JIN KA PYAR (PART 26)
Assalamualikum,
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh.
Farah apne kamre me ati hai or sheeshe k pass baith kar khud ko sawarne lagti hai, or muskurati hai or khud se baat karti hai.
Farah,
Kal meri zindagi ka sabse khubsurat din hoga, meri arab se shadi ho jayegi mai arab ki dulhan banogi.
Bas ek baar tumse shadi ho jane do, phir mai ariha ko jaan se maar dongi.
Or wo tali bajati hai, or bahot Sare jin uske pass a jate hai (wo jin uske gulam hote hai)
Farah,
A gayi tum log, kal meri shadi hai is ghar ko nahi balke is pore shahar ko itna khubsurati se saja do k in insano ki ankhein us sajawat ko dekh kar dang raha jaye, or mera arab khush ho jaye jaye sari taiyariya karo kuch kami nahi honi chahiye.
Jao.
Or wo khud bhi apne or arab k liye kapde banwane k liye chali jati hai.
Sare ghar wale Farah k pagal pan ko dekhte hai .
Farah ki ammi,
Beta ye sab kya hai?
Farah,
Apko nai pata ammi kal apki beti ki shadi hai jaye ap bhi tayari kare.
Mai sab jinnato ko batane ja rahi ho.
Unhe bhi toh ana hoga na.
Or wo chali jati hai.
Ariha k ghar par,
Ariha k ammi ariha ko khane k liye bulati hai.
Wo khana khane ati hai or sab mil kar khana khate hai.
Jab sab khana kha lete hai toh ariha k abba ariha se kehte hai.
Ariha k abba,
Dekho ariha aj tumne jo galti ki hai uske liye toh maine tumhe maaf kar diya hai, par dubara kabhi bhi ye galti mat karna.
Agar kisi problem me ho toh phone kar k bata diya karo , is tarah sabko be wajah pareshan karna koi achi baat nahi hai. Koi bacchi toh nahi ho ab tum.
Or ha is arab se thoda door raho.
Acha ladka hai wo, par ladka hai or ladko se tumhari itni dosti mujhe nahi pasand.
Ariha,
Ji abba.
Ab mai jao mujhe neend a rahi hai subha se is sab ki wajah se bahot thak gayi ho.
Ariha k abba,
Ha thik hai jao.
Or wo ariha k room me chali jati hai.
Asad k ghar par,
Asad ki ammi,
Kya hoa beta aj kal tum bahot tense lagte ho koi baat hai toh batao.
Asad,
Wo ammi ek baat toh hai jo mujhe ap se pochni thi.
Asad ki ammi,
Pochu .
Asad,
Rahne de ammi, baad me pochuonga.
Chale khana khate hai.
Sufiya arab k pass jata hai.
Sufiyan,
A
rab kuch pata chala ariha ka.
Arab,
Nahi kuch pata nahi chal ra hai ariha ka mai kabse usse dekhne ki koshish kar raha ho par kuch pata nahi chal pa raha hai.
Sufiyan,
Par aisa kaisa ho sakta hai, hum toh kisi bhi insan ko dekh sakte hai chahe wo kahi par bhi ho.
Arab,
Yehi toh mujhe samajh nahi a raha hai, k akhir q mai ariha ko nahi dekh pa raha ho.
Sufiyan,
Tune achi se dekha hai na.
Arab,
Ha yaar.
Sufiyan,
Ek baar hume apni duniya me bhi dekhna chahiye Chal waha dekhte hai .
Q k hum ek duniya me rah kar dusri duniya me mujud jin ya insan ko na mahsoos kar sakte hai or na hi dekh sakte hai.
Arab,
Ha ye toh mai bhool hi gaya tha. Chal jaldi yaar mujhe ariha ko le kar bahot tension ho rahi hai kahi farah ariha ko kuch kar na de.
Or dono apni ankhein band kar k jinnat ki duniya me a jate hai.
Farah pahle se hi wahi hoti hai, jaise hi Arab or sufiyan k ane ka ahsas farah ko hota hai. Wo ghabra jati hai.
Or wo ariha k pass ja kar usse le kar insan ki duniya me a jati hai or ariha ko le kar ek jungle me chali jati hai.
Wo jungle itni ghana or khoofnaak hota hai k koi insan us jungle ko kareeb se dekh bhi le toh us ki rooh kanp jaye.
Farah waha ariha ko le kar jati hai, or waha ek gufa me leta deti hai.
Uski nigrani karne k liye kai jinnat ko waha rakh deti hai.
Or us gufa k charo taraf koi tilism kar deti hai, jis se koi jin us gufa tak na pohanch paye.
Farah,
Arab Arab Arab, tum ariha ko itni asani se toh nahi dhoond sakte ho.
Atleast shadi hone tak toh bilkul nahi.
Jinnat ki duniya me,
A
rab or sufiyan ariha ko har jagah dhoodh te hai par ariha unhe waha bhi nahi mili.
Arab,
(Zor se chekhta hai)
Aaa,
Kaha ho ariha.
Or wo rone lagta hai. Zameen par baith kar.
Sufiyan,
Arab mil jayegi ariha, toh ye ro q raha hai.
Hum koi insan nahi hai, bas ek jalak ariha ki dekh jaye hum us tak palak jhapakte hi pohanch jayenge.
Chal uth sardar se hum baat karte hai.
Unhe sab pata chal jata hai, wo humari madad kar sakte hai.
Or Arab or sufiyan dono sardar k pass ate hai.
Sardar,
Tumhare yaha ane ki wajah mai achi tarah se janta ho par mai tumhe bata do ki mai tumhari is me koi madad nahi kar sakta.
Tum hamari kaum k hone wale sardar ho, is masle ko tum khud hi hal karo , tumhe sabko dekhna hoga ki mera faisla galat nahi hai , tum ho sardar banne k kabil.
Ha par mai tumhe ek baat bata sakta ho, tum jis ladki se pyar karte ho usse farah yaha se le ja chuki hai, Or wo abhi insano ki duniya me hi hai.
Arab,
Par sardar ap ko toh ye tak pata hai ki meri ariha kaha hai, toh phir ap mujhe bata q nahi dete.
Sardar,
Bataya toh tumhe maine, Or agar maine tumhaari madad ki toh hamari kaum me bahot bada fasad ho sakta hai .
Arab,
Thik hai.
Or arab or sufiyan insaano ki duniya me a jate hai.
Sufiyan,
Ab ek baat toh saaf hai, k ariha yahi hai ek baar phir se hum dekhte hai kya pata is baar ariha ka pata chal jaye.
Arab,
(Uski aankho me aansu hote hai)
Ha.
Or dono ankhein band kar k ariha ko mahsoos kar ne ki koshish kar te hai.
Lekin phir bhi unhe kuch pata nahi chalta.
Arab,
Darakht par hath marta hai or wo darakht gir jata hai.
Kaha hai ariha mai nahi dekh pa raha ho usse , kya karo mai.
(Wo rono wale leheje me kehta hai, uski ankhein laal ho jati hai)
Arab,
Ab mai farah ko jaan se maar donga phir ariha ko dhoondh longa.
Or wo waha se gayab ho jata hai, or farah k room me a jata hai.
Farah shadi k liye kapde select kar rahi hoti hai. Bahot Sare kapde bed par rakhe hote hai .
Arab ko dekh kar farah khush ho jati hai .
Farah,
Arab tum yaha, mujhe toh laga k tum kal se pahle apni shakal nahi dekhaoge .
Par khair chodo ab a hi gaye ho toh ye dekho mai humari shadi k liye kapde select kar rahi ho.
Ye dekho na kitna khubsurat hai mai ye pahnogi or tumhare liye wo dekho.
Acha hai na(arab khamoshi se usse dekh ta rahta hai)
Farah arab k pass a kar uske kandhe par hath rakh kar kehti hai.
Arab farah ko zor se piche dhakka deta hai.
Arab,
Door raho mujhse kaha hai meri ariha ?
Farah,
What, tumhe aisa lagta hai k tum pochuge or mai bata dongi.
Pyar me pagal ho gaye ho kya jo aisi batein kar rahe ho.
Arab,
Farah dekho mujhe aisa kuch karne k liye majboor mat karo jo mai karna nahi chahta.
Farah,
Kya karoge?
Kuch nahi kar sakte tum .
Arab,
Acha, is galat fahmi me mat rahna k tumhari is harkat se mai haar maan jaonga or tumse shadi kar longa.
Farah,
Galat fahmi, hahaaha ye tum likh lo kahi par k mere hote hoye tum or ariha ek nahi ho sakte.
Arab,
Pata hai is waqt mera maan kya kar raha hai, k tumhaari jaan le lo par pata nahi q mai rok ja raha ho.
Farah,
Mujhe pata hai, q k tumhari ariha mere pass hai or tumhe pata hai mujhe koi cheez nahi roke gi uski jaan lene se.
Agar ye shadi nahi hoyi toh tum bhi maan jaoge k Farah apni zabaan ki pakki hai.
Arab,
(Zor se kehta hai)
Himmat bhi mat karna, ariha ko ek kharoch bhi nahi honi chahiye, warna bahot bura ho jayega.
Sab kuch tabaah kar donga mai .
Or wo waha se chala jata hai.
Arab k jane k baad Farah gusse se chekh time hai, or waha se nikal kar ariha k pass jane lagti hai
Tabhi sufiyan Farah ka picha karta hai.........
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top