Mein Haar gya

Ussay jub hosh aaya toh woh aik bed pr laita howa tha.. kuch dair aagay peechay gor karnay k baad ussay andaaza ho gya k yeh hospital ka bed hai...phir kal raat waala waqia poori shidat se ussay yaad aa gya.. uss k pooray jisam mein khof ki lehar dhor gai...uss ne aas paas daikha k kon uss ko yahan lai kr aaya tha...laikin ussay wahaan apnay siva koi nazar nhi aaya tha...

"Yah Khuda! Mjy maaf kr dai.. mjh se bohat bari galti ho gai...tujhay teray raheem honay ka waasta, mjh pr reham kr dai..."

Woh girgiraaya tha....

Woh kaafi dair wahaan laita raha.. laikin koi nhi aaya.. uss ka zameer chila chila kr ussay bura bhala keh rha tha... woh bhaag jaana chahta tha... dunia ki nazron se door ho jaana chahta tha...

Ussi halat mein uss ne aadha ghanta guzaara tha...phir aik dum se darwaaza khula r aik shakhs ander daakhil howa...

Uss ka poora jisam kaanp raha tha.. yeh wohi shakhs tha jis ka kl 2 baar phone aaya tha r jo ussay apnay ghar bula raha tha.. ueh wohi shakhs tha jo uss ka best friend tha...  yeh wohi shakhs tha jis k baap ko uss ne kal raat maar diya tha...
Woh zameen mein dafan ho jaana chahta tha...

Aanay waala shakhs aahista aahista uss k bed k qareeb aa raha tha...

"Suno! Woh kon log thai jin k kehnay pr tum ne meray baap ko maar diya??"

Aanay waalay shakhs ne bohat pyaar se uss ka haath thaama tha...

"Woh...woh.."

Uss se bola nhi gya...

"Kya woh meray daikhnay k qaabil hain?? Kya meray sunnay k qaabil hain?? Agr hain toh un ka naam bta do.. laikin... woh nhi hain..."

Woh anay waala hansa tha..

"Mjy kuch nhi jaana meray dost!!!"

Uss shakhs ne uss k haath ko bosa diya...

"Inhi haathon se maara tha nah meray baap ko??"

Uss ne ajeeb dewaangi se kha...

"Acha mut bolo mjh se... bus aik baat kehna chahta hun... tumhain mene sub se zaida pyaar kiya tha... pta hai kya?? Mjy lgta tha k tum sub se different ho...r daikho tum ne mera maan rakha r sub se different ho kr dikhaaya... bus shukria kehna tha tumhain..."

Woh khamosh howa r aankhon mein aati nami ko saaf kiya...

"Yaar! Tum kehtay thai nah k mein tumhaaray liyay kuch bhi kr sakta hun...aik baat maan lo... plz yahaan se door chalay jaao....mjh se door chalay jaao..."

Woh utha r uss qaatil k ooper se chaadar utaari....

"Kitnay bai-maravat ho tum!! Aao mjy alvida toh keh do.. aik aakhri baar galay toh lga lo...aao utho nah..."

Apnay dost ki iss baat pr uss qaatil ka dil chaha k waqt ko thora sa peechay lai jaayay r sub kuch theek kr dai...

Woh uth khara howa...

"Daikho! Mein kitna bura khilaari hun naah?? Aaj apna baap r dost dono haar gya.. r tum kitnay pakay khilaari niklay chupay rustum!! Tum ne sub kuch jeet liya... r pachtaawa bhi jeet liya...pta hai yeh pachtawa kabhi insaan ki jaan nhi chorta... galay lg jaayay toh martay dum tuk bai-wafai nhi krta... meri dua hai k yeh pachtaawa tum se bai-wafai kr lai... r tumhain chor jaayay...tum khush rehna... r suno! Mein naraaz nhi howa.. bus haar gya hun... jaao door chalay jaao.."

Woh apnay dost, apnay baap k qaatil k galay lga tha r phoot phoot k roya tha...

"Acha khuda Hafiz..."

Woh jaanay k liyay mura tha...

"Mjy maaf kr do... khuda k liyay mjy maaf kr do...mein un logon k behkaaway mein aa gya tha.. tumhaaray waalid jo case lar rahay thai.. woh ussay harana chahtay thai. R tumhaaray waalid maan nhi rahay thai.. iss liyay...."

Woh chup ho gya...woh ro rha tha..

"Koi baat nhi... aksar ho jaata hai aisa.. jo aap karna nhi chahtay... kabhi ho jaata hai k aap galti kr daitay ho... koi baat nhi...mein ab chalta hun...woh aaj mjy Aleeza ko bhi alvida kehna hai... woh r tum khush rehna.."

Woh jin qadmon se aaya tha.. unhin qadmon se waapis chala gya...uss qaatil ko sharmindagi r pachtaaway ki daldal mein tanha chor kr...

                 ~~~~~~~~~~~~~~~~
Abbu jin qadmon se baahir aayay thay unhin qadmon se apnay kamray mein chalay gayay...

"Misha! Woh tumhaaray abbu hain.. un k paas jaao... un se maafi toh maango..woh dukhi hai yaar.."

Chacho ne ussay samjhaana chaha..

"Woh yeh q nhi daikhtay k aap dukhi hain... unhain nah bus apna aap important hai.. woh chahtay hain k saaray log un ki marzi k mutaabiq zindagi guzaarain...laikin mein yeh nhi kr sakti... mein apni zindagi apni marzi se jeena chahti hun.. mjy bus aap k paas rehna hai..."

Mishal mein aqal ki bohat kami thi..

"Laikin misha! Aisa nhi hota.. woh tum se bohat pyaar krtay hain... woh tumhaaray bagair nhi reh saktay... plz un se door mutt jaao...unhon ne apni life mein bohat problems daikhi hain.. bohat se apnon ko raaton raat khoya hai.. un mein ab apni baiti ko khonay ki himat nhi hai... "

Chacho ne ussay samjhaanay ki koshish ki...

"Kya khoya hai unhon ne??"

Mishal ne hairat se unhain daikha....

"Bohat kuch...tumhain andaaza bhi nhi...mishal hum log bohat naa-samjh hain...apnay bohat se azeez rishton ko sirf iss waja se kho daitay hain q k hum aik doosray ko kabhi samjh hi nhi paatay....hamhain aik doosray ko samjhnay ki zaroorat hai....aik doosray ko dil se jaannay ki...aik doosray ki psyche ko samjhnay ki...agr hum samjh gaayay naah toh koi shikaayit nhi rahay gi... sub apnay aap theek ho jaayay ga....phir koi masla nhi ho ga...tum apnay abbu ko samjho toh sahi...tum unhain jaannay ki koshish toh kro... ho sakta hai jaisa tumhain nazar aa rha ho waisa nah ho... kuch aisa ho jo tumhaari nazron se oojhal ho.... mishal jub koi baiti apnay baap ka ghar chor k jaati hai naah....toh woh baap aik dum se bohat boorha ho jaata hai...sadiyon ka musaafir apni manzir k bohat qareeb ho kr bhi apni manzil daikh nhi paata... saaray manzar dhudhlay pr jaatay hain.... mishal baap sir utha k chalnay k qaabil nhi rehta...tum chor do gi apnay baap ko?? Un ka sir jhuka do gi??"

Chacho ussay samjhaanay mein kamiyaab ho gayay thai... woh thay hi aisay...hur kisi kosamjhaanay waalay...

"Oh God! Abbu ko kitna dukh howa ho ga.. mein jaa rahi hun un se sorry karnay... chacho! Woh mjy maaf toh kr dain gay naah??"

Woh bachon ki tarha un se pooch rahi thi..

Chachoo ne muskura kr ussay daikha r ghar se baahir nikal gaayay...

Mishal ki awaazon pr woh rukay nhi thai...hur insaan ko uss ki izat-e-nafas pyaari hoti hai....

Mishal abbu k kamray ki jaanab barh gai...

       ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
TO BE CONTINUED....

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top

Tags: #novel