26-II❤️

Nakul: Haa! Zyada mat bolo aap. Kabhi aap bhi to late ho sakte ho

Mahir: Kya bola tumne mujhe? Cockroach...

Nakul: Mere upar gussa kyu kar rahe ho? Bhabhi yahi to bulati hai aapko.

Bela's eyes became wide: Nahi!

Nakul: Haaaa! Jhoot mat bolo bhabhi. Maine suna tha aaj jab aap bathroom ke andar se bhai ko daat(scold) rahi thi.

Bela: Nahi...

Mahir: Belaa...

Bela stands and rolls the paratha which she was eating and ran inside: Mujhe college ke liye late ho raha hai. Byeeeee......

Andy: Your wife calls you cockroach?

Mahir: Nahi... Ye mazak kar raha hai. Ye jhoot hai.

He hits Nakul and glared at him.

Nakul: Main kabhi jhoot bolta hu?

No one replied him and resumed their activities.

Bela reached her college and started looking for her friends. But she didn't found them so she directly went to her classroom. They were also not present there. So, she thought they might be running late. She called them to ask but but her call was not answered.
Meanwhile her fee classmates wished her birthday which made her little happy but the instant thought that her own loved ones, her family didn't remembered made her sad.

Few people who think they are friends with her but she don't consider them as friend asked for party after class.

Girl 1: Come on yar party to banti hai.

Girl 2: Itni kanjoosi(miser nature) leke kaha jayegi?

One boy came: Samjho yar... Tumhe party kyu degi? Tum iski best friend thori ho? Iski friend to aaj aai hi nahi.

Girl 3: Hamare sath party nahi karni to aisa kar teri sister ka jo devar( husband's younger brother ) hai na Mahir usse bhi bula le. Tu apni boring aunties(Vish & Meera) ke sath enjoy kar lio hum uske sath kar lenge.😉

Bela: What?😧

Girl 1: Sahi toh bol rahi hai. Kya handsome hai yar. Maine social media pe pic dekhi hai.

Girl 2: Aur rich bhi. Maine suna hai ab vo CEO banne wala hai. Call kar usse.

Girl 3: Acha?

Girl 2: Sab pata kiya hai maine.

Girl 1: Maine bhi pata kiya hai uske bare mein aur uska favourite colour yellow hai.

Girl 2: Toh aaj Bela ki party mein yellow dress hi pehnugi main. Bela tere paas number hoga na? Usse call karke invite kar.

Girl 3: Ha kar... Tera family relation hone ka kuch to faida ho hame bhi. Kar call... Introduce us.

Girl 1: Ye nahi karne wali call. Tu hame de number.

Bela: Tum logo ka dimaag kharab ho gaya hai?😠

Girl 3: Nahi! Dimaag na tera kharab hai. Samjhti nahi kuch. Ab hamari friend ka aise handsome insan se jaan pechan hone ka kya faida jab vo hamari help nahi kar sakti?

Two more girls came. Bela was getting angry with each passing second.

Girl 4: Tum log Mahir ka number le rahe ho? Mujhe bhi chaiye.. mujhe bhi chaiye.

Girl 5: Pahle bhi itni baar tujhse baat karne ki try kari par vo gundi Vish ne kabhi baat nahi karne di.

Girl 4: Aur vo Meera aise ghurti rehti hai na har time koi baat kaise kare aake.1 baar milwa de Mahir se.

Bela: (shouted) JUST SHUT UP!😡  HOW DARE YOU ALL? 😡

One girl tried to speak but Bela didn't let.

Bela: Koshish bhi mat karna kuch bolne ki. Ab samj mein aaya itni friendship kyu dikhai jaa rahi thi. Party chahiye? Ek thappad(slap) dungi agar aaj ke baad Mahir ka naam liya toh.😡

Jo zyada general knowledge dikha rahi ho na ki CEO banne wala hai etc..etc.. aur bahut pata kara hai na uske bare mein toh ye nahi pata chala he's not single? He's married.

Everyone: What?😲

Bela: Yes! And he's mine. Introduction chaiye? Rakhi par aana, tab karwaungi tum logo ko usse introduce.😠

She turned to storm off but stopped for second: Aur uska favourite colour yellow nahi white hai.😒

She went from there but at college gate she bumped into someone.

Bela: (angrily) Dekh ke nahi chal sakte?😡

That person: Main toh dekh ke hi chal raha tha par

Bela: Ha...matlab main hi andhon(blind) ki tarah chal rahi thi na? Meri galti hai?

That person: Okay! Okay! Gussa mat ho. Meri galti bas. I am sorry.

(Kya lagta hai guys kon hai ye? Mahir? Manane aaya hai shyad.)

Bela: Kya karu main tumhare sorry ka? Ehsan karne ki zarurat nahi hai mere upar sorry bol ke.😡

That person: Arre re... Itna gussa!

Bela: Toh kya aarti utaru tumhari? Ek toh jaan ke takkar mari aur phir mujhe hi andha bol rahe ho.

That person: Maine kab bola tujhe andha? Main tujhe kabhi aise bol sakta hu? Main?

Bela: Kyu? Kyu nahi bol sakte? Kon ho tum? Mere mama(maternal uncle) ke bete?

That person: Dekh gussa hona alag baat hai par ab tu badtameezi kar rahi hai.

Bela: Ha main hi badtameez hu. Hato samne se. Jaan na pechan aa gaye mujhe sikhane.

That person: Jaan na pechan? You don't know me? Me?

Bela: Ha nahi janti. Kon ho tum?

That person: Kon hu main? Kon hu main?😯 Kuch mahine(months) college kya nahi aaya tu mujhe bhul gayi? Apne Ravi ko bhul gayi?

Bela: Kon Ravi?

Ravi: Main...

Bela: Acha... (To herself) Dekha hua toh lag raha hai ye par kon hai?

Ravi: 3 months kisi wagah main leave par tha par ab wapas aa gaya hu.

Bela: (slowly) Wapas aa gaya toh main kya karu? 3 mahine chutti par kon jata hai?

He heard last line.

Ravi: Thi kuch problem. Par vo sab chor. Bata kaisi hai tu?

Bela: (Giving him a weird look) Excuse me! Mujhe late ho raha hai.

Ravi: Ruk na... Itni kya jaldi hai? Itne time baad mile hai.

Bela: Mujhe kuch kaam hai.

Ravi: I know tu aise kyu kar rahi hai? Naraz hai na mujhse? Itne time ke liye gayab ho gaya main vo bhi bina bataye?

Bela: (To herself) Kyu paka(bore) raha hai ye?😒 (After thinking for some seconds) Ha pakane se yaad aaya ye to pakau Ravi hai. Jab dekho hamare peeche peeche ghumta rehta hai pakate huye. Uff! Shaadi ke chakkar mein sab bhul gayi.

Ravi saw her not responding and clicked his fingers in front of her face: Kaha kho gayi? Bata mujhe.

Bela: Kya batau?

Ravi: That you all missed me right?

Bela: (Didn't know what to answer as saying no would sound rude) Umm...

Ravi took it as a yes.

Ravi: Mujhe pata tha. Meera kaha hai? Andar hai?

Bela: Pata nahi... Mujhe late ho raha hai.

Bela got a message from Meera saying that they couldn't come today as on the way Vish got into fight with someone who was coming from wrong way. So it took time to calm Vish and they will not come and meanwhile Ravi continued his rant.

Ravi: Itne time baad mile hai. Kahi chalte hai. Aur haa main toh bhul hi gaya aaj toh tera

Someone interrupted him very rudely: Ek baar bola na larki ne vo busy hai. Jana hai usse. Samj nahi aata tujhe? She's not interested. (Ye kon aaya?😏)

Bela: Tum?

That person: Don't worry... Aise chipku item ko sambhalna aata hai mujhe.

Ravi: Excuse me! Tameez mein reh ke baat kariye aap.

That person: Mujhe sikhayega tameez? Beta pahle khud toh seekh le tameez.

Ravi: Dekhiye aap

That person by coming in front of him: (in mocking tone) Dikhaa naa...

Ravi: Bela chal yaha se. Ye mujhe thek nahi lag raha.

That person by taking one more step forward and glaring at him: Le jaa ke dikha.

Bela: Stop it both of you. Veer tum kya kar rahe ho yaha par? (Ye bhi Mahir nahi hai.)

Veer: (politely) Main to aapko

Ravi in-between: Tum janti ho iss badtameez ko Bela?

Veer: Sorry bhabhi ji. 2 min zara isko thek kar du, ye zyada hi kar raha hai.😠

Ravi: Bhabhi?

Veer: Ha meri bhabhi hai. Tujhe koi problem?

Ravi: Ye tumhari bhabhi nahi hai.

Veer: Kyu pareshan kar raha hai bhabhi ko jab vo bol rahi hai unhe nahi karni tujhse baat?

Ravi while giving Bela one small box and on it one very small chocolate was attached: Ye le Bela apna birthday gift. Sorry main thek se wish nahi kar paya par tu jaldi se jaldi nikal yaha se. Ye thek nahi lag raha mujhe. Tu jaa main iski complaint karke aata hu.

Veer: Meri complaint karega? Chal kar. (while laughing) Aur isme kya hai? Pen?

Ravi: Tumhe kaise pata pen hai isme?

Veer: Ye box ka shape aur size dekh ke baccha bhi bata dega pen hai. Pen kon gift karta hai yar? Hahaha...

Bela:  Ho gaya tum dono ka? Main kuch bolu?

Veer: Sorry bhabhi... Aap boliye.

Ravi: Ye bhabhi nahi hai.

Veer: Chup reh!

Bela: Gift kya hai ye matter nahi karta, effort matter karta hai. Tumhare dost ne kya effort kiya?

Veer didn't said anything.

Ravi: Kon dost?

Bela: (Faced Ravi) You leave that. Thank you! Ab tum jao yaha se. Main tumse baad mein baat karungi and I'll be fine by myself, mera driver aata hi hoga.

Ravi: Tumne driver rakh liya? Car toh...

Bela ignored him: Aur Veer tum batao yaha kya kar rahe ho?

Veer: Aapko face to face birthday wish karne aaya tha.

Bela: Tumhe mera birthday pata hai?

Veer: Ha facebook se pata laga mujhe.

Bela: (to herself) Isse pata hai aur mere pati ko nahi.😒

Veer: Kuch kaha aapne?

Bela: Nahi..

Veer: Happy birthday bhabhi😁...

Ravi was standing there only, listening to them: Bhabhi?

Veer: Chup!

Bela: Thank you!

Veer got a call: Kya matlab aur time lagega? Main kya karu itni der? Acha...okay...okay...

Bela: Kya hua?

Veer: Kuch nahi... 😅

Bela: Sab thek hai na?

Veer: Ha... Sab acha hai. Vo..vo kya hua na mujhe aaj Raghav ko dentist ke paas le kar jana tha par uski appointment delay ho gayi thori. To mujhe wait karna hoga. Wahi bol raha tha itni der kya karu?

Ravi: Raghav kon? Tumhara beta?

Veer: Meri shakal dekh ke lagta hai kya mera koi baccha hai? Ya meri shaadi hui hogi?

Ravi: (While pointing at Bela) To iski shakal dekh ke tujhe kaha se lagta hai ki iski shaadi ho gayi hai jo itni der se bhabhi bhabhi kar raha hai.

Veer: I am not gonna answer that aur mera dost hai Raghav, beta nahi.😒

Bela: Tum kyu Raghav ko dentist ke paas le kar jaa rahe ho?

Veer: Kyuki..kyuki😟

Ravi: Ha kyu?

Veer: (To Ravi) Tumhe kyu batau main? Aur abhi tak yahi ho? Gaye kyu nahi?😠

Ravi: Main kyu jau? Tum jao... Main Bela ko tumhare sath akela chor ke nahi jaa sakta.

Veer: Aur naa hi main bhahhi ko tumhare sath akela chor kar jaa sakta hu.

Bela: Aisa karo tum dono yahi raho. Laro... Main ghar jaa rahi hu.

Veer shouted: Nahiiii! Aap ghar nahi jaa sakti.

Bela: Kyu? Main ghar kyu nahi jaa sakti?

Ravi: Haa Bela kyu nahi jaa sakti?

Veer: Kyuki

Ravi: Ha kyu?

Veer: Teri wagah se. Bhabhi main ye nahi kah raha aap nahi jaa sakti, main kah raha hu akeli nahi jaa sakti. Ye insan ne aapka peecha kiya toh? Bahut hi chipku type ka lag raha hai ye.

Ravi: Kya? Main nahi tum peeche pare ho Bela ke.

Veer: Main aapko chor deta hu ghar. Aapka driver nahi aaya aur Mahir bhi aaj office hai, vo bhi nahi aa payega lene. Aaiye main aaj papa ki car leke aaya hu. Dekhiye vo rahi.

Bela: Main apne aap jaa sakti hu.

Veer: Nahi main chor dunga. Chaliye..chaliye...

Bela: Main chali jaungi khud. It's fine.

Ravi: Usse nahi jana to jabardasti kyu kar rahe ho? Aur Mahir kon hai? Vo kyu aayega lene?

Veer: Abe teri problem kya hai? Kyu zabardasti har baat mein ghus raha hai?
Bhabhi kyu peeche para hai ye? Isko bolo chup chap chala jaye varna main apni pe aa gaya na to 1 hafta(week) hospital mein para rahega.

Bela: Relax! Calm down! Gundagardi dikhane ki zarurat nahi hai yaha.

Ravi I can manage myself. I know him. You can go...

Ravi: Par

Bela: JUST GO...

Ravi: Okay..okay I am going. Isse zara bach ke rehna. Bye...

He went...

Veer: Main ussi side jaa raha tha to isliye bol raha tha aapko chor dunga aur bahut time se chote bandar(Nakul) se bhi nahi mila to soch raha tha usse bhi mil lunga.

Bela: Main vaha nahi apne ghar jaa rahi thi, mere mumma papa se milne. Aur tumhara chota bandar abhi school hoga. Sham ko milna usse.

Veer: Ohh! Aap apne parents ke ghar jaa rahi ho great. (Slowly) Mera kaam asan ho gaya.

Bela: Kya?

Veer: Kuch nahi... Main aapko vaha chor deta hu.

Bela: No need...

She stopped taxi and went then Veer called someone

When she reached her parents' house she found a lock on gate.

Bela: Ajeeb hai... Koi bhi ghar nahi hai. Yuvi toh aaj college bhi nahi aaya. Parking mein uski scooty nahi thi. Papa office honge, di shyd acting class mein par mumma aur Yuvi? Mumma bhi ghar nahi hai. Vo toh iss time kahi nahi jati.

She again tried to call her parents but no one picked her call.

Dejectedly she returned to Sehgal house.

When she entered she found it dark. All lights, windows and curtains were closed.

Bela: Iss time itna andhera kyu hai?😧 (Loudly) Mohini maa..Mohini maa... Kaha ho aap? Bhushan(Their servant) bhaiya itna andhera kyu hai?

She moved in direction of light switch but got stratled by a sound of bursting of baloon and shouted loudly. She heard loud chorus ' Happy birthday Bela' and lights got turned on. Someone picked her from behind and twirled her.

Bela: Aaaaahhh! Maaahirrr!

He put her down and she turned towards him.

Mahir: (while hugging her properly) Happy birthday baby...

She didnt replied as she was shocked.

____________________________________

Behir romance agle part mein dekh lenge.😁 Karwana bhi hai ya nahi ye bhi.😉

Abhi ke liye itna kafi hai.

Share your views in comments and don't forget to vote.

BB
















Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top