CHAPTER 69
"Lankesh, Vali-putra Angad shatru paksh se shaanti doot banke aaye hai." A minister informed.
"Bhejo." Ravan said.
Angad came in the court of Ravan with his head high, he had been sent by Shri Ram for peace making because if war could be avoided then it must be.
"Lanka ki Rajyasabha ko mera abhivadan. Mai yaha Shri Ram ka shaanti doot ban ke aya hu. Mere prabhu kehte hai ki yadi Ravan, Devi Sita ko sammaan sahit unhe lauta de toh woh Lankesh ko kshama kardenge." Angad said.
"Woh Ravan kshama karega ? Hai kaun woh ? Ek niskaashit Rajkumar jo Vanachari ka jeevan vyatit kar raha hai ?" Ravan scoffed.
"Woh wahi Vanachari hai jisne Marich, Subahu, Tadka, Viradh jaise atanki Rakshaso ka vadh kiya. Woh wahi Vanachari hai jisne Khar Dushan sahit 14000 Rakshaso ka akele sanghaar kiya. Woh wahi Vanachari hai jisne Samudra ko apne ghutne par laa diya." Angad said.
"Tum Vali ke putra ho na ? Tumhare Pita mere ghanisht mitra the. Angad tum mere putra samaan huye. Yadi Ravan ke paksh mei aajao toh Kiskindha ka Rajya tumhe mil jayega. Ravan ke hote huye tumhe na toh Sugreev ka bhaye hona chahiye na hi Ram ka." The king of Rakshasas said.
"Ravan ! Ravan ! Ravan ! Kitne Ravan hai yaha ? Aur kaunse Ravan hai aap ? Woh Ravan jisko Sahasra Bahu Arjun ne ulta kar latkaya tha ? Ya woh Ravan jisko mere Pita ne kaakh mei daba ke chharo samudro ke chakkar lagaye the puja karte karte ? Ya woh Ravan jiski Lanka ko Devi Mahakaleshwari ne duba diya tha ? Ya aap woh Ravan hai jisko Yuddheshwar ne laat maar ke Chaitanya Lok se giraya tha ? Batayiye Lankesh, inn sabhi veer Ravano mei se aap kaunse Ravan hai ?" Angad asked.
"Dussahasi ! Shaanti prastav ke liye mera uttar chahta hai na ? Toh yeh le !" Ravan exclaimed and gestured his soldiers to capture him.
But Angad was just as powerful as his father Vali, hence he caught the soldiers by their neck and leaped up to the ceiling. He let go of the Rakshasas in his hands as they fall down.
"Yahi tumhara uttar hai na Ravan ? Toh ab Yudh Bhoomi mei bhet hogi !" Angad said and escaped breaking the ceiling apart.
"Tumhe Shaanti prastav maan lena chahiye tha Ravan." Malyavaan sighed.
"Shaanti prastav maanna apni parajay swikar karna hota Nana ji ! Itni door aake mai sandhi toh kadapi nahi karunga !" Ravan said.
----
"Ravan ne shaanti prastav ko thukra diya prabhu." Angad said.
"Toh woh Yudh karne ke liye atyant aatur hai. Koi baat nahi. Yadi Ravan Yudh chahta hai toh hum use yudh denge !" Shri Ram said.
Suddenly a bright light descended from the sky to the ground, from it emerged the four headed creator of the universe, Brahma. Everyone bowed to him.
"Shri Ram, Ravan ko parajit karna atyant kathin karya hai. Aapni vijay sunishchit karne hetu mai aapko paramarsh deta hu ki aap Jagat-jananni Mata Durga ke Chandi roop ka anushthan kare, aur unse vijay ka vardaan praapt kare." Brahmadev said.
"Jaisa aap kahe Param Pitamah." Shri Ram agreed.
□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N
So Shri Ram doing the puja of Mata Durga is not there in Valmiki Ramayan but it is a Pauranik katha.
And this story has a lot of importance in our culture, it is only fair to show it.
🙏🙏🙏
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top