Revelation

"Mai andar aau?" Raghbir heard a voice while his was busy checking some reports. The voice grabbed all his attention...

Raghbir - Pragati tum? (Shocked)

Raghbir ran towards the door and helped Pragati get inside..
He was shocked to see her because there was noone there  with her. He made her sit on the sofa and then kneeled down.

Raghbir - Tum kaise aayi? Nurse kaha thi? Tumne mujhe bula liya hota..

Pragati smiled and hugged him. Raghbir was stunned for a moment but then hugged her back. They broke the hug..

Pragati - I just wanted to thank you. Aapki wajah se mai theek ho rahi hu.. u know mai diwaal ka support lete hue dheere dheere khud se aayi(excitedly)

Raghbir - Tumhe thanks bolne ki koi zaroorat nahi hai.. Aur haa please abhi khud se mat chalo kuch ho gaya toh. Mai koi risk nahi lena chahta please.

Pragati - Par kyu?

Raghbir - Because it's you.. Aur koi hota toh mai mind nahi karta but not in your case. (Realised what he said)
I mean tum abhi weak ho... Abhi khud se chalna tumhaare liye zyada safe nahi hai.. Isiliye..

Pragati - Fine.. Ab mai jaati hu wapas ward mein.. (making sad faces)

Raghbir - Kya hua?

Pragati - Ab mujhse hospital mein nahi raha jaata.. Aakhir kitna aur wait karna hoga wapas jaane ke liye..  Mai pareshaan ho gayi hu ek hi room mein din bhar baithe baithe..

Raghbir - (chuckles) Don't worry bohot jald tum theek ho jaaogi.. Phir khud yaha se nikal kar jaa sakogi.. And I wish iske baad tumhe kabhi bhi hospital ki koi zaroorat na pare...

Pragati smiled.
Pragati - Accha ab mai jaati hu..

Raghbir - Abhi abhi bola tha maine ki khud se mat jaana.. Thodi der Ruk jaao mai bas ye kuch reports dekh raha tha. 10 minute ka kaam hai phir mai tumhe khud ke chalunga.

Pragati - Okay..

Raghbir was doing his work when he heard a knock on the door..

Raghbir went and opened the door and Suddenely was taken into a tight hug.. He was shocked...

Raghbir - (hugging back) Tu!!! What a dhamakedaar surprise Karan...!!!

Karan - (breaking the hug) Aur kya!! THE KARAN LUTHRA ke surprises hote hi dhakkad hai.. Ye bata tu kaisa hai.. Yaar Gazab busy ho gaya hai tu.. Mere liye time hi nahi tha tere paas.. Isiliye mujhe wapas aana para....

Raghbir - Aisa nahi hai mere bhai. Maine teko bola tha na kuch important kaam chal raha hai..

(Raghbir ke dimaag se nikal gaya ki Pragati wahi par hai aur Karan toh abhi tak dekha hi nahi hai usko)

Karan - Aur bata sab kaise hai.. Waise mai na tere liye ek aur surprise laaya hu .. Sun kar maarna mat par... (Sees Pragati) Ye.. Kaun hai??

Raghbir - Vo.. ye..(tensed) Vo..

Pragati - Hi.. I am Pragati. Mai inki patient hu..

Karan went and sat beside Pragati..

Karan - Raghbir.. Jitna mujhe pata hai tere patients bed se uthne ke halaat mein hote nahi hai.. Ye toh yaha araam se baithi hui hai...

Pragati - Mtlb??

Karan - tumhari  koi surgery chal rahi hogi naa..

Pragati - (smiling) Aree nahi nahi.. Ye toh.. Ye mere pairo ka ilaaj kar rahe hai.. Meri koi surgery nahi chal rahi hai..

Raghbir was totally blank now..

Karan - Kya!! Kya!! Kya!! Aree nahi nahi.I think tumhari yaad dasht chali gayi operation ke baad..

Pragati - (laughing) meri yaad dasht kyu jaayegi... Mera dimaag bilkul theek hai.. Aapke friend mere pairo ka treatment kar rahe hai...

Karan - Aree par Raghbir neurosurgeon hai.. Vo pair theek karne lag gaya toh mai kya karunga!!

Pragati - Mtlb?

Karan - Mtlb mai Orthopedic specialist hu.. Aur Raghbir neurosurgeon.. Hindi mein bole toh..

Pragati - Haa samajh gayi mai.. Par.. (looking at Raghbir who was trying to avoid all eye contacts)

Karan - Aree o tujhe kya hua.. Bol naa.. Kya kichdi pak rahi hai yaha?? Ek minute ek minute Kahi ye...

Raghbir (in mind) - He bhagwaan zindagi mein ek baar sacche dil se maang raha hu.. Ek second ke andar andar iss Karan ko heart attack aa jaaye.. Kidney fail hojaaye. Kuch bhi ho jaaye chalega bas ye apna muh na khole..Please..

Karan - Oh my god.. I got it.. Raghbir ye wahi hai naa.. Wheelchair wali ladki..

Raghbir - (in mind) Ab koi fayeda nahi.. Ab mujhe heart attack aa jaaye please..

Pragati - Kya Mtlb? (Confused)

Karan - Aree mai samajh gaya.. Tum wahi ho na jiska purse isne nahi uthaya tha bus stand pe??

Pragati - Nahi..(remembers that incident and understands) I mean haa... (Smiles looking towards Raghbir who stood their all blank)

Karan - I knew it.. Waao.. Hii myself Karan .. Raghbir ne usi din mujhe phone karke tumhaare baare mein bataya tha.. Mujhe laga tha usne aive hi bola hai ki ise tumhaari help karni hai. .But ye toh serious hogya...

Pragati gave him a fake smile..

Pragati - Aaplog baatein karo mai chalti hu.. Karan mujhe door tak pahucha denge kya??

Karan - Sure (helps her stand and drops her till the door)

Pragati leaves.
__________________________________

Raghbir went and sat on his chair with his head down. Karan who closed the door saw him and went to him...

Karan - Kya hua Pareshaan kyu hai? Koi problem hai kya??

Raghbir - Tha nahi.. Tune aati hi create kardiya..

Karan - (tensed) Kya mai jo soch hai??

Raghbir - 24 carats sach..

Karan - U mean maine anjaane mein tujhse mere call kaatne ka badla le liya..??

Raghbir - Sirf call kaatne ka nahi saato janam ke har galti ka badla le liya..!!

End for today!
There were some issues with this chapter so I Published it again. Sorry for inconvenience .

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top