JIN KA PYAR(PART 27)

Assalamualikum,
Jin ka pyar,
Online novel by,
Chahat akhtar shaikh 💖.

Farah ariha k pass jane k liye nikalti hai, or sufiyan uske piche invisible ho kar jata hai.

Farah jab jungle me pohonch jati hai toh usko ehsas hota hai k koi uska picha kar raha hai , tabhi wo waha rok jati.

Sufiyan Samajh jata hai, k farah ko pata chal gaya hai k wo farah k piche hai.


Sufiyan waha se chala jata hai.

Farah ko gussa ata hai or wo apni powers se dekhti hai k kon sa jin us k piche aya tha, wo sufiyan ko dekh kar bahot jayada gusse me a jati hai.

Or apni ankhein band kar k sufiyan k pass pohanch jati hai, sufiyan Arab k sath hota hai uske room me.

Sufiyan,
Arab mujhe pata chal gaya hai k ariha kaha hai.

Arab,
Kya tu sach bol raha hai, kaha hai meri ariha?

Sufiyan,
Wo...

Tabhi Farah waha a jati hai, Arab or sufiyan palat kar usse dekhte hai.

Ariha k ghar par,
Sab so jate hai, or jin jo ariha ban kar uske ghar par ati hai wo ariha k room me hoti hai, or wo ariha k room me uski cheezo or uski tasveer ko dekhti hai.

Jin (jo ariha bani hai) ,

Waise tum dekhti toh bahot khubsurat ho, isliye toh Arab tumhara deewana hoa hai.

Khair umeed or dua karti ho k tum jaldi wapas ao or mujhe apni duniya me jaldi jane mile.

Or wo let jati hai.

Fajar ki azaan hoti hai, or ariha ki dadi ariha ko namaz k liye jagane ati hai.

Ariha uthti hai , jab ariha namaz ka dupatta bandhti hai tabhi dadi ki nazar uske gale par padti hai , uske gale me taveez na dekh kar dadi chok jati hai.

Namaz k baad dadi ariha se pochti hai.

Dadi,
Ariha tumhara locket kaha hai?

Ariha,
Locket, kon sa locket?

Dadi,
Are mera matlab k wo taveez jo maine tumhe diya tha.

Ariha,
(Wo thoda sochti hai phir kehti hai)
Wo taveez pata nahi dadi shayed kahi gir gaya abhi kal tak toh tha mere gale me.

Dadi,
Kya kitni laparwah ho gai ho tum, yaad karo shayad kuch yaad a jaye.

Ariha,
Nahi yaad a raha hai dadi, yahi kahi hoga mil jayega. Ap so jaye mai college k liye ready hone jari ho.

Dadi,
Thik hai.

Dadi late jati hai, or ariha ready hone chali jati hai.

Dadi ko bahot tension hota hai ki kahi ariha k sath kuch bura na ho jaye.

Ariha ready ho kar college chale jati hai, ariha k jane k baad dadi ariha k abba se kehti hai.

Dadi,
Ariha ne apni taveez kahi kho di hai, mujhe bahot dar lag raha hai tum us molvy se baat karo or dusri taveez banane ko kaho.

Wahi anam bhi hoti hai.

Anam,
Kya dadi ap kya keh rahi hai, di ka kuch kho gaya hai.

Ye locket di ki mere pass hai kahi ap iski baat toh nahi kar rahi.

Dadi,
Jaldi se wo taveez leti hai.
Ye kaha se mila tumhe?

Anam,
Wo kal di k room me gayi thi toh table par rakha hoa tha isliye maine le kar pahen liya.

Dadi,
Acha, thik hai jao school k liye der ho rahi hai tumhe.

Anam,
Ok allah hafiz dadi.

Or anam or arman school chale jate hai.

Ariha k abba,
Chalo acha ammi mil gayi ye taveez, ab ariha aye toh usse pahna dena, mai bhi daftar jata ho.

Allah hafiz.

Or wo bhi kaam par chale jate hai.

Dadi,
Ya Allah meri bacchi ki hifazat karna har musibat se, uske ati hi mai usse ye taveez pahna dongi.

Ariha college me ati hai, toh sana uske pass ati hai.

Sana,
Kaha thi kal toh kuch pata hai sab kitne pareshan the.

Ariha,
Ha pata hai, sorry wo arab k sath kaam se gayi thi or car hi kharab ho gayi is liye ye sab ho gaya.

Sana,
Tu sach bolri hai na, kuch problem hai toh mujhe bata.

Ariha,
Koi problem nhi hai.
Chale class me i thik  late hora hai.

Sana,
Ha chal.

Or dono class me jati hai.

Sana,
Ye arab or sufiyan bhi nahi aye college pata nahi kya hora hai.

Ariha,
Tu chod unko , or lecturer par dhyan de.

Arab k ghar par,

Farah ate hi sufiyan ko zordar dhakka deti hai, sufiyan zameen par gir jata hai.

Arab gusse me farah ki taraf badhta hai par sufiyan usse rok deta hai.

Farah,
Tumhari himmat kaise hoyi mera picha karne ki, tum dono ko kya lagta hai itni asani se mil jayegi tumhe ariha.

Sufiyan farah k pass ata hai, or gusse se uske bazu ko pakad kar kahta hai.

Sufiyan,

Apni had me raho.

Ye akhiri baar hai jo mai tumhe maaf kar raha ho, agar dubara tumne aisi koi harkat ki toh mai bhool jaonga k mai tumse..

Or wo rok jata hai kehte kehte.

Farah,
Kya karoge, wo apna hath choda kar kehti hai.

Sufiyan kuch nahi kehta. Or farah ko gusse se dekhta hai. Tabhi arab farah k pass ata hai or kehta hai.

Arab,
band karo apna ye natak or jao yaha se.

Farah,

Tum toh chup hi raho, or jao ja kar rote baithe apni ariha ki yaad me. Q k wo tumhe milne se rahi.

Arab,
Tumse bardash nahi hota na k mai tumse jayada importance kisi or ko de raha ho.
Ek mamoli insan se itni insecurity.

Farah,
(Arab ko khinch kar tapad marti hai) had me rahna apni , apni haar taslim q nahi kar lete.

Arab,
(Farah ka gala pakad leta hai)
How dare u tumhari himmat kaise hoyi.

Farah,
(Arab ka hath hatati hai)
Na ye sab karne ki koshish bhi mat karna.
Warna,
Dard ariha ko dongi or takleef tumhari rooh tak ko mahsos hogi.

Arab,
Jao do dard takleef uske baad kya mai tumse shadi kar longa.

Listen I don't want to cross limits, isse acha ye hoga k tum jao kahi tumhe yahi jaan se na maar do mai.

Farah,
(Wo hasti hai)
Abhi toh mai ja rahi ho, par iska jawab mai tum dono ko bahot jaldi dongi.

Khas kar sufiyan tumhe.

Or ha jane se pahle mai tumhe bata do kal humara nikah hai, koi hushyari mat karna Arab warna, tumhari hoshyari kahi bahot jayada bhari na pad jaye tum par.

Arab,
Nikalo yaha se.
(Wo darwaze ki taraf hath dikha kar kehta hai).

Farah,
Wo sufiyan ko kha jane wali nazro se dekhti hai or gayab ho jati hai.

Arab,
Ha bata kaha hai meri ariha?

Sufiyan,
Usse batata hai, us jungle me kaha hai ye humein pata karna padega.

Chal jaldi ja kar ariha ko le ate hai.

Arab,
Ha chalte hai, mai namaz padh leta ho, nahi aisa karte hai toh ja mai namaz padh kar ata ho.

Sufiyan,
Thik hai.

Or sufiyan chala jata hai.

Arab fajar ki namaz padhta hai.

Or dua karta hai.

Arab,
Ya mere mula, ap do jahano k malik ho ap ki mislihat koi kabhi bhi nahi samajh saka hai, toh kaise samajh sakta ho, k ap ne q mere dil me ek insan k liye itni mohabbat bhar di hai k usko kho kar jeene k bare me soch kar bhi ro deta ho.

Jis tarah apne uski mohabbat meri dil me dali hai ussi tarah uske dil me bhi meri mohabbat dal mere mula.

Wo ro ro kar dua karta hai.

Bas aj meri ariha mujhe mil jaye, phir mai saye ki tarah uske sath rahonga, usse sahi salamat rakhna Allah.

Or arab uthta or gayab ho jata hai or us jungle me a pohanch ta hai.

Sufiyan waha pahle se hota hai.

Sufiyan,
Maine pora jungle dekh liya hai, par samajh nahi a raha ab?

Arab,
Apni ankhein band karta hai, or pore jungle me tufan a jata hai, Sare ped girne lagte hai, dhool mitti udne lagti hai. Sab kuch idher udhar ho jata hai

Arab,
Sufiyan ab Tu dekh k konsa hissa jungle ka hai jisse koi nuksan nahi hoa.

Sufiyan,
Ha, or sufiyan or Arab dono hi hawa me ud jate hai or uchai se dekhte hai k kon sa hissa jungle ka tufan ane k baad bhi thik hai.

Tabhi unki nazar us gaar par padti hai jaha ariha hoti hai.

Dono khush ho jate hai or ek dusre ko dekhne lagte hai.

Arab tufan rok deta hai, or dono us gaar k pass jate hai.

Ariha k ghar par,

Ariha college se ghar par ati hai.

Dadi,
Ariha a gayi tum jao fresh ho kar ao mujhe tumhe kuch dena hai.

Ariha,
Aisa kya dena hai, laye abhi de de.

Dadi,
Dena toh hai, par tum thak gayi hogi isliye kaha Fresh hone ko par koi baat nahi ye lo tumhari taveez mil gai.

Ariha dekh ka shock ho jati hai q k wo gold ka hota hai wo usse cho nahi sakti thi.

Ariha,
Ye toh locket hai dadi,

Dadi,
Ha pata hai, par issi k ander taveez hai bhool gayi ho kya?

Ariha,
Ha yaad hai.

Dadi,
Toh lo panhan lo isse.

Ariha taveez lene k liye hath age karti hai, or uska zara sa hath us taveez par lagta hai usse zor ka jhatka lagta hai or wo piche ho jati hai or zameen par gir jati hai.

Dadi,
Kya hoa ariha beta tum thik toh ho.

Ariha,
Shayed mere pair me moch a gayi hai, mai aram karna chahti ho dadi.

Ammi meri madad kare room tak jane me.

Ariha ki ammi usse pakad kar room me lati hai or bed par leta deti hai.

Ariha ki ammi,
Beta tum aram karo mai tumhare liye chai le kar ati ho, aj maa beti sath chai piyenge.

Ariha,
Ji ammi,
Aj toh bach gayi par age kya karongi, mujhe sufiyan se baat karni hogi.........


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top