ASSURANCE

Amarsri and Srinav were in Menavati's room with Parvati, Himavan and Nanimaa waiting for her to gain consciousness. As she did she started crying.

"Aap kushal toh hai ?" Srinav asked.

"Yeh Vivah nahi ho sakta." Menavati sobbed.

"Kyu maa ?" Parvati asked.

"Shiv itne bhayavaye honge iski kalpana bhi nahi ki thi maine." Menavati said.

"Rani Menavati, apni putri hetu chinta karna swabhik hai kintu roop mei kya rakha hai ?" Amarsri asked.

"Devi, aapne hi kaha tha ki Mahadev ek alokik roop leke aayenge fir yeh kya tha ?" Menavati asked.

"Mujhe toh Mahadev ka har roop alokik hi pratit hota hai. Ab isse aap mera prem samjhe unke prati ya vastavik satya kintu issi roop se Mata Parvati ne unse prem kiya hai." Amarsri said.

"Parvati ko swayam ki chinta nahi hai, Yeh vivah nahi ho sakta." Menavati denied.

"Mena, shaant man se socho yadi ghar se barat laut kar chali gayi toh humari Maan, mariyada, pratishtha ka kya ?" Himavan asked.

"Maan, mariyada, pratishtha humare putri se badh kar nahi hai swami." Menavati said.

"Accha, abhi der nahi huyi hai. Yadi Mahadev aapke samaksh ek alokik roop dharan karke aaye toh ? Aisa roop jo sampurn sansar mei sabse sundar ho toh ?" Srinav asked.

"Kya aisa sambhav hai ?" Menavati asked.

"Hum unhe mana lenge. Kyu priye ?" Srinav assured.

"Ha avashya. Hum mana lenge aur Mahadev jis roop mei aapke samaksh aayenge usse sundar swaroop jagat mei na kisi huya hoga aur naa hi kisi ka hoga yeh mera vachan hai." Amarsri said.

"Tab hume yeh vivah swikar hoga." Menavati said.

"Uttam." Srinav smiled.

"Aur ha, yadi Pitashree Mahadev ke roop ke samaksh aapka roop fika lage toh hume kuch mat kahiyega Mate." Amarsri smirked.

"Pehle Mahadev ka roop savaro, mere roop ki chinta baad mei karna." Mata Parvati chuckled.

With high confidence Amarsri and Srinav left but as they entered Mahadev's chamber all their confidence vanished, not knowing to convince him to change his appearance.

"R-rani Menavati nahi maan rahi thi vivah hetu kyuki unhe lagta hai ki aap...aap... atyant bhayavaye dikhte rahe the." Srinav said.

"Maine unhe vachan diya ki Mahadev aapke samne ek alokik roop leke aayenge." Amarsri said nervously.

"Mai jaisa ju maine swayam ko waise hi prastut kiya hai. Mai Kailash par bhi aise hi rehta hu, aur Parvati ne bhi mere iss hi roop se prem kiya hai, tumne bhi sadev mere iss hi roop ko sneh diya hai aur Pooja hai." Mahadev said.

"Humari baat alag hai, hum sabhi ke liye aapka yahi roop sabse sundar aur nirala hai." Amarsri said.

"Kintu har maa ki iccha hoti hai ki unki putri ka vivah sansar ke sabse roopvan vyakti se ho." Srinav said.

"Roopvan ki paribhasha kya hai ? Sansaar ke liye jo shishu kuroop hota hai, uske Mata ke liye wahi shishu sabse sundar hota hai. Ab isme sansaar ka maap-dand dekhe ya Maa ki mamta ? Jab Parvati ko mera yahi roop priya hai toh mai koi aur roop kyu dharan karu ?" Mahadev asked.

Suddenly Narayan appeared out of no where for Amarsri and Srinav's aid.

"Kyu vivah keval do vyaktiyo ke bich nahi, do parivaro ke bich bhi sambandh banata hai. Aur parivar ke liya kabhi kabhi swayam ko badalna bhi padta hai." Narayan said.

"Satya kaha." Amarsri said.

"Chaliye Mahadev, aaj aapka Sringar mai swayam karunga aur aaj jagat ko ek aisa alokik roop dekhne ko milega jo mere sundar se sundar avtaro se bhi kai adhik Manohar hoga." Narayan said.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

SO THE NEXT CHAPTER IS GOING TO BE THE LAST ONE.

TELLING YOU BEFOREHAND SO IT DOESN'T SHOCK YOU AND KILL YOU LATER.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top