Haara howa khilaari

Uss subha woh kaafi dair se uthi thi.. uss ne apnay saamnay latki ghari pr nazar daali toh harbara gai...

"Oh God! Aaj toh mene parhna tha.. shit yaar itni dair tuk soti rahi.."

Woh forun se uthi thi..
Kl raat parnay waalay thapar ne uss k under r jazba paida kar diya tha....
Uss ne socha tha k khoob parhay gi r test clear kr k apna junoon poora karay gi...

Woh jub bathroom se nikali toh saamnay chacho baithay thay..

"Aap kub aayay young man???"

Ussay khush gawar hairat hoi..

"Mein bus abhi aaya.. tum aaj kahin jaao gi??"

Chacho ne uss se poocha..toh woh hairangi se unhain daikhnay lgi..

"Nhi . Mene aaj parhna hai yaar.. pta bhi hai kitna mushkil hai lawyer banna??"

Woh bura mna gai. uss ne bed pr books rakhin r parhnay baith gai..

"Tum toh mjy munh bhi nhi lga rhi... mein tum se baat krna chahta hun Misha..."

Chacho uss se aisay kabhi baat nhi kartay thay...

Mishal ne nazrain utha kr unhain daikha..

"Koi preshani hai kya??"

Uss ne poocha laikiin koi jawab naah aaya toh uss ne books bund kin r chacho k paas baith gai..

"Ok fine, ab bolain.."

Woh aaraam se baith gai..

"Meri job khatam ho gai hai misha.."

Woh bohat preshaan thay..

"Whatt??"

Mishal ko hairat ka jhatka lga..

"Haan. Mein kub se tumhain btaana chah rha tha.. "

"Oho. Ab kya ho ga young man?? Aap kya karain gay ??".

Woh bachon ki si masoomiyat se umhain daikh rahi thi ..

"Pta nhi kya ho ga. ALLAH MALIK💖"
Chacho ne gehra saans liya..

"Laikin aap jaayain gai kahaan?? Aap yahaan aa kr reh lain... "

Chacho ko apartment bhi office ki taraf se dia gaya tha.. iss liyay mishal preshan thi..

"Nhi pagal.."

Chacho bus yehi keh saki...

"Uff ho.. unhon ne aap ko nikaala q?? Kya galti ki ap ne?"

Mishal ko gussa aanay lga..

"Woh yaar..."

Woh khamosh ho gayay..

"Kya woh chacho??"

Uss ne poocha..

"Woh kl night mein aik bohat important meeting thi r saara project mene ready kiya howa tha.. "

Chacho ne naa-chahtay howay bhi bta diya...

"Haan r aap meray saath thay raat ko. Hum movie daikh rahay thay.. uff... aap ko zara bhi aqal hai?? Aap meri khushi k liyay apni job se haath dho baithay.."

Woh sakht naraaz thi ...

"Acha baba.. sorry. Galti ho gai.. ab aisa hi ho ga.. mjy tumhain btaana hi nhi chahiyay tha... ab tum bhi preshan ho gai.."

Unhain shar-mindagi hoi...

"Mein koi naazut, kamzor larki nhi hun jo preshan ho jaayay... aap bus mjy apnay boss se milwa dain aik baar..."

Mishal ne kuch sochtay howay kaha...

"Kya?? Tum kya kro gi un se mil k?".

Chacho ne hairat se poocha...

"Dance.."

Uss ne chir kr kaha...

"Aik baat bolon misha??"

"Haan haan zaroor bolain.."

Uss ne kushada dili se kaha...

"Yeh jo tum mjh se aksar rude ho jaati ho... yeh kisi k saamnay ja kr mut hona r kisi dosray se bhi nah hona... log acha nhi samjhtay yaar.."

"Mjy logon ki koi parwa nhi hai chacho.. meri life mein sirf chund aik log hain jin ki baatain matter krti hain... baaqi log jo marzi bolain... r rahi baat batmizi ki... toh aap yeh btaayain k aap ko bura lgta hai kya??"

"Nhi. Bilkul nhi.. mjy khushi hoti hai misha...tumhaara mjh pe hak hai..."

Chacho ne uss k sir pe haath phaira..

"Bs phir toh baat hi khatam.. acha chalain aaj mjy apnay uss kharoos boss se hi milwa dain.."

Mishaal ne kha.. r khud ko aik black colour ki lambi chadar mein lapaitnay lgi..

"Kya kho gi un se tum?? ".

"Aap bus chalain meray saath..."

Woh aisay uthi jaisay chacho ko apnay office lai kr jaa rhi ho...

Chacho apni jaga se hil nah paayay....

"Uthain bhi... had hoti hai!"

Mishal ne un ka baazoo pakar kr kheencha toh unhain majboorun uthna hi parha....

Woh abhi lounge k darwaazay tuk aayay hi thai k peechay se abbu ki awaaz i...

"Yeh kya tamaasha hai?? Kabhi aik doosray ka baazoo pakar k lai ja raha hota hai r kabhi doosra pehlay ka haath pakar k bhaaga chala jaa rha hai.. Yeh kya film shuruh ki hoi hai tum logon ne??"

Un ki iss baat pr mishal ne chachoo ka haath chor diya..

"Bhai jaan.. woh.."

Chacho ne kuch bolnay k liyay munh khola...

"Tum chup kro.. r suno tumhain sharam nhi aati roz munh utha k aa jaatay ho??"

Chachoo ka sir jhuk gya..jo shaks un ki izat ki dhajiyaan ura rha tha woh un k baap ki umar ka tha r sub se bari baat woh un ki jaan mishal ka baap tha..

"Abbu! Kuch soch toh lain bolnay se pehlay...aap ko pta bhi hai k aap kis sw baat kr rahay hain??"

Mishal ko bohat bura lga tha...woh chup nah reh saki...

"Bilkul sahi kha.. yeh toh koi bohat bara aadmi hai naah.. jis se baat krnay k liyay mjy tameez seekhni ho gi.. "

Abbu ne gussay se kha...

"Haan.. meri zindagi ka sub se bra aadmi... kabhi gor kiya hai abbu?? K agr yeh aadmi nah hota toh hamaaray ghar ka nazaam kbhi nhi chalta.. "

Woh pta nhi q karakht ho jaati thi..

"Tum hashir! Khuda k liyay iss ghar se door chalay jaao... khuda k liyay.."

Abbu thakay howay lehjay mein bolay..

"Misha jaan! Tum parho.. mjy thora kaam hai.."

Unhon ne kha r baahir jaanay lagay..

"Nhi  aap nhi jaayain gai..chacho! Mjy apnay boss se milwaayain.."

Woh un k saamnay i...

"Mishal! Tumhaaray liyay call i hai.."

Ammi ki awaaz i toh woh under chali gai...

"Suno! "

Chacho ne baahir qadam barhaayay hi thai k abbu ne awaaz di..

"G bhai jaan.."

Woh murray..

"Meray in haathon ko daikho.. meri r mishal ki zindagi se bohat door chalay jaao.. itna door k mishal tumhain awaaz bhi dai toh tumhain awaaz nah aayay... mjy r meri family ko jee lainay do..khuda  k liyay hashir! Mein tumhaaray aagay haath jorta hun k meri mishal ko meri baiti ko mjh se door naah kro.. woh mjh se bohat nafrat karti hai.. sirf tumhaari waja se.. sirf tumhaari waja se.."

Abbu ki aankhon mein nami aa gai..

Chacho hairat k samundar mein doobnay waalay thay...

"Mein misha ko aap se door nhi kr rha bhai jaan.. woh aap ki baiti hai r hsmesha rahay gi.. r aik baiti apnay baap se kabhi nafrat nhi kr sakti.. hamain bus doosray ko samjhnay ki zaroorat hoti hai .. r aap kbhi misha ko samjh hi nhi paayay.."

"Mein tum se bht pyaar se baat kr rha hun k chalay jaao..."

Abbu ne ungli se darwaazay ki taraf ishara kiya..

"Misha meray bagair nhi reh sakti bhai jaan.. aap ko pta hai woh mjy aik din naah daikhay toh preshan ho jaati hai r aap mjy hamesha k liyay uss se door krna chahtay hain?? Nhi.. aap aisa nhi kr saktay .... mein ussay akaila chor kr nhi jaaon ga .."

Chacho ne nafi mein sir hilaaya..

"Woh akaiki nhi hai.. uss ka baap uss k pas hai us ki maan uss k paas hai.. ussay kisi r ki zarorat nhi hai ...samjhay??"

Woh gussay se chilayay thai...

R mishal k qadam un ki iss baat pr ruk gayay...

"Chacho! "

Woh ahista ahista un k qareeb i....

"Mein bhi aap k saath jaaoon gi.. mjy bhi inn logon k paas nhi rehna.. aap jahaan rahain gay mein chup chap reh lun gi ... laikin mein aap k bagair nhi reh sakti.."

Woh chacho k galay lgi thi...

"Mein haar gya hashir... tum jeet gayay.. mjh se meri ikloti baiti cheennay mein kamayaab ho gayay.. tumhain tumhaari jeet bogat bohat mubarak ho... jao lai jaao issay.. yeh tumhaaray bagair nhi reh sakti.. jao lai jaao... khuda hafiz... khush raho.."

Woh kehtay howay murray r aahista aahista qadam utha kr alnay kamray ki jaanib chal paray...

"Tum jeet gayay... jaao ... lai jao issay..khuda hafiz..."

Yeh ilfaaz unhon ne bohat baar bolay thay.. r jub gayay thay toh kisi thakay haaray khilaari ki tarha ..
Aaisi hi halat honi chahiyay thi.. unhon ne apni baiti haari thi ...apni baiti ...

             ~~~~~~~~~~~~~~~~

*TO BE CONTINUED*

DEAR KHAMOSH READERS! COMMENT ZAROOR DIYA KARAIN...

I HOPE APP KO YEH NOVEL PASAND AAYAY GA...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top

Tags: #novel