Shot 14

Rsghbir - Chalo bhai on a serious note.. Dekhlo tumlog.. Mazaak masti bohot ho gya.. Pragati meri hone waali wife hai..

Karan - Aur Preeta meri..

Raghbir - (glaring Karan) Ho chuki wife hai.. So stay away from them warna doosre RK se saamna hoga..

Sahas - Ek baat batau.. Maine jo abhi experience kiya hai na.. Uske baad lag raha hai ki mai paise dekar ye khareedne waala tha... Thank you both hume bachaane ke liye.. Byee..

Karan turned towards the door in attitude and held Pragati's hand..

Pragati - (jerking his hand) Shaadi meri behen se aur vidaai mere saath..!!
Are uska haath pakdo bewakoof..

Karan-  Aree sorry vo attitude dene mein bhool gaya tha..(holds Preeta's hand again in attitude)

Preeta - Hatt..Jhalle.. Mai chal sakti hu khud..

Karan - Theek hai..!! (holds Raghbir's hand)

Raghbir - (leaving his hand) Bhai meri bhi maal hai...

Karan looked at the trio emotionally and went outside..

While the rest of them followed Karan... Both the couples sat in the car with Praghbir in the front and Preeran at the back..

Raghbir was driving while Pragati and Karan resting... And Preeta was looking outside with a gloomy expression on her face..

Raghbir noticed her face and thought of consoling her.. So he spoke..

Raghbir - I know sab kuch itne jaldbaazi mein hua.. You must be feeling wierd.. But it's okay Preeta.. Tum itni udaas kyu ho gayi ho.. Kis baare mein soch rahi ho..??

Preeta - (without realizing) Yahi soch rahi hu ki apne saare long distance  boyfriends ko kya bataungi..!!

Raghbir stopped the car suddenely and Pragati and Karan got a jerk..  Pragati turned towards Raghbir and had almost punched him but stopped midway while Raghbir recieved a slap on his head from back i.e. Karan..

Pragati - Duffer rokne nahi aati toh rokte kyu ho..!!

Karan - Chalane nahi aati toh chalate kyu ho.!!

Raghbir - Sone nah aata toh sote kyu ho..!! Aur ye mukka mujhe nahi apni behen ko dikhaao.. Pata hai uske kitne boyfriend hai...

Pragati - (casually) Chaar..

Karan who was in a shock started singing..

Karan - Accha sila diya tune mere pyaar ka.. Yaar ne hi loot liya ghar yaar ka..

Raghbir - K..umm..Khaali Peeli khaali peeli rokne ka naii.. Tera peecha karu toh tokne ka naii.. Tu mere agal bagal hai..Mai tere agal bagal hu..

Pragati (singing dramatically) - Hua hai..Aaj pehli baar jo aise muskuraayi hu... Tumhe dekha toh jaana ye kyu iss duniya mein aayi hu..

Everyone looked towards Preeta

Preeta - Kyu..!! Kyu. !! Kyu..!!

Karan  - Aree kyu nahi hu.  !! Hu se gaao..

Preeta - (slaps him lightly) Ek chamaat maarungi naa WHO ke madad ki zaroorat par jaayegi..

Karan was holding his cheek with a cry baby face...

Raghbir - Aree haa situation kya thi..

Preeta - (casually)  Mere chaaro boyfriend ke baare mein baat ho rahi thi..

Karan - Tum..Tum aise nahi kar sakti.. .Extra marital affair hai ye..!!

Preeta - Oh hello.. Mera extra marital affair nahi hai ye jo tumne kiya na ise extra marriage bolte hai..!!!

Karan - Jo bhi bolo ye chokha hai..

Raghbir - Abe dhokha hai..

Karan - Whatever chokha dhokha.. Hai naa.. Ye important hai..

Preeta -  Aee karele.. Chillana band karo..Mere paas solution hai iskaa...

Preeta took out her phone and recorded a message..

Preeta - Baby.. vo mai tumhe kuch bataana chahti hu..(crying voice) Mere chacha chachi ne meri shaadi kisi aur se karwa dii.. So humara ab break up.. Alvidaa. Mujhe ab please message ya call mat karna..I will miss you. Byee..

She sent this message to the four boys..

Preeta - (smiling) Problem solved.. Tadaa...

Raghbir - (looking towards Pragati) Haanji aap bhi inhi ki behen hai.

Pragati - (with a very innocent childish smile and voice) Maine toh jis din tumne propose kiya tha usi din sabko bol diya..!!

Raghbir hits his head on the steering wheel...
Meanwhile Karan..

Karan - Bhai tera ho jaaye toh idhar bhi paas karna.. Mai bhi line mein hu...

Raghbir started the car and drove back to their home..

Raghbir opened the door and Preeta was about to enter when..

Pragati - (shouts) Nahi... Ruko..!!!

Preeta - (moving back) Kya hua.. Mataa chadh gyi hai iske upar aaj kya..??!!

Karan - Haa jisko dekho maarne par tulii hui hai..!!

Raghbir - Haa.. Mai bhi pit te pit te bacha..

Pragati - Aree duffer Preeta ka grihpravesh karna hoga naa.. Vo bahu hai iss ghar ki..!!

Raghbir - Are haa.. Lekin tumne galat kahaa mai Pree ko bahu jaise nahi beti jaise treat karunga..

Preeta - Ohh sasur jee... Aur hone wali saasu maa.. Ye sab drame band karo.. Aur hatoo..!! Neend lag rahi hai mujhe..!!

Pragati - Shut up..!! Saasu maa kise bola..!! Mai bas tujhse 40 second badi hu..!!

Preeta - Nahi nahi ab kya hua.. Tu toh mujhse (loudly) chaaaleees second badi hai naa.. !!

Raghbir - Abey tumlog time pass karna band karoo..!! (he went inside and brought a kalash in his hand)

Karan - Haa ab ise yahaa rakho ko Preeta tum ise laat maro..!!

Pragati - Aree ek minute aise khaali kalash thodi rakhte hai pagalo.. Tumlogo ko kuch nahi aata.. Do ye mujhe (takes the kalash and goes inside)

Raghbir - Ise badaa aata hai ye sab.. Huhh.. Khud bhi aise hi karegi dekhna..

Preeta - Humare ghar mein jitni pooja hoti thi.. Sab shaadi ki saari rasmein kaisi honi hai ye Pug hi dekhti hai.. pHd bol lo..
Inn sab mein..

Karan - Miss Psycho ko ye sab pasand hai karna..??

Preeta - Are nahi nahi.. Bhoot se darr lagta hai naa.. Toh precaution ke liye sab pata kiya tha isne.. Toh ye sab bhi pata kar hi liya.. Kaam aa jaayega isiliye..

Pragati came and set up the kalash and all..

Pragati - Pree ab ise araam se pair se giraa bas...

Preeta - Okay..(thinks - Dheere se mein kya mazaa zor se maarti hu..)

She thought of this and kicked the Kalash but... unfortunately.. Her leg hit the entrance floor which was little bit raised..

Preeta - Aahhh...(holding her leg)

Pragati - Kahaa thaa dheere se .. Par tere dimaag mein jo ye talent dikhaane ki bhookh thi naa.. Ab mit gayi hogi.. Rote raho baith ke..

Preeta softly pushed the kalash..

Raghbir - Yaar football khelne nahi bola thaa usne.. Shaadi ke raat bhi koi aise harkat karta hai... Zindagi mein kabhi toh serious ho jaao..

Karan - Wahii toh.. Lag gayi naa.. Ise kehte hai oversmart banne ki koshish mein buri tarah fail hona..

Preeta - (holding her leg) Are jungliyo kya ek ek karke bhashan de rahe ho madad toh karoo.. Ahh.. Pug help kar andar jaane mein.. Aaj ke baad kalash se toh kya ball se bhi nahi khelungi kabhi..!!

Raghbir - Pragati kyu.. Tumhaara pati hai naa.. Vo madad karega..

Preeta - Kon pati..??

Pragati - The shri shri shri shri Karan Luthra.  Waise bhi aaj we tum dono ek room mein rahoge naa... Aur mai aur... I mean ab toh mujhe aur Raghbir ko ek room mein hi manage karna hoga naa...

Karan - (picked Preeta in his arms) Kyu... Ghar mein aur bhi rooms hai.. Tum waha bhi reh sakti ho..

Raghbir - Abey apni shaadi hogyi toh meri zindagi mein aag kyu lagaa raha hai.. Mai aur Pragati ek room mein manage karlenge.. Vo use akele mein darr lagta hai naa..So koi nahi..
(closes the door)

Pragati held Karan by his shirt and pushed him inside his room alongwith Preeta.. and locked the door from outside..

While Raghbir came and picked her up in his arms..

Raghbir - Chalo hum bhi soo jaate hai ab.. Unhe enjoy karne doo...

Pragati - (laughing naughtily) Ek minute ruko toh.. (shouts loudly) Pree zyadaa halla mat karna humlog bhi hai ghar par..

Raghbir - Kyu bechaari ko..( Preeta's sound comes in between)

Preeta - Idiot kahi ki ab to tu Raghbir ke hi kapde pehenna kyuki tere kapde toh yahaa mere paas hai.. Aur teri favourite frock bhi.. Jiskaa aaj mai antim sanskaar karungi..

Pragati -(tensed) Ohh no..!!! (to Raghbir) Utaaro mujhe meri frock...

Raghbir - (not leaving her) Aur chillao naa "Preeta zyada halla mat karna" ... Huhh.. Chalo ab vo kuch nahi karegiii...

He took her to his room and locked the room from inside.. But but but. Before leaving.. They unlocked Preeran's door not letting them know.. (Bas isiliye ki agar raat mein kuch zaroorat pre unhe toh gate band naa ho..)

End for today!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top