JIN KA PYAR (PART 24)
Assalamualikum
Jin ka pyar;
Online novel by;
Chahat Akhtar shaikh.
Ariha ki baat sun kar Arab ko bahut gussa ata hai.
Wo dusri taraf mod kar apne gusse ko kabu me karne ki koshish karta hai, uski ankho ka rang badalne lagta hai.
Wo ariha ki taraf nahi dekhta, wo darta hai ki kahi wo apne gusse me ariha ko koi nuksan na pohcha de.
Wo apne dant pis kar rah jata hai.
Ariha,
Tum apne ap ko samjhte kya ho, mujhe abhi mere ghar par wapas chodo.
Arab ariha ki baat ka koi jawab nahi deta or na hi uski taraf dekhta hai.
Ariha,
Tum sun rahe ho, mujhe mere ghar wapas jana hai.
Waha kya dekh rahe ho.
(Or wo Arab ka hath pakad kar usse apni taraf modne k liye uske pass jati hai ,
Tabhi Arab palat jata hai or ariha ka hath pakad leta hai)
Arab ki aankho me itna gussa or taish dekh kar ariha gabbra jati hai.
Ariha,
A, aaa, Arab chodo mera hath mujhe dard hora hai.
Chodo, (ariha ki ankho me ansu a jate hai)
Arab,
(Ariha ki ankho me ansu dekh kar Arab usse chod deta hai)
Mujh se jhoot q bola, kya kar rahi thi tum asad k sath, maine mana kiya tha na tumhe usse baat karne k liye usse milne k liye.
Ariha,
Tum hote kon ho mujhe rokne wale, or q manu mai tumhari baat .
Arab,
Mai tumse pyar karta ho, or ha tumhe aj ek baat bata deta ho tum sirf meri ho, or tumhe me apna bana kar hi rahonga.
Ariha,
Bakwas band karo apni, koi film dekh kar aye ho kya, jo is tarah ki batein kar rahe ho.
Dekho Arab mera is waqt tumse ladne ka koi mood nahi hai, isliye acha hoga k tum bhi apna ye darama band karo or mujhe mere ghar par chod do.
Ammi abbu pareshan ho rahe honge.
Arab,
(gusse se ariha ko dekhta hai)
Kya kaha tumne natak, mera pyar tumhe natak lagta hai.
Or wo zor se car k agee wale hisse par hath marta hai. Jis car k sheshe bure tarah se toote jate hai or car agee ki taraf se zameen me gos jati hai.
Ariha,
Der kar apne kano par hath rakhti hai, or jab car ko dekhti hai toh us k hosh udd jate hai.
Ye ye kya kiya tumne, kaise kiya wo palat kar Arab se pochti hai, par Arab waha nahi hota.
Arab ko waha na pa kar wo der jati hai , or wo zor zor se Arab ko awaz dene lagti hai.
Ariha,
Arab
Arab, kaha ho tum dekho mere sath mazak mat karo mujhe der lag rah hai.
Arab.
Par usse apne as pas koi nazar nahi ata, wo apne charo taraf dekhti hai, or kuch door chal kar bhi dekhti hai, par Arab k na milne par wo phir car k pass a kar khadi ho jati hai.
Ariha ke ghar par,
Ariha ki bahan anam ariha k room me kuch lene k liye ati hai, tabhi wo ariha ki locket dressing table par dekhti hai.
Anam,
Wow kitni pyari locket hai, di ne mujhe dikhayi bhi nahi, dekhe zara mujhe par kaisi lagti hai or anam wo locket (taveez) pahan leti hai. Or apna saman le kar jo wo lene ayi thi le kar chali jati hai.
Dream cafe.
Asad ko bahut gussa ata hai jo uske sath hoa isliye, wo gusse me cafe se nikalta hai, or apni car me baithta hai or kehta hai.
Asad,
Arab, bahot badi galti kar di tune mujh se ulajh kar, ab mujh se ulajhna bahot mahanga padega tujhe.
Or wo apni office me jata hai,
Or sochta hai ki akhir arab k collar pakadne par wo usse choda q nahi pa raha tha.
Asad,
Aisa kaise ho sakta hai, usne mujhe pakda or mai hil bhi nahi pa raha tha. Or wo apne manager ko bulata hai, wo ata hai.
Maneger,
Ji sir.
Asad,
Suno tum apni pori taqat se mere dono hath ko pakdo.
Or ha pori taqat se k mai choda na pao.
Maneger,
Par sir, mai ye kaise kar sakta ho.
Asad,
Mai keh raha ho na, pakado.
Maneger usse pakad ta hai, or phir Asad usse choda leta hai.
Ok, tum jao
Or wo chala jata hai.
How this is possible, ye Arab koi bhoot toh hai nai jis ka samna mai na kar pao.
Tu subha me mujhe kya ho gaya tha.
Kuch samajh nahi a raha, or wo apne ghar pe chala jata hai.
Ariha ka ghar,
Ariha k abba,
Ye ariha kaha gayi hai, ab tak ayi nahi kuch bata kar gayi hai k wo kaha gayi hai.
Ariha ki ammi,
Nahi mujhe usse kuch nhi bataya, ap usse call kar ye.
Ariha k abba,
Mai usse kai baar call kar chuka ho par wo receive nahi kar rahi hai.
Acha roko mai sana ko call karta ho.
Sana,
Assalamualikum uncle.
Ariha k abba,
Walekumsalam beta, ariha tumhare sath hai, kya?
Sana,
Nai uncle, mai toh college me ho or wo college nahi ayi hai, kya hoa uncle koi problm hai kya.
Ariha k abba,
Nahi beta wo keh kar gayi hai k kuch kaam se ja rahi ho, or ab tak nahi ayi mujhe laga tumse milne gayi ho gi.
Sana,
Nai uncle mere sath toh nahi hai, roko mai college me dekhti or or baki friends se bhi puchti ho phir apko call karti ho.
Ariha k abba,
Thik hai beta, jaldi batao, wo call bhi receive nahi kar rahi hai mujhe tension hori hai.
Sana,
Ap tension na le uncle me college me poch kar ati ho ghar par.
Ariha k abba,
Thik hai beta.
Sana pore college me ariha ko dhondhti hai par ariha usse kahi nahi milti, wo ariha ko call karti hai par wo phone receive nahi karti.
Sana arab ko call karti hai, arab bhi phone receive nahi karta, tab Sana sufiyan ko call karti hai.
Sufiyan,
Hii,
Sana,
Arab se baat karni hai, usse baat karwa do.
Sufiyan,
Kya hoa, is everything all right.
Sana,
Yaar ariha kab se ghar par nahi ayi hai, sayad arab ko kuch pata ho.
Sufiyan,
Roko mai uske room me ja raha ho.
Nai hai, arab toh ghar par nahi hai.
Tum kaha ho mai ata ho.
Sana,
Tum ariha k ghar par hi a jao mai wahi jari ho.
Sufiyan,
Ok.
Sana,
Arab subha ariha k baare me mujhse poch raha tha, or wo kafi, gusse me bhi lag raha tha, kahi Arab hi toh ariha ko kahi le kar nahi gaya.
Oh no ab mai kya karo, kaise pata karo ye Arab ariha ko kaha le kar gaya hai.
Sufiyan,
Mujhe jaldi ariha kaha hai pata lagana ho gaya, kahi Arab gusse me kuch kar na baithe.
Or ariha k ghar k liye nikalta hai, or farah uski sari batein sun leti hai.
Farah,
Ye sufiyan ki batoon ka kya matlab tha, kya hoa hai ariha or Arab k beech me, mujhe pata lagna hi hoga, taki mai in sari bato ka fayada utha sako.
Or farah invisible ho kar ariha k ghar pohanch jati hai.
Or waha usse pata chalta hai ki ariha subha se ghar nahi ayi, uske ammi abbu kafi tension me hote hai, sham ho chuki hoti hai.
Sana or sufiyan bhi ariha k ghar par hi hote hai.
Asad apne ghar par ata hai, apne room me baitha hota hai, tabhi uski ammi ati hai.
Asad ki ammi,
Asad beta kya hoa thode preshan lag rahe ho.?
Asad,
Nahi ammi bas office ki thodi tension hai kuch khas nahi hai.
Asad ki ammi,
Thik hai, acha wo ariha ki family ne koi jawab nahi diya ab tak, mai soch rahi ho mai kal khud hi unhe call kar k baar karo.
Are bhai mere bete jaisa damad unhe kahi nahi milne wala , itna bhi kya sochna lakhi me ek hai mera beta.
Asad,
Nahi ammi, ap call mat karna unhe sochne k liye thoda or time de, kuch dino me agar unka jawab na aya tab ap call kar lijiye ga.
Asad ki ammi,
Thik hai beta, chalo khane k liye a jao.
Asad,
Ji ammi.
Sufiyan,
Apni power se Asad kaha hai ye dekhne ki koshish karta hai, par wo pata nahi laga pata, q k Arab me kuch aisi powers hoti hai, jiski wajah se koi bhi dusra jin usse kabhi bhi dhoondh na paye.
Sufiyan Arab se baat karne ki koshish karta hai, par Arab usse koi jawab nahi deta.
Sufiyan,
Jawab de Arab, ye tu kya kar raha hai, kaha hai tu, or or ariha tere sath hai na.
Arab,
Ha mere sath hai ariha.
Sufiyan,
Allah ka shukar hai tune jawab diya, kaha hai tu bata Mai a raha ho.
Arab,
Koi zarurat nahi hai, yaha ane ki, ariha thik hai or mai bhi .
Tu fikar mat kar.
Sufiyan,
Tu kaha hai, bas ye bata?
Arab,
nahi.
Sufiyan,
Mai Arab koi nahi dekh sakta par ariha ko toh dekh sakta ho na, mai bhi kab se in insano ki tarah pareshan ho raha tha.
Or wo apni ankhein band karta hai, or ariha kaha hai ye dekhta hai.
Usse pata chal jata hai, or wo jaldi se car me baith jata hai ariha or Arab k pass jane k liye.
Farah bhi sufiyan k piche jati hai......
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top