jin ka pyaar

Assalamualaikum
Dosto ye meri pahli kahani hai umeed Karti ho ap logo ki Pasand aye ,Achi lage toh comment Kar ke mere hosla afzayi zaroor kare or agar Kuch Galti ho gayi ho toh bhi comment section me zaroor bataye .

Jin ka pyaar
Online novel by ,
chahat Akhtar shaikh.💓

Ye kahani hai ariha or Arab ki

(Ye hai humari kahani k hero Mr Arab raza khan).😎

ariha ek middle class family se belong Karti hai us ke abba(gaffar Ali ) sarkari nukri karte ,or uski ammy (shaheda baigam) house wife Hoti hai,Ghar me is k alawa is ki ek choti bahan or Bhai bhi hai Arman or Anam (ye dono school padhte hai)or in ki dadi afsana baigam. Jo k bahot parhez gar hai wo ariha ko sab se jayada manti thi, jab bhi Kuch Bura hone wala hota unhe ilham zaroor hota.

(Ye hai kahani ki heroin ms ariha khan)😍

Ariha Bsc ki padhai Kar rahi hai wo last year me hai. Wo koi topper nai hai wo hamari hi tarha normal hoti hai padhai me wo padh likh Kar Apne abba ka hath batana

(Ye hai ariha ki bestie Sana)🤗

Aj ariha k college ka pahla din tha or aj hi wo late ho gayi thi jis ki wajah se usse teacher ki Sunni bhi padi thi,ab uska Roz ka mamool hi Gaya tha college se Ghar ,phir Ghar k Kuch kamo me ammy ka hath batati phir apni study Karti or phir so jati .
Ek Raat jab ariha so rahi thi toh usne khawab me Dekha k wo bikul andhere kamre me hai or wo roo rahi hai tabhi usse ek hath bachane k liye ata hai par wo usse bacha Nahi pata or dar Kar ariha ki ankh khool jati hai,wo sochti hai padhai ki tension me Dekha Hoga or phir so jati hai,
Subha ariha apni dadi ko apna khawab sunati hai ,uski dadi Der jati hai par ariha par apna Der zahir Nahi hone deti or usse sambhal Kar rahne ko kehti hai toh ariha kehti hai ap dare NAI dadi ye bas ek khawab tha isse derne ki koi zaroorat Nahi hai.
Ariha college k liye nikalti hai toh uski bike raste me kharab ho jati hai toh wo riksha Ka wait Karne lagti hai tabhi usko aisa Lagta hai Jaise usse koi Dekh Raha hai par wo dhiyan Nahi deti or riksha Kar k college jati hai ,jab ariha college ati hai toh usse uski dost Sara batati hai k unki class me koi new admission Aya Jo bahot amir hai aj Pori college me sab usi ki baat karre hai ,pata nai wo kaisa or kya pata wo mujhe dekhe or usko Mai Pasand a jao or hum shadi karle or hasne lagti hai ,tab ariha kehti hai k usse is sab se koi farak nai padhta chalo class start hone wali hai,par us k bhi maan me us ladke ko dekhne ki khawahish Hoti hai.
Sab class me hote hai or teacher bhi a jati hai , teacher kehti hai ye new admission abhi tak Nahi Aya ye amirzade khud ko samjhte kya hai padhne ate hai ya pora college kharid liya hai Jaise ,tabhi darwaze par se awaz ati hai Kuch nai samjhte hum khud ko log hi hum bahot Kuch
samjh te hai Jaise k app khud ko hi Lele. Or keh Kar class me a Kar bhaith Jata hai sab usi ko dekhte hai , teacher usse Kuch kehti Nahi or sab ko apni book nikalne ko kehti hai ,par ariha ko us ladke ka ye attitude bikul Pasand Nahi Aya or wo maan me kehti hai Kitna attitude hai isme,or Sara usse kehti hai wah kya style hai hero ki Tarah ,naam bhi toh hero ki tarha hai ,arab raza khan naam se hi nawab Lagta hai ,tabhi ariha usse kehti hai chup Karo .

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top