KARM-BHOOMI

All the gods and goddesses were present at Kailash celebrating the victory of Kartikeya. Everyone hailed and cheered for him, who ended the terrorizing reign of Tarkasur.

Mata Parvati embraced her son proudly, he has increased their glory, he has stood up to his family background.

"Iss sukhad ghadi mei badha utpan karne hetu kshama chahta hu, kintu mera ek anugrah hai." Indradev said coming forward.

"Kya devraj ?" Srinav asked.

"Prabhu, kuch utpati Asur Jambudweep ke dakshin kshor mei chhup ke rehte hai. Uchit samaye dekh kar woh bahar aate hai, aur anya loko mei utpat machate hai, sarvatra vinash karte hai. Yadi Mahadev ki aagya ho toh hum Devsenapati Kartikeya ko waha nyukt karna chahte hai." Indradev said.

"Bas Indradev ! Itne swarti mat baniye, yeh mat bhuliye ki humari bhi bhavnaye hai. Ek maa se uske putra ko vilagh karne ka prayas mat kare aap. Kartikeya kahi nahi jayega." Mata Parvati said.

She held Kartikeya's hand and walked inside. Mahadev gave devas a assuring nod and went inside behind her.

"Yadi Kartikeya ko dakshin bhejne ki baat hai toh mujhe kuch nahi sunna Mahadev." Mata Parvati said.

"Kintu Uma, tum toh janti ho ki humare putra ka udeshya atyant mahan hai." Mahadev said.

"Toh kya uss udeshya mei Maa nahi hai Mahadev ?" Mata Parvati asked.

"Apne moh ko apne prem par haavi mat hone do Gauri." Mahadev said.

"Jane de Mata." Amarsri said walking towards them with Srinav.

"Amarsri ? Tum bhi Inka saath de rahi ho ?" Mata Parvati asked.

"Mata, dakshin Kartikeya ki karm bhoomi hogi. Aur karm-path se hatne ka saath mei nahi de sakti." Amarsri said.

"Ha Mata, kya pata dakshin ke bhagya ke saath Kartikeya ka bhi bhagya khul jaye." Srinav said knowingly.

"Kintu mai toh punah matritwa ke sukh se vanchit ho jayungi." Mata Parvati said.

"Mata, yeh sampoorn shrishti aap hi ki toh santaan hai. Jagat-mata hai aap, dakshin ke jeevo ko kaise kasht mei dekhengi ?" Srinav said.

"Chinta mat karo Uma, mai vachan deta hu ki bhavishya mei tumhe ek aise putra ki prapti hogi, jo sadev tumhare paas rahega, tumhari anumati ke bina kabhi tumse dur nahi jayega." Mahadev promised.

"Satya ?" Mata Parvati asked.

"Ha Uma. Tumhara woh putra sampoorn sansaar ko Harshit karega." Mahadev said.

"Dekha Mata, Pitashree ne aapke saath mujhe bhi Aashish diya hai ki mera bhi ek Anuj aayega. Ab mujhe jane ki aagya de." Kartikeya requested.

"Uchit hai." Mata Parvati agreed.

"Adbhut, hamara aane wala Anuj janm se poorv hi hume samasyao ke hal de raha hai." Srinav said.

"Ab jisne janm se poorv hi humare vighn har liye woh janm ke baad sansaar ko kitna anandit karega." Amarsri said.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Ganesh ji ke baat se hi sare vighn dur ho jate hai.

Happy Navratri everyone !

Aaj 2 saal ke baad garba karne ka chance aaya !!!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top