baad mai tumhe dekhna bhi nahi chahta, or tum shadi ki baat kar rahi ho.

Ji toh kar raha hai k mai tumhari jaan le lo par pata nahi mai q har baar rok jata ho.

Farah,
Thik hai, ab mai tumhe aise wajah dongi mujhe marne ki jo us har wajah se badi hogi jo tumhe mujhe marne se rokti hai.

Or Farah gayab ho jati hai, or Sare Jin phir se Arab ki taraf ane lagte hai, jise Arab k abba or Arab k sathi Jin rokte hai or un sab me phir se ladai hone lagti hai.

Sufiyan, gaar k ander jata hai, waha koi Jin nahi hote Sare Jin bahar ja choke hote hai, wo Farah ko dhondhne lagta hai.

Wo Arab sabko ladta dekh kar waha se gayab ho kar gaar k ander chala jata hai.

Or ariha ko mehsus karte hai.

Usse ariha kaha hai dekhai deta hai, or wo bijli ki tarah tezi se ariha jaha hoti hai waha ata hai.

Waha sufiyan bhi hota hai.

Arab,
Ariha kaha hai? Maine abhi dekha k ariha yahi thi.

Sufiyan,
Maine bhi dekha, par humare ane se pahle shayad Farah ariha ko le gayi.

Tabhi farah ki awaz ati hai, or dono sunne lagte hai.

Farah,
(Wo ariha ko apne sath leye hoyi bahot uchai par hawa me hoti hai or uske hath me sheshee  ki talwar bhi hoti hai. )

Kaha ho Arab ao akhiri dedar kar lo apni ariha k.

Arab or sufiyan Farah k baat sun kar jaldi se bahar ate hai.

Wo bahar ate hi hai, tabhi Farah wo talvar ariha k pet me mar deti hai or usse upar se phek deti hai.

Arab zor se chekh ta hai ariha or bijli ki tarah hawa me pohanch kar ariha ko girne se rok deta hai or use apni baho ki giraft me le leta hai.

Or Arab hawa me se hi ariha ko le kar gayab ho jata hai.

Farah wahi khadi hasti rahti hai, sufiyan gusse se usse dekhta hai.
Farah niche ati hai.

Sufiyan Farah k pass ata hai or usse zordaar tapad marta hai.

Sufiyan,
Ye kya kiya tumne?

Farah gusse ki agg or bhadak uthti hai or wo sufiyan ko tapad de marti hai.

Or usse dhakka deti hai.

Farah,
Dubara kabhi ye zurrat mat karna.

Mar do in sab ko koi ek bhi bach kar wapas na ja paye.

Ab pata chale ga Arab ko k uska pyar usse kya kya chenne wala hai.

Farah ka ye kehna hota hai or Jin jo Arab k khilaf hote hai wo waha a jate hai Arab ki taraf wale jino ko marne k liye.

Sufiyan Or Arab k abba sab ladte hai, un jino ki jayada koshish ye hoti hai k wo Arab ki family ko khatam kar de.

Farah jane lagti hai tabhi waha sardar a jate hai.

Sardar,
Rok jao sab (wo bahot buland awaz me kehte hai)

Sabhi Jin rok jate hai.

Ye sab kya ho raha hai, ye ladai Arab or Farah k beech ki thi toh ap sab is me shamil q hoye.

Or ap log lad bhi aise rahe ho jaise ap log ek dusre k dushman ho.

Bas ab khatam karo ye ladai.

Arab jisko lene aya tha usse le kar gaya toh ap sab q lad rahe ho.

Jao .

Sare Jin chale jate hai.

Sufiyan uske abba, or Arab k abba apne ghar jate hai or Farah or uske abba or sathi Jin ki duniya me jate hai.

Sardar sab ke jane k baad kehte hai.

Humari kaum k do hisse ho chuke hai. Or wo is wajah se nahi k Arab ek insan se pyar karta hai balki is liye k wo sardar banne wala hai.

Jin,
Ji sardar ap sahi keh rahe hai maine bhi is baat par gor kiya hai.

Ek wo jo Arab k sardar banne par khush hai, or ek wo jo Arab k sardar banne k khilaf hai.

Or jo khilaf hai unme mere faisle k khilaf jane ki himmat nahi hai, toh wo Farah ka sahara le kar Arab ko khatam karna chahte hai.

Arab ko jaldi se jaldi uski sari powers mil jaye or usse unka pata chal jaye toh mai usse sardar bana donga.

Phir ye log chahe ya na chahe koi fark nahi padne wala.

Ji sardar.

Sardar,
Arab ko kal mere pass le kar ana.

Ji sardar.

Arab ariha ko le kar kisi dusre jungle me le kar ata hai, Arab k ansu roke nahi rokte wo ghabra jata hai.

Arab,
Ariha ariha mai tumhe kuch nahi hone donga.

(Wo chekhta hai)
Aaaa

Arab jaldi se ariha k pet se talwar nikalta hai.

Ariha ka khoon bahot beh raha hota hai.

Wo halka sa cheekhti bhi hai.

Arab talwar ko phenkta hai, Or ariha k zakham par hath rakta hai uski chot khatam ho jati hai.

Wo pahle ki tarah normal ho jati hai.

Arab usse gale se laga kar rone lagta hai, i am sorry ariha mujhe kabhi bhi ye andaza nahi tha k meri wajah se tumhari jaan ko khatra ho sakta hai sorry (wo rote hoye kehta hai).

Ab mai sab thik kar donga.

Wo ariha k dimag se cafe wala waqia bhula deta hai or usse le kar us ke ghar ata hai.

Arab direct ariha k room me ata hai, waha Jin hoti hai.

Jin,
Arab tum le aye ariha ko koi problem nahi hoyi?

Acha mujhe tumhe ariha ko ke kar ek zaruri baat batani thi.

Arab,
(Ariha ko bed par leta ta hai)
Hum baad me baat karenge.
Mujhe abhi ariha ko hosh me lana hoga, tum jao ab mai tumse wahi a kar baat karonga.
Par aj raat mai ariha k pass hi rahonga.


Jin,
Thik hai.
(Or wo chali jati hai).

Arab ariha k sar par hath rakhta hai or ariha ko hosh a jata hai.
(Ariha k hosh me ate hi Arab invisible ho jata hai).

Or us k thoda door baith kar usse dekhta rahta hai.

Ariha ko bahot ajeeb lagta hai, usse bahot thakan mehsoos hoti hai.

Ariha,
(Time dekhti hai raat k 11 baj rahe hote hai)

Ye mujhe itni thakan q ho rahi hai. ........















Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top