MEANING OF OMKAR

When Mahadev heard Brahmadev calling for him, he along with Mata Parvati went there.

They saw Kartikeya meditating and looking over the work of creation as Brahmadev was held captive in the energy barrier.

Suddenly Amarsri and Srinav also reached there and were confused seeing the scene in front of them.

"Putra Kartikeya ?" Mata Parvati called.

Kartikeya opened his eyes and smiled seeing everyone.

"Sabhi ko mera pranam." He greeted.

"Anuj Kartikeya, tumne Brahmadev ko kyu bandhi bana rakha hai ?" Amarsri asked.

"Jiji, jo shrishti ke aadhar pranav shabd Om ke arth se anabhigya ho, woh bhala sansaar ki dekh-rekh kaise kar sakte hai ?" Kartikeya said.

"Kya tumhe pranav shabd ka rahasya pata hai ?" Srinav asked.

"Ha jyesht. Mujhe gyat hai." Kartikeya said.

"Toh kya tum hume iska arth bata sakte ho ?" Mahadev asked purposefully.

"Awashya Pitashree. Kintu pranav shabd ka rahasya keval ek guru hi shishya ko de sakta hai. Aur gyan ke adan pradaan ke mariyada ke anusar Guru ka sthan shishya se ucha hota hai. Yadi aapko, Jiji ko aur Jyesht ko yeh rahasya jaanna hai toh mujhe apna ka Guru maan kar swayam se ucha sthan pradan karna hoga." Kartikeya said.

"Kintu putra yeh kaise sambhav hai ? Yeh teeno tumse aayu aur pad mei bade hai." Mata Parvati said.

"Maa, jab gyaan lene ki baat ho toh aayu nahi dekhte. Yadi inhe pranav shabd ka arth jaanna hai toh mujhe Guru maan kar, mujhe ucch sthan pradan karna hi hoga." Kartikeya said.

"Uchit hai, hume swikar hai." Srinav agreed.

"Hum tumhe apna Guru maan kar, swayam se ucch sthan pradan karte hai." Amarsri said.

Amarsri, Srinav and Mahadev sat down on the ground while Kartikeya sat in front of them on a rock seat.

"Hey Mahanubhav, humne aapko apna Guru swikar kiya hai. Kripya hume ab pranav shabd Om ka arth batane ki kripa kare." Mahadev said.

"Toh suniye. Pranav Shabd arthat Omkar adi mantra hai, anant urja ka strot hai. Yadi Shiv shabd hai toh Om unke vachak, arthat woh swayam Shiv ke brahma-swaroop hai, Shiv ki divyata hai adi mantra Om." Kartikeya said.

Brahmadev also listened to it and so did all the gods from Vaikunth to earth to Brahmalok.

"Mai swayam Shiv ke tej se utpan huya hu, iss liye mai hi pranav hu, ha prabhu mai hi Omkar hu. Subramanyam, su arthat swaroop, Brahma arthat Brahma ke prati pranav ka hi swaroop hu." Kartikeya said.

"Satya hai, pranav shabd Om mahantam hai ! Apar mahimamayi hai." Brahmadev said.

As as he knew what the primordial word Om means, the energy barrier around him vanished.

"Pranav shabd Om, maatra ek shabd nahi, maatra ke dhwani nahi apetu uss akshar aur dhwani mei samahit shrishti ka saar hai, uski rachna ka aadhar hai. Iss liye koi bhi chhota ho ya bada, rachna kaar ho ya swayam rachna, sabhi Om ke hi ansh hai. Iss liye kisi ka bhi tiraskar uchit nahi, kyu sabki utpatti Om se hi huyi hai aur yahi pranav shabd ka rahasya hai." Kartikeya said.

Brahmadev realized his mistake while Mata Parvati realized that her son is now ready to face Tarkasur.

"Kshama prabhu kshama. Gyan ka ahankar hi buddhi ko bhrasht kar deta hai. Kintu ab sab spasht dikhayi de raha hai mujhe, mai swayam ko Shrishti ka rachaita samajhta tha, kintu vastavikta mei mai keval ek madhyam hu, rachna ka aadhar toh keval pranav shabd Om hi hai." Brahmadev said.

In Vaikunth, tears blurred Narayan's vision as he spectated the entire thing.

"Adbhut, kitna saral aur kitna sugam hai pranav shabd Omkar ka gyan." He said.

Two tear drops fell from his eyes, and fell on earth, taking form of two flowers, one red, one white.

Here at Kailash everyone appreciated Katikeya.

"Kartikeya, pranav shabd Om hi tumhara brahma-swaroop hai, iss liye aaj se tumhe Subramanyam bhi kaha jayega. Aur humare guru ban kar gyaan dene ke karan, tumhare naam ke aage Swami bhi judega. Iss liye aaj se sansaar tumhe Subramanyam Swami ke naam se bhi jaanega." Amarsri said.

"Putra aaj maine tumhe apne Mahadev, apne nath ke Swami ke roop mei dekha hai. Iss liye aajse tumhe Swaminath keh kar bhi sambodhit kiya jayega." Mata Parvati said smiling.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

BOLO SUBRAHMANYAM SWAMI KI JAI !!!

BOLO SWAMINATH KI JAI !!!

Toh Narayan ke netro se ashru gire....any guesses what will happen ?

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top