NIRNAYE

The Fifth day Bhism defeated Nakul, on the sixth day he defeated Bheem, seventh day he defeated Arjun and on eight day he defeated Karn and almost killed Yuddhistir, these 4 days were victories of kauravas, Bhism was more angry since Karn used Murchabaan on him. The Kuntiputras tried hard but were not able to put even a scratch on Bhism. Bhism annihilated 4 akshouhini senas of Kuntiputras.

The funeral pyres of the Kauntey armies are burning till the horizon, the wailing of widowed women is driving a stake through the hearts of the Kaunteys. It seems as though the torches in their camps are spreading darkness instead of light.

"KYA PITAMAH KOI HAL NAHI VASUDEV ?" Yuddhistir asked.

"HAL THA ANHUJ, SHIKHANDINI AUR AMARSRI. KINTU TUMNE DHARM KE NAAM PAR MURKHTA KAR, STREEYO KO BHAG LENE SE MANA KARDIYA. AUR AAJ DEKHO HUMARE PAAS KEVAL AVANTI AUR SAURASHTRA KI SENA HI BACHI HAI." Karn said, Yuddhistir lowered his gaze.

"AB WOH BAAT KARKE KYA LABH ? AUR RAHI BAAT HAL KI, TOH PRATYEK SAMASYA KA HAL HOTA HAI. KEVAL UCHIT SAMAYE AANE DIJIYE." Amarsri said.

"AMARSRI KINTU JAB TAK UCHIT SAMAYE AAYEGA HUMARE PAAS SENA HI NAHI RAHEGI. HUME SHIGRAH HI PITAMAH KA VADH KARNA HOGA." Bheem said.

"TOH USKE LIYE PITAMAH KI MANOSTHITI BADALNI HOGI." Amarsri said looking at Vasudev.

--

Amarsri and Uttara were aiding the wounded soldier outside the camp, as there were too many to be kept in tents. Uttara's gaze falls on Bhism who was standing in the Ranbhumi, his tall and muscular figure could be seen from afar.

"JIJI, PITAMAH BHISM RANBHUMI MAI HI KYU KHADE HAI ? UNHE JAL, BHOJAN TATHA VISHRAM KI AWASHYAKTA NAHI ?" Uttara asked.

"PITAMAH APNE KARYO KA DAND BHUGAT RAHE HAI, UTTARA. ISS RANBHUMI MAI UNKE HAATHO JITNI BAAR MRITYU HUYI HAI, UTNI BAAR SWAYAM PITAMAH KO MRITYU KA ANUBHAV HUYA HAI." Amarsri said.

"PARANTU KYU JIJI ? UNHONE AISA KYA KIYA THA ?" Uttara asked.

"PITAMAH BHISM KURUVANSH KI SMRIDDHI, SATTA AUR DHARM KE DWARPAL HAI. KINTU MOH MAI GHIR KAR UNHONE ASATYA, ADHARM AUR PRAPANCHIYO KO HASTINAPOOR MAI PRAVESH KARNE DIYA. ISSI MOH KA DAND BHUGAT RAHE HAI AAJ." Amarsri said looking at Bhism.

--

It is the ninth day of war, Bhism was fighting with Arjun.

"AAP APNE POUTRA KE PRAN LENGE ?" Krishna asked mid-fight.

"JO BHI HASTINAPOOR KE SAMAKSH SHASHTRA UTHAYEGA, MUJHE USKA VADH KARNA HI HOGA VASUDEV !" Bhism said.

"AAP YATHART KEH RAHE MAHAMAHIM, YUDH MAI AAPKE SAMARTHYA KA PRADARSHAN NAHI HO RAHA, APETU AAPKI NIRBALTA KA PRADARSHAN HO RAHA HAI. YADI AAP VASTAV MAI SAMARTH HOTE TOH APNE POUTRO AUR PAR-PAOUTRO KE PRAN LENE KE STHAN PAR APNE PRAAN DETE." Krishna said.

"MAI APNE DHARM SE BANDHA HU VASUDEV." Bhism said.

"DHARM TOH MUKTI DETA HAI, YEH KAISA DHARM HAI JO AAPKO BANDH RAHA HAI ? AWASHYA YEH KOI DHARM NAHI BEDI HAI." Krishna said.

"MERE DHARM PAR PRASHN MAT KIJIYE VASUDEV. MAINE JEEVAN MAI EK SHAN KE LIYE BHI ADHARM NAHI KIYA HAI." Bhism said.

"AAP APNE VYAKTIGAT DHARM KE LIYE SAMAGRAH JAGAT KO SANKAT MAI DAAL RAHE HAI, ISE MAI CHARITRA KI SHAKTI NAHI KEHTA. AAPKA CHARITRA BHI MITHYA HAI AUR AAPKA DHARM BHI MITHYA HAI !" Krishna said pointing his fingers at Bhism.

"VASUDEV!!!!!! AAP MARIYADA BHANG KAR RAHE HAI !!!" Bhism yelled.

"MERA DHARM SATYA HAI, ISSI LIYE MUJHE KOI PARAJIT NAHI KAR SAKTA !! KOI NAHI !!" Bhism roared.

"MAI AAPKO PARAJIT KAR SAKTA HU !!" Krishna said angrily getting up from his seat.

"ISSI SHAN AAPKO PARAJIT KAR SAKTA HU MAHAMAHIM BHISM, MERE KRODH KI AGNI KO BADHANE KA KARYA MAT KIJIYE. AISA KOI DHATU NAHI JO AGNI MAI TAP KE PIGHAL NA JAYE AUR AISA KOI SHRAAP, KOI AASHIRWAD, KOI DHARM NAHI JISSE MAI MITHYA SAABIT NA KAR SAKU. AAP SHRISHTI KE SUKH AUR NIYATI KE MAARG MAI BAADHA BAN KE KHADE HAI." Krishna roared.

"AB YADI AAPNE SHASHTRO KA TYAAG NAHI KIYA, TOH MAI AWASHYA AAPKA VADH KAR DUNGA." Krishna warned and Bhism raised his weapon at him. Arjun looked at both of them worriedly.

Krishna got off his rath as Bhism summoned an arrow, he walked up to a broken rath and took its wheel out and raised it at bhism.

Bhism shot an arrow which multiplied in number, but was frozen in mid-air as everything else.

"MERA TEER AAP TAK KYU NAHI PAHUCH RAHA VASUDEV ?" Bhism asked confused as the arrows broke and fell on the ground. The wheel in Krishna's hand turned into a glowing Chakra.

"MAI NA VASUDEV KRISHNA HU, MAI NA YADUVANSHI HU, MAI NA HI MANAV HU. MAI PARABRAHMA HU MAHAMAHIM. MAI HI SATYA, GYAAN AUR DHARM HU, MERI HI ANUMATI SE AAP YUDH KAR RAHE HAI, MERI HI ANUMATI SE AAP JEEVIT HAI AUR MERI HI ANUMATI SE AAP MRITYU KO PRAPT HONGE." Krishna roared as Bhism weaponless got off his rath and went towards him.

"MUJHE KSHAMA KARDIJIYE VASUDEV, MAI AAPKE VASTAVIK ROOP SE ANABHIGYA THA, AAP AWASHYA MERA VADH KAR SAKTE HAI, KINTU AAP MERA VADH KARNE HETU APNE PRAN KO TYAGNE KE LIYE SAJJYA HUYE HAI, AWASHYA HI MERA KOI DOSH HOGA. KYA DOSH HAI MERA BATAYIYE VASUDEV ?" Bhism asked with joined hands. Krishna calmed down a little

"AGYAAN AAPKA DOSH HAI MAHAMAHIM, AAPNE DHARM KE VASTAVIK ROOP KO PEHECHANNE KA PRAYAS HI NAHI KIYA, AAPNE KEVAL APNE PARIVAR KA VICHAAR KIYA SANSAAR KA NAHI. ISS LIYE AAPKA TYAAG BHI SWARTH KA HI ROOP HAI." Krishna said.

"MAINE APNE PITA KE SUKH HETU RAJYA KA TYAAG KIYA, AJIVAN BRAHMACHARYA KI PRATIGYA LI. ISME MERA KOI SWARTH NAHI THA VASUDEV." Bhism said.

"BRAHMACHARYA KI PRATIGYA AUR RAJSINGHASAN KA TYAG AWASHYA UTTAM KARYA THE, KINTU AAPNE SAMAAJ KE PRATI APNE DAITWA KA TYAAG KYU KARDIYA MAHAMAHIM ?" Krishna asked.

"KURUVANSH MAI AAPSI SANGHARSH NA HO, RAJ SINGHASAN KE LIYE YUDH NA HO AUR KURU RASHTRA KI PRAJA KO HANI YA DUKH NA HO. ISSI LIYE MAINE YEH PRATIGYAYE LI." Bhism said.

"APNE CHARO OOR DRISHTI DALIYE MAHAMAHIM BHISM, KYA CHAL RAHA HAI YAHA ? AAPKI PRATIGYA NE ISS VIGRAH KO ISS YUDH KO TALA TOH NAHI. VICHAR KIJIYE, AAPNE APNI PRATIGYA KO DHARM MANA, AGAR VASTAV MAI WOH DHARM HOTA TOH YEH MAHAYUDH HI KYU HOTA ? DHARM NA KISI MRIT VICHAR KA NAAM NAHI, NAA HI KISI PARAMPARA KA NAAM HAI. DHARM TOH JEEVAN KA NAAM HAI, AUR JEEVAN TOH NIRANTAR BADALTA REHTA HAI. PARIVARTAN HI JEEVAN KA GUN HAI, AUR PARIVARTAN HETU MANUSHYA KO KARM KARNA PADTA HAI. AUR AAPNE KARM KA HI TYAAG KAR DIYA MAHAMAHIM ?" Krishna said.

"KINTU MAI JEEVAN KE PAG-PAG PAR UCHIT KARM KIYE HAI VASUDEV." Bhism said.

"NAHI MAHAMAHIM. ISS JANM MAI AAP KARM KE BANDHAN MAI NA BANDHE, ISS LIYE AAPNE KOI VASTAVIK KARM KIYA HI NAHI. KARM KA ARTH HOTA HAI NIRNAYE LENA AUR APNE NIRNAYE KE PARINAAM KO SWIKAR KARNA. KINTU AAPNE KYA NIRNAYE LIYA MAHAMAHIM ? MAHARAJ PANDU KA RAJYA ABHISHEK KA NIRNAYE KYA AAPKA NIRNAYE THA ? MAHARAJ DHRITRASHTRA AUR MAHARANI GANDHARI KE VIVAH KA NIRNAYE ? MAHARAJ DHRITRASHTRA KO ADHARM SE ROKNE KA PRAYAS KYU NAHI KIYA AAPNE ? DYUT SABHA KA NIRNAYE ? AUR USME PANCHALI KE APMAAN KO NA ROKNE KA NIRNAYE ? ISS YUDH KA NIRNAYE ? SABHI ADHARMO KO ROKNE KA AAPKE PAAS SAMARTHYA BHI THA AUR SHAKTI BHI, KINTU AAP NIRNAYE NAHI LE SAKE MAHAMAHIM. AAP TOH KEVAL APNE PRATIGYA AUR PRAN SE BANDHE RAHE." Krishna said and Bhism fell into deep thinking.

"VASTAV MAI NIRNAYE LENE KE UTTAR DAITWA SE AAP BHAGTE RAHE." Krishna said.

"KYA NIRNAYE LENE SE HI BANDHAN NAHI BANTE VASUDEV ?" Bhism asked.

"BANDHAN SE CHUTNE KE LIYE NIRNAYE LENE PADTE HAI. BANDHAN SE CHUTNE KE LIYE AAPNE KARM KA KYU TYAAG KIYA, KARM KE FAL KA TYAAG KARTE, KISI KE ADESH KO KARTAVYA MAANANE KE STHAN PAR APNE KARM KO KARTAVYA MAANTE TOH BHI BANDHAN SE CHUT JATE. JAB AAPNE PRATIGYA LI TOH KYA USS SAMYE AAP SARA BHAVISHYA JAANTE THE ? PARISTHITIYA BADAL GAYI MAHAMAHIM, SAMAYE MAI PARIVARTAN AAGAYA, KINTU AAPNE APNI PRATIGYA NAHI TODI AUR NAA HI KISI PARIVARTAN KO SWIKARYA KIYA. USI KA PARINAAM HAI KI AAJ YEH YUDH HO RAHA HAI." Krishna said.

"TOH KYA PRATIGYA KA KOI MOL NAHI ?" Bhism asked.

"AWASHYA HAI, JO PRATIGYA SE SAARE SAMAJ KO LABH HO USKA MOL AWASHYA HAI. KINTU JIS SHAN MANUSHYA KI PRATIGYA SAARE SAMAJ KO HANI PAHUCHANE LAGE USSI SHAN USS PRATIGYA KO TODNA ANIWARYA HO JATA HAI MAHAMAHIM." Krishna said.

"AGAR AAJ KAUNTEYO KE PAKSH MAI REH KAR YUDH KARNE KA NIRNAYE YADI AAP NA LE PAYE TOH SHASHTRO KA TYAG KARKE APNI MRITYU KO SWIKAR KAR LIJIYE." Krishna said.

"MAI SWIKAR KARTA HU VASUDEV." Bhism said and went back to his rath.

"AAPKE DWARA MRITYU TOH MERA PARAM SAUBHAGYA HOGA, MERA ANNT KAR DIJIYE MAI SAJJYA HU." Bhism said.

"JAISI AAPKI ICCHA MAHAMAHIM." Krishna said and the Chakra transformed back into the wheel and the time resumed.

Krishna started walking towards Bhism, but Arjun grabbed his leg to stop him.

"NAHI MADHAV AAPNE YUDH NA KARNE KA PRAN LIYA HAI." Arjun begged.

"ABHI PRAN TODNE KA SAMAYE HAI PARTH." Krishna said.

"PARANTU MADHAV, SAARA SAMAJ AAPKO APSHABD KAHEGA." Arjun said.

"TOH MAI USKA SWIKAR KARUNGA, WAISE BHI ISS YUDH KE SAMAPT HOTE HI MUJHE KITNE APSHABDO AUR SHRAAPO KO SWIKAR KARNA HOGA YEH TUM NAHI JAANTE. KINTU MUJHE USKA KOI SUKH YA DUKH NAHI, ISS SAMAYE MAHAMAHIM BHISM KI MRITYU ANIWARYA HAI. " Krishna said and moved forward.

"NAHI PITASHREE !" Amarsri said, they both turned their heads and saw her and Karna. Amarsri got off the rath and kneeled in front of Krishna with joined hands.

"YEH ADHIKAR SHIKHANDINI KA HAI, MAHADEV KA VARDAN VYARTH MAT JAANE DIJIYE. MERI VINTI SWIKAR KIJIYE." Amarsri requested. Krishna threw away the wheel. Arjun and Amarsri stood up.

"RAJKUMARI UCHIT KEH RAHI HAI VASUDEV, MAI AAPKO VACHAN DETA HU KI MAI DEVI AMBA PATIKSHA KARUNGA. AUR JIS DIN WOH RANBHUMI MAI AYENGI MAI APNE SABHI SHASHTRO KA TYAAG KAR DUNGA. TAB TAK MAI HASTINAPOOR KE SENIKO KA RAKSHAN AWASHYA KARUNGA KINTU AAPKE KISI BHI SENIK KI MRITYU MERE HATHO NAHI HOGI. YEH NAA MERA KARTAVYA HAI AUR NAA HI KISI KA ADESH, YEH MERA NIRNAYE HAI VASUDEV." Bhism said smiling.

-------------------
A/N
THIS IS THE LONGEST CHAPTER TILL NOW.

MITHAYIYA BATWAO THIS IS THE 100TH CHAPTER!!!!! SABHI READERS KO THANK YOU FOR THE LOVE AND SUPPORT.

AAJ VOTE KARDO BHAI, 100 CHAPTERS POORE HUYE!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top