SHAASHTRARTH
Mahadev and the Sanakadi Kumaras sit opposite each other, ready to test their knowledge.
"Shaashtrarth mei kaun vijay huya aur kaun parajit, iska nirnaye kaun lega ?" Sanat Kumar asked.
"Aapko jo yogya lage, usse nyaye aasan par baitha de, kyuki mai toh rishabh ko bhi gyani maanta hu." Mahadev said.
"Uchit hai. Hum gyaan ki devi aur humari Mata Saraswati ka awahan karte hai." Sanak kumar said.
The goddess of knowledge and the wife of the creator god Brahma, Mata Saraswati appeared in front of them.
She bowed to Mahadev and looked at him apologetically.
"Aur jab Baat Vedo ki hai toh hum Devi Ved-vadini ka awahan dete hai jinhone keval ek swash mei teeno Vedo ka ucharan kiya tha." Sanak kumar said.
And thus Devi Ved-vadini also appeared in front of them, disappointingly looking at Sankadi Kumaras for making this blunder.
"Iss Shaashtrarth se kya labh hoga putro ?" Mata Saraswati asked.
"Yeh toh sab jante hai ki Ved keval 3 hai, jiska gyan Devi Ved-Vadini aur Vedant ne sabke liye uplabdh karaya tha." Sanat Kumar said.
"Aaj sabko Shiv ka pakhand pata chalega." Sanak Kumar said.
"Bina pratiyogita aarambh kiye koi bhi nirnaye lena nyayadhish ke liye uchit nahi. Shaashtrarth prarambh ho." Ved-vadini said.
"Toh bataye Mahadev, aapne ek granth ko Ved ki upadhi dene ka dusahas kaise kiya !?" Sanadh kumar asked.
"Kya Aap jante bhi hai ki Ved kya hai !? Unka mahatwa kya hai !?" Sanatan Kumar asked.
"Pratyeksh nanu mithya yast payo na budhate, hetam veedin veeden, tasmatya vedasya vedatah. Arthat jo pratyaksh gyan dwara, anuman dwara ya kisi bhi tarike dwara nahi jana jaa sakta, use bhi Ved dwara sahejta se jana jaa sakta hai." Mahadev said.
Sati proudly looked at Mahadev while Mata Saraswati and Ved-vadini smiled at him.
"Aapko kya lagta hai !? Ki Ved ke kuch shlok smaran kar hume suna denge aur hum maan jayenge !?" Sanat Kumar exclaimed.
"Ved kisi ke dwara likhit granth nahi hote, keval Brahmavani hi Ved kehlate hai." Sanak Kumar said.
"Aapke pita brahma ke mukh kitne hai ?" Mahadev asked.
"Chaar mukh hai." Sanatan kumar said.
"Toh Ved 3 kaise ?" Mahadev asked.
The Kumaras looked at each other with confusion.
"Atharv Ved bhi aapke Pita Brahma ke mukh se hi nikla hai." Mahadev said.
"Pramaan de." Sanadhan Kumar asked.
"Pratyek Kalp ke annt mei shrishti ka visarjan hota hai. Tatha punah shrishti ke nirman se Pehle Brahmadev nidraheen rehte hai. Iss antral ko Vikalp kehte hai, iss kaal mei samast Ved Brahmadev ke mastak mei samahit rehte hai. Kalp ke nirmaan se pehle yeh sara gyan Brahmadev ke mastak se antariksh mei pravahit hota hai. Iss gyaan ke darshan keval Dev-gan aur divya-drsihti wale Rishi hi kar sakte hai." Mahadev said.
Devi Ved-vadini aur Mata Sati listened to him with full attention, getting to know something new.
"Kintu iss Kalp mei aisa nahi huya. Jab Brahmadev ke mukh se Ved antariksh mei pravahit ro rahe the, toh inhe ek Haygriv namak Danav ne chura liya. Inn Vedo ko punah lane hetu, Narayan ne Matsya avatar liya aur Devi Harihareshwari ne 3 Ved ko dharan kar liya kintu isse pehle ki unhe chautha Ved milta Haygriv meri sharan mei aagaya. Kyuki usne Vedo ka gyan arjit karne ka punya prapt karliya tha iss liye maine vardaan diya ki Haygriv ka janm Mandadrashta Rishi Atharv ke roop mei hoga jisse woh chauthe Ved ka gyan sansaar ko de." Mahadev said.
"Asambhav !" Sanat Kumar exclaimed.
"Yeh baat shat prati shat satya hai." Mata Saraswati said.
"Kya ?" The Kumars got surprised.
"Mahadev par asatya ka laalchan laga ke paap mat karo. Rishi Atharva ne apne granth mei jo kuch bhi likha hai woh har shabd Brahmadev ke mukh se nikla hai." Ved-Vadini said.
"Toh ab nisandeh Atharva rishi dwara likhe granth ko chauthe Ved ke roop mei swilar karo." Mata Saraswati said.
The Sankadi Kumars fell silent and lowered their gaze with broken egos.
"Yasaney swashitam veda, yo vedevyo akhilam jagat, nirmame tamaham vande, vidya teertham Maheshwaram. Jisne apne swaas dwara vedo ko utpan kiya, jiske dwara sampurn jagat ko jana jaa sakta hai, jo moh-maya se pare hai, jo samast vidyao ke liye teerth swaroop hai, unn Mahesh ki mai vandana karti hu." Ved-vadini said.
Sati proudly looked at Mahadev and smiled that her husband is the source of all knowledge.
□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N
MAHADEV IS THAT BACKBENCHER JINHE KABHI KISI NE PADHTE HUYE NAHI DEKHA FIR BHI WOH HUMESHA TOP KARTE HAI !
NARAYAN IS THAT STUDENT JO KEHTE HAI KI 'MAINE KUCH NAHI PADHA' FIR BHI FULL MARKS LATE HAI.
AND THE MAHADEV NARRATING THE TALE OF HAYGRIV MAKES ME REALIZE THAT SRISRI HAVE BEEN MARRIED FOR MORE THAN 100-150 YEARS !!!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top