Special Wish

1 Year later

Luthra Mansion

Rakhi - Mahesh ji ye galat baat hai...aapne apne bete ke birthday ke naam par kitni mithai khaali hai subah se!

Mahesh - ha to mere khote hai birthday hai..Tkl ka birthday hai bhai...mithaaiya bhi na khaau mai!!

Rishab - mithaai khaane par rok nahi hai...par aap khud ko dekho jara mithaaiyo me dub chuke ho!!

Mahesh - ha to mai...khushi mana raha hu!!

Kareena - bhai...aapka na kuch nahi ho skta!

Kritika - waise Sameer bhai nahi dikh rahe!

Bani - puttar Sammy ko maine bheja hai kuch saaman mangwaane!aata hi hoga!!

"Aagya aagya Dadi"

Sameer came from back,

Sameer - Dadi...sab kuch order kr aaya hu...so don't worry!

Rakhi - acha kiya puttar...Karan ki birthday party me koi kami nahi honi chahiye...aakhir mera puttar itne mahino se chup sa hogya hai!!

Sameer - par chachi agar bhai iss party ke liye nahi maane to?

Rishab - dar to mujhe bhi yahi hai!par ek kaam karte hai mai aur Sammy jaakar usse baat krte hai!!

Sameer nods,Rishab and Sameer left to Karan's room,

They entered his room and saw him sleeping on bed,they looked around and sighed, curtains were pulled,it was dark even in morning,

Rishab pushed the curtains off and they both went near him,

Rishab - Karan....Karan uth...kitni der soyega!

Karan(sleepy) - babydoll sone do na thodi der aur!!

Rishab and Sameer looked at each other and then at him sadly,

Sameer - Karan bhai hum hai..utho to!

Karan flickered his eyes and woke up,he looked around and saw them and sat on the bed,

Karan - tum dono subah subah yaha!

Rishab(chuckles) - mere bhai 9 bajne par subah subah nahi kehte!!

Sameer - kya aap bhi Rishab bhaiya!!baaki baate baadme...pehle main chiz!

Rishab - are haa!!

Karan(confused) - main chiz?kya?

Rishab and Sameer smiled and hugged him from either side,

Rishab/Sameer - Happy Birthday Karan/bhai!(broke the hug)

Karan - birthday!!oh haa...aaj to!than...thank you!

Sameer - itna rukha sukha thank you?Karan bhai aapka birthday hai aaj...aur har saal to aap pura din uchalte rehte ho apne birthday ke din!

Karan - har saal khush rehta tha isiliye...par iss baar meri khushi ki koi wajah nahi hai!!kuch special nahi hai aaj ke din me..roz ke jaisa hi hai...mai usse miss krunga...par wo wapas nahi aayegi!

Rishab - tu aisa kyu sochta hai Karan!! hum sab jaante hai ki ek na ek din Preeta ji wapas aa jaayengi!

Karan - uss ek din ka mai pichle ek saal se wait kar raha hu Rishab...par nahi aayi wo...aur aayegi bhi kyu...maine uske saath!

Sameer - stop blaming yourself bhai!!ek saal se aap guilt me jee rahe ho!!kab tak...

Karan - jab tak wo mujhe maaf nahi krdeti!!mai to usse maafi bhi nahi maang paaya!huh!

Rishab - kya tu bhi ye sab baate lekar baith gaya...chal tu freshen up hokar ready hoja..shaam ko teri birthday party bhi arrange hui hai!!

Karan - koi party nahi ho rahi!

Rishab - par Karan....

Karan - nahi krni mujhe koi party!!nahi manana apna birthday mujhe!!

Sameer - lekin Karan bhai....

Karan(angrily) - maine kaha na koi party nahi hogi!aur agar mere mana krne ke bawajood hui...to mai aaj kahi aur chala jaaunga rehne!!

He left to washroom angrily while Rishab and Sameer looked at each other sadly.

Bangalore

Mayank - Shristi wapas kar...mai keh raha hu mera phone wapas kar!

Shristi - ha ha taaki tu uss Jenny se baat krske haina!!

Mayank - yaar wo bas ek dost hai!!

Shristi - ha bete...sab smjhti hu mai!!

Sneha - are are bas karo dono!kya chal raha hai!!

Shristi - chachi....apki bahu aane waali hai bahot jld!!

Sneha - kya????sach Mayank?

Mayank - are maa aap bhi kya iss jhalli ki baato me aati ho?

Shristi - teri to...chor baksh diya tujhe huh!

She leaves to room,she enters and sees Preeta standing at the window seeing outside,

Shristi - kya dekh rahe ho di?

Preeta - kuch ni bas asehi...aaj ka din bahot acha lag raha hai!

Shristi - kyu?aaj aisa kya khaas hai??

Preeta(smiles) - bhul gayi na tu!

Shristi(confused) - kya?

Preeta - Bajarbattu ka birthday hai aaj!

Shristi looks at her,

Shristi - aapko yaad hai!

Preeta - kabhi uska koi special day bhulti hu kya mai?

Shristi - itna pyaar krte ho unse?

Preeta - bahot pyaar!!pyaar ki aakhri had tak usse pyaar krti hu mai bajarbattu se!

Shristi - to wapas kyu nahi chlte aap Karan sir ke pass di?

Preeta - tune shayad suna nahi Shristi...mai apne Bajarbattu se pyaar krti hu...Karan Luthra se nahi!!uspe wo mujhe vishwaas nahi hai!

Shristi - maa ne bataya tha di ki Karan sir ko sachai pata chal gayi hai...wo guilt me hai!phir bhi!

Preeta - uska guilt..mera pyaar...hamara vishwaas...sab ek maanjhe me bandh chuka hai!

Shristi - pichle ek saal se bahot confusing baate krne lage ho aap!

Preeta - ussi ka asar hai!(chuckles)

Shristi - unko wish bhi nahi kroge?

Preeta - maine apni wish bhejdi hai!!

Shristi(shocked) - mtlb?

Preeta smiles.

Later in evening

Luthra Mansion

Everyone was sitting in the hall sadly,

Rakhi - pehli baar mere Karan ka birthday aisa rukha sukha hai!!

Kritika - bhai to aaj room se bahar tak nahi nikle!

Rakhi - jaanta hai ki niklega to hum usse force krenge...isiliye!!

Suddenly door bell rang, Girish opened the door and saw a delivery boy,he took the parcel and closed the door,

Rakhi - kon tha Girish?

Girish - mam ye parcel aaya hai Karan sir ke naam ka!!

Sameer - la mujhe de!mai bhai ko dedunga!

Girish nodded and gave him the parcel,Sameer was about to go upstairs,

Rishab - are ruk...Karan neeche hi aagya!

Karan came down and looked at him,

Karan - kya hua?kuch kaam tha kya mujhse?

Sameer - bhai ye aapka parcel aaya hai!

Karan(confused) - parcel?

He took the box and started unwrapping it, he opened it and saw a wrist watch in it!

Rakhi - ye kya hai?watch?ye tujhe kisne bheja?

He took out a the box and turned it and was surprised seeing something,

"Happy Birthday Bajarbattu" was written on the box

He smiled widely,Sameer saw the box,

Sameer - Happy Birthday Bajarbattu!iska mtlb ye Preeta bhabhi ne bheja hai!!!

All looked at him shocked and happily,

Rakhi - Preeta ne!

Karan(happily) - babydoll ko yaad tha aaj ka din!!usne...usne mujhe ye...usse acha mujhe koi nahi jaanta!!usne ye gift mere liye!! babydoll!

Sameer - bhai yaha ek letter bhi hai!!

Karan took it and opened the letter,

Karan,

Happy Birthday!!I hope ki tum khush hoge!!mai iss letter me tumse koi puraani ya dukh waali baat nahi krungi!aaj tumhara special day hai...aur mai isse bigaadna nahi chahti!I know tum surprised hoge ek saal baad achanak se mera ye letter dekh kar...par kya karu tumhara birthday ho aur mai wish na karu aisa ho skta hai kya!(he smiles) maa ne mujhe bataya ki tumhe sachai pata chal gayi hai...and I know tum guilty bhi hoge..par kya karu Karan mai pichla sab kuch nahi bhula paa rahi(he reads it with tears) acha choro...waise tumhe pata hai...maine tumhara koi match miss nahi kara iss ek saal me...hmesha tumhare match se pehle tumhari jeet ke liye bhagwaan se wish maangti hu..(he smiles tearfully) waise ek baat hai ha...tumne beard badha li hai...mujhe pasand nahi aayi...trim krlena haa..warna schke Kabir Singh lagne lage ho!!(he chuckles) maine job krni suru krdi hai...Shristi interior designer ka job Kar rahi hai...are haa...Sammy ko meri taraf se sorry kehna haa...meri aur tumhari ladai me Sammy aur Shristi bhi alag hogye!(Sameer nods in no tearfully) waise ek baat haa..I hope tum Mayank aur mujhe lekar jealous nahi hote ho...don't worry haa..wo sirf mera dost hai...he likes someone else..so tum jealous Luthra mat ban jaana(he chuckles) acha...Rakhi maa...Mahesh papa...Dadi...Bua...Rishab ji...Sammy... Kritika ko mera pyaar dena..mai sbko miss krti hu..aur Shristi bhi sbko bahot miss krti hai!!(they smile)mujhe nahi pata mai wapas aaungi bhi ya nahi!I am sorry for that!(he cries reading) acha ek last baat haa...tumhara birthday hai isiliye ye bata rahi hu...chahe maine tumhe apna mangalsutra wapas kardiya ho...par tumhare naam ka mangalsutra ab bhi pehen rahi hu...yaad hai shaadi se pehle mall me tumne kharida tha...whi!bas ab jyada udne mat lgna...aur ye mat sochna maine tumhe maaf krdiya!

Wish you a very happy birthday again!
Goodbye!

Tumhari Babydoll!

The letter ended leaving everyone in tears!Karan kept the letter close to his heart and cried his heart out,

He was happy, sad, guilty but surprised to know she still cares for him...remembers him!

Karan(whispers) - I love you babydoll!I love you!tum jaanti thi tumhare bina mai khush nahi hounga..isiliye tumne ye!

On the other side....Preeta was smiling looking at the moon thinking about Karan!

Preeta - tumhare special day par tumhe dukhi nahi rehne de skti mai Karan!!maafi chahe na di ho tumhe...par pyaar to krti hu na apne bajarbattu se! Happy Birthday Bajarbattu!

They both smiled in tears.

To be continued.




Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top