SRINAV'S DECISION
"Murkh tha mai jo apni swamini se jhagda kar yaha aapke paas aaya tha. Satya kaha tha unhone yaha keval mera ahit hoga. Maine unke aagya ki awhelna ki aur na jane unhe krodh mai kya-kya keh diya. Woh toh ab bhi mujhe swikar karlengi kintu ab mai swayam ko nahi swikar payunga." Srinav said.
"RUKO SRINAV ! Kya tum jaante ho ki isse Devi Harihareshwari ko kitna dukh hoga ?" Vaishno devi said.
"Devi, swamini ne mujhe yaha aane se mana kiya tha kyuki woh mujhe khona nahi chahti thi. Kintu humara alag hona nishchit hai, taki hum sada-sada ke liye ek ho jaye. Aur waise bhi swamini ke prem ko samjhne ki Shakti iss tuch sharir mai kaha ? Jisme ek agyani aur ahanakri Mata ka rakt behta hai, yeh sharir toh swamini ke liye ayogya hai." Srinav said.
"Harihareshwari ka pati hone ke baad bhi, Shreeshaktishwar hone ke baad bhi, Dakshyaniputra hona kalank hai mere liye. Aur iss kalank ke saath mai aur swamini ek nahi ho sakte. Iss liye mujhe yeh sharir tyagna hi hoga." Srinav said.
"KALANK HAINA MERA PUTRA HONA TERE LIYE !? TOH JAA ANNT KARLE SWAYAM KA !!" Dakshyani yelled.
"DAKSHYANI !! KYA PURN ROOP SE TUMHARI MATI BHANG HO CHUKI HAI !? Tum apne putra ko aatmahatya karne hetu keh rahi ho !? Bhulo mat tumhare putra hone ke saath-saath woh Harihareshwari ke pati Shreeshaktishwar bhi hai !!" Vaishno devi scolded.
"WAHI TOH KALANK HAI ISKA KI WOH USS ASANSKARI AUR PAKHANDI KA PATI HAI !!" Dakshyani exclaimed.
"BAS MAHARANI BAS !! BAHUT HUYI MERI PATNI KI NEENDA !! Swamini ke baare mai itna sab sunne ke pashchat mujhe jeene ka adhikar hi nahi ! Aaj mujhe pata chala ki Dakshyaniputra hona mere liye kitna bada abhishaap hai ! Iss deh ko tyagna hona hi hoga !" Srinav said.
"Wah ! Wah kya baat hai !! Uss devi ne tumhe Natya kala bhi sikha di !? Uttam." Dakshyani taunted.
"MAHARANI DAKSHYANI !" Srinav roared.
Suddenly Srinav took the divine and gigantic form of Shreeshaktishwar, the god of peace and steadiness. Although his face had a serene look he was angry and upset from inside. The guests knelt down and joined their hands
"Maharani Dakshyani mai Shreeshaktishwar hu, Mata Parvati ke mukh ki muskan mai hu, Mata Laxmi ki chanchalta mai hu aur Harihareshwari ke hridaye ki udarta mai hu. Mai woh hu jo iss shrishti ko sthir rakhe huye hai." Shreeshaktishwar said.
"Sansaar ke Kalyan aur Harihareshwari se milan hetu maine tumhare yaha janm liya tha !! Kintu ahankar mai aake tum mujhe pehechan nahi saki aur meri ardhangini ka apmaan kardiya !! Iss truti ke liye mai iss shan tumhare praan le sakta hu, kintu tum iss sharir ki Mata ho aur aisa paap karke mai karm ke Chakra mai nahi bandh sakta." Shreeshaktishwar said angrily.
"Srinav ! Putra wapas aajao ! Apne pita par daya karo !" Adarsh pleaded.
"Ab mai kisi ka putra nahi, iss sansaar se mera koi naata nahi ! Iss sharir se jude sabhi sambandho ka mai parityag karta hu." Shreeshaktishwar said.
"Maharani Dakshyani ! Tumhare ahanakar, moh aur agyanta ke karan Harihareshwari abhi pati-viheen rahengi aur unke krodh ka bhaajan tumhe banna padega ! Sampoorn sansaar ko bhugatna padega tumhare iss dushkarm ka parinam !!" Shreeshaktishwar said, Dakshyani looked at him wide eyed.
"Iss deh ka palan karne wale Pita Adarsh ko pranam. Iss deh ke sabhi sambandhiyo ko ek aakhri naman. Mai swayam ke yog-shakti se iss deh ka tyag karta hu." Shreeshaktishwar said and closed his eyes remembering Amarsri.
"....Humare bich mai ek rekha khichi huyi hai jisse tum par karke mere paas nahi aa sakte ho."
"Yeh kaisi rekha hai ?"
"Mrityu ki."
"Ab maine mrityu ki rekha paar karli, ab hume koi alag nahi kar sakta priye." Shreeshaktishwar muttered and his soul left his body and his body took the humanly form of Srinav.
At Harihar lok Amarsri's eyes burst open from her meditation realizing what had happened.
"SRINAV !!!!" She screamed.
¤¤¤¤¤
A/N
ARZ KIYA HAI !
AMARSRI, AVESH MAI AAKE SANSAAR KA ANNT NA KARDENA KAHI..
AMARSRI, AVESH MAI AAKE SANSAAR KA ANNT NA KARDENA KAHI !
YEH VYOGH KI AAG SRINAV KE MILNE SE BHUJEGI SWAYAM KE BARASNE SE NAHI !!
(WAH WAH WAH WAH)
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top