NARADMUNI'S MORBID IDEA
Mata Parvati's mother Menavati came to meet her at kailash.
"Putri jab se Narayan aur Mata Laxmi ke bich woh ghatna hui hai, humara man baitha jaa raha hai." Menavati said.
"Kyu Maa ?" Mata Parvati asked.
"Putri, aise kai bhakt hai jo Mahadev ko apne pati ke roop mai pana chahte hai." Menavati said.
"Woh kabhi aisa nahi karenge Maa, Mahadev humse alag nahi ho sakte." Mata Parvati said.
"Kintu bhagwaan ko bhakto ko vardaan dena hi pasta hai." Menavati said. Suddenly Mata Parvati remembered what he said on that day.
"Narayan, devi Laxmi ko aise kaise bhul sakte hai ? woh unse alag nahi ho sakte." Mata Parvati said.
"Bhagwaan ko apne bhakt ki tapasya ka fal dena hi padta hai Parvati, yahi niyam hai. Vardan dete samaye bhagwaan hit-ahit nahi dekh sakte, unhe bhakt ki iccha ko purn karna hi padta hai aur wahi Narayan ne kiya hai." Mahadev said.
"Yeh toh satya hai ki Bhagwaan ko bhakt ki tapasya ka fal dena hi padta hai, aur yeh bhi satya hai ki kai bhakt Mahadev ko apne pati swaroop mai pujte hai. Aur agar Mahadev unse prasann ho gaye toh anarth hojayega." Mata Parvati said worriedly.
"Narayan-Narayan ! Devi Parvati iss samasya ka hal hai mere paas." Naradmuni said appearing out of nowhere.
"Kya hal hai munivar ?" Menavati asked.
"Yeh samasya kuch varsho pehle Indradev ki patni Indrani ko bhi thi, tab unhe Indradev ko swarglok se bandh diya ek vidhi ke madhyam se. Issi liye Indradev kabhi swarglok se alag nahi ho sakte, Narayan-Narayan." Naradmuni said.
"Indrani ne kaunsi vidhi ka prayog kiya ?" Mata Parvati asked.
"Batata hu, Indrani ne Indradev ko swarglok ke kalp-vriksh unhe bandh diya fir puja kar unhone dono ko ek Brahman arthat mujhe daan kardiya. Ab Devraj ka mai kya karta ? Aur Kalp-vriksh ka bhi mere liye koi upyog nahi tha, toh Maine Indrani ko dono wapas kardiya. Iss prakar Devraj Indra, Indrani aur swarglok se bandh gaye, Narayan-Narayan." Naradmuni said.
"Uttam ati Uttam, mere anusar se tumhe yeh vidhi karni chahiye." Menavati said. But Mata Parvati looked unsure.
"Soch lijiye Devi Parvati, agar upaye safal raha toh Narayan-Narayan. Kintu prasnn Mahadev ka hai kuch ulta seedha bhi ho sakta hai." Naradmuni warned.
"Aap chinta mat kijiye Devarshi, hum yeh upaye swikarya nahi kar sakte. Mahadev ko keval Kailash tak simit rakhna uchit nahi hoga, unhe apne sansaar ki sahayata bhi toh karni hoti hai." Mata Parvati denied.
"Kintu putri, Mahadev toh trikal-darshi hai, sarvagya hai. Sansaar ki sahayata toh woh yaha se bhi kar sakte hai, agar kisi ko unse milna hai toh woh yaha aa sakta hai. Aur yadi unhe kahi kailash se bahar jana hai toh woh tumhe apne saath lekar jaa sakte hai. Tum jo kar rahi ho apne parivar ke sukh hetu kar rahi ho." Menavati said.
"Aap satya keh rahi hai Maa, parivar ka hi toh ek sukh hai jo hume chahiye. Aur iske liye hum kuch bhi kar sakte hai." Mata Parvati said.
"Uttam, Munivar vistaar se batayiye na hume kya karna hoga ?" Menavati asked.
"Awashya, sarvapratham hume swarglok se Kalp-vriksh lana hoga." Naradmuni said.
"Kalp-vriksh swarglok se kyu ? Yaha bhi toh ek Kalp-vriksh hai jisne Ashok-Sundari ko Jeevan diya tha." Menavati said.
'Ab mai aapse kya kahu ki mujhe devraj ko paath padhana hai, unka ahankar aaj-kal kuch adhik hi badh gaya hai. Agar unka Kalp-vriksh daan kardiya gaya toh Devraj vichlit awashya hojayenge.' Naradmuni thought.
"Kis soch mai hai Munivar ? Swarglok se Kalp-vriksh kyu lana hoga ?" Menavati asked.
"Woh Mata aisa hai ki pichli baar using Kalp-vriksh ka prayog hua tha aur upaye safal bhi huya tha. Yadi yaha ke Kalp-vriksh ka prayog kiya aur upaye safal na hua toh.....Narayan-Narayan." Naradmuni said.
"Nahi. Devarshi yeh Kalp-vriksh hume Mahadev ne diya hai aur issi se Ashok-Sundari ka janm bhi huya tha. Hum issi ka prayog karenge." Mata Parvati said.
"Uchit hai Uchit hai jaisa aap chahe, ab mai apko iski vidhi samjhata hu. Sarvapratham Kalp-vriksh ki puja hogi fir aap Mahadev ko usse bandh dengi aur usse kisi Brahman ko daan kar dengi. Saral hai." Naradmuni explained the process to both of them.
"Putri tumhe shigreh hi Mahadev se iski anumati leni chahiye, aur kisi aur Brahman ki kya awashyakta daan hum Devarshi ko hi kardenge." Menavati said.
"NAHI-NAHI." Naradmuni denied.
"Kyu ?" Menavati asked.
"Kyuki mujhe yeh saubhagya pehle hi prapt ho chuka hai ab kisi aur ko awasar de. Mere vicar se sanat kumar thik rahenge." Naradmuni said.
"Sanat kumar ? Bal-rishi ?" Menavati confirmed, Naradmuni nodded.
"Uchit hai, aap unhe humari oor se unhe amantrit kar dijiye." Mata Parvati said.
"Awashya mai abhi unhe suchit kar deta hu, Narayan-Narayan." Naradmuni said and disappeared.
----------------------------------------
A/N
SANAT KUMARAS : The Kumaras are four sages who roam the universe as children. Named Sanaka, Sanatana, Sanandana, and Sanatkumara. They are described as the first mind-born creations and sons of the creator-god Brahma.
Fun fact : These sages were the ones who cursed the Dwarpals of Lord Vishnu to be born as sinners.
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top