CHAPTER 16
Sitting on the throne in the court of Lanka, Ravan's head was high with pride today, he had been established as the victor of Trilok and people were hailing him.
"TRILOK-VIJAYI ! LANKADHIPATI RAVAN KI JAI !" They hailed.
He raised his hand, causing the people to become quiet. He looked to his left, at the throne nearest to him, his son Indrajeet was seated.
"Humare putra Indrajeet ke bina yeh Trilok-vijay ki yatra asambhav hoti ! Iske shaurya aur parakram se Rakshas kul ka gaurav badha hai !" Ravan said.
"YUVRAJ INDRAJEET MEGHNAAD KI JAI !" The people hailed as Meghnaad smiled proudly.
"Kintu abhi humari Vijay yatra samapt nahi huyi. Abhi ek lok par par adhipatya sthapit karna shesh hai. Humne bhautik Loko par toh vijay praapt karliya ab ek Daiviya lok par vijay paa, hum iss sansaar ke sarvashreshth kul kehelayenge !" Ravan said.
"Kaunsa Lok Pitashree ?" Meghnaad asked.
"Chaitanya Lok." Ravan said, earning various cheers but few gasps.
"Kshama kare Lankesh kintu yeh uchit nahi." A voice said from Ravan's right. It belonged to none other than Vibhishan, who mind was always steadfast in Dharma.
"Kyu Vibhishan ?" Ravan asked.
"Lankesh, Nav-graho ko bandhi bana ke aapne pehle hi Devi Harihareshwari ko krodhit kar diya hai. Ab unke lok par aakraman kar, unke krodh ko punah jaagrit karna humare hit mei nahi hoga." Vibhishan said.
"Lagta hai Kakashree ko bhaye lag raha hai." Meghnaad taunted.
"Ha Indrajeet mujhe bhaye lag raha hai Rakshaso ke liye, humare iss Lanka ke liye. Jiske saath Lankesh Yudh karne ki baat kar rahe hai woh koi sadharan Devta nahi apetu Parambrahma ke shaktiyon ka pratik hai. Shreeshaktiswar ke Bhargav avtaar ne Danavo ka jo haal kiya tha sab bhool gaye kya ? Sabko dhundh dhundh ke aur maar maar ke pashchim bhej diya aur bahut se toh unse dar kar Rasaatal chale gaye. Adhik samaye pehle ki baat nahi hai jab saare Asur prajaati keval Bhargav naam sun ke kampit ho uthte the." Vibhishan said.
"Vibhishan uchit keh raha hai Indrajeet, tum param parakrami ho kintu tumhare paas unka abhaydaan nahi. Iss liye Chaitanya Lok par vijay praapt karne keval mai jaaunga." Ravan said.
"Jaisa aap uchit samjhe Pitashree." Meghnaad obeyed.
"Lankesh, punah vichaar karle. Aap Trilok ke vijay pehle se hai. Chaitanya lok par aakraman karne se apmaan ke sivaaye kuch nahi milega." Vibhishan warned.
"Mere samarthya par shanka kar mera apmaan kar rahe ho Vibhushan !?" Ravan exclaimed standing up.
"Nahi Maharaj. Mai toh keval aapke hit ke baare mei soch raha hu." Vibhishan said.
"Yadi hit ke baare mei soch rahe ho toh humare prasthaan ki vyavastha karo !" Ravan said and walked out of the hall as Vibhushan sighed.
□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N
Dekh Ravan Amarsri toh tumhare karan pehle chapter se hi gusse mei hai.... Uska dimaag chatak gaya toh aisa ek kantaap maaregi ki 2 baar Laghushanka Nivaran karoge....
MEMES -
Meghnaad - Kaunsa Lok pe kabza karenge ?
Ravan - Chaitanya Lok.
Sailors -
I mean sapna hi dekh raha hai at this point....
----
*Mata Parvati, Mata Sita and Amarsri exist*
Ravan - Idhar dekhu ki udhar dekhu ? Batao mai kidhar dekhu ? 😍
Me - Apni aukaat ki oor 🙂
Yu toh Mandodari bhi aukaat ke bahar lekin kya kare....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top