Part 4

Continuation......

Gauri went to Grandma's room .

Gauri: Dadi.

Grandma: beti tu aa baith.

Gauri came to her: Dadi Maa Mai aapko ye chabhi dene aayi hun.

Grandma: Arre nhi beti.

Gauri: ye aapki amanat hai Dadi maa Mai nhi chahti wo moti iss chabhi ko apne paas rakhe.....Mai bahar jaa rhi hun aap apna khayal rakhna.

She left from there.

After sometime.

Om give horn.

Gauri shouting: Sheela ki jawani jaa Omkara se bol ki Mai aati hun.

Sheela happily went to Om: Hii.

Om smiled: Hello....Umm.....Pooja ready ho gyi ?

Sheela: Ji abhi nhi.....tab tak aap mujhse baat kar skte hain.

Om gulped: Aa..aap ko college ke late ho jayega.

Sheela: No no aaj holiday hai aaj Sunday hai na.

Om: haan. (In mind) Kahan fas gya yaar..... ab iska kya karun

He gives fake smile to her.

Sheela: Aap ki clinic kahan hai.

Om: K..k.. Kyun ?

Sheela: actually Meri tabiyat aaj kal theek nhi rehti bahot kaam pad jata hai.

She was unaware that Gauri was standing behind her glaring her back.

Om: Band hai....abhi band hai.. Sunday hai na....Kal aa Jana.

Sheela: it's ok aap abhi check kar lijiye ki mujhe fever hai ya nhi.

Gauri patted her shoulders. She turned and get scared.

Gauri holds her neck: Mai check karti hun....abhi pata chal jayega.

Sheela gulped: P..Pooja tum aa gyi...go and enjoy then.

Gauri leaves her neck: wo tum nhi bhi bologi to ham log kar lenge.... phle apna khyal rakho jao kitchen me bartan pada hai.

Sheela turned to go.

Gauri: Aur.....Dadi Maa ko agar time se dawa na mili....to (she showed her palm) Apni dawa ke liye taiyaar rehna.

Sheela nodded and left. Gauri sat beside om.

Om started the car: Kamaal hai...... bechari woh.

Gauri glared at him: Fikr ho rhi hai kya agar haan to jaa kar bartan saaf karva lijiye.....haan nhi to.

Om pulled her cheek: Very funny.

Gauri: Accha ham jaa Kahan rahe Hain.

Om: Beach bataya to tha.

Gauri: Beech wo Kya hota hai.

After sometime they reached.

Om: ye hota hai.

Om closed her eyes with his palms: chlo tumhare liye ek surprise hai.

Both reached beside the lake.

Om: ab jab mai kahun tab ankhen kholna.

Gauri nodded. Om removed his hands from her eyes. He sat down and takes a stick and wrote something on sand.

Om: Ab ankhen kholo.

Gauri opened her eyes and get surprised by seeing that.

Gauri looked at om happily: s..sach.

Om came her smiling: I love you.

Gauri hugged him: Omkara mujhe yakeen nhi ho rha hai.

Om reciprocate the hug: Mujhe bhi nhi ki tum jaisi pagal ladhki se mujhe pyaar kab ho gya.....arre par reply to Karo

Gauri: I love you too.

Om broke the hug: W...wo ek kiss le sakta hun ?

Gauri teasingly: Accha to ye baat hai isliye propose kiya.

Om rubbed his neck shyly: Aisa nhi hai....agar tumhari permission ho to ?

Gauri smiled: Le lijiye.

Om holds her shoulders and came near her lips. But she pushed him

Om: Arre.

Gauri: Abhi nhi Shaadi ke baad.

She turned to go but om holds her hands and pulled her closer. He wrapped her hands around her waist.

Om: Don't worry tumhari permission ke bina Mai kuch nhi karunga.... Shaadi ke baad bhi nhi.

Gauri smiled and peck his cheek. Om blushed.

Gauri: Ohoo dulhe raja sharma gye. Accha chaliye baith te hain udhar jahan sab baithe hain.....uss taalab ke kinare.

Om: Pooja it's not taalab it is swimming pool.

Gauri: Jo bhi ho chaliye.

Both sat on chair.

Gauri: Tumhe pata hai aaj uss Moto ko pareshan karne me bada maza aaya....

Om chuckled: Phir.

Gauri: phir kya Jo moti thi khisiyani hokar boli (mocking) hahaha bada mazak karti hai badi shaitan ho gyi hai.

Om chuckled: Accha suger kitni logi.

Gauri takes the suger cube: ye chini hai ?.....iski patthar kyun banate hain ?

Om smiled: Ye patthar nhi hai...isse cube kehte hain.

Gauri: kube.

Om: kube nhi.....cu.....be....cube

Gauri: ku.....be.....kube.

Om rolled his eyes: nothing....rakh do isse.

Gauri: gussa kyun karte ho ?

Just then a girl came to om wearing swimming dress.

Girl: Hii Doctor Omkara.

Gauri: Ayee tumhe kapde nhi mile kya lgta hai chori ho gye.

Om glared at Gauri: Hii Aashi... how are you ?

Aashi: Fine.... and you ?

Om: Perfect..... Accha tell me ab tum Thik ho na ?

Aashi: Ummm.....ya abhi Tak to theek hai but sar me dard rehta hai.

Om: Ok....so Kal hospital aa Jana check up Kar lete hain tumhara.

Aashi: Ok...... thank you....byy.

Om smiled: Byy

He looked at jealous Gauri who was glaring at him.


Om: Kya hua ?

Gauri didn't say anything only glaring at him. Om turned back.

Om: Accha wo.....

Gauri stumped his foot and left from there angrily.

Om went behind: Arre Pooja....Ruko to...

After sometime.

Gauri was sitting beside pool and om was standing behind her.

Om: Pooja.

Gauri didn't replied.

Om: Wo...Mai...soch...rha...tha...ki... Wo tum mere sath chalo Mai tumhe Party ke liye acchi si dress le lunga.

Gauri turned to him and glared at him angrily. Om gulped and showed his teeth. She again turned her face.

Om in mind: Ye kabhi kabhi overreact karti hai....man kar rha hai utha kar pani me fek dun.

To her: Pooja.

Gauri turned: Kya hai ?

Om: Chalo.

Gauri: nhi tum uss bin kapde wali ladki ke paas jao usse Apne sath le jao uska check up Karo.

Om irritated: Yaar wo bechari to bas.

Gauri: Kis angle se bechari dikhti hai tumhe ?

Om: Uss bechari ko fever tha kuch din pehle.....To....

Gauri: fever tha to kapde utaaregi.

Om: Yaar tum kya kya bolti rehti ho..... aur usse swim suit kehte hain....aur meri Kya galti maine to poore kapde pehne hain.

Gauri didn't say anything.

Om: Ab tum overreact Kar rahi ho....

Gauri: Haan Mai to karungi hi....vo badi tameez vali hai na jao ussi k paas. Mujhe nhi sun na kuch.

Om angrily: Ok jaata hun....tum bahot Jada bolti ho... mujhe baat hi nhi karni tumse.....Ghar Chalo.

Gauri: Nhi Jana tum jao uske paas.

Om: Ok Mai bhi wait karne ke liye nhi mar rha Hun.

He left from there.

After some hours.

Gauri calm herself and she realized that she was overreacting.

Gauri in mind: Jada bol Diya maine. Wo to chala gaya....Kal sorry bol dungi.

She started walking just then she saw om who was sitting in car. Gauri went to him.

Gauri: Omkara.

Om looked at her : Baitho.

Gauri sat inside: Tum Mera wait kar rahe the?

Om: Nhi uss ladki ka Kar rha tha.

Gauri in mind: Ye to naraaz hai...

To om: Mujhe maaf kar do.....Mai bhi ekdum pagal hun.

Om: I know.

Gauri: Jo man me aata hai Mai bol deti Hun......tumhe pata hai mujhse gussa bardash nhi hota.

Om showed unamused face: 😒😒

Gauri: wo ladhki hai na bahot acchi hai hehe bahot hi pyaari bachi hai....Accha party me nhi chaloge.

Om rolled his eyes ignoring her.

Gauri switched on the radio.

Song plays.

Wo Hain Zara khafa khafa
ki nain Yun churaye Hain
Ho ho....

(He is bit upset as he is not meeting eyes.)

Gauri looked at om pouting.

Om switched off the radio.

Gauri pulled his cheeks singing: Koi deewana jab rooth jata hai to aur bhi haseen ho jata hai.

Om: Haseena hota hai.

Gauri: Tum deewane ho na.😏

Om: Tumhara Ghar aa gaya.

Gauri get down from car: Andar aao na.

Om: I am getting late mujhe party me bhi jana hai.

Gauri: Tum mereko bole the ki mujhe bhi le chaloge....galat hai ye.

Om: Haan taaki tum wahan par bhi mujhe sunao.....byy

Gauri started crying loudly

Om came to her: Rona band karo

Gauri crying: Tum bahot kharab ho....... mujhe Bina liye jaa rhe ho... Maine to dress bhi nikal liya tha.

Om holds her shoulders: Pooja.... rona band Karo.... tumhe party me chalna hai na... Chalo.

Gauri started crying more loudly.

Om: Shsh....ab Kya hua?

Gauri: Tumne mujhe maaf nhi Kiya... Maine kitna maafi maagi..... mujhe kitna rona aaya.

Om hugged her for consoling. Gauri smrinked .

Om: Maine maaf Kar Diya tum please chup ho jao...andar Chalo ready ho jao.

Gauri looked at him and smiled widely: Kaisa laga Mera mazak.

Om: That means tum natak Kar rhi thi.

Gauri nodded.

Om : You!!

Gauri: Aati Hun.... andar aa jao.

She ran from there. Om smiled and shook his head.

After sometime.

They reached to party.

Both get down from car. Gauri stopped at her place.

Om came to her: Pooja Kya hua?..Chalo.

Gauri: Om yahan itne Saare log hain..... sab hi padhe likhe.....aur Mai.. tum to jante ho ki mujhe to Thik se English bhi nhi aati...Mai kaise jaun...Meri wajah se tumhari bezzati hogi.... mujhe dar lag rhi hai.

Om holds her hands: Kaisi baatein Kar rhi ho tum... yahan sab mujhse Jada tumhara hi wait kar rhe Hain.... aur Mai hun na tumhare saath... Chalo.

Gauri smiled and nodded. Both entered inside.

A girl saw them: Hey om.

She came and hugged him: Welcome

Gauri's mouth goes O.

She dragged om in corner: Ye Kya tha?

Om: Kya tha? Welcome Kar rhi thi aur Kya tha.

Gauri: Aise welcome karte hain.

Just then a boy came to them.

Boy hugged him: Long time O.

He saw Gauri: Ye bhabhi Hain?

Om nodded. Boy hugged her making her shock.

Boy: Welcome in the par bhabhi.

Om make them apart: Ah....she is not comfortable.

Boy: Ohh sorry bhabhi.

Om: Pooja ye...

Boy: Mai apna introduction khud dunga.... hello bhabhi Mera naam Rudra singhania hai... aap pyaar se mujhe Rudy bula sakte ho.

Gauri: Ru.......Dy...Rudy.

Rudra: Yes...by the way aapka naam?

Gauri: Gau.... Pooja.

Rudra: Ohh Gau Pooja.. thoda weird hai par thik hai.

Om: only Pooja.

Rudra: Pooja nice name bhabhi.

Just then a girl came.

Girl: Hii Omkara (she looked at Gauri) Hii..umm

Om: Pooja.

Girl: Hii Pooja bhabhi.... bahot suna hai Omkara se aapke baare me...Mai Bhavya hun Rudra ki wife.

Gauri smiled: Namaste.

Bhavya: Come sit.

Rikara sat. Just then a girl came. She was the same girl Aashi.

Aashi: Doctor Omkara aap yahan.. what a surprise.

Gauri: Arre tumhare kapde abhi Tak nhi mile.

Om glared at her and Gauri ignored him.

Aashi sat beside Om.

Gauri: Ayee tumhari tabiyat Thik nhi hai phir yahan kyun aayi...jao ghar me.

Aashi: Tum inki compounder ho Kya ?

Om controlled his laugh .

Gauri: Ek laafa padega muh pe seedha ho jayega.

Om glared at her: Pooja..shshsh.

To Aashi: Aashi she is my fiance.

Gauri: Haan nhi to.....ulti baat pe mereko badi khunass aati hai.

Om: What? Kya aati hai?

Gauri: khunass Matlb gussa.

Om: Accha

Aashi: Ok....so Mai Kal kitne baje ki appointment lun.

Om: Tum evening me aa Jana.

Aashi: Ok.

Gauri: Ho gya na ab jao.

Aashi left from there.

Om:  Kya tha wo.

Gauri: tumhara compounder Kyun boli mereko.....aise aise ladhkiyan rehti hain kapde ho nhi aayi hain bada.

Om rolled his eyes

Ruvya chuckled.

Just then a boy came with his wife.
Om hugged him: hey shivaay....Hii Anika bhabhi.

Anika:hii

Just then a boy came with his wife.
Om hugged him: hey shivaay....Hii Anika bhabhi.

Anika:hii

She looked at Gauri: Pooja??

Om : Yes.

Anika: how cute....Pooja om me bilkul jaisa bataya tha tum vaisi hi ho.

Gauri looked at om teasingly: Accha kya bataya tha mere baare me.

Om smiled and looked down.

Anika: Bol rha tha ki tum bahot khubsoorat ho jaisi ladhki usse chahiye...bas thodi si pagal jaroor ho...par tum jaisi bhi ho uske liye Bahot acchi ho.

Gauri looked at om smiling and he rubbed his neck shyly.

Anika: Mai Pooja ko apne sath le jaun ?

Gauri: Arre usse Kya pooch rhi Hain.... Chaliye.

Anika: Haan chal Bhavya.

Om: 😶😶

Shivaay: 😶😶....ye to Anika jaisi hai.

Rudra: 😶😶Bhavya jaisi bhi
.
.

Anika take her to her friends.

Anika: Hey guys she is Pooja Omkara's to be wife.

A girl: Wow what a choice...hii Pooja nice to meet you.

Gauri: Ab Dekho apun ko ye English palle nhi padti.

Girl 2: Kahan nhi padti?

Gauri: Palle Matlb samajh nhi aati.... isliye pehle hi bol rhi hun merese Hindi me baat karo.

Girl 1: Yaar you are.....mera Matlb hai tum Bahot cute ho.

Gauri: Thank you... mujhe pata hai

Girl 2: Tum kuch drink logi?

Gauri: Nhi Mai thik hun

Girl 2: arre aise kaise....wait Mai tumhare liye kuch laati Hun.

She called a waiter: Excuse me one glass of wine please.

Gauri: Nhi mujhe nhi peena..

Girl 1: Arre kuch nhi hai Normal hai ye

Gauri: Accha.

She takes it and drink.

After sometime Om came to Anivya.

Om: where is Pooja ?

Bhavya tensed: Pata nhi Omkara abhi Tak to yahin thi mai aur Anika juice lene chle gye wapas aaye to dekha Pooja bhabhi is missing.

Anika: Mujhe to bahot tension ho rhi hai om.

Shivaay: Pagal ho tum dono. kya jaroorat thi usse akela chodne ki ?

Just then Rudra came running.

Rudra: O bhabhi .

Om: What Kahan hai ?

Rudra: Teri car ke upar dance kar rhi hain... seems to be she is drunk.

Om: But wo to peeti hi nhi hai.

Anika: Pila di gyi hai....pakka kisi ne usse drink diya.

Om: guys ok byy.

Shivaay: Take care.

Om nodded and ran outside. He saw Gauri who was dancing on roof of his car.

Om: Pooja come Down.

Gauri: Mai na aungi.

Om somehow managed to make her down.

Gauri put his hands on his shoulders and started singing: Zara sa jhoom lun Mai...Arre na re na re na

Om: Pooja chup karo.

Gauri: kon pooja?.....jab se aayi hun sab mereko Pooja bol rhe...mera naam Pooja nhi hai.

Om: Tum iss waqt nashe me ho.

Gauri: Nashe me to Kabir rehta hai... hahaha.

Om confused: Kabir ?...(in mind) koi friend hoga.

Gauri: Tumko ek baat bataun?

Om: Nhi ..Chalo abhi ke liye.

Gauri: Nhi pehle Suno.

Om: Accha sunao.

Gauri's eyes filled with tears: Par tum mujhe chodh ke chale jaoge na?

She hugged him: Bolo....chale jaoge ?

Om: Nhi jaunga tum bolo.

No response.

Om: Ab kya hua bolo ?

No response.

Om broke the hug and saw she was unconscious

Om: Thank God behosh ho gyi warna poore raaste mera sar khati.....ab isse kahan le jaun.

He thinks for a minute.

Om: Apne ghar le chalta hun agar chachi ne Dekh liya isse iss halat me to pata nhi kya sochegi..... Waise bhi unka behavior accha nhi iske sath....par pehle Mai Chachi ko call kar ke bata deta hun kuch bhi.

He called Asha.

Om: Namaste chachi.... wo aaj Mummy ne Pooja ko bulaya hai.

Asha: Thik hai beta le jao...(in mind) mere liye Accha hai.

Om: Ji.

He disconnected the call: Iske liye kya Kya karna pad rha hai.

Om started the car. Both reached
Om picked her in arms and entered inside

Tejvi saw him.

Jhanvi: Om ye Pooja ko kya hua ?

Om: Umm... Mummy ye behosh ho gyi hai.. Kamzori hai na.

Tej: Accha.

Jhanvi: Accha hua tu isse yahan le aaya...warna iske Ghar vale to Iska khayal bhi na rakhte.

Tej: Haan.... beta isko apne room me le jaa aur tu guest room me chala jaa.

Om nodded.

Next Day.

Other side

Pooja with her friend Roop were sitting near well for taking water.

Roop: Gauri Kabir ko abhi tak nhi pata Chala ki tu usse pyaar karti hai?

Pooja: Ab Kya bataun....unse Jada nasamajh aadmi to Maine Zindagi me nhi dekha....unke dimaag me to cricket, Khel-kood inn sab me alawa kuch hai hi nhi.

Roop: To tu hi samjha de na .

Pooja: Kya?

Roop: Yahi ki tu usse Bahot pyaar karti hai aur Baaki Zindagi uske saath bitana chahti hai.

Pooja was going to say something just then she saw that Jatin was standing there with evil smile.

Jatin: Ohoo.....to ye sab bhi ho rha hai....ruk mai abhi boss se bata Kar aata Hun

Pooja: nhi jatin tu...tu kuch nhi batayega..

Jatin ran from there: Mai to bataunga.

Pooja: Ab kya hoga.

Roop: Wahi hoga jo manzoore khuda hoga.... chal ek tarah se Accha hi hai Kam se kam usse ye baat pata to chalegi.

Pooja: Par....

Roop: tu chal Ghar jo hoga dekha jayega.

Other side.

Jatin came running to kabir who was lying under the tree.

Kabir: Kya hua tu itni jaldi me kyun hai ?

Jatin: Boss Aisi khabar laaya hun ki aap sadme me chale jaoge ya behosh hi ho jaoge.

Kabir: Arre kya khabar hai bol to ?

Jatin: Apni Gauri hai na.

Kabir: Haan hai to  .

Jatin: Wo na boss.... mereko sharam aa rhi hai.

Kabir excited: Bol re.

Jatin: Arre ab mereko Gauri ko Gauri bhabhi bolna padega.

Kabir confused: Bhabhi ?

Jatin: Arre wo.... Gauri na aapko pyaar karti hai.

Kabir: K....Kya Sach ?

Jatin: Haan boss Maine khud Gauri ko....mera Matlb hai Gauri bhabhi ko Roop se bolte suna hai ki wo aapse pyaar karti hain.

Kabir fainted in shock.

Jatin: Boss..... Boss...utho boss....mar gye Kya ?

Kabir stands in shock: Aata Hun.

Jatin: Kahan chle ?

Kabir running: Teri bhabhi ke paas.

He rushed towards her home. Pooja also reached to home. She saw Kabir was coming to her running.

Pooja: Mar gyi....pakka uss jatin ne bataya hai.

Kabir shouting: Gauri wahin ruk.

She ran inside and shut the door. Kabir reached.

Kabir reached there and knocked the Door.

Kabir: Gauri gate khol na re.

Pooja was standing inside blushing and awkward.

Kabir: Sun to le Meri baat.

Pooja: Aap jaiye yahan se.

Kabir: Accha bas ek sawal ka jawab de de.

Pooja didn't said anything and closed her eyes embarrassed.

Kabir: Wo jatin keh raha tha ki tu mere se pyaar karti hai.....ye Sach hai?

Pooja blushed but didn't say anything.

Kabir: Bol na re mereko bahot sharam aa rhi hai......bas Bol de haan ya na.

Pooja: Jaiye aap yahan se.

Kabir: Ek baar keh na haan ya na....Bina jawab sune Mai nhi jaunga.

Pooja blushing: Haan.

Kabir fell down. Pooja opened the window and laughed to see him.

Kabir stands and went towards window but Pooja closed it.

Just then Mitali came.

Mitali: Kabir tu Bahar kyun khada hai?

Kabir: Mausi Gauri ne darwaza band kar liya hai mujhe andar nhi aane de rhi.

Mitali: Arre Gauri kya baat hai ?

Pooja in mind: Kya karun Mai inka (to Mitali) k.... kuch nhi Maa.... kholti hun.

Kabir smrinked. Pooja opened the door and Kabir gave her mischievous look. Mitali went inside.

Kabir came to Pooja: Tune bataya kyun nhi mereko?

Pooja looked down: mere batane se Kya hoga.....aapko to Mai pasand bhi nhi hun.

Kabir blushed: Aisa nhi hai.... wo mai...mai phle tereko bilkul pasand nhi karta tha par jab se tune ye devi ka Roop liya hai mai bhi tereko.... Terese....Mai tujhse pyaar karta hun.

Pooja blushed and Kabir pulled her into tight hug. And Pooja reciprocate the hug.

Just then jatin came between them.

Jatin teasingly: Ye kya ho rha hai boss ?

They quickly broke the hug.

Kabir Hits on jatin's head: Jab dekho aa jata hai.

Jatin: Aye boss ab mereko maara na to Mai sab se bata dunga ki tum dono ka lafda hai.

Kabir: Mereko dhamki deta hai....chal tujhe batata hun.

Just then Mitali came: Arre khana to khate jao.

Pooja served food to Kabir and jatin.

Mitali: Beta kabir tu hi Gauri ko samjha na .

Kabir: Haan bilkul samjha dunga....par samjhana Kya hai?

Mitali: Mai jab bhi iski shaadi ki baat karti Hun ye hamesha baat badal deti hai...ab Shaadi ki umar(age) ho gyi hai .

Pooja: Maa Itni jaldi Kya hai?

Kabir: H..haan Itni bhi jaldi Kya ye to abhi bacchi hai bechari.

Mitali: Ahaa ab tu bhi shuru....pata nhi Mai iss janam tum dono ki Shaadi nhi Dekh paungi.

Jabir : Kya? Kiski?

Mitali: Tum dono ki aur kiski.

Jabir: Kisse?

Mitali: Mujhse.....paglon tum dono ki Shaadi.

Kabir: Haan ab Itni choti bhi nhi hai....mausi ne kaha to apun dono ki bhalai ke liye hi kaha hoga....bade hamesha apne bachon

Mitali smiled and shook her head.

Other side.

Om entered in his room with tea. Gauri woke up rubbing her eyes.

Gauri shouting: Arre Oye Sheela ki jawani Meri chai Kahan hai?

Om came to her: Arre Oye pooja ka budhapa...ye Mera Ghar hai.

Gauri quickly wake up: Arre....tum.... yahan

Om: Haan....Mai....yahan. ye Mera room hai.

Gauri: Par Mai tumhare ghar??(holding her head) Aaaaaahh...dard kyun ho rha hai?

Om: Hangover..... Kal tumne pee rakhi thi.

Gauri shocked: Mai....nhi Mai nhi peeti.

Om: I know.... tumhe kisi ne pila di thi.

Gauri: Mai usse chodungi nhi...(she looked at her dress) Ye....ye meri dress kisne change ki.

Om: Haan wo Maine...

Gauri cutting him: Kya kaha.

She holds her collar angrily: Tumhari ye himmat....tumne mere kapde badle Mai tumhe kya dikhti Hun...sharm nhi aayi hone wali biwi ke sath aisa karte hue......abhi to Shaadi bhi nhi hui aur tum....cheee... tumne aisa Kiya...

Om holds her hands shouting: Just stop it!!

Gauri leaves him.

Om: Mai Bol rha tha ki Maine Mummy se kaha to unhone change Kiya...tum Kya pagal ho....Bina sune ki
kuch bhi bolti ho....ab fresh up ho kar ready ho ke neeche aao...Ghar drop karna hai tumhe.

Gauri bites her tounge: Sorry.

Om: Hmm... come down fast.

Om left from there.

Gauri: Dhatt teri ki ! ......Gauri tu bhi Pagal hai ab naraaz ho gya wo.....kya karun ?.

After sometime Gauri came down.

Om: Aao breakfast kar lo phir tumhe ghar drop kar dun.

Gauri: Maa papa Kahan hain?

Om: Bahar Gaye hain.

Gauri sat beside him: Sorry.

Om ignored her: Breakfast karo.

Gauri: Nhi karungi.....phle sorry....ab tum adha adhura bolte ho.

Om glared at her: Bolne ka mauka deti ho.

Gauri looked down: Nhi.

Om: Chup chap breakfast Karo.

Gauri: Mai kuch nhi sunti na....Mai bewkoof hun... Bina soche samjhe kuch bhi bolti Hun.

Om: Hmm I know.

Gauri: Omkara please sorry.

Om ignored her.

Gauri started crying: Tum mujhse gussa ho.. Maine sorry bola par tumne mujhe maaf nhi kiya.

Om rolled his eyes and start eating. Gauri started more Loudly.

Om: Ye natak mere saamne mat Karo...Kal hi Kiya tha.

Gauri: 😶😶....maaf kar do please....agli baar se nhi hoga.

Om stands: Chalo.

Gauri stands angrily: Koi jaroorat nhi drop karne ki Mai Chali jaungi...haan nhi to...hadd hai. Kab se sorry Bol rhi Hun samjh nhi aata....byyy.

Om: Haan to Jao.

She went out from house angrily. Om looked at door.

Om: Ye to Sach me  chli gayi...maine overreact Kar diya tha.

He ran outside and saw Gauri was not there. Om cursed himself. Just then someone tap his shoulder. He turned.

Om: Pooja? Thank God..I thought tum Chali gayi.

Gauri started laughing: Kaisa laga Mera mazak.

Om rolled his eyes: Bahot ganda....chalo ab.

Gauri went to car.

Om Chuckled: Pagal.

They reached.

Gauri: Andar Chalo na.

Om nodded.

Om: Pooja tum Kal Kya Bol rhi thi? Mai Pooja nhi Hun........aur ye Kabir Kon hai?

Gauri shocked: Aur Kya bola Maine?

Om: kuch Bolne vali thi par behosh ho gayi thi.

Gauri looked down and sighed: Omkara....Mai kuch batana chahti Hun.

Om : Kya baat hai?

Just then Asha saw them.

Aasha: Arre tu aa gyi meri Pooja beti

Gauri: Nhi chali gayi hathi Meri Chachi.

Om controlled his laugh.

Asha: Hehe bada mazak karti hai....andar aao Omkara beta.

Both entered inside.

Gauri saw Ravi.

Gauri in mind: Ye kon joker hai ?

Asha to Om: Mere Bhai ko to jaante hi ho.

Om shakes hand with Ravi: Ji....Mr. Ravi Bahot dino baad dikhe.

Ravi: Haan wo business ke silsile me bahar jana pada.

Asha: bahot bada business hai iska export import ka.

Gauri came to them: Omkara inke paas bhagwan ka diya sab kuch hai inke paas bas ek ghar ki kami reh gyi tabhi to apni behn ke ghar reh rahe hain....tch tch tch bechare.

Ravi looked at her angrily but she ignored him. 

Gauri: Vaise Omkara Papa ke bhai ko kya bolte Hain ?

Om: Chacha.

Gauri: Aur Chachi ke bhai ko ?

Om: Ummm...pata nhi.

Gauri: Mai batati Hun...... Chachi ke bhai ko chuchu bolte hain.

Om chuckled: Ji Mai chalta hun... Namaste

Asha: Haan beta Namaste.

Om left.

Gauri: Accha Chachi tum chuchu ke sath baith kar cheichei Karo Mai chalti Hun....chyy chayy (byy byy) chee chu (see you).

She went upstairs.

Ravi angrily: Lagta hai apni aukaat bhul gyi.
Abhi yaad dilata Hun.

Asha: Haan bhai isne mujhe aur Sheela ko naukar bana Diya...maar maar ke isse neeche laa.

Ravi: Tum yahin ruko didi....Mai batata hun.

He went upstairs and entered in Pooja's room.

Gauri saw him: Tum yahan kya kar rhe ho ?

Ravi: Tujhe teri aukaat yaad dilani hai.

He take out his belt: Isse to pehchanti hogi...phle bhi kayi baar ye tere upar apne Nishan bana Chuke Hain.

Gauri closed her fist in anger.

Ravi hits her with belt and she fall down glaring at him.

Ravi: Sheela aur didi par apna hukm Chala kar tu apne aap ko maalikin samjhne lagi hai na (he again hits her) Kal se tu apni purani aukaat par aa jayegi... khana banayegi kapde dhulegi aur ghar ke saare kaam karegi smjhi

He again going to hit her but Gauri holds his belt and kicked him snatching the belt from him.

Gauri hits him four times harder than him: Aur tu baith kar raaj karega (hitting) kutte.
Apne aap ko malik smjhta hai kya be (hitting) kamine.

Ravi: Aaaaaaaaaaaa.....(hissing and crying in pain)

Gauri kicked him out from room: ahaha...ab tu iss belt se pehchan kar le kyunki har Roz iska shikaar tu banega besharam (hitting) Namard.

Ravi:P..p.pooja please maaf Kar do.... please....Mai tumhare pair padta Hun

She again kicked him from stairs. He was crying in pain and his whole body was black and blue. Ravi ran to Grandma and holds her leg.

Ravi: Maa mujhe Bacha lo..

Gauri: Jis aurat ki aaj tak tune izzat nhi ki usse bachne ki bheekh maag rha hai.

She was going to hit him but Grandma stops her.

Grandma: Pooja apne kamre me jaa.

Gauri: Par Dadi.

Grandma: Isse apni saza mil gyi maar dalna chahti hai Kya.....jaa apne kamre me.

Gauri take out her Bangles from hand and throw it on Ravi: Abhi bhi zara si sharam Baaki ho to ye chudiyan pehn Lena.

She left to her room angrily.

Other side.

Mitali was washing clothes just then Pooja snatched clothes from her hands.

Pooja: Maa kitni baar kaha hai ye sab mat Kiya Karo...Nhi samjh aata....ab jao.

Mitali: Beta koi kaam mujhe bhi karne de.

Just then Kabir entered shouting: Gauri.... mausi..

Mitali and Pooja came outside.

Mitali: Offo Kya baat hai?

Kabir: Mausi mujhe bahot bade circus me naukari mil gayi.

Mitali hugged him: Bahot khushi Hui.... Mai sabko mithai khila Kar Aati Hun tum dono baatein Karo.

She left. Kabir came to Pooja and hugged her.

Kabir: Mai bahot khush Hun.

Pooja: Mai bhi.

He broke the hug and holds her hands: Gauri Mujhe wahan itne paise Nhi milenge par tujhe khush rakhne aur jaroorat poori karne ki poori koshish karunga.

Pooja smiled: Aapko jitne paise milenge Mai khush rahungi......Meri fikar mat kijiye.

He smiled.

Other side.

Gauri entered in Grandma's room and saw that Grandma was sitting in front of God's idol

Gauri: Dadi Maa.

Grandma: Pooja beti andar aa baith..

Gauri sat beside her: Kya padh rhi ho?

Grandma: Bhagwat Geeta..

(Bhagwat Geeta is a holy book said by Lord shree Krishna)

Gauri: Kya likha hai isme ?

Grandma: Shree Krishna ne Arjun se kaha hai ki dharti par jab jab paap badhega tab tab Mai janm lunga.

Gauri: To kya wo kabhi aaye Hain.

Grandma chuckled: Pagal har wo insaan jo burai ko khatm karta hai wo bhagwan ka hi to Roop hote Hain.

Gauri: Aur Dadi agar kisi burai ko khatm karne ke liye jhooth bolna pade to ?

Grandma: Beti agar koi jhooth kisi ke Acche ke liye bola jaaye to wo sau (hundred) sach ke barabar hota hai.

In hall.

Ravi came downstairs and sat: aaaa bahot bura maara hai....na baith paa rha hun..na khaa paa rha hun.... na so paa rha hun. (Shouting) arre Ramu mera cigarette ka packet le kar aa.

Ramu came to him running and gave him packet.

Ravi angrily: Lighter kya tera Baap dega buddhe.

He pushed him and Ramu fall down. Gauri came to him and help him standing.

She went to Ravi glaring at him. Ravi gulped.

Gauri gave a tight slap to Ravi and he fall near Ramu's legs.

Gauri: Chal sorry bol.

Ravi trying to stand: lekin.

Gauri kicked him and he again fell: maine bola sorry bol....agar kal wali maar yaad na ho to yaad dilaun.

Ravi: Ramu mujhe maaf kar de.

Gauri: Tameez se...tere baap ke umar ke hain...unke pair pakad aur kaka bol.

Ravi holds his leg: Ramu kaka mujhe maaf kar do.

Ramu: Arre Malik aap aisa mat kijiye.

Gauri sat near Ravi and holds his collar and make him stand: Kon si vali cigarette peeta hai ?

Ravi showed her packet.

Gauri: Ohoo 555.....(she pushed him and he fell down again. She kept her leg on his back) aur ghar ka kaam kya karta hai...ek bhi nhi.....aaj se bina kaam ke agar iss ghar ki ek roti bhi khayi to mai gin kar 555 joote  marungi....(to Ramu) kaka aaj se bazar se sabjiyan (vegetables) ye layega....(kicking him) chal nikal .

Ravi ran from there to market.

In market.

Ravi was buying vegetables.

Ravi: Accha vale tamatar (tomatoes) dikhao bhaiya.

Just then he listened some familiar voice. He turned and shocked to see Pooja who was buying vegetables.

Pooja's eyes fell on him . Bucket fell from her hands....she started sweating and  ran from there scared.

Ravi was shocked to see another Pooja here. He followed her.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

**********************************

Finally updated.

Thanks to all my didus and friends who gave me idea of copy and paste 😶😶

souji28 shrenal123 sinha_m Love_Manan_123 didus 😍😍😍😍 thank you 😘😘😘😘


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top