CHAPTER 55

It was a blissful moment in Kailash, Ganesh was sitting between Mahadev and Mata Parvati, listening to the tale of Tarkasur vadh from Amarsri and Srinav.

"Aur chuki apne janm ke dauran humare Bhrata Kartikeya 6 bhaago mei vibhajit ho gaye the, iss liye woh Tarkasur ke vadh karne mei safal rahe." Srinav said.

"Aur Tarkasur ke vadh ke pashchat, Trilok ka singhasan punah Indradev ko prapt huya aur Kartikeya ko Devsenapati ki upadhi mili. Ab woh Dakshinavart ke logo ko Asuro ke atank se mukt karte hai." Amarsri said.

"Mere Bhrata toh atyant veer yodha hai !" Ganesh said.

"Veer hone ke saath, Kartikeya atyant gyaani bhi hai. Swayam Mahadev ne use apne Guru ke pad par sthapit kiya tha." Srinav said.

"Satya ?" Ganesh asked amused.

"Ha, aur iss liye Kartikeya ka ek naam Swaminath bhi hai." Amarsri said.

"Mere hridaye mei Kartikeya Bhaiya se milne ki jo utsukta thi woh toh aur bhi badh gayi hai." Ganesh said.

"Mujhe vishwas hai ki Kartikeya ko bhi tumse milne ki iccha sata rahi hogi, putra." Mata Parvati smiled.

But suddenly a frown appeared in the faces of everyone after hearing the pleading voices of devotees.

"HUMARI RAKSHA KARE PRABHU !"

"GAJMUKHASUR SE RAKSHA KARE PRABHU !"

"Gajmukhasur ?" Ganesh muttered.

"Yeh toh wahi Asur hai na Pitashree, jise aapne vardaan diya tha ki koi bhi astra uska vadh na kar paye ?" Amarsri asked.

"Ha yeh wahi Asur hai." Mahadev said.

"Aap bhi na prabhu, atyant bhole hai. Shigreh prasann hoke kisi ko bhi vardaan de dete hai." Mata Parvati said.

"Kintu Uma usne mujhe vachan diya tha ki woh apni shakti acchai hetu prayog karega." Mahadev said.

"Lagta hai uski Asuri pravatti uske acchai par bhari pad gayi. Kintu bina kisi Astra Shashtra ke uska vadh karne ki yukti sochni padegi." Srinav said.

"Kya adharmi ka vadh karna aniwarya hai ?" Ganesh asked.

"Kisi bhi jeev ke praan lena antim upaye hota hai, usse pehle hume sabhi prayas karne chahiye jisse woh vyakti punah dharm ke maarg par aajaye." Mata Parvati said.

"Toh uchit hai. Maa-Pitashree, mujhe aagya dijiye. Mai abhi uss dusht ko sadbuddhi de ke ata hu." Ganesh said standing up.

"Kya ? Tum akele jaoge putra ?" Mata Parvati asked. Ganesh nodded confidently.

"Jao putra. Apne devta hone ka uttardayitwa nibhao aur apne bhakto ki raksha karo." Mahadev smiled.

"Apna dhyaan rakhna putra, Vijayi bhava." Mata Parvati said.

"Awashya." Ganesh bowed to them before leaving.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Kahi kahi Gajmukhasur ke sthan par Mushaksur ka naam hai, but story ek hi hai.

Aur bahut jagah ek shraapit gandharv ki kahani bhi prachalit hai who became a mushak by the curse of a sage.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top