Episode 7
Sameer ne toh keh diya tha k mishal ki parhai mukamal honay taq rishtay ki koi baat naah ki jaayay laikin shazia baigam jaanti thin k waqt kisi ka intazaar nhi karta. Issi liyay unhon se shaam ko apni behan (mishal ki ammi ) k ghar jaanay ka socha. Woh mishal k abbu se uss k rishtay ki baat krna chahti thin..mishal ki aik hi khala thin r naasir sahib (mishal k abbu) ka sirf aik bhai tha.. hashir..
"Soofiya! Tum tyaar ho jaao.. 5 ho gayay hain aur sameer ko bhi phone karo.."
Shazia baigam ne apni baiti se kaha..
"G mama! Bus tyaar honay lgi hun.. sameer ko pta chal gya naah k hum kis maksad se wahaan jaa rhay hain toh woh gussa ho ga.."
Soofiya ko sameer k gussay ka pta tha..
"Tum ne daikha nhi kesay muskura rha tha us k naam pr?? Bs choro in baaton ko.. ussay koi nhi btaayay ga..tum ussay phone toh kro.."
Shazia baigam ne khafgi se kha toh soofiya phone milaanay lgi..
"Mama keh rhi hain k aa jaao ab....q??...meeting cancel kr do naah....acha mein mama ko phone daiti hun tum khud hi baat kr lo.."
Soofiya ne shazia baigam ko phone pakraaya..
"Kya masla hai tumhaaray saath?? Mjy kuch nhi sunna.. jaldi aao..."
Mama ne phone kaat diya ...
"Mama aap bhi naah.."
Soofiya ne kha
"Haan bus mein hi dushmun ho tum sub ki... chalo jaao tyaar ho.."
Unhon ne kha toh soofiya hans di..
~~~~~~~~~~~~~~~
Woh saari tyaari kr chuki thi.. bus aakhri baar sub nazar se guzzar rhi thi..parsoon uss ka test tha aur abbu ne ussay mna kr diya tha k woh test nhi dai gi.. laikin uss ne chacho se baat kr li thi k woh ussay lai jaayain gai aur abbu ko pta nhi chalna chahiyay...aur issi liyay woh apnay kamray mein hi parh rhi thi.. taakai abbu ko pta naah chalay..
"Mishal baahir aao.. khala i hain milnay.."
Ammi ki awaaz pr uss ne books samaitin aur darwaaza khola..
"G ammi??"
"Khala i hain tumhaari jaao millo un se tumhaara pooch rhi hain.."
Ammi ne kha toh woh dupata sir pe lainay lgi..
"Aur suno! Koi batmizi naah karna un k saamnay.. tumhaaray abbu bhi wahan hain.."
Ammi ne pehlay hi ussay baahir k maahol se aagah kr diya..
Woh sir hilaati hoi baahir lounge mein aa gai..
"Assalam o aliakum khala.. kesi hain??"
Woh shazia baigam k galay lgi..
"Mein theek thaak.."
"Soofiya baji aap kesi hain?? Itnay dinon baad aayin??"
Uss ne sameer ko nazar andaaz kr diya tha...woh masalsal ussay daikh rha tha jo k ab sofa pr bra-jamaan ho chuki thi..
"Aur baita! kesi jaa rhi parhai??"
Shazia baigam ne poocha.
"G khala achi jaa rhi hai..."
Uss ne muskura kr jawanmb diya..
"Mishal! Jaao sameer ko ooper chut pr lai jaao.. woh daikhna chahta hai.."
Ammi ne kha toh mishal ne unhain hairangi se daikha.. koi chotay bachay hain jo mein dikhaaonn..hmm.. woh soch kr reh gai.. laikin choonkai usay batmizi naah karnay ka order milla tha iss liyay woh chup chap uth gai...jubkai sameer ne hairat se apni khala ko daikha q k uss ne aisi koi baat nhi ki thi...
Asal mein howa yeh tha k shazia baigam ne apni behan se pehlay hi phone pr baat kr li thi aur abbu bhi maan gayay thai... bus aakhri baar daikh kr mangni ka soch rahay thai.. aur jin ki zindagion ka faisla tha woh donon bai-khabar thai...
"Aap ka office theek jaa rha?"
Mishal ne hi baat krnay mein pehal ki..
"G haan woh bilkul theek jaa rha.. waisay mera haal toh poocha nhi tum ne meray office ki kuch zaida hi fikar hai.."
Sameer ne kha toh woh hans di..
"Aap aa jo gayay hain .. agr office ko bhi saath lai aatay toh uss ka bhi nah pochti.."
"Hmm...acha btaao khalo maanay??"
"Nhi maanay.. un ko mnana koi asaan kaam nhi hai.."
Mishal ne bura sa munh banaaya.. woh chut pe chehal qadmi kr rhay thai... hawa k thapron se mishal ka dupata sir se uthar kr kandhon pr aa gya tha aur uss k baal nazar aanay lgay thay...aik do littain maathay pr aa rhi thi'n..
Sameer ussay daikhnay se ijtanaab kr rha tha magar nazar baar baar uss k chehray pr chali jaati..
"Mishal!.."
sameer ne shaid uss ki baat suni hi nhi thi..
"G.."
Mishal ne ussay daikha woh ab aik jaga ruk chukay thai...
"Apnay sir pr duppata lo.."
Uss ne kha toh woh kuch sharminda se ho gai.. aur forun duppata seedha kiya...
"Sorry.."
Mishal ne nazrain jhukka lin..
"Acha chalo yeh btaao k tumhain lawyer bannay mein kitnay saal lgain gay??"
Uss ne bai-qaraari se kha..
"Shaid 6 saal yah iss se bhi zaida.."
uss ne kha aur phir se tehalnay lgi..
"Oh! Yeh toh kaafi lmba intazaar hai.."
Sameer ne yeh kha apnay liyay tha laikin mishal smjhi k woh uss ki baat kr rha hai..
"Haan hai toh lmba intazaar magar uss k baad mera khaab poora ho jaayay ga.. mjy woh mill jaayay ga jiss ki mjy hamesha se chahat hai..."
Mishal ne khushi se kha...
"Aur mjy bhi..."
Woh soch kr reh gya...
"Chalain neechay?? "
Mishal ne poocha..
"Kuch dair aur plzz.. "
Sameer ne kha toh mishal ussay hairat se daikhnay lgi...
"I mean abhi mosam thora acha hai woh mjy neechay ghutan mehsoos ho rhi thi.."
Woh issi liyay yahaan bohat kum aata tha k waapis jaatay waqt ussay bohat mushkil hoti thi... woh chahta tha k bus ussay daikhta rhay..
"Acha sahi hai... aap dua kijeay ga k mera test acha ho.."
"Inshallah acha hi ho ga.. "
Sameer ne muskura kr kha...
Unhain smjh hi nhi aa rhi thi k woh baat kya karain..
"Tumhain chadar k bagair meray ilaawa aur kis kis ne daikha hai?? "
Sameer ko koi khayaal aaya..
"Kya ho gya hai sameer?? Aap mjy hurt kr rhay hain.. mjy apni izzat ka khayaal hai.."
Woh bura mna gai thi..
"Nhi mera woh matlub nhi tha..actually mjy acha nhi lgta k koi tumhain daikhay...mera matlub hai k aisay... mishal tum samjho naah.."
Uss ne ilfaaz ko tarteeb hi naah dainay howa... woh kehna kuch aur chahta tha aur mishal uss ki baaton se hurt ho gai thi..
"Sorry mishal..."
"Koi baat nhi... "
Uss ne kha....
"Tum bohat achi lg rhi ho.. "
"Thanks... waisay mein hun hi achi.."
Mishal ne kha toh woh muskura diya..
"Mishal baita tum apni aur sameer ki chayay lai jaao ooper hi.."
Ammi ki awaaz i...
"Ammi hum neechay hi aa rhay hain.. raat ho gai hai.."
Mishal ne kha aur seerihaan utar gai.. jubkai sameer thori dair wahin baitha rha... phir Nasir sahab k awaaz dainay pr neechay gya...
"ammi mein zara room mein jaa rhi meri tbiyut theek nhi hai..."
Mishal ne kha.. toh sameer ka dil chaha k zameen khulay aur woh uss mein sama jaayay.. kya zaroorat thi woh kehnay ki.. ab naraaz ho gai mishal..uss ne socha.. chayay peenay ka bilkul maza nhi aaya tha....
"To phir baat paki samjhain??"
Apni mama ki iss baat pr woh poori tarha hil gya tha..
"Kon se baat mama??"
Uss ne poocha...
"Mishal aur tumharay rishtay ki.."
Nasir sahab(mishal k abbu) ne kha toh woh thora hairaan howa laikin woh gussa nhi tha.. woh khush tha... woh bhi yehi chahta tha k mishal ko forun apna bna lai... toh phir gussa kis baat ka??
"Mishal se poocha??"
Uss ko pehla khaiyaal yehi aaya tha..
"Uss ki kya hi baat hai.. shazia behan aap bs tyaari karain mangni ki.."
Nasir sahab ko kuch zaida hi jaldi parh gai thi..
"Laikin bhai.."
"Aap tyaari karain..."
Nasir sahib ne kha toh sub chup ho gayay..waisay bhi un k saamnay koi zubaan nhi chala sakta tha sawaayay mishal k...
Sameer waapsi ka poora rasta mishal ko hi sochta rha tha...
Mishal ki zindagi ka itna important faisla ho chuka tha aur ussay kisi ne btaana bhi zaroori nhi samjha tha...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dear friends! Plz comments diya karain.. i hope aap ko story achi lgay gi..
Abhi start hai toh thora boring hai laikin aagay aagay daikhiyay hota hai kya😉
Thanks😀
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top