LOVE'S VICTORY
-- VAIKUNTH --
Mata Laxmi and Narayan were sitting on sheshnaag, together after a long while.
"Swami, aapse sadev krithak hote rehna meri niyati hai. Kintu mujhe ab dukh nahi hota." Mata Laxmi said.
"Kyu devi ?" He asked.
"Kyuki jab humara punar milan hota hai, toh mai virah ke sare kasht ek shan mei bhul jati hu. Aapne manthan ka bhaar swayam par leliya aur hum punah ek ho gaye." She smiled.
"Prayas kiya jaye toh uchit parinaam mil hi jata hai, fir chahe woh Amrit ko prapt karna hi kyu na ho. Aur Amrit koi pey nahi jisko dharan kar vyakti sadev jeevit rahe, Amrit ek bhav hai. Jo vyakti pure jeevan dharm ka palan kar dusro ka kalyan kar dete hai, woh deh toh tyag dete hai kintu kabhi marte nahi. Woh toh iss sansaar ke bhavo mei aur vicharo mei sadev jeevit rehte hai." Narayan said.
"Satya kaha prabhu. Aur jeevan ko jo Amrit bana de woh bhav hai prem, jo vyakti ki prerna bhi ban jata hai. Ek aisi prerna jo mandaar parvat ko hila deti hai, anant samudra ka manthan kara sakti hai. Asambhav ko sambhav karne ki shakti hai prem." Mata Laxmi said.
Narayan smiled as Mata Laxmi leaned into his embrace, feeling his heart beat once again.
-- KAILASH --
Mata Parvati sat beside Mahadev, looking at his blue throat.
"Swami yu toh Tridevo mei aapka sthan sangharak ka hai kintu aaj aapne Halahal dharan kar shrishti ki raksha ki hai." Mata Parvati said.
"Uma, aaj tumne bhi ek patni hone ki bhumika ko punah paribhashit kiya hai. Apne pati ko vish pita dekh, tumhare man ki vyakulta ka mai anuman laga sakta hu. Kintu fir bhi tumne mere uttar-daitwa ko samjha aur uska samman kiya, aur iss vish ko mere kath tak seemit karke patni-dharm ka nirwah bhi kiya. Yeh keval tum kar sakti thi gauri." Mahadev said.
"Swami, vyakti ka man bhi samudra ke prati vishal hota hai, jaha do virodhi bhav manthan karte hai. Aatmagyaan ka Amrit prapt karne hetu peeda aur kasht ka Halahal sahan karna aniwarya hai. Isse swikar kiye bina, manushya kabhi adhyatmik path par safal nahi ho sakta." Mata Parvati said.
"Satya vachan." Mahadev smiled.
Mata Parvati smiled and leaned on his shoulder as they both gazed into the stars.
-- CHAITNYA LOK --
Amarsri and Srinav were sitting on the swing, as they enjoyed the blissful night.
"Aaj samudramanthan se ek sikh mili hai dev." Amarsri said.
"Kya priye ?" Srinav asked.
"Yadi aapka premi aapse dur chala jaye, kahi kho jaye aur use pane ke liye manthan karna pade toh karo. Yadi manthan mei vish mile toh bhayebhit na ho, yadi divya Ratna mile toh maarg na bhatko, yadi apsaraye mile toh apna laksh na bhulo, apne prem ko punah pane hetu har sambhav prayas karo bas kisi bhi moh ya lobh ke prati jhukna nahi." Amarsri said.
"Satya vachan priye." Srinav said.
Amarsri smiled at him and leaned in his embrace closing her eyes, Srinav smiled and kissed her forehead as they enjoyed the blessed peace.
□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N
A SWEET CHAPTER BECAUSE ITS LOVE'S VICTORY AFTER ALL !
Late night realisations - Varundev is the god of Hydrosphere, and Himavan is Himalayas.
Narayan lives in Ksheer Sagar while Mahadev lives in Kailash.
Can we say both supreme lords are Ghar-jamai ???😜😜
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top