CHAPTER 59
Mata Parvati after hearing the painful voice of her son, caming running to him. She was shocked and taken aback seeing Ganesh's broken tusk.
"Putra ! Yeh kaise huya ?" She asked kneeling in front of him, cupping his face.
Ganesh didn't say anything, a tear rolled down his cheek due to the pain. Mata Parvati then looked at Kartikeya for an answer.
"Kartikeya, kaise huya yeh ?" Mata Parvati asked.
"Pitashree ke aadesh par hum yaha pehra de rahe the Mata, aur tab hi Parshuram Ji yaha aaye. Ganesh ne vinamrata poorv unse anurodh kiya ki woh andar na jaaye, fir krodh mei aake Jamdagneya ne Anuj par apne Parshu se prahar kardiya." Kartikeya said.
At that Mata Parvati snapped her head towards Parshuram, who lowered his gaze realising his grave mistake.
"PARSHURAM AAP-" "Thehero Parvati !" Mahadev interupted her.
"Swami ! Dekhiye aapke shishya ne humare putra ko kaise aahat kiya hai !" Mata Parvati said.
"Parshuram Shishya hai mera Parvati, aur shishya santaan samaan hoti hai. Iske anusaar Parshuram tumhare putra samaan huya. Krodhit na ho." Mahadev said.
"Mata ko krodhit hone ka pura adhikaar hai Gurudev. Mujhse bhishan apraadh huya hai. Mujhe dandit kare." Parshuram said joining his hands.
"Nahi prabhu, mere rokne par aapka krodhit hona swabhavik tha. Mai chahta toh Parshu ka prahaar rok deta kintu isse Pitashree ke diye Parshu ka apmaan hota, iss liye maine woh prahaar apne dant pe le liya jisse Pitashree ke diye Parshu ka maan bana rahe. Isme aapka koi dosh nahi." Ganesh said.
"Yeh sab Mahaganpati ki leela hai, Parshuram aap keval iss leela ka bhaag. Aapke prahaar ne Ganesh ko sampoorn se apoorn kardiya, aur apoornta arthat jigyasa aur karm karne ki prerna." Mahadev said.
"Prabhu Parshuram ne mujh par aakraman nahi kiya, unhone mujhe meri sahanshilta ki seema ka bodh karaya hai. Yeh toh mera uddhar hai." Ganesh said.
"Putra, aaj tum sansaar ki drishti mei aur bhi adarniya hogaye ho. Iss liye aajse yeh sansaar tumhe Ekdant ke naam se bhi jaanega aur yeh naam tumhari stuti mei jud jayega." Mata Parvati said.
"Aur Ganesh ka yeh tyaag vyarth nahi jayega. Bhavishya mei iss dant se ek Maha-granth ki rachna hogi." Mahadev prophecised.
"Prabhu Parshuram, inn sabme aapke aane ka prayojan puchna toh hum bhul hi gaye." Kartikeya said.
"Kumar Kartikeya, samaaj mei agyaanta ne apni jade jama li hai. Jiske karan manushya udand ho rahe hai. Maine Akhand Maharani ko ashwasan diya tha ki mai punah nar-sanghar nahi karunga, kintu samaj ki yeh stithi dekh mai shaant kaise rahu ? Issi baat ka hal dhundhne mai yaha Kailash aya, jisse Guruvar Mahadev mera maarg darshan kare." Parshuram said.
"Mai jaanta hu ki samaaj ki kya stithi ho rahi hai. Aur iska hal dhundhne hetu hi mai dhyaan mei tha aur Ganesh Kartikeya ko aadesh diya ki mere dhyaan mei vighn na aaye." Mahadev said.
"Toh iska kya hal hai Gurudev ? Yadi mai Akhand Maharani Arya-Bhaarti ke vachano se badh na hota toh swayam samaaj sudhar deta." Parshuram said, Mahadev smiled.
"Iska hal Devi Arya-Bhaarti hi karengi. Shigreh hi Harihareshwari aur Shreeshaktiswar apna pratham Manav-avatar lenge. Uss leela mei aapki bhi bhumika aham hai." Mahadev said.
"Meri kya bhumika hai prabhu ?" Parshuram asked.
"Uchit samaye aane par aap Shreeshaktiswar ke uss pratham Manav Avatar ke Guru hone ka uttardayitwa nibhayenge." Mahadev said.
"Jaisi aapki iccha. Mai uss din ki pratiksha karunga. Ab aagya dijiye." Parshuram bowed.
"Kalyanmastu !" Mahadev blessed.
□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N
BOLO EKDANT GANPATI KI JAI !
🙏🙏🙏🙏🙏
Mahadev made slight revelation about the next book HH9 🌝🌝
But when will it be published ?
Directly after this book. Remember I had told you that I may publish HH8 and HH9 back to back.
Toh party Karo 😎
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top