I am With You
Continued from previous part.....
Our Haseena ji, sorry Anubhav's Haseena ji was sitting on the swing embraced in arms of her Anubhav....
HM- Anubhav aapne kaha tha ki aap hume batayenge ki aap uss Anthony ko kaise jaante hai (she said breaking the silence)
AS- Chodhiye na Haseena ji.... Aa matlab priye raat gayi baat gayi.
HM- Nahi hume jaan na hai. (She said stubbornly)
AS- Accha thik hai batate hai.
HM- hmm bataiye
AS- Hum jab IB mein bharti hue hi thee, tab hume ek mission alot hua tha, usmein hume ek human trafficking gang ko pakadna tha. Anthony us gang ka main leader tha, hume aur ek aur ladki jo IB mein thi uska naam Riya tha. Riya aur hum lag gaye usse pakadne mein, aur uss mission ke dauran usne humare saamne apna prem prastaav rakha tha, par humne mana kar diya kyuki uss vakt humare liye uss mission se zaroori kuch nahi tha, humara pehla mission jo tha. Dheere dheere jaise mission apne aakhri padaav par pohocha, hum usse pakadne hi wale thee, aamne saamne thee hum, par achanak hum behosh ho gaye, kisi ne rod maar di thi humare sar par.
HM gasped.
HM- aapne dekha kisne aapko mara, aur aap backup team ke saath nahi ja sakte thee kya. (She said scolding)
AS- Aree shant ho jaiye priye. Batane toh dijiye.
Hum nahi dekh paaye kisne hume mara, aur hum backup team ko bula hi nahi paaye kyunki humara unse sampark toot chuka tha.
HM- phir kya hua
AS- Jab hum theek hue, aur vapis gaye tab hume pata chala ki Anthony bhaag chuka tha, aur usee bhagane mein Riya ka haath tha. Usne khud kubul kiya tha, jab humne uss par batane ke liye thoda dabav dala tab. Uska kehna tha ki humne uska prem prastaav aswikaar kiya tha, isliye usne humse badla liya tha. Us din ke baad humara prem aur dosti par se vishwaas uth gaya tha, aur yahi karan tha ki humme aap par bhi bharosa karne mein itna wakt lag gaya.
Phir ek baar hume pata chala ki humare baba jis mission mein shaheed hue thee, voh bhi Anthony ke khilaaf hi tha. Tab Anthony ekdum naya naya khiladi tha. Baba ko bhi kisi ne chal se maar diya tha. Humne saugan li thi ki baba ko kisi bhi halat mein insaaf dila kar rahenge, aur uss deshdrohi ko pakad ke rahenge.
HM- Toh uss Riya ka kya hua.
AS- Usse IB se nikal diya tha aur jail bhej diya gaya tha.
HM- Aap bohot bahadur hai Anubhav.
He smiled softly.
HM- Accha Anubhav ek aur baat puche (she asked hesitantly)
AS- bejhijak hoke puchiye, aur ab toh hukum dene ki aadat daal lijiye mohotarma. (He said smiling)
HM- Sagai wale din se pehle aap itne kate kate kyu thee, matlab pareshaan bhi thee aap.
AS- Darsal hua yeh tha, jab hum Delhi se aaye uske do din baad humse milne, humare IB ke head aaye thee. Unhone kaha ki hume mission alot hua hai, yahi Anthony wala, us time hum is mission mein akele thee. Sagai ki ghoshna bhi ussi din hui thi, unka kehna tha ki hum sagai mein na aaye kyunki unke liye yeh pyaar, rishte sab kamzori hai. Isliye humne koshish ki thi ki aapke man mein humare liye paida kar sake (He said hesitantly, when he saw her glaring him).
Hum aur kya karte priye. Sir ne kaha ki agar iss mission mein nahi gaye toh desh pe bohot bada khatra aa jayega. Aur aap jaanti hai ki hum apne desh ke liye kisi bhi had tak jaa sakte hai (He said seriously)
HM- Humse baat karte Anubhav, hum nahi rokte aapko apni duty nibhane se (she said with a hurted smile)
AS- Ha hum jaante hai Haseena aap nahi rokti hime apni duty nibhane se, lekin hum kya karte, humare lautne ke chance bohot kam thee, aur ek namoona toh aapne dekh hi liya tha, bas kismat theek thi humari ki aap samay par aa gayi, varna hum zinda nahi bachte, kadwa hai lekin hai yeh Haseena. Aur hum yeh bhali bhanti jaante thee, ki agar hum mission mein shaheed ho jate toh aapke liye apni zindagi mein aage badhna bohot kathin ho jata. Aur hum aapse pyaar karte hai Haseena, kaise aapki khushiyaan barbaad kar dete, aur sabse badi baat, aapki jaan bhi khatre mein pad sakti thi. Hum kaise aapko kuch hone dete. (He asked with tears in his eyes)
HM- Anubhav hum dono pyaar karte hai ek dusre se, har mushkil mein saath nibhana hai hume. Aap vada kariye aage se har baat hume batayenge. Aur jab rishta hum dono ka hai, toh aapka akele ka hak nahi banta koi bhi decision lene ka. Aur aap kabhi humari maut ka karan nahi ban sakte. Humari maut tab hi hogi jab humari kismat mein likhi hai.
AS- Accha theek hai, maante hai humari galti hai, par agar humari jagah aap hoti toh kya karti.
HM- Hum bhi shayad yahi karte Anubhav, lekin ab samaj gaye hai ki abhi humara rishta bohot naazuk hai, aur sirf samay aur humara saath hi isse mazboot bana sakta hai.
AS- Sorry Haseena, hum jaante hai aapko bura laga hoga humari baato se.
HM- Koi baat nahi Anubhav, par aage se aisa khayaal bhi apne dimaag mein laaye hai toh humse bura koi nahi hoga.
AS- bilkul nahi sochenge.
HM- Accha ab aage ka bataiye, aap mission ke liye jaane wale thee toh Radhika kaise aapke mission ka hissa bani.
AS- Darsal humne hi sir se kaha tha ki hume ek smart aur intelligent officer ko appoint kare. Toh unhone Radhika ko bheja. Kyunki voh ek bohot honhaar officer hai (He said with a smile)
Here on seeing AS praising Radhika so much, Haseena again felt a tinch of jealously in her.
HM- (in mind) Aisa bhi kya hi tha uss Radhika mein jo yeh uski itni tareef kar rahe hai. Man toh kar raha hai ki uska sar phod de.
AS- Haseena ji...
HM- Ha ji ji kahiye.
AS- kaha kho gayi aap achanak.
HM- Nahi nahi kahi nahi. (She said with a fake smile)
AS- Ha toh jab aap hume sagai ka card dikhane aayi thi uske kuch samay baad Radhika humare paas aayi aur usne kaha ki voh jaegi mission kr liye. Aur humne bhi ha kar diya yeh soch kar ki Anthony ne hume dekh rakha hai ya voh hume janta hai par Radhika ko nahi. Par humari vajah se uss bechari ki jaan bhi khatre mein pad gayi (He said sadly)
HM- Aapki yeh aadat bohot karab hai Anubhav, har cheez ke liye apne aap ko zimmedaar samajte hai. Har baar galti aap ki nahi hoti hai.
AS- Accha yeh sab baate chodiye aur yeh bataiye aage ka kya plan hai.
HM- Kis baare mein
AS- Uss din Sagai toh ho nahi paayi ab aage kab sagai karni hai.
HM- Jab aap kahe, hum toh aaj bhi kar sakte hai. (She said smilingly)
AS- Karne ko toh hum bhi abhi hi kar le par hum dono ki maatao ne itni mehnat se bada kaaryakram karne ka socha hai toh unki ummedon par paani nahi pher sakte na.
HM- hmm voh bhi hai.
AS- Chaliye ab hum chalte hai, kaafi der ho chuki hai. Kal se vapis duty join karni hai. (He said smilingly)
HM- dhyaan se jaiyega.
AS- Ji
HM- Anubhav.. Goodnight
AS- Shubhratri.
He turned to go when..
HM- Anubhav..
AS- Kahiye..
HM just gazed him silently for some seconds and smashed her lips to his. He was shocked beyond limit and freezed at the spot. HM bit his lower lip to bring him out of the shock, he opened his mouth and let her lips do magic on his. They broke their first ever kiss due to lack of oxygen. Both of them felt heat rising their cheeks and butterflies dancing in their abdomen. She hugged him tightly not able toh look into his eyes, and feeling his heartbeat which was soothing her soul.
HM- I love you Anubhav (She whispered)
AS- I love you too Haseena (He said in same voice)
So this was 11th part of my story I am With You. Please do vote and comment.
Suggestions are always welcome.
Thank you❤
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top