Iam With You
Continued, in the hospital....
AS- Aap sab humari baat maniye aur apne apne ghar jaiye. Hum hai yaha.
HM- Par Anubhav
AS- Haseena ji aap sab 3 dino se acche se nahi soe hai. Abhi ghar jaiye, aur araam kariye.
A nurse came...
N- patient ko hosh aa gaya hai aap mil sakte hai.
AS- Ji dhanyavaad. Hum mil lete hai.
He went inside.
SS- MS (yawning) hume bhi milna hai kya.
HM- Ek baar mil toh lete hai, dekhe toh aakhir aisa kya hai is Radhika mein ho inhe itni chinta ho rahi hai. (She mumbled the last line)
SS- MS chaliye na
HM- ha.. ha chaliye
Inside....
HM felt a tinch of jealousy in her when she saw Anubhav siting close to her and had kept his hand on her (Radhika's forehead)
AS- Radhika yeh hai MPT team. Jinhone hume bhi bachaya aur us Anthony ko maarne mein madad bhi ki.
Radhika (Rk)- Thank you so much, aap sabne humari bohot help ki.
KS- Aree Radhika ji yeh toh humara farz tha.
HM- Anu... bhav aap batane wale thee ki aap Anthony ko kaise jante hai.
AS- Ha voh darsal hum aur Radhika IB ki aur (side) se ek mission mein kaam kar rahe thee, Anthony ke khilaaf, aur uss par ek mahine se nazar rakhe hue thee. Isliye humari team ke kuch jan uski dainik gatividhiyon ke baare mein jante hai.
SS- sir...
AS- dainik gatividhiyon ka arth hai daily routine.
SS- Wow sir, aap toh antaryaami nikle. (Amazed)
AS- aisa kuch nahi hai SS, humne bas anumaan lagaya.
KS- Toh aapko yeh kaise pata tha ki Radhika zinda hai. Anthony ne toh kaha tha usne inhe maar diya.
AS- Pehle toh hume bhi yehi laga tha, ki usne Radhika ko maar diya hai, parantu jab humne uske paas khade Raghu ke chehre ke haav bhaav dekhe hume yeh gyaat ho gaya ki voh jooth bol raha hai.
CC- Sir humara bhi ekko prashn hai. Puche
AS- Bilkul puchiye
CC- Agar voh Anthony itna hoshiyaar aur satark tha toh jab hum uske aadmi ko pakad kar laaye tabhi voh satark kaahe nahi ho gaya.
SS- Kya baat hai Cheete, bada akalmandi wala question pucha hai tune.
CC- Santuji... Santuji aapko humara prashn accha laga yehi sun kar hum dhanya ho gaye. (He said blushing)
AS- Toh shreemaan Cheteshvar Chaturvedi ji aapko is prash ka uttar janna hai ya aap pehle uj dhanya ho chuke hai. (He said with a sugar coated smile)
CC- Janna hai sir.
AS- Ha toh hua yeh tha ki hume voh Sohan jiska asli naam Chirag tha uss par pehle se hi sandeh tha, aur kal raat hum uske pass gaye aur Anthony ka pata nikalvaya. Aur tabhi humne uske hi phone se Anthony ko phone karaya aur Chirag se yeh bolne ko kaha ki hum behosh ho gaye aur abhi bhi hospital mein hi hai. Jaisa humne plan banaya tha.
SS- Genius sir..
As smiled.
Rk- Par ek baat samaj nahi aayi.
AS- kya
Rk- Yahi ki aap kaise kidnaap ho gaye aur aapne backup force ko kuu nahi bulaya.
AS- Radhika voh hua yeh tha ki......(he tells her everything from phone call to his rescue)...... backup team ko bula hi nahi paaye hum.
Rk- Toh aapke cabin aur ghar mein camere aur mic kisne lagaye.
AS- Abhi pata karna baaki hai, par jald hi pata kar lenge hum, aap chita mat kijiye.
Doctor arrived..
D- ab kaisi tabiyat hai aapki
Rk- better hai doctor.
AS- Doctor sahab inhe discharge kab milega
D- kal dopaher tak inki tabiyat acchi ho jati hai toh kal shaam ko hi.
AS- Ji thik hai. Aur aap sab humari baat maniye aur ghar jaiye, baaki ki baat kal thane mein karenge.
Rk- Aree un sab ko bol diya aap bhi toh jakar aaram kariye.
AS- Hum thik hai aur aaj raat yaha rukne wale hai. Aapko koi aapatti hai.
Rk- na....
AS- Agar hai toh bhi hum rukenge.
Rk- Thik hai ruk jaiye (She said with a smile)
Here Haseena was burning with jealousy, it was not that she didn't believe him, but seeing a girl talking to him so friendly made her jelous.
HM- Hum chalte hai.
MPT- Hum bhi jate hai sir, Jai Hind
AS- Jai Hind
(To Rk)- Hum ek minute aate hai.
In the corridor
AS- Haseena ji, dhyaan se jayega aur pohoch ke durbhaash kariyega.
He said going near her.
HM- hmm.
AS- Kya hua Haseena ji, aapko achanak se abhi kuch der pehle tak toh aap thik thi.
HM- hum thik hai
AS- toh achanak se aapki manodasha parivartit kaise ho gayi
HM- kya kaise ho gayi
AS- aapka mood kaise change ho gaya. Aap humse achanak aise kyu baat karne lag gai
HM- Kam se kam hum baat toh kar rahe hai, aap toh voh bhi bhul gaye hai. Pehle toh jab milte thee tab flirt karte thee ab toh voh bhi nahi karte. (She said grumpily)
AS- Aree baap re, itna bada gunah kardiya humne.... hmm ek kaam karte hai, kal tak aap apni aur shikaayatein ikkathi kar lijiye, kal saari ek saath sun bhi lenge aur aapke saath samay bhi bita lenge. (He said smilingly)
HM- Voh toh kal dekhenge, kitna samay bitate hai aap humare saath.
AS- Abhi aap jaiye, ammi intezaar kar rahi hogi.
HM- ji, thik hai aur kal subah nashta karne ke liye humare ghar aa jaiyega, maa vahi hai.
AS- jo hukum deviji.
She left.
At Haseena's home
Maa- pata nahi kya hua hoga, itni der ho gayi raat ke 12 bajne ko hai, dono ka kuch pata nahi hai.
Ammi- Vahi na behenji, phone bhi toh nahi utha rahe hai.
Till then door bell rang. Ammi opened the door and had a sigh of relief on seeing Haseena.
Ammi- Haseena yeh kya hai, itni der koi lagata hai, aur phone kyu nahi utha rahe thee, aur Anu kaha hai.
HM- Aree ammi shaant ho jaiye saans to lijiye. Uss Anthony ko pakadne mein time lag gaya aur Anu hospital mein hai.
Maa- Kya hospital, kya ho gaya.
HM- Maa Anu ko kuch nahi hua hai, voh bilkul theek hai. Darsal voh.....(she tells about Radhika).... Isliye Anu hospital mein hi ruk gaye.
Maa- Chalo haash matlab ant bhala toh sab bhala.
.........
In the morning, at thana, as usual bakeiti was going on, after 2 days of storm. Meanwhile HM entered...
HM- aap sab logon ki bakaiti kab khatam hogi.
PJ- Jab aapki aur DSP sir ki shaadi hogi.
SS- No no pushpaji aapko lagta hai ki inki shaadi ke baad aap Anubhav sir aur MS ke rishte ko lekar KM ko taane nahi dogi.
CC- Namumkin
KS glared him
SS- Vahi toh MS ki shaadi ke baad toh PJ, MS ke bhi pechee pad jaegi.
CC- MS ke peeche kyu Santuji.
Confused HM and KS looked towards SS.
SS- Offo Cheete MS aur DSP sir ke lalla ke liye.
HM blushed red hearing this.
HM- kaam... kaam kijiye aap sab jab de.. dekho timepass karte hai (She fumbled and rushed to her cabin to escape teasing)
PJ- Isshhhh.... MS sharmagayi.
So this was the 9th chapter of my story "I am With You".
Please do vote and comment if you like it.
Suggestions are always welcome.
Thank you❤
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top