Bai-mol yaariyaan

"Q kiya tum ne aisa?? Bolo??"

Woh ussay ghoor raha tha...

"Yaar ab koi tumhaari mehnut apnay naam lagayay ga toh gussa toh krna jaayiz hai naah..."

Zaman ne khafgi se kha....

"Meri mehnut ka silla mjy mera Khuda dai ga yaar.. baaqi sub ki mjy kya parwa..suno! Gussa kbhi bhi jayiz nhi hota.."

Woh apnay dost ko samjha rha tha...

"Bus kro yaar.. chalo economics ki class hai..."

Zamaan ne chir kr kha...

"Haan chalo bhai...."

Woh bhi uth khara howa...

"Kal mjh se milnay aana meray ghar..".

Uss ne zaman se kha...

"Q??"

Woh poochay bagair naah reh saka...

"Mjy tumhain kuch dikhaana hai..."

"Kya kya mjy abhi btaao.."

Woh excited ho gya...

"Bhai!! Sabar, hosla jaisay ilfaaz kbhi sunay hain??"

Woh hanstay howay uss se pooch rha tha.. woh chaltay howay class mein daakhil howay....

"Chal o! Baisti nah kr.."

Zaman ne kha r thora nakhra dikha kr seet pr baitha....

"Waisay bholay!!"

Woh book kholtay howay uss se mukhaatib howa..

"Haan??"

"Tum ne kbhi garoor q nhi kiya?? Agr meray walid itnay baray vakeel hotay toh mein toh yaqeenun garoor krta.."

Zaman ki iss saaf goi pe woh hansa tha..

"Fazool baat kr di tum ne.."

Woh muskura rha tha..

"Phir bhi?? Kbhi aik fakhar sa nhi howa??"

Zaman ne kuraida..

"Haan! Fakhar toh hai laikin yaar ! Fakhar r garoor 2 different cheezain hain... "

"Tum q nhi bntay phir vaqeel?? Tum toh bht aasaani se bun sktay ho.."

"Nhi naah bn sakta... mjy koi dil-chaspi nhi hai.."

Woh ukta sa gya... pta nhi zamaan q hamesha uss ki zaati zindagi k baray mein baatain krta rehta tha...agr koi r hota toh woh tok daita... laikin zaman uss k dost tha... aisa dost jissay woh bht pyaar krta tha... r bht bharosa bhi....

                   ~~~~~~~~~~~~~

"Abbu!"

Mishal un k kamray mein daakhil hoi...
Woh bed pr doosri taraf munh kiyay baithay thay..
Uss k bulaanay pr koi rad-e-amal naah howa...

"Abbu!.. mjy aap se kuch baat krni hai .."

Woh un k qareeb i..laikin un k paas baithnay ki himat nhi hoi...

"Tum gai nhi abhi tuk??"

Woh uss se pooch rhay thay...

"Nhi. Mjy aap k paas rehna hai.."

Woh nazrain jhuka k boli...

"Laikin mjy tumhain apnay paas nhi rakhna..."

Kamal pathar dil insaan tha uss ka baap...

Mishal ko hairat hoi thi...woh apni jaga se aik qadam bhi hil naah saki...

"Jaao ab!!"

Un ka lehja bohat karakht tha....

"Kya sach mein aap meray bagair reh lain gai??"

Mishal ne bund hotay dil se poocha...

"Mishal! Faaslon se koi faraq nhi parta... tum abhi meray saath aik ghar mein rehtay howay bhi meri nhi ho... toh agr tum bht door bhi chali jaao toh mjy koi farq nhi parta..."

Pta nhi woh q bardaasht nhi krtay thay uss ka hashir se milna...

"Abbu .mein aap ki baiti hun... toh kya jaanay dain gay mjy aisay??"

"Bilkul!! Jo log meray se bai-wafai krtay hain naah mishal... jo log meri muhabat ka jawab ignorance mein daitay hain naah... mein un ko khud se door kr daita hun.. mjy kisi ko zabardasti apni zindagi mein rakhnay ka koi shok nhi.. phir chahay mjy iss se kitni hi takleef q na ho.."

Unhon ne uss k sir pe haath phaira....

"Abbu! Mein aap r chacho... donon k saath rehna chahti hun... samjgain naah..."

Woh rohansi ho gai..

"Acha chalo theek hai... tum dono yahan reh lo... mjy koi aitraaz nhi.. jaao. R suno rona mut..."

Baap ka dil apni baiti k liyay kbhi pathar nhi ho sakta...

"Thanku abbu.."

Woh un k galay lgi thi.... r forun chacho ko yeh khabar sunaanay k liyay lounge ki taraf bhaagi k phone karay...

Woh ussay yun khush hotay daikh kr hi khush ho gayay ...

"Young man!! Aap aa jaayain.. abbu maan gayay.."

Jaisay hi call receive ki gai woh chilai thi...

"Aur agr mein naah aana chahoon toh??".

Chacho k dil pe lgi thi abbu ki baat ...

"Q yaar?? Abbu maan toh gayay hain ab aur kya chahiyay??"

Woh shock thi...naa-samjh, pagal larki....

"Bs naah.... mjy nhi aana...tum bs mjh se contactmein rehna... "

Woh pta nhi q yeh sub kr rahay thai...

"Nhi... aap meray saath aisa nhi kr saktay... mein aap se yeh tawaqa nhi kr rhi thi.."

Mishal ne dukh bharay lehjay mein kha...

"Hmmmm...... acha aik kaam kro.. ja k parho.. time kum hai ..."

"Aur aap ko lgta hai k mein parh paaoon gi??"

Woh tanzia hansi...

"Mishal mein iss waqt driving kr raha hun... baad mein baat ho gi.. jaao shabash 3 cup chayay bnao r bhai bhaabi ko do r khud chat pe books lai jaao.. iss time mosam acha hai r araam se parho.... r suno maths pe zaida focus kro woh tumhaara weak hai... ok khuda Hafiz.."

Unhon ne uss k jawaab ka intazaar kiyay bagair hi phone bund kr diya...

Woh kaafi dair phone ko ghoorti rhi...

"Mishal!! Baita idhar aao... yeh kapray daikho sahi sil k aayay hain??"

Ammi ki awaz pe woh phone ko patakhti hoi under gai thi...

                   ~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zaman shaam ko uss k ghar gya tha....

"Haan bolo kya dikhaana tha tum ne mjy??"

Woh choottay hi bola...

"Tumharay liyay kuch lia mene.. ruko... "

Woh ussay drawing room mein bitha k chala gya....
2 minute baad aik mulazam ne aa kr chayay wagaira serve ki...

"Yeh daikho...."

Woh under daakhil howa...

"Kya??"

Zaman ko woh khaali haath lga...

"Yeh... chaabi..."

Uss ne aik chaabi zaman ko dikhai....

"Yeh kis ki chabi hai??"

Zaman samajh naah saka...

"Yeh tumhaaray nayay ghar ki chabiyaan hai dear.... meri taraf se gift... aao ussay daikhnay chalain.."

Woh muskuraatay howay bola...

"Kya mein yeh samjhoon k tum mjh pe tars khaa rhay ho??"

Zaman ka lehja ajeeb sa tha...

"Oh plzz.. ab koi formality wagaira krnay ki koi zaroorat nhi hai.. chalo idhar aao...."

Woh ussay uss ka naiya ghar dikha rha tha... r zaman k dil mein uss k liyay izat r bhi barh gai...

                 ~~~~~~~~~~~~~~

Woh beharal parhai mein masroof ho gai thi... q k lawyer banna uss k sub se bra khawab tha...

"Hyy meri jaan kesi hai??"

Aik dum se usay chacho ki awaaz i...

Uss ki aankhon mein chamak paida ho gai... lakin thora nakhra dikhaanay ka socha...r kitaabon pe nazrain jhuka lin...

"Daikho mein aa gya. Yaar mein bs yeh shehar chor k jaanay hi waala tha laikin jub station pr pohancha toh dil mein kuch honay lga.. yaar himat hi nhi hoi. Phir mein  bhaag aaya wahaan se..."

Woh uss k paas baith gayay....

"Hayay mishal kuch toh bolo..."

Woh ussay daikhnay lgay...

"Meri jiss ko qadar nhi hoti mein uss se baat nhi krti..."

Woh munh bna k boli...

"Haan mein bhi... yehi baat hai meri bhi...chalo waada kro k aaj k baad tum kisi bai-qadray se baat nhi kro gi..."

Chacho achay mood mein thai...

"Chup rahain....".

Woh masnoi gussay se boli...

"Mjy parhnay dain..."

"Aray tumhain parhnay ki kya zaroorat itni like ho tum.. tyaari toh hum jaisay naa-layik krtay hain... "

Chacho ne uss se book cheen li...

"Mjy aap se koi baat nhi krni.... jaayain yahaan se.."

Mishal bla ki ziddi thi... r chacho toh phir chacho thay...

"Baat nhi krni toh naah sahi....ghoomnay toh chal sakti ho naah.??"

"Mjy parhnay dain plz.. mera test hai.."

Woh ab thora muskurai thi...

"Hmmm..... chalo parh lo tum.. mein phir chala hi jaata hun.."

Chacho munh bna k uthay thai...

"Chalain zaida acting naah karain... raat ko kahin chalain gai.. abhi parh lun...ok???"

Woh ab un se raazi ho chuki thi...

"Okay!! Waisay mishal.."

Chacho ne kuch kehnay k liyay apna munh khola...

"Shaam ko baat krna naah young man...abhi time nhi hai.."

Woh roni shakal bna k boli...

"Jaldi parho phir... mein bhai jaan se mil k aata hun.."

Woh uthay...toh mishal ne hairat se un ka munh daikha...

"Aap un se gussa nhi hain?? Unhon ne aap ki itni baisti ki thi .."

Woh unhain yaad dilla rahi thi...

"Haan.. laikin itni choti baaton pr mein naraaz nhi hota... apnon se bhala kya naraazgi.."

Woh muskura kr bolay...

"Naraaz apnon se hi howa jaata hai ...r iss tarha toh mein aap se sub se zaida naraaz hoti hun... toh phir iss k yeh matlub toh nhi k aap meray apnay nhi ."

Chacho hansay .....

"Oh dear princess!! Tumhaari toh alag baat hai.... hamaara rishta koi jaan nhi skta k kaisa hai... laikin kbhi kbhi mjy lgra hai k tum bigar gai ho.. batmiz ho gai ho.."

"Kya mein r batmiz??".

Mishal ne hairat se unhain daikha..

"Naah meri jaan naah...parho... koi nhi ho batmiz ... bongi maari thi mein ne.."

Chacho ne kha r baahir nikal gayay....

Baahir abbu kharay thai.. woh bs chacho ki aakhri baat hi sun chukay thai... agr poori baat sun laitay toh girhain hi khul jaati'n....💔

"Kub tuk uss ko haqiqat se door rakho gai.... aakhir toh btaana pray ga k tumhaara uss se kya rishta hai ...."

Abbu jaisay tanzia hansay ..

"Bhai jaan! Aap??"

Chacho ne baat gol kr di....

"R jub ussay haqiqat ka pta chalay ga naah! Toh uss k baad se woh tumhaari shakal bhi daikhna pasand nhi karay gi.... phir tumhain pta chalay ga k kisi ka thukraana kya hota hai?? Dard kya hota hai?? R iss dard se tumhain meri baiti hi roshnaas karwaayay gi... "

Abbu ne un ko hilla kr rakh diya...

"Aap ussay kuch nho btaayain gai??"

Chacho ne kha..

"Mein nhi ussay waqt btaayay ga hashir!! "

Abbu ne kha r unhain gehri soch mein chor k chalay gayay...

                  ~~~~~~~~~~~~~~~~~

TO BE CONTINUED......

IF YOU LIKE MY STORY THEN VOTE IT AND GIVE ME YOUR COMMENTS...😊

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top

Tags: #novel