14.❤️
Anita called Bela's mother, she had just came out from kitchen," Hello aunty Mahir naam ka gunda Bela ko zabardasti apne sath kahi le gaya hai."
Sunita," Gunda aur Mahir!"
Anita," Ji aunty! Aake ke shuru ho gaya chalo chalo. Humne mana kiya par nahi mana."
Sunita," Tumne kyu mana kiya?"
Anita," Kaise na karte? Bela hamari friend hai aur agar koi anjan insan zabardasti koi hamari friend ko le jaye to kaise chup bethege hum?"
Sunita," Vo anjan nahi hai. Bela janti hai usse. Vo Bela ka"
Anita interrupted," Kuch nahi aunty. Humne pucha tha usse jab vo aaya tha to usne mana kar diya tha, bola nahi janti usse. Baad mein bolne lag gayi vo uska..."
She stops inbetween.
Sunita," Ha kya hua? Vo uska kya?😏"
Anita," Kaise bolu aunty... Aapko acha nahi lagega. Gussa ho jaoge."
Sunita," Try karke dekho beta kya pata surprise ho jao tum."
Anita," Usne bola.."
Sunita," Ha... Main sunn rahi hu."
Anita fastly," Usne bola vo uska
Meera comes with scooty and presses horn," Jaldi beth."
Anita signals to wait and she put phone on speaker.
Sunita too heard," Suno beta... Pareshan mat ho. Kahi jane ki zarurat nahi hai. Mahir ko aur uski family ko hum jante hai. Shivanya ka rishta jis larke se hua tha Mahir uska chota bhai hai. Mahir aur Bela ka kya relation hai vo main phone par discuss nahi kar sakti. Bela ne jo bhi bola uspe vishwas karo. Vo baad mein sab batayegi, samne beth ke akele mein shanti se.
Ab Mahir Bela ko aise jaldi mein kyu le gaya ye sochne ki baat hai. Tum log pareshan mat ho, sab thek hai ya nahi ye main phone karke puchti hu. Thank you mujhe call karne ke liye."
She cut the call.
Anita," 1 min aunty, jis larke se rishta hua tha kya matlab? Ab to shaadi ho gayi na."
Meera," Phone kat(cut) diya unhone."
Anita," Mujhe samj nahi aa raha inka reaction."
Meera," Ha"
Anita," Arre inhe to police mein call karna chaiye tha aur ye shant hone ko bol rahi hai."
Meera," I think kuch baat hai jo hum nahi jante. Aur ye saaf hai Bela janti hai uss larke ko aur aunty khud bol rahi hai ye to pakka hai. Unhone bola hai mat jao to nahi jate. Sham ko puchege."
Anita," Nahi! Chalte hai peeche. Kuch to garbad hai. Aise kaise chor de."
Meera," Jab uski mummy bol rahi hai to"
Anita sits behind her," Tu chal... Vaise bhi ab kam hi kya hai? College to jane nahi wale aaj aur koi plan bhi nahi hai. Chal tu..."
Meera," 🤦🏻♀️ Acha chal... Tujhe kuch samjha ke faida nahi hai."
They went to the way Mahir went but after 2 mins they came to halt as two roads came which goes to opposite directions.
Meera," Ab kaha?"
Anita," Left side chal kyuki right side wali road pe kuch nahi hai, 2-3 km baad palace restaurant aata hai. Vo ladka Bela ko restaurant kyu leke jayega?" (Haha! Kyu nahi lejaa sakta restaurant apni wife ko?)
Meera," Palace restaurant?"
Anita," Ha vo na bahut bada restaurant hai. Palace ko restaurant mein convert kata hua hai. Ameer(rich) log jate hai vaha."
Meera," Tujhe kaise pata? Tu kaise gayi vaha bade log jate hai vaha to?"
Anita," We got invited. Contacts hai apne contacts.😎"
Meera," Contacts?😐"
Anita," Papa ke boss ke friend ka koi function tha. Boss kahi busy the to papa ko gift leke bhej diya tha aur main papa ko company chaiye thi to maine bola main chalti hu. It's fine... Busy nahi thi uss time."
Meera," Oh! Nautanki seedha seedha bol na sath mein chipak gayi thi bade hotel mein jana tha isliye."
Anita," Chup chap scooty chalao driver. No more questions."
Meera," Thek hai..thek hai..."
They went to wrong way now come back to Sunita. She got worried when she got to know by Anita that Mahir took Bela somewhere forcefully that too in a hurry. Then she saw Mahir's missed call and called him back.
Behir had just reached the palace. Mahir saw Sunita's call coming and handed phone to Bela and asked her to explain her mother everything.
Bela explained her mother while going inside and cut the call.
They entered inside and started looking here and there while showing Shivanya's pics to people.
Meanwhile Bela got collided with one girl whose face was covered with a stole(dupatta). Bela said sorry and moved forward without looking at that girl closely. Actually she was Shivanya only who had seen Behir and covered her face.
After some seconds when Bela asked another girl about Shivanya she told her," Ye to vahi hai jisse tum takrai(collide) thi abhi."
Behir got shocked and turned back and saw Shivanya walking fastly. They went after her but she noticed and started running.
She went out running fastly and took and again got collided with two men who fell down but she moved fastly.
Bela," Rukk jao di..."
Mahir almost reched her," Ruk jaiye..."
Shivanya didn't listened them and pushed one waiter on Mahir due to which they almost fell and Bela too stopped for a while and she too got pushed ad she was just behind Mahir.
On the gate watchman stopped Shivanya and behir reached there.
Shivanya to watchman," Bhaiya ji bachaiye... Ye log zabardasti mere peeche pare hai."
Bela," Didi kya bol rahi ho?"
Shivanya," Dekha kaise natak kar rahi hai? Varna mujhse zabardasti ye..ye apna kaam karwana chahte hai."
Mahir," Kaisa kaam? Aise baat kyu kar rahi hai aap? Aap Bela ki badi behen hai?"
Shivanya," Kon Bela? Tum kon ho?"
Bela got shocked.
Mahir," Natak karke kya faida ab? Ab bhagne ka faida nahi hai."
Shivanya," Please mujhe chor dijiye... Helpp bhaiya ji.."
Bela," Didi aap kyu bol rahe ho aise? Aap wapas chalo. Koi kuch nahi bolega. Nahi puchege hum aap kyu bhaage?"
Shivanya," Kya bol rahi ho tum? Main kyu aau tumhare sath? Who are you?"
Mahir," Tum dono behne ek jaisi ho na? Nautanki mein 1 number. 'Main nahi janti isse.'😒 Tumne to almost pitwa hi diya tha par aap(Shivanya) kripa(grace/ show kindness) karke 🙏 kuch aisa mat karna. "
Shivanya," Kya bol rahe ho tum?"
Bela to Mahir," Yar maine sorry bola to tha. Ab tak ussi baat ko pakar ke bethe ho.🙄"
Mahir," Main betha nahi khara hua hu."
Bela," Seriously ye time hai joke ka?🙄"
Mahir," Joke nahi mara."
Bela," Dekho ab choro jo bhi hua. Hum uss baat ko baad mein discuss karege. Abhi time"
Mahir interrupts," Nahi! Na abhi na baad mein. Main tumse baat hi nahi karuga.😒"
Bela," Arree!"
Mahir," Kuch nahi... Pitwao tum mujhe. Janti nahi..."
Bela," Mujhe bacchi bolte ho aur khud bacche ho."
Shivanya sees them arguing and thought it's right chance to slip away. She was about to run but Bela saw her and hold her hand.
Bela," Di ruko... Mahir apne tantrums baad mein dikhana. Abhi time nahi hai."
Shivanya," Choro mujhe... Kya hai? Kyu peeche pari hain aap behenji?"
Bela," Behenji!😯"
Shivanya pushed Bela away and Mahir hold Bela by shoulders and steadied her but Bela moved forward and aguan held her hand.
Mahir," Kya hai ye?"
Shivanya," Tum log mere sath zabardasti nahi kar sakte. Dekho jane do mujhe varna acha nahi hoga."
Mahir," Aap dariye mat. Main vaada karta hu kisi ko kuch nahi bolne dunga aapko. Par Bela ke sath aise behave mat kijiye. Dhakka kyu mar rahi ho isse? Mat karo aisa. She's delicate."
Shivanya," Meri marzi... Tumhe kyu itni mirchi lag rahi hai? Aur mujhe pata hai kitni delicate hai ye aur kitni nahi."
Mahir," Aapko kaose pata? Janti nahi na aap isse to."
Shivanya," Dikh raha hai. Aankhen hai mere paas. Aur tum..tum kyu ghum rahe ho iske sath? Tum dono kaha se aaye sath mein yaha?"
Mahir," Aap kyu puch rahe ho? Aap to jante hi nahi na hame? Main kuch bhi karu iske sath aapko kya?"
Shivanya," Ha..ha.. nahi janti... Karo jo karna hai!"
She tried to go but Mahir came in her front," Pakka? You won't mind?"
Shivanya," H..ha... K..karo...mujhe kya...main to janti hi nahi na...😥"
Mahir," Bhaga ke le jau isse?"
Shivanya," Kya?😧"
Mahir," Ha... Kya khayal hai? Aapki choti si masum si behen ko main..boliye...boliye..."
Bela hit him," Mahir kya gandi gandi baate kar rahe ho? Ye mazak ka time nahi hai."
Mahir," Chup raho Bela. Kuch gandi baat nahi kar raha main.
(To shivanya) Aapki behen ko mazak lag raha hai... Aapko kya lagta hai?"
Shivanya to watchman," Bhaiya ji aap police ko bulaiye... Kya khare khare tamasha dekh rahe hai aap? Ye kaisi baate kar raha hai iss ladki ke liye."
Mahir," Nahi..nahi..rukiye... Kuch karne ki zarurat nahi hai. Hamara personal matter hai."
He hold hand of both and took them in a corner.
Shivanya," Choro! Kya kar rahe ho?"
Mahir leaves Shivanya's hand," Duniya ke samne tamasha banane ki zarurat nahi hai. Alag se baat karna hi thek hai.
Aur Ms. Shivanya , sister of Bela main zabardasti nahi karuga iske sath... Apni marzi se aayegi ye."
Shivanya," Apni marzi se kyu aayegi?"
Bela," Mahir rehne dijiye na... Kya bol rahe hai aap? Di aap inki baate pe dhyan mat do aur chalo..."
Shivanya," Chup raho tum..."
Mahir," Bela 2 min... Mujhe pata hai kya kar raha hu main." (Jaan ke uksa raha hai...)
Bela," Par Mahir"
Mahir whispered in her ears," Bela jaan ke time waste kar raha hu. Intrigue karke rok raha hu. Tumhare parents aate hi honge bas."
Bela," Ohh!"
Shivanya shouts," Bhaiya ji iss ko dekh lo aap. Main chalti hu..."
Mahir," Tamasha mat karo. Watchman apna kaam karo."
She tried to go but Bela came forward," Nahi di..ruko..."
Mahir angrily," Ha jao... Koi fark nahi padta na aapko..jao... Aapki behen ki zindagi mein kya ho raha kya nahi? Aapke jane ke baad uske sath kya hua nahi parta na fark? Jao!😠"
Bela," Mahir! Kya bol rahe ho tum?"
Mahir," Main kya bol raha hu? Ye kya bol rahi hain? Kuch fark parta hai inhe? Tumse? Apni family se koi matlab nahi hai? Kya beeti hogi unpe? Kya face kara hoga tumne aur tumhari family ne?"
Shivanya," Zyada mat bolo. Tum hote kon ho ye sab bolne wale? Jante hi kya ho mere bare mein? Meri family ke bere mein?"
Mahir," Ha main nahi janta. Main bahr wala hu par kya aap janti hai kya hua hai aapki family mein?"
Bela holds his arm and nodded in no," Mahir nahi..."
Mahir snapped," Kya nahi? Inko pata to chale khud to nikal li aaram se aur peeche se tumhe kya face karna para? Kitni"
Shivanya cuts him," Kya aaram se? Tumhe kya lagta hai main bahut happy hu? Bahut maze mein reh rahi hu? Easy tha mere liye ye sab? Bahut asaan(easy) tha na mere liye sab kuch chor kar jana?
Aisa lagta hai na to bata du tum galat ho.😠 Kuch asaan nahi tha. Sab kuch chor kar jana easy nahi hota. Main hi janti hu main kaise manage kar rahi hu.
Aur kis family ki baat kar rahe ho? Unhone mere bare mein kab socha?"
Bela," Di aapke bare mein socha tabhi to itna kuch kar rahe the."
Shivanya shouted on Bela," Kya socha? Kya kar rahe the?"
Mahir angrily," Chillaiye mat! Awaaz neechi karke baat karo isse."
Shivanya," Kyu? Meri marzi. Meri behen hai main jaise chahe baat karu, tum kon ho? Tumhe koi haq(right) nahi hai mujhe kuch bolne ka ya batane ka."
Mahir," Haq aapko nahi raha ab. Gaya vo time jab aap jaise chahe baat kar sakti thi Bela se. Ab nahi... Main kisi ko permission nahi dunga isse aise baat karne ko.😡"
Bela," Mahir rehne do na. Please shant ho jao."
Mahir," Nahi Bela..."
Shivanya," Kya haq aur kaisi permission? Tum hote kon ho meri behen pe haq jamane wale? Ya kisi ko isse baat karne ka haq dene wale? Main chillaungi ispe. Bahut chillaungi...gussa karugi. Meri marzi. You can't say anything."
Mahir," No! You can't say anything.😡 Don't you dare. Ab ye aapki behen nahi hai, aapke ghar ki choti bacchi nahi hai, mere ghar ki member hai. Aur ye right kisi ko bhi nahi hai ki mere family member ke sath badtameezi kare, meri wife se badtameezi kare. Gaya vo time jab aap log jo chahe isse bol sakte the par ab ye right main kisi ko nahi deta.😡"
Shivanya got shocked," Wife!😯"
Bela holds his arm," Mahir please!🥺 Stop! Shant ho jao. Scene create mat karo."
Mahir," Scene main nahi ye kar rahi hai create. Hamara, hamari family ka tamasha inhone banaya hai. Inhone life spoil ki hai hamari aur tum mujhe shant karwa rahi ho?"
Bela," Please Mahir chalo...ghar chalo...😢"
Shivanya," 1 min kya bol rahe ho tum?"
Mahir," Kya bol raha hu? Sahi bol raha hu.😠 YE dekhiye."
He pulled out Bela's mangalsutra which she had hidden under her top and hair so that no one can notice she's wearing it.
Bela closed her eyes and her tear fell down," Mahir!"
Shivanya," Ye!😯"
Mahir," Ha ye... Ye hua hai. Khud to chale gaye dono aur hame phasa gaye."
Shivanya," Dono?"
Bela," Ha..Mahir ke bade bhai bhi aapki tarah..."
Mahir," Kyu bola shaadi ke liye ha jab nahi karni thi? Kyu barai(increase) baat itni aage?"
Shivanya," To kya lagta hai nahi bola hoga na? Aur mujhse aise questions kyu kar rahe ho? Maine tumhare bhai ko bola tha jab pahli baar dekhne aaya tha main shaadi nahi karna chahti par phir bhi usne haa boli. "
Mahir," Maybe he liked you aur socha ho baad mein maan jaogi."
Shivanya," Jhoot mat bolo. Tum ache se jante ho aisa kuch nahi tha. Usse bhi nahi karni thi shaadi tabhi bhaaga hai vo bhi. Par tumhare ghar mein bhi nahi maan rahe the. Business mein faida hona tha na? Kya faida? Shaadi hai deal nahi. Puri life ki deal kar di inn logo ne apne aap hi? Hamari suni bhi nahi."
Bela," Par di try to karti. Vo hamare parents hai, dushman nahi. Acha hi chahte hai hamara."
Shivanya," Bela tum janti ho maine bola tha mujhe shaadi nahi karni aur apna dream pura karna hai. Par kisi ne suni meri? Mere dream ko bewakoofi bol diya aur seriously nahi liya. Mujhe modelling karni thi. Actress banna tha par kya bola ki kuch nahi rakha iss sab mein? Mera sapna sirf sapna hai? Kyu? Nahi interest mujhe housewife banne ka to kyu banu? "
Mahir," To hame bolti? Hum log kabhi aapko housewife banne ke liye force nahi karte. You could have chased your dreams after marriage. Shaadi ke baad actress bann jati."
Shivanya," Married woman ko kon chance deta hai? Vo bhi first time. Koi bahut famous celebrity ho aur vo shaadi karle tab usko milte rehte hai projects but usme bhi kam ho jate hai. Type badal jata hai. Alag image bani hui hai."
Mahir," Aisa nahi hai... Aise kuch nahi hota."
Shivanya," Hota hai... Bahut logo ke sath hua hai. You don't know. Aur chalo meri choro. Main naa bhagti tab bhi tumhara bhai to bhagta hi na? To mujhe gyan(knowledge) dene se pahle na usko gyan do.
Jinke ghar sheeshe ke hote hai na vo dusro ke ghar par pathar nahi marte.(whose house are made from mirror do not throw stone at other's house.)"
Mahir," Main aapko koi gyan nahi de raha."
Shivanya," To kya kar rahe ho? Aur mera choro. Bahut achi family hai na hamari? Hogi... Par thinking kaisi hai. Orthodox!"
Bela," Di hamare parents ne kabhi kuch nahi bola hame. Hamesha har demand puri kari hai. They love us."
Shivanya," They might love us but they want to control our life. Tumhe kabhi kuch nahi bola kyuki tum hamesha se darpok rahi ho. Zara si awaaz uchi kari mumma ya papa ne tum unki baat maan jati thi aur bann jati thi adarsh(ideal) beti. Aur tumne kabhi koi dream nahi dekha. Kabhi socha kya karna hai aage? Chal for example tujhe papa ne bola 11th class mein science lelo to leli jabki tumse hoti bhi nahi thi. Unhone bola B.Sc karo, kar rahi ho. Yuvi ko b.tech karwa rahe hai tumhe kyu nahi? Tumhe karna kya tha career mein socha hai kabhi khudse?
Aur ab kya hua? Karwa di shaadi. Apni reputation bachane ke liye. Socha tumhare bare mein?"
Voice came from behind," Nahi socha maine par tumne socha tha hamare bare mein?"
It was their father. They parents have arrived long ago but were listening them shockingly.
Rakesh," Koi aur option chora tha tune? Mandap saj chuka tha aur mehmann aa chuke the sab. Kitni bezzati hoti. Nak kat jati hamari. Par chor... Hum hi matlabi hai. Aur kya bola zabardasti apni choices dali hai tum logo pe.
Aur tera example, to sunn reason uska. Bela ko science subject parne mein interest aata tha jab main parata tha aur social science mein so(sleep) jati thi ye. Aur isse kabhi business aur accounts mein bhi interest nahi tha. Parna vo chaiye jisme interest ho. Aur isne jo liya aur Yuvi ne jo liya apni marzi se liya hai. Nahi karni thi isse b.tech to nahi kari. Isko pata tha isse nahi hogi, interest bhi nahi hai aur isne aake bola aur maine suna. Mujhe zabardasti apni choice dalni hoti to Yuvi ko seedha simple graduation karwata aur bolta mera busniness sambhal aur Bela se bhi vahi karwata."
Shivanya," Ha vo to mere liye chor diya tha na. Jaise Mahir ke dad ne Ritik par chora aur isse karne diya jo chahta hai."
Rakesh," Nahi! Aisa kuch nahi tha. Koi bhi sambhal sakta tha tum teeno mein se side by side kisi bhi profession ke sath thora extra time nikal ke. Tujhe isliye bolta tha ke dekhna shuru karde kyuki tera kuch aur nazar nahi aa raha tha. Kuch nahi kar rahi thi tu."
Shivanya," Main kar rahi thi. Apni pasand ki life ki, career ki taiyyari. Model ya actress banne mein bhi mehnat lagti hai. Aise hi nahi ho jata. Aapne hamesha Bela aur Yuvi ko unki manmarzi ka kaam karne diya. Mujhe mana kar diya. Har cheez pe daat parti thi mujhe."
Sunita, Humne hamesha tumhe support kiya hai beta sivaye modelling ke. Aur baat rahi inko manmarzi karne dene ki to vo isliye kyuki kabhi galat nahi laga. Daat parti thi inhe bhi aur tumhe thori zyada kyuki tumhare actions aise hote the."
Their parents explained Shivanya their valid reasons for their decisions and explained her that they are not orthodox and Shivanya too understood and apologized to them and she too explained her view calmly.(Ab main nahi likh sakti explanation. Vaise hi pura part serious kar diya maine.🤭)
Sunita," Beta ghar chalo aur jo karna hai karo. Ab nahi rokenge."
Shivanya," Pakka?🥺"
Rakesh," Ha aur koi rasta bacha hai? Varna phir pata chala PT Usha bann gayi."
Sunita," Ab mat boliye kuch. Mushkil se to mili hai."
Rakesh," Main hi muh band kar leta hu. Main hi galat hu."
Shivanya," Aapko koi problem nahi hai mere meri dream pura karne ke liye?"
Rakesh,"Nahi! Kya bole ab? Vaise bhi bacha hi kya hai iske liye? Kuch aur cheez mein interest nahi hai aur shaadi bhi nahi karne wali tum."
Shivanya," Nahi karungi."
Rakesh," Koi karne bhi nahi wala. Bhaagi hui larki se kon karega? Aur khali bethne se to acha hai jo mann mein hai karo. Bano model/actor jo bhi hai.😒"
Shivanya," Thank you!!😀 Abhi aap gussa ho but I will make you proud."
Rakesh," Hmmm... Chalo ab..."
Mahir," Ji! Aao Bela."
Rakesh, Sunita and Shivanya got busy in their talks and started to move out to go home but Mahir hold Bela's hand and pulled her lightly to opposite direction.
Bela," Kya hua?🥺"
Mahir to cheer her up," Wifey relax! Ab yaha aaye hi hai to let's have something in hotel. What say? You and me? Aur hamari movie date honi thi na aaj? 🤨Iske baad chale?😏"
Bela," Par?"
Mahir," Kya par? Main maa ko phone kar dunga ki hum late ho jayege."
Bela," Hame to kal Agra jaana hai na?"
Mahir," Vo to kal jaana hai."
Bela," Par taiyyari bhi to karni parti hai."
Mahir," Ho jayegi taiyyari aur 2 din ka hi to trip hai."
Bela," Phir bhi..."
Mahir," Chalo movie rehne dete hai. Yaha hotel try karte hai."
Bela," Kya ho gaya hai tumhe? Zabardasti romantic banne ki try mat karo."
Mahir," Romantic nahi ho raha madam I am hungry. Lunch nahi kiya maine."
Bela," Acha... Vaise bhuk to mujhe bhi lag rahi. Ghar par bola tha friends ke sath kar lungi par tum le aaye yaha."
Mahir," To phir?"
Bela," Chalo! Main yaha pahle nahi aayi. Let's try.😊"
Shivanya turns back," Chal Bela vaha kyu khari hai? Chal..."
Mahir to Bela's parents," Mumma papa main aur Bela yaha se lunch karke direct ghar jayege. Hame kal ki taiyyari karni hai. Aap log bhi aa jaiye."
He didn't let Bela reply Shivanya and himself too didn't replied her as he is still angry from her because of the way she talked.
Sunita," Nahi beta aap log kariye. Hum ghar chalte hai."
Shivanya," Arre par ye jagah to bahut expensive hai. Abhi mera audition tha to maine wait karte karte apni chance ke liye menu card mein rates dekhe the. Bahut hai!"
Mahir ignored her," Mumma papa hum aap logo se wapas aake milege. Namaste!🙏"
He touched their feet and took Bela inside.
Inside hotel...
Bela was sitting sadly.
Mahir bend forward," Kya hua mere bacche?"
Bela," Main baccha nahi hu.😕😠"
Mahir," Okay baby!"
Bela in a childish manner," Bola na main bada hu.😠 I am not baby."
Mahir kept his both elbows on table and kept his face on his palms," Ye sunn ke kon bolega ki tum badi ho?"
Bela," Baat mat karo mujhse.😠"
Mahir," Acha nahi bol raha. Tum gussa mat ho."
Bela," Jab dekho mujhe cherte ho..har koi daatta(scold) hai. Main kya daat khane ke liye hi hu?"
Mahir," Maine kab daata? Main to mazak kar raha tha bacche wala baby."
Bela," Phir baby?😒"
Mahir pulled her cheeks," Ha kyuki tum ho meri chotu si cutu si baby.😉"
Bela," Aaahhh!"
Mahir," Main to baby hi bulaunga meri wifey ko.😉"
Bela," Kyu?"
Mahir," Kyu? Aur boyfriends aur husbands to aise hi bulate hai bina wagah par meri wife to sacchi mein dil se baccha hai."
Bela," Mahir!"
Mahir," Kya hua? Kyu pareshan ho?"
Bela," Mujhe kitna kuch bola di ne."
Mahir," I too didn't liked that.😠"
Bela," Arre vo baat nahi hai. Achi lage na lage par apni jagah thek thi vo. Unke emotions the."
Mahir," But jaise unhone bola aur behave kara I seriously didn't liked that."
Bela," Choro na Mahir. Ab sab thek ho gaya na? Apna mood kharab mat karo. Tum yaha mujhe mera mood thek kaye the na ki apna kharab karne."
Mahir," Hmm... Unke bare mein baat karke time waste nahi karte."
Bela," Time waste?"
Mahir tried to change topic," Ye plan karo hamari trip mein kaise kaise kaha kaha jana hai? Tweetu ko lane ke baad ghumenge na."
Bela," Ha ghumege.😀"
Waiter brought their order and they discussed about their trip happily.
__________________________________
How was this part?
I know thora serious ho gaya. But aage kuch masti karege hum.
To Shivanya kaisi lagi?
You guys happy she's back?
But Mahir gussa hai. Kab tak rahega ye gussa aur uske gusse ki wagah se koi bada drama na ho jaye. Kuch kar na de vo gusse mein.
Share your views in comments and don't forget to vote.
BB
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top