JEENA HAI... TERE BIN..!!!

Waqt guzarta gaya...
par aaj bhi woh waise hai..
jaise saalon pehle the...
Iss dil ko shayad aaj bhi unhi ka intezar hai...
Kambaqt yeh raah hai..
jispe chal pade hai hum..
jahan se wapas lautna namumkin hai.. 
Leikin.. jeena hai.. 
tere bin..!!

Jaanti hoon ki waqt aage badh chuke hai..
Zamana aage badh chuke hai..
Log badal gaye..
Aur nazariye bhi shayad..
Par!
Woh shayad aaj bhi wahi khada hai..
Aur humare rooh bhi..
Kyun ki..
zindagi ke paiyyen kisi ke liye bhi nahi rukthi..
Leikin.. jeena hai.. 
tere bin..!!

Woh wahi khada hai aaj bhi..
Isi viswas mein ke ..
ek din woh laut aayein..
jisse iss kahani ki shuruwat hui..
Par..
Nahi laut sakti woh ..
kyunki.. 
woh kisi aur ki amaanat ban chuka hai..
lakeeron mein jo likha hai..
Jeena hai..
tere bin..!!

Na woh kuch kar paaya...
Na main kuch keh sake..
itna toh zarur jaanti thi ke
bichadna tha ek din inn
do dilon ko..
jo ek waqt ek dusre ke hone ki khwaab
aankhon mein sajaye baithe the...
Kyunki ishq karna likha tha lakeeron mein..
par...
milan ke lakeer kheechna bhoola khuda ne..
Aaj bhi jee rahi hu tere bin..
aur sawal ek... kab tak jeena hai..
tere bin..

Aaj iss intezar mein hai woh dono...
ke ek pal aisa aayega jab yeh intezar khatm hoga..
Ek din aisa hoga jab kismat
unke ishq ka imtehaan nahi lega..
aur karenge thoda rehm unpe..
ishq jo abhi sabhi ke nazron mein gunaah hai..
woh ek din banege
Misaal-e-Mohabbat..!
abhi iss ishq ko aur dherr sare imtehaan ka
karna hai saamna..
aise chunotiyon se guzarna hoga
jo inke rishte par sawal uthaye..
Aur woh ishq hi kya
jo aasan raah pe chal pade..
abhi aage chalna hai..
tere bin..

Ek din aisa aayega..
jab yeh ishq mohabbat mein aur
mohabbat ibaaddat mein badlega..
kyunki.. jo intezar ke aag mein tapke
sone tarah nikrega..
par.. abhi zinda hai..
bina ek doosre se mila..
bina kisi khabar ke..
sirf apne ishq ke viswas par...
waqt ek aisa aayega..
jo gawah banega inke milan ka..
humesha ke liye...
tab tak jeena hai..
tere bin..

Kya milan hi mohabbat ka 
paribhasha hai..??
Agar aisa hai toh kya
Laila Majnu ki dard bhari daastan hoti..?
Hoti Heer Ranjhe ki kahani jo
kisi berukhi berehm insaan ke seene mein bhi
dhadkan ka ehsaas karate..?
Yeh sochne ki baat hai..

Pyaar ishq mohabbat
naam alag-alag hai..
par juzbaat jo iss shabd se judi hai
woh dil se hai.. jo dil ko chu jaaye..
Iss ke liye sirf ek dhadkta dil
aur iss dhadkan ko kayam
rakhne ke liye saans aur himmat chahiye..
jo tab hote hai.. 
jab woh ek doosre ke saath..
ek doosre ke liye khade hote hai..
yeh ehsaas hi kaafi hai..
Jo hume yeh viswas dete hai..
Jahan kahin bhi hai.. jaise bhi hai...
Sahi salamat hai..
Yehi toh khubsoorti hai.. pyaar ki..

Par... kehte hai.. jahan pyaar..
wahan takrar hai.. 
yahan bhi wahi halat hai.. 
jab jogi wapas aaya toh dekha
jogan ki haath mein kisi aur ki
mehendi rach gayi...
aur unhone use bewafa samjha...
Jogan ki badkismati thi woh
jo hua tha...
woh jogan uss jogi ko batana chahti thi..
yeh kyu hua..
par jogi ne uski ek baat nahi maani..
aur jogan ko iss baat ki tasalli hai ke
jis jogi ke liye uski dil dhadakti hai..
woh sahi salamat hai...
Isi tasalli ke saath
woh iss zindagi kategi..
use woh mile ya na mile
nafrat mile ya phir pyaar..
usse koi lena dena nahi hai...
jo hai.. jaisa hai..
uske liye sab ishq hi toh hai...

Unko salamat rakhne ke liye
woh nafrat ki zehar ho
ya dhokebaaz hone ka ilzaam ho...
sab manzoor thi..
kuch bhi karne ko thaiyyar thi..
Uske liye yeh sab bhi toh ishq ka hi
doosra rang hai..
kyunki.. uske liye woh kismat se mila
anmol taufa hai..
jise woh apne dil aur dhadkan mein
sambhalkar rakhegi..
ab jitni bhi waqt bacha hai..
Woh uski yaad aur
intezar mein.. 
Jeena hai..
Tere Bin..!!



Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top