JIN KA PYAR(PART 13)

Assalamualikum
Jin ka pyar,
Online novel by,
Chahat akhtar shaikh💓💓.

Arab apni abbu ki awaz sun kar ariha ki call rakh deta hai, or apne abba k pass jata hai.

(Arab) _ ji abba ap ne mujhe bulaya.


(Arab k abba) _ ha kuch baat karni thi tumse. Chalo mere sath study room me.

Or dono study room me jate hai.

(Arab) _ kahiye abba

(A abba) _ tum pata kiya ki un ladko ko kisne mara hai?

(Arab) _ nai abba maine bahot khushish ki apni power se bhi pata karne ki koshish ki par kuch nai pata chal raha hai.

(A abba) _ ha pata tha mujhe sun jin ne bahot pakka kam kiya hai.
Par wo bhul gaya ki humare sardar k nazar se wo nahi bach sakta.
Mai aj raat ko humari duniya me ja kar apne sardar ko sab kuch bata k un se pochne wala ho k akhir ye kisne kiya hai or wo bas kuch hi pal me hum sab sach bata denge.

Un ki power se kuch nai chup sakta.
Tum bhi sath chalna or ha is bare me ghar me bhi kisi ko nai batana.

(Arab) _ ji abba.
Ye apne pahle hi q nai kiya ab tak hume pata chal jata ki wo kon hai.

(A abba) _ ab ja rahe hai na bas jayada sawal mat karo jao ab ja kar khana kha lo or aram karo adhi raat ko hume jana hai.

Arab waha se chala jata hai, or Arab k abba sochte hai ab toh pata chal hi jayega ki wo kon hai . Or wo bhi khana khane k liye chale jate hai.

Khane ki table par sab hote hai bas Farah nahi hoti, Farah ki ammi usse buland k liye servant ko bhejti hai, par wo nahi ati tab us ki ammi khud jati hai par tab bhi Farah nahi ati.

Arab ki ammi poch time hai ki Farah kaha hai toh Farah ki ammi kehti hai apne kamre me hai kab se bola rahi ho par nahi a rahi hai gusse me muh pola kar baithi hai or bata bhi nahi rahi ki q gussa hai.

Arab ki ammi kahti hai mai bola kar lati ho toh, sufiyan kehta hai ap baithe chachi mai jata ho.

Or sufiyan Farah k kamre ki taraf jata hai, knock karta hai Farah door open karti hai .

(Sufiyan) _ kya yaar tum bhi Arab ki baat par itni der se muh polaye baithi ho, chodo usse chalo khana khane.

Or wo Farah ka hath pakad kar usse chale k liye kehta hai.

Tabhi Farah gusse me us ka hath jhatak kar us se kehti hai.

(Farah) _ tumhari himmat kaise hoyi mera hath pakadne ki, apni haad mat bholu tum se hans kar baat kya kar li toh mere jayada karib ane ki zarurat nahi hai
Dubara kabhi mujhe hath bhi mat lagana warna acha nai hoga.

Sufiyan usse hairan ho kar dekhta hai.

(Sufiyan) _ ye kya bol rahi ho tum hosh me toh ho.

(Farah) _ pore hosh me ho, or tumhari harkate bhi khub samajhti ho, itni care q kar rahe ho meri,?

Kahi pyar toh nai hogaya hai na mujh se?

(Sufiyan) _ shut up, pagal ho gayi ho
J

o kuch bhi bole ja rahi ho, mujhe yaha ana hi nai chahiye tha, jitni izzat tumne ki hai agar koi or hota na tumhari zagah toh uski jaan le leta.

(Farah) _ acha toh meri bhi jaan lu na, mujhe q chod rahe ho, niklo mere kamre se abhi.

(Sufiyan) _ ha ja raha ho mujhe bhi koi shok nai hai yaha rok kar apni bezzati karane ka.

Or sufiyan waha se chala jata hai, sufiyan khane ki table par ata hai toh sab pochte hai ki Farah nahi ayi.

(Sufiyan) _ nai ari hai wo, pagal ho gayi hai .

Toh Farah ki ammi kehti hai rahne do bhok lagegi toh khud hi kha legi.

Or sab khana khane lagte hai. Sufiyan bahot gusse me hota hai par wo zahir nahi karta. Or khana kha kar apne room me chala jata hai.

Ariha gusse me apne bed par let jati hai or Arab k bare me sochti hai ki akhir usne call cut q ki, or apne maan me hi sochti hai ki ab agar Arab ki call ayi toh usse baat hi nai karongi wo in hi khayalo me gum so jati hai.

Farah k room me ,
Farah apne room me bahot gusse me hoti hai, or Arab k bare me sochti hai k wo kaise kisi ladki k liye mujhe se naraz ho sakta hai, kahi wo us ariha se pyar toh nahi karta, tabhi wo in insano ki duniya me aya hai warna kya wajah hai Arab ki yaha ane ki.

Agar koi or wajah hai toh phir koi baat nai, magar agar Arab k yaha ane ki wajah wo ariha hai toh mai usse zinda nahi chodongi.

Bas mujhe ek baar pata chal jaye ki Arab yaha ane ki wajah tum ho, toh tum soch bhi nahi sakti mai tumhare sath kya karongi.

Or ye toh mai kal subah hi pata kar longi. Or wo gusse me apne room ka sara saman tod deti hai.

Arab apne room me baith kar adhi raat hone k intezar karta hai. Ki usse jaldi se pata chal jaye ki akhir kis ne un ladko ko mara or akhir q?

Tabhi usse yaad ata hai ki usse ariha se baat karte time, call ariha ko bina kuch kahe disconnect kar di thi.

(Arab) _ kya karo ab call karo usse nai itni der ho gai hai ab tak toh wo so gayi ho .
Subha baat karta ho ariha se.

Sufiyan apne kamre me ata hai or gusse me sari cheeze ider udher kar deta hai , or zor ki chekh ta hai .

How dare her, wo mujh se is tarah baat kaise kar sakti hai, gussa hai toh kya kaise bhi baat karegi kisi se bhi, ab aye mujh se baat karne tab mai bhi bataya ho.

Or sufiyan so jata hai.

Ariha ki dadi ariha ki taveez ko ek sone ki chain me dal deti hai mulvy sahab se baat kar k or kehti hai subha fajar me ariha ko pahna dongi.

Raat k 3 baj rahe hote hai Arab apni duniya me jane k liye ready hota hai, wo apne abba k pass jata hai us k abba bhi taiyar hote hai dono sath me study room me jate hai sab se chupte hoye k Farah un ko dekh leti hai .

(Farah) _ study room me q jare ho ap dono itni raat me?

(Arab) _ tum se matlab.

(Arab k abba) _ ye kis tarha se baat kar rahe ho Arab, beta wo hum kuch baat karne jarahe the room me Arab ki ammi so rahi hai isliye khair baad me baat kar lenge tum jao apne kamre me. Or hum bhi jate hai. Arab unhe dekhta hai or chala jata hai.

Arab k abba apne mind se Arab ko kehte hai k tum jao or sardar se pata kar k ao mai yaha sab dekh ta ho.

Arab kehta hai thik hai. Or kuch der baad Arab apni ankhein band karta hai or wo apni duniya me a jata hai.

Wo apne sardar k pass jata hai or unhe sab bata ta hai or un se poch ta hai ki akhir kis ne kiya hai ye or q mujhe bataye.

(Sardar) _ ye tumhare kisi dushman ne nahi kiya balki tumhare kisi chahne wale ne kiya hai.

Arab kehta hai, chahne wale ne kisne or q?

(Sardar) _ batata ho?
Wo ek jin jadi hai wo tumse mohabbat karti hai tumhe takleef dene wale k sath wo yehi karegi.

(Arab) - par wo kon hai?

(Sardar) _ Farah.

Arab hairan ho jata hai or sardar ko dekhne lagta hai.

(Sardar) _ yehi sach hai agar tum usse mil gaye toh acha hai agar tumhare or uske beech me koi aya toh wo sab kuch barbad kar degi .

Tum bahot taqat war ho par wo bhi taqat war hai ab jo bhi karna soch samajh kar karna.

Or Arab waha se chala ata hai apne room me or sochta hai ki ab kya kare agar Farah ko pata chala ki mai ariha se pyar karta ho toh wo usse bhi nuksaan pohchayegi.........

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top