meri duao ka hissa
Sajdo mein manga hai aapko bas farq yeh hai us waqt khuda se yeh mangti thi ke aap mere liye aur mein aapke liye achi saabith hoon. Ab yeh dua mangti hoon ke humein khuda mila de, dooriyon ko mita de har khushi ata karde. Har namaz aapke saath paroon, tilawat e Qur'an aapki awaz se sunoo aur khuda kare ke hamara saath kabhi na tootein. Har khushi aapse wabasta ho, hum apni duniya basaye jis mein aap, mein aur hamare pyaare bachey ho. Hamari aankhon mein chamak ho khushi ki aur aapki pyaar ki aakhri saans tak. Mein itni khush naseeb hoon ke itna pyaar aur khyaal rakhne wala shohr Allah ne mere taqdeer me likha.
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top