DAND OR KSHAMA ?

It's been a moment since Mata Parvati left Kartikeya in the care of Kritikas. She was patiently waited for the day he would return.

Currently she was doing puja when she heard few people crying. She went outside and saw Pret along with few gans crying and apologizing in front of Mahadev.

"Kshama kare Mahadev." They cried.

"Kya huya prabhu ? Yeh sab aise kyu ro rahe hai ?" Mata Parvati asked.

"Nandi, batao." Mahadev said.

"Ji prabhu. Mata ek mrigh mansarovar aaya tha, kuch fal kha raha tha. Mai bhi waha kuch karya se gaya tha toh dekha ki Pret aur anya gan usko bhagane ke liye uss par patthar fel rahe the. Woh mrigh ke netro mei bhaye dekh mere hridaye ko atyant peeda huyi." Nandi said.

"Pret, yeh toh sarvatha anuchit hai. Aapko aisi kisi aashaye jeev ko aise nahi bhagana chahiye, kuch fal hi toh kha raha tha." Mata Parvati said.

"Mujhe kshama kare Mata, mujhe se bhul hogayi. Aage se aisa kabhi nahi hoga." Pret said.

"Uchit hai. Aap jayiye." Mata Parvati said.

"Ji Mata." Pret said and left with rest of the Gans and Nandi.

"Uma, tumne Pret ko keval chaitawni dekar kyu jane diya ? Kya yeh uchit tha ?" Mahadev asked.

"Mai aapka abhipraye nahi samjhi swami. Yeh uchit nahi tha ? Toh kya karna tha ?" Mata Parvati asked.

"Gauri, Pret ne ek asahaye jeev ka aahar chhina aur usse aahat kiya. Woh dand ka paatra tha. Hum jeevo ko sat-karm hetu puruskrit karte hai, toh kya unke duskarm hetu dand nahi dena chahiye ? Jisse woh satmaarg par rahe aur apni galti wapas na kare ?" Mahadev said.

"Prabhu, karmo ka fal toh sabko milta hai, yeh niyam swayam maine sthapit kiya hai." Mata Parvati said.

"Uma, woh fal vyakti ko mrityu pashchat milta hai. Kintu yadi unhe unka Karm-fal ishi jeevan mei mile toh uchit nahi hoga ? Iss jeevan mei hi Karm-fal mila toh jeev apni bhul sudharenge aur acche karm karne hetu prerit honge." Mahadev said.

"Nath, aap pita hai. Aapka hridaye kathor ho sakta kintu mai Mata hu. Sabhi jeev meri hi santaane hai, peeda unko hongi toh ashru mere bahenge. Yadi sabhi jeevo ko iss hi jeevan mei dand mila toh woh peeda mere liye asahaniye hogi." Mata Parvati said and left.

Mahadev sighed, suddenly Narayan appeared there.

"Narayan, aapki behen maanne ko taiyyar hi nahi hai. Woh nahi chahti ki jeevo ko unke karmo ka fal issi jeevan mei mile." Mahadev said.

"Kintu yeh awashyak hai Mahadev. Jeevo ko unke Karmo ka mahatwa issi jeevan mei sikhna hoga." Narayan said.

"Ab aap hi Uma ko samjhaye." Mahadev said.

Narayan thought for a moment and then a leela crossed his mind as smile appeared on his face.

"Mahadev, bahut din ho gaye aapne Brahmadev, Devi Saraswati, mujhe, devi Laxmi, Amarsri aur Srinav ko bhojan par nahi bulaya." Narayan said.

"Bhojan ? Hum yaha itne mahatwapoorn vishaye par baat kar rahe hai aur aapko bhojan ke baare mei soch rahe hai ?" Mahadev said.

"Vishwas rakhe Mahadev." Narayan smiled.

A smile Mahadev understood too well.

"Uchit hai. Kal aajayiye sabko lekar bhojan par." Mahadev said.

"Mahadev, aap sadev alp-bhojan grahan karte hai kintu vachan dijiye ki kal aapko adhik bhojan karna hoga, aapki thali mei kuch bhi bachna nahi chahiye." Narayan said.

"Aapko naa kaise bol sakta hu ? Uchit hai, vachan deta hu ki meri thali mei anna ka ek dana nahi bachega." Mahadev said.

"Ab aagya de." Narayan said and left.

'Yeh kaisa vachan leliye Narayan ne ? Meri thali mei jo bachta hai, wahi toh Uma ka aahar hota hai.' Mahadev thought.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

PEHLE KA KARMFAL SYSTEM AISA THA, MIRTYU SE PEHLE KARM-FAL NAHI MILEGA......

SOCHO KOI AMAR HO TOH ? USKA TOH MAJA HI MAJA, JO KARNA HAI KARO, KOI KARMFAL NAHI, NO CONSEQUENCES WHATSOVER.

WOH TOH CHALO SATYUG THA, KALIYUG MEI AISA HOTA THEN HUMANITY WOULD HAVE BEEN DOOMED A LONG TIME AGO.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top