CHAPTER 105
After gaining victory over the Kuru Kingdom and bring it under the sway of Shri Ram, the Ashwamedh horse once again started running, with the army following it behind.
The horse roamed across the continents, months went by and none of the kingdoms dared to stop it. Until the horse reached the kingdom of Avanti, which was once the abode of Kartivirya Arjun.
"Hum Ram ki satta thukrate hai !" The king said ceizing the Ashwamedh horse.
"Shri Ram ki satta thukrane ka parinaam kya hoga, lagta hai gyaath nahi tumhe." Lakshman said.
"Kaisi satta ? Woh kaisa Raja hai jisne apni sena ke saath stree yoddha bheja hai ? Baaki rajyo ne toh ek stree ko dekh ke hi shashtra tyaag diye honge dharm ke karan." The prince said.
"Jab Maa Durga Asuro ka sanghaar kar sakti hai, toh mai samanya manushyo se yudh kyu nahi ? Mujhe lagta hai ki tum sab kayar ho, iss hi liye mujhse yudh karna nahi chaahte." Rameshwari said.
"Jab Vishpala ne Gavishti ka yudh kiya tha, tab uska paer kat gaya tha. Kyu tum apne yovan ko aane se pehle nasht karna chaahti ho, balika ?" The crown-prince asked in a demeaning tone.
"Arrey agyaani murkh, Vishpala ko Ashwini Kumaro ne lohe ka dusra paer bhi diya tha. Aur uss hi paer se woh shatru ka mastak kuchal deti thi. Tum mere yovan ki chinta na kar, apne yovan ki chinta karo. Yadi mrityu ko praapt ho gaye toh ?" Rameshwari retorted with a slight smirk.
"Suna tha maine, ki pehle ek Kashmir-Kumari Vidyashree thi jinse vivaad mei koi nahi jeet sakta tha aur aaj ke samaye mei Ayodhya-Kumari hai jinse vaad vivaad mei koi nahi jeet sakta." The king chuckled, "Kintu yeh na samajhna ki shabdo se tum yudh Jeet sakti ho." He said.
"Avanti-raj, yadi aap yudh hetu itne aatur hai toh yudh hoga. Raghuvanshiyo ko lalkaarne ki jo bhul aapne ki hai uska parinaam bhugatne hetu sajj ho jayiye." Rameshwari said.
"Hume aapka awahan swikar hai." Lakshman said.
And so with the roars of battle cries both the army lunged at each other.
Meanwhile on the other side Shri Ram was in the Naimisa van, surrounded by sages and ministers along with Sugreev and Vibhishan.
"Maharaj, Rajkumari ka parakram atulya hai. Kosal ka gaurav gagan chhu raha hai. Aise mei aapko unhe koi bhet deni chahiye." Jabali said.
"Maharaj, mere anusaar aapko Rajkumar Lakshman aur Rajkumari Rameshwari ke lautne par unn dono koi bhet deni chahiye." Minister Siddharth said.
"Aapka sujhaav sarvochit hai. Batayiye mai kya de sakta hu unn dono ko ?" Shri Ram asked.
"Rajan, mere buddhi ke anusaar bhumi aur bhawan ka bhet uchit rahega." Sugreev said.
"Sugreev ke sujhaav se mai sehmat hu." Vibhishan said.
"Hanuman, tumhara kya mat hai ?" Shri Ram asked.
"Prabhu, kuch hi varsh mei Rajkumari yuvati ho jaayengi. Aise mei Rama ko vicharan hetu bhavan dena upyukt hoga. Aur rahi baat Lakshman ki, unhe bhumi ka bhet dena sarvochit hoga." Hanuman put forward his wisdom.
"Sarvatha uchit kathan hai aap sabhi ka. Rajkumari Rameshwari hetu ek sundar bhavan nirmaan aur Rajkumar Lakshman hetu bhumi naapna shuru kiya jaye." Shri Ram said.
□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N
Just me setting the base for Mahabharat segment 🤣
And incase you're wondering when will Mahabharat segment start, it will start after HH13.
And regarding how many books will be there.... Well it's a vast epic so.... 4 books or more.
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top